Search This Blog

Autoblog

Tuesday, April 29, 2014

Haidth: Aakhir Zamane mein kuch log niklege jo Naujawan honge , Bewakoof honge

Bismillahirrahmanirrahim

Haidth:  Aakhir Zamane mein kuch log niklege  jo Naujawan hongey , Bewakoof honge

Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne  farmaya Aakhir Zamaney mein kuch log niklegey jo Naujawan hongey , Bewakoof hongey, logon mein sabse behatreen baatein karengey , Quran parhengey jo unkey halaq se neechey nahi utrega, Islam se is tarah Be Faiz rah jayengey jis tarah Teer shikar se Be Nishaan ghuzar jata hai jo unsey miley unse Qital karey kyunki unko Qatl karna ALLAH ke nazdeek Ajar ka kaam haiSunan Ibn Majah, Vol 1 , #  168 –Sahih


Abu Saeed Khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam   ko aisee Qaum ka Zikr karte huye suna jo khub ibadat karengey , tum mein se har koi Apni namaz ko Unki namaz se kamtar janega, aur Apney Rozey ko unkey Rozey se kamtar janega wo Deen se is tarah Befaiz rah jayengey jis tarah Teer shikar mein se BE Nishaan guzar jata haiSunan Ibn Majah, Vol 1 , # 169-Sahih

-----------------------------------

“The Messenger of Allah (saw) said: 'At the end of time there will appear a people with new teeth (i.e., young in age), with foolish minds. They will speak the best words ever uttered by mankind and they will recite the Qur'an, but it will not go any deeper than their collarbones. They will pass through Islam like an arrow passes through its target. Whoever meets them, let him kill them, for killing them will bring a reward from Allah for those who kill them.”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 ,  168 –Sahih

Narrated  Abu Salamah may ALLAH be pleased with him  “I said to Abu Saeed Khudri: 'Did you hear the Messenger of Allah (saw) mention anything about the Haruriyyah (a sect of Khawarij?' He said: 'I heard him mention a people who would appear to be devoted worshippers: “Such that any one of you would regard his own prayer and fasting as insignificant when compared to theirs. But they will pass through Islam like an arrow passing through its target, then he (the archer) picks up his arrow and looks at its Iron head but does not see anything, then he looks at the shaft and does not see anything then he looks at the band: that which is wrapped around the Iron head where it is connected to the shaft, then he looks at the feather and is not sure whether he sees anything or not
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , 169-Sahih

Haidth: Mere Ashaab (sahabiyo) ko bura mat kaho

Bismillahirrahmanirrahim

 Haidth: Mere Ashaab (sahabiyo) ko bura mat kaho

Abu Hurairah radi allaho anho se rivayat hai ki RasoollallahSallallaho alaihey wasallam ne farmaya mat bura kaho merey Ashaab (sahabiyo) ko ,  kasam uski jiske haath mein meri jaan hai agar koi tum mein se Uhad Pahad ke barabar sona kharch karey to unkey ek mudd (sair bhar) ya Aadhey mudd ke barabar bhi nahi ho sakta. 

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  161 -Sahih

 -------------------------------------


Narrated  Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him The Messenger of Allah Peace be upon him  said: 'Do not revile my Companions, for by the One in Whose Hand is my soul! If any of you were to spend the equivalent of Mount Uhud in gold, it would not equal a Mudd spent by anyone of them, nor even half a Mudd.”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  161-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Sahaba karaam radi allahu anhuma ki Fazeelat..

Bismillahirrahmanirrahim

 Mafhum-e-Hadith:  Sahaba karaam radi allahu anhuma ki Fazeelat..

