Search This Blog

Autoblog

Sunday, February 3, 2013

Mafhum-e-Hadith: Hazrat umar ko dekhkar Shaitan raasta badal deta tha


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Hazrat umar ko dekhkar Shaitan raasta badal deta tha

Saad Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki hazrat Umar Radi-Allahu-Anhu  ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam   se andar aaney ki ejazat maangi aur aapkey pass us waqt Quraish ki aurtein baithi thi aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  se baatein kar rahi thi aur bahut bakwas kar rahi thi aur unki aawazin buland thi aur jaisey hi hazrat umar ne aawaz di wo uth kar bhag gayee jhupney ke liye , Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne hazrat umar ko ejazat de di (andar aaney ki) aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  hans rahey they Hazrat umar Radi-Allahu-Anhu  ne kaha ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam Allah aapko hansta hua rakhey , Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya  mujhe tajjub hua un aurton par jo mere pass baithi thi aur tumhari aawaz suntey hi pardey mein bhag gayee , hazrat umar ne farmaya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  aapsey unko ziyada darna chahiye tha , phir un aurton se hazrat umar ne kaha ki eh apni jaan ki dushmano tum mujhse darti ho Allah  ke Rasool Sallallahu-Alaihi-Wasallam  se nahi darti , un aurton ne kaha tum sakht aur gussey waley ho banisbat Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ke. Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya qasam hai uski jiskey qabzey mein meri jaan hai (Eh umar) shaitan jab tumko kisi raah mein chalta hua  milta hai  to us raah ko jismein tum chaltey ho usey chorh deta hai aur dusri raah mein chala jata hai.
Sahih Muslim, ,  Vol 6, 6202

------------------------------------------
English Translation:
Sa'd b. Waqqas reported that Umar sought permission from Allah's Messenger (may peace be upon him) to visit him when some women of the Quraish were busy in talking with him and raising their voices above his Voiee. When'Umar sought permission they stood up and went hurriedly behind the curtain. Allah's Messenger (may peace be upon him) gave him permission smilingly. Thereupon  Umar Radi-Allahu-Anhu  said: Allah's Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam   may Allah keep you happy all your life. Then Allah's Messenger  peace be upon him said: I wonder at these women who were with me and no sooner did they hear your voice, they immediately went behind the curtain. Thereupon 'Umar said: Allah's Messenger, you have more right that they should fear you. Then Umar (addressing the women) said: O ye enemies of yourselves, do you fear me and fear not the Messenger of Allah peace be upon him ? They said: Yes, you are harsh and strict as compared to the Messenger of Allah peace be upon him . Thereupon, Allah's Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam   said: By Him in Whose Hand is my life, if satan would encounter you in the way he would certainly take a different way from that of yours.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5899:

Category

Total Pageviews