 Anas Bin malik Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya
Meri Ummat mein sabse ziyada Raham Dil Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu
   hain.
Aur unmein se ALLAH ke deen ke bare mein sabse ziyada sakht Umar Radi Allahu Anhu
  hain ,
Haya ke aitbar se sabse sachchey Uthman Radi Allahu Anhu
  hain
Aur sabse achcha faisla karney waley Ali bin Abu Talib Radi Allahu Anhu
  hain ,
ALLAH ki kitab ko sabse umdah parhney waley Ubai bin Kaab Radi Allahu Anhu
  hain , Sabse ziyada haram aur Halal se waqif Muadh bin jabal Radi Allahu Anhu  hain
Aur Faraiz mein sabse ziyada waqif Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu
  hain ,
Khabardar har ummat ke liye ek Ameen hota hai aur is ummat ke Ameen
Abu Ubaidah bin Al jarrah Radi Allahu Anhu
  hain

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  154(Sahih)


Mafhum-e-Hadith: The Attributes (characteristic) of Sahaba

radi allahu anhuma

Narrated Anas bin Malik may ALLAH be pleased with him that the Messenger of Allah Peace be upon him said: “The most merciful of my Ummah towards my Ummah is Abu Bakr; the one who adheres most sternly to the religion of Allah is Umar; the most sincere of them in shyness and modesty is Uthman; the best judge is Ali bin Abu Talib; the best in reciting the Book of Allah is Ubayy bin Kab; the most knowledgeable of what is lawful and what is unlawful is Muadh bin Jabal; and the most knowledgeable of the rules of inheritance (Faraid) is Zaid bin Thabit. And every nation has a trustworthy guardian, and the trustworthy guardian of this Ummah is Abu Ubaidah bin Jarrah.( Radi allahu anhuma)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  154 (Sahih)

Hadith: Hussain ( radi allahu anhu) mujh se hain aur Main Hussain se hu

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:   Hussain ( radi allahu anhu)  mujh se hain aur Main Hussain se hu 

Said Bin abu Rashid Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Yala bin Murrah  ne kaha ki wo Log Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ke saath Daawat e Taam (khane ki dawat) ke liye nikley Hussain Gali mein khel rahey they NABEE  Sallallahu Alaihi Wasallam logon se aaagey badey aur apney haath phaila diye (hazrat Hussain Radi Allahu Anhu ) idhar udhar bhagney lagey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam unhey hasatey rahey yahan tak ki unko pakad liya  Aapney ek haath thodi ke neechey aur dusra haath sir ke upar rakha aur Bosa liya phir farmaya Hussain ( radi allahu anhu) mujh se hain aur Main Hussain se hu aur ALLAH us sey Muhabbbat rakhta hain jo Hussain se muhabbbat rakhta hai

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  144 ( Hasan)

 


Narrated by Said bin Abu Rashid may ALLAH be pleased with him that Yala bin Murrah told them that they had gone out with the Prophet (Peace be upon him ) to a meal to which they had been invited, and Husain was there playing in the street. The Prophet (Peace be upon him ) came in front of the people and stretched out his hands, and the child started to run here and there. The Prophet Peace be upon him  made him laugh till he caught him, then he put one hand under his chin and the other on his head and kissed him, and said, “Husain is part of me and I am part of him. May Allah love those who love Husain.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  144 ( Hasan)

Hadith: jisne Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usney mujhse Muhabbbat rakhi

 

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisne Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usne mujhse Muhabbbat rakhi

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya  jisney Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usney mujhse Muhabbbat rakhi aur jisney unse bugz rakha usney mujhse bugz rakha(yani dushmani rakhi)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 143 - Hasan

-----------------------------------------------------


Narrated by Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  The Messenger of Allah Peace be upon him  said:  Whoever loves Hasan and Husain, loves me; and whoever hates them, hates me. (Hasan)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 143 ( Hasan)

Hadith: Eh ALLAH mein is se Muhabbat karta hu Aap bhi insey Muhabbat kijiye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Eh ALLAH mein is se Muhabbat karta hu Aap bhi  insey Muhabbat kijiye


Abu Hurairah Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi

 Wasallam  ne Hazrat Hasan Radi Allahu Anhu  se  farmaya Eh ALLAH meinis se Muhabbat karta hu Aap bhi  insey Muhabbat kijiye aur jo unse
Muhabbbat karey usey bhi Mehboob rakhiye 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 142 ( Sahih)

------------------------------------------- 
It was narrated from Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him  that the Prophet peace be upon him said to Hasan: Oh Allah I love him  and love those who love him.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #142 (Sahih)

Umar Radi-Allahu-Anhu ka jannat mein Mahal

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Umar Radi-Allahu-Anhu  ka jannat mein Mahal -

Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya main soya hua tha aur mainey Apney aapko jannat mein dekha wahi ek mahal ke paas ek Aurat wudhu kar rahi thi mainey pucha ye mahal kiska hai usney kaha ki Umar ka mainey Umar ki gairat ko yaad kiya aur peechey laut aaya Abu hurairah Radi Allahu Anhu  farmatey hain ki Umar ye sun kar ro parhey aur farmaya ki Ya Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  kya Aap par jin par mere Maa Baap fida ho , main gairat karunga


Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  107 (Sahih)

Narrated : Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him  the Prophet Peace be upon him  said: 'While I was sleeping I saw myself in Paradise (in a dream), and I saw a woman performing ablution beside a palace. I asked: 'Whose palace is this?” She said: “Umar's.” I remembered his protective jealousy, so I turned away and left.'” Abu Hurairah said: “Umar wept and said: 'May my father and mother be sacrificed for you, O Messenger of Allah! Would I feel any protective jealousy against you?'”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  107(Sahih)

Hazrat Abu bakr aur Umar Radi Allahu Anhuma ka Darja

Bismillahirrahmanirrahim 

Hazrat Abu bakr  aur Umar  Radi Allahu Anhuma  ka Darja


Hazrat Abdullah bin salimah radi allahu farmatey hain ki Mainey Hazrat Ali Radi Allahu Anhu  ko farmatey huye suna ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ke baad logon mein sabse behtar Abu Bakr Radi Allahu Anhu  hain aur uney baad Umar Radi Allahu Anhu  hain
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #   106 ( Sahih)

Narrated   Abdullah bin Salimah may ALLAH be pleased with him  “I heard Ali Radi-Allahu-Anhu  say: 'The best of people after the Messenger of Allah (saw) is Abu Bakr, and the best of people after Abu Bakr is Umar.'”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #   106 (Sahih)

Umm Aisha aur Abu Bakr radi Allahu Anhuma RasoollallahSallallahu alihi wasallam ko Sabse pasandeeda hain

Bismillahirrahmanirrahim

 <<  Umm Aisha aur Abu Bakr radi Allahu Anhuma RasoollallahSallallahu alihi wasallam ko Sabse pasandeeda hain>> 


Anas Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se arz kiya gaya ki logon mein sabse ziyada pasandeeda Aapkey nazdeek kaun hai  Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Aayesha ( Radi Allahu Anha) phir arz kiya gaya ki mardo mein kaun hai farmaya unkey walid  ( Abu Bakr)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 101 -Sahih
-------------------------------------------------
Narrated by  Anas  may ALLAH be pleased with him , It was said O messenger of Allah Peace be upon him  which of the people is most beloved to you? He Peace be upon him said:  Aisha  It was asked. and among men?' He  Peace be upon him said Her Father ( Abu Bakr)  (
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 101-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Imaan wala hone ke liye Chaar cheezon par Imaan lana jaruri hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Imaan wala hone ke liye Chaar cheezon par Imaan lana jaruri hai


Hazrat Ali Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya banda tab tak imaan wala nahi ho sakta jab tak wo chaar cheezon par imaan na le aaye ALLAH wahdahu la-sharik par, ( yani ALLAH ek hai aur uskey siwa koi maabud nahi), mere Rasool hone par, maut ke baad zinda hone par aur taqdeer par
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  81-Sahih

Narrated Ali may ALLAH be pleased with him  The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'No slave truly believes until he believes in four things: in ALLAH alone with no partner; that I am the Messenger of ALLAH; in the resurrection after death; and in the Divine Decree (Qadar).
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  81-Sahih

Hadith: Main logon se tab tak jung karu jab tak wo ye gawahi na de de ki Allah ke siwa koi Mabud nahi aur……

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Main logon se tab tak jung karu jab tak wo ye gawahi na de de ki Allah ke siwa koi Mabud nahi aur……


Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Mijhe hukm diya gaya hai ki main logon se tab tak jung karu jab tak wo ye gawahi na de de ki Allah ke siwa koi Mabud nahi aur Main Allah ka Rasool hu aur ( jab tak wo) Namaz Qayam karein aur Zakat Ada kare.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 71-Sahih

 --------------------------------

Narrated Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him “The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'I have been commanded to fight the people until they testify La ilaha ill-ALLAH (none has the right to be worshipping but ALLAH) and that I am the Messenger of ALLAH, and they establish regular prayers and pay Zakat.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 71-Sahih

Hadith: Apne darmiyan Salam ko Phailao (yani ziyasa se ziyada salam kiya karo)

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu

Hadith:  Apne darmiyan Salam ko Phailao (yani ziyasa se ziyada salam kiya karo)

Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya qasam hai us zaat ki jiskey qabzey mein meri jaan hai tum jannat mein tab tak dakhil nahi ho saktey jab tak ki Imaan wale na ho jaye, aur tum tab tak imaan wale nahi ho saktey jab tak aapas mein Muhabbat na karney lag jao, to kya main tumhey aisee cheez na bata na du ki jab  tum usko karogey to Aapas mein Mehboob ho jaoogey, Apney darmiyan Salam ko Phailao (yani ziyasa se ziyada salam kiya karo)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  68-Sahih

------------------------------------------------------------


Narrated Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him  The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'By the One in Whose Hand is my soul! You will not enter Paradise until you believe, and you will not (truly) believe until you love one another. Shall I not tell you of something which, if you do it, you will love one another? Spread the greetings of Salam amongst yourselves.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  68-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Allah farmayega usko bhi jahannam se nikal lo jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Mafhum-e-Hadith: Allah farmayega usko bhi jahannam se  nikal lo  jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

 Abu Saeed Khudri Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jab Allah momeen ko Aag se khulasi ( nijat) de dega aur wo mutmaeen ho jayengey to tum mein se koi duniya mein is tarah apney saathi ke liye nahi jhagda hoga jis tarah momeen apney RAB se apney bhaeeyon ke liye jhagda karengey jo aag mein dakhil kiye ja chukey hain (wo kahngey) hamarey bhai hamarey saath Namaz parhtey they , Roza rakhtey they, Hajj kartey they aapney unko jahannam mein kyu dakhil  kiya, Allah taala farmayega jao aur jinko tum unmein se pahchantey ho nikal lo wo unkey pass aayngey aur unko unki shaklo se pahchan lengey , Aag ne unke chehro ko nahi jhulsaya hoga ,kuch unmein se wo hongey jinhey aag ne aadhi pindali tak pakad rakha hoga , kuch aisey hongey jinhey ghutno tak pakad rakha hoga wo momeen unko nikal lengey wo kahngey ki eh hamrey RAB humney unko nikal liya jinka tuney hukm diya tha. Phir Allah taala farmayega usko bhi nikal lo jiskey dil mein deenar ke wazan ke barabar Imaan ho phir farmayega usko bhi nikal lo jiskey dil mein aadhey deenar ke wazan ke barabar  iman ho, phir farmayega usko bhi nikal lo  jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

Abu saeed Radi-Allahu-Anhu  ne kaha ki  jo usko sach na maaney wo Quran ki ye aayat parh le ki “Allah kisi par ek zarra barabar bhi Haq talfi nahi karta aur agar neki ho to usko duguna kar deta hai aur apney pass se bada sawab deta hai-4:40

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 60 (Sahih)

-------------------------------------------------------------------------
 
Narrated Abu Said Al-Khudri  The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'When ALLAH has saved the believers from Hell and they are safe, none of you will dispute with his companion more vehemently for some right of his in this world than the believers will dispute with their Lord on behalf of their brothers in faith who have entered Hell. They will say, “Our Lord! They are our brothers, they used to pray with us, fast with us and perform Hajj with us, and you have admitted them to Hell.” He will say: “Go and bring forth those whom you recognize among them.” So they will come to them, and they will recognize them by their faces. The Fire will not consume their faces, although there will be some whom the Fire will seize halfway up their shins, and others whom it will seize up to their ankles. They will bring them forth, and will say, “Our Lord, we have brought forth those whom You commanded us to bring forth.” Then He will say: “Bring forth those who have a Dinar's weight of faith in their hearts, then those who have a half a Dinar's weight of faith in their hearts, then those who have a mustard-seed's weight ( of faith in their heart).”

Abu Sa'eed  Radi-Allahu-Anhu  said: “He who does not believe this, let him recite: 'Surely, ALLAH wrongs not even of the weight of an atom (or a small ant), but if there is any good (done), He doubles it, and gives from Him a great reward.'”(4:40)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 60 (Sahih)

Monday, April 14, 2014

Hadith: Safar Ek Azab ka tukda hai…

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Safar Ek Azab ka tukda hai…

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya safar ek azab ka tukda hai, Aadmee ki neend aur khane peene sab mein rukawat paida karta hai isliye musafir jab apna kaam pura kar le to usey jaldi ghar aa jana chahiye.

Sahih Bukhari, Vol 4,3001
--------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Journey is a piece of torture, for it disturbs one's sleep, eating and drinking. So, when you fulfill your job, you should hurry up to your family."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 245: 

Hadith: Safar ke waqt Maghrib aur Isha ki Namaz milakar padh saktey hain

Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith: Safar ke waqt Maghrib aur Isha ki Namaz milakar padh sakte hain

Narrated Aslam Radiallahu anhu:While I was in the company of 'Abdullah bin 'Umar on the way to Mecca, he received the news of the severe illness of Safiya bint Abi Ubaid (i.e. his wife), so he proceeded at greater speed, and when the twilight disappeared, he dismounted and offered the Maghrib and 'Isha 'prayers together and said, " I saw the Prophet delaying the Maghrib prayer to offer it along with the 'Isha' when he was in a hurry on a journey."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 244:
 ---------------------------------
Hadith: During Journey We can pray Maghrib prayer along with the Isha
Aslam Radiallahu anhu se rivayat hai ki jab main Abdullah bin umar Radiallahu anhuma ke saath makkey ke safar mein tha , itney mein unko Safiya bint Abi Ubaid(unki biwi) ke sakht beemar honey ki khabar mili to aapney tez chalna shuru kar diya aur jab Shafaq dub gayee(yani Suraj gurub ho gaya) to aap Sawari se utrey aur maghrib aur isha ki namaz mila kar Padhi aur kaha ki mainey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha hai jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam tezi ke saath safar karna chahte to maghrib mein takheir (der) karke dono namazein (Maghrib aur Isha ) ek saath ada farmate.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3000

Hadith: uskey liye un tamam Ibadaton ka sawab likha jata hai jinhe Sehat ke waqt kiya karta tha

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: uskey liye un tamam Ibadaton ka sawab likha jata hai jinhe Sehat ke waqt kiya karta tha

Ibrahim Abu Isma'il As-Saksaki Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab banda beemar hota hai ya Safar karta hai to uskey liye un tamam Ibadaton ka sawab likha jata hai jinhe Sehat ke waqt kiya karta tha.
Sahih Bukhari, 
Vol 4,2996
Narrated Ibrahim Abu Isma'il As-Saksaki , ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'When a slave falls ill or travels, then he will get reward similar to that he gets for good deeds practiced at home when in good health."
Sahih Bukhari, Book 52, No. 239:

Hadith: Bulandi par chadhte waqt Allahu Akbar kaho aur neeche ki aur jaate waqt Subhanallah kaho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Bulandi par chadhte waqt  Allahu Akbar kaho  aur neeche ki aur jaate waqt Subhanallah kaho

Jabir bin Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki jab hum kisi bulandi par chadhte to Allahu Akbar kahte aur jab hum neeche ki aur jaate to “Subhanallah” kahte
Sahih Bukhari, Vol 4,2993


----------------------------------------------------



Narrated Jabir bin 'Abdullah Radiallahu anhu: Whenever we went up a place we would say, "Allahu--Akbar (i.e. ALLAH is Greater)", and whenever we went down a place we would say, "Subhan ALLAH."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 236:

Hadith: Logon Dushman ke saath jung ki khwahish aur tamanna Dil mein na rakha karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Logon Dushman ke saath jung ki khwahish aur tamanna Dil mein na rakha karo

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne sahaba ko khitab kartey huye farmaya Logon Dushman ke saath jung ki khwahish aur tamanna Dil mein na rakha karo bulki ALLAH taala se aman aur aafiyat ki dua kiya karo haan  jab dushman se ladaii ho hi jaye to phir sabar aur Istiqamat ka subut do yaad rakho ki jannat talwaron ke saaye ke neechey hai iskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye dua ki

اللَّÙ‡ُÙ…َّ Ù…ُÙ†ْزِÙ„َ الْÙƒِتَابِ ÙˆَÙ…ُجْرِÙŠَ السَّØ­َابِ ÙˆَÙ‡َازِÙ…َ الأَØ­ْزَابِ، اهْزِÙ…ْÙ‡ُÙ…ْ ÙˆَانْصُرْÙ†َا عَÙ„َÙŠْÙ‡ِÙ…ْ

Allahumma munzilal-kitab, wa mujriyas- sahab, wa hazimal-Ahzab, ihzimhum wansurna alaihim

( Eh ALLAH kitab ke nazil karney wale , badal bhejney waley , Ahzab ko shikast dene waley inhey shikast de aur unkey muqabley mein hamari madad kar.)
Sahih Bukhari,
Vol 4,2966
-------------------------------------------------



Narrated Salim Abu An-Nadr Radiallahu anhu : "Once ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "O people! Do not wish to face the enemy (in a battle) and ask ALLAH to save you (from calamities) but if you should face the enemy, then be patient and let it be known to you that Paradise is under the shades of swords." He then said,,
اللَّÙ‡ُÙ…َّ Ù…ُÙ†ْزِÙ„َ الْÙƒِتَابِ ÙˆَÙ…ُجْرِÙŠَ السَّØ­َابِ ÙˆَÙ‡َازِÙ…َ الأَØ­ْزَابِ، اهْزِÙ…ْÙ‡ُÙ…ْ ÙˆَانْصُرْÙ†َا عَÙ„َÙŠْÙ‡ِÙ…ْ
"O ALLAH! The Revealer of the (Holy) Book, the Mover of the clouds, and Defeater of Al-Ahzab (i.e. the clans of infidels), defeat them infidels and bestow victory upon us."

Sahih Bukhari,  Vol 4, Book 52, No. 210

Hadith: Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (ALLAH ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (ALLAH ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai


Mus'ab bin Sad Radiallahu anhu se rivayat hai ki Sad bin Abi Waqqas Radiallahu anhu ko ye khayal tha ki unhey dusrey sahaba par (apni maaldari aur bahaduri ki wajah se) fazeelat hasil hai, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (ALLAH ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,2896

Narrated Mus'ab bin Sad Radiallahu anhu: Once Sad (bin Abi Waqqas) Radiallahu anhu thought that he was superior to those who were below him in rank. On that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "You gain no victory or livelihood except through (the blessings and invocations of) the poor amongst you."

Sahih Bukhari, Book 52, No. 145:

Hadith: Rozana insaan ke har jod (joint) par sadqa lazim hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Rozana insaan ke har jod (joint) par sadqa lazim hai


Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Rozana insaan ke har jod (joint) par sadqa lazim hai agar koi shaksh kisi ki sawari mein madad karey ki usko sahara dekar sawari par sawar kara de ya uska saman us par utha kar rakh de to ye bhi sadqa hai achcha aur paak lafz bhi sadqa hai har qadam jo namaz ke liye uthtaa hai wo bhi sadqa hai aur (kisi musafir ko) raasta bata dena bhi sadqa hai.
Sahih Bukhari,
Vol 4,2891

 ----------------------------------------------
Hadith: Charity is obligatory everyday on every joint of a human being

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Charity is obligatory everyday on every joint of a human being. If one helps a person in matters concerning his riding animal by helping him to ride it or by lifting his luggage on to it, all this will be regarded charity. A good word, and every step one takes to offer the compulsory Congregational prayer, is regarded as charity; and guiding somebody on the road is regarded as charity."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 141:


Category

Total Pageviews