Search This Blog

Autoblog

Wednesday, August 27, 2014

Hadith: Tum mein se har ek hakim hai aur har ek se sawal hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tum mein se har ek hakim hai aur har ek se sawal hoga

Hazrat Abdullah bin Umar Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se har ek hakim hai aur harek se sawal hoga , Imam hakim hai us sey sawal hoga, Mard apney biwi bachchon ka hakim hai us sey sawal hoga, Aurat apney shohar ke ghar ki hakim hai us sey sawal hoga, Ghulam apne sardar ke maal ka hakim hai us sey sawal hoga, isliye tum mein se har ek hakim hai aur har ek se sawal hoga.
Sahih Bukhari, vol 6, 5188

-------------------------------------------
Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radi AllahuAnhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said, "Every one of you is a guardian and every one of you is responsible (for his wards). A ruler is a guardian and is responsible (for his subjects); a man is a guardian of his family and responsible (for them); a wife is a guardian of her husband's house and she is responsible (for it), a slave is a guardian of his master's property and is responsible (for that). Beware! All of you are guardians and are responsible (for your wards)."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 116


Hadith: jo shaksh ALLAH aur uske Qayamat ke din par Imaan rakhta ho wo apney Padosi ko takleef na pahuchaye


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo shaksh ALLAH aur uske Qayamat ke din par Imaan rakhta ho wo apney Padosi ko takleef na pahuchaye

Hazrat Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya jo shaksh ALLAH aur uske Qayamat ke din par Imaan rakhta ho wo apney Padosi ko takleef na pahuchaye.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5185
----------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhu : The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said, "Whoever believes in ALLAH and the Last Day should not hurt (trouble) his neighbor.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 114

Hadith: Aurat pasli ki tarah hai, agar tum usko seedha karna chahoge to tod doge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aurat pasli ki tarah hai, agar tum usko  seedha karna chahoge to tod doge

Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Aurat pasli ki tarah hai, agar tum usko  seedha karna chahogey to tod dogey aur agar is se fayda hasil karna chahoge to uski tedh ke saath hi fayda hasil karoge.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5184

Abu Hurairah Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Aurat Pasli ki haddi se paida huyee hai aur kabhi tujhse seedhi chaal na chalegi phir agar tu us se  kaam le to liye ja aur wo tedi ke tedi rahegi aur agar tu usko seedhe karne chala to tod dalega aur uska todna talaq dena hai
Sahih Muslim,  3643

Abu Hurairah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya aurton se achcha suluk karo kyunki aurat pasli se paida ki gayee hai pasli mein bhi sabse jiyada teda upar ka hissa hota hai agar koi shaksh usey bikul seedhi karna chahye to usey tod kar rahega aur agar usey waisa hi chhodh de to hamesha tedi hi rah jayegi isliye aurton se achcha suluk karo.
Sahih Bukhari, Vol 4,3331

 -------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhuALLAH's Apostle SallallahuAlaihi wasallam said, "The woman is like a rib; if you try to straighten her, she will break. So if you want to get benefit from her, do so while she still has some crookedness.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 113:

Abu Huraira (ALLAH be pleased with him) reported: Prophet peace be upon him said Woman has been created from a rib and will in no way be straightened for you; so if you wish to benefit by her, benefit by her while crookedness remains in her. And if you attempt to straighten her, you will break her, and breaking her is divorcing her.
Sahih Muslim, Book 8, #3467


Narrated Abu Huraira Radiallahuanhu : ALLAH 's Apostle SallallahuAlaihi Wasallam said, "Treat women nicely, for a women is created from a rib, and the most curved portion of the rib is its upper portion, so, if you should try to straighten it, it will break, but if you leave it as it is, it will remain crooked. So treat women nicely."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 548:

Hadith: Waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye

Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye aur mohtajon ko na khilaya jaye aur jisney waleema ki dawat Qubul karney se inkar kiya usney ALLAH aur uskey Rasool (Sallallahu Alaihi wasallam) ki nafarmani ki

Sahih Bukhari, Vol 6, 5177

-----------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhu: The worst food is that of a wedding banquet to which only the rich are invited while the poor are not invited. And he who refuses an invitation (to a banquet) disobeys ALLAH and His Apostle.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 106

Hadith: Qaidi ko chhudhao, Dawat qubul karney walon ki dawat qubul karo aur beemar ki ayadat karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Qaidi ko chhudhao, Dawat qubul karney walon ki dawat qubul karo aur beemar ki ayadat karo

Hazrat Abu Musa Radi AllahuAnhu se riayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya Qaidi ko chhudhao, Dawat qubul karney walon ki dawat qubul karo aur beemar ki ayadat karo. Sahih Bukhari, Vol 6, 5174-------------------------------------------
Narrated Abu Musa Radi AllahuAnhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said, "Set the captives free, accept the invitation (to a wedding banquet), and visit the patients."
Sahih Bukhari, Vol. 7, Book 62, No.103:


Hadith: kisi bhi shaksh ko apne bhai ke Paigham–e- nikah par paigham nahi bhejna chahiye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: kisi bhi shaksh ko apne bhai ke Paigham–e- nikah par paigham nahi bhejna chahiye


Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne Kisi ke bhaav(boli)  par bhaav (boli) laganey (Jiyada keemat offer karne) se mana farmaya hai aur kisi shaksh ko apney bhai ke Paigham–e- nikah par paigham nahi bhejna chahiye yahan tak ki paigham bhejne wala apna irada badal le ya use  paigham bhejne ki ijazat de de.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5142

----------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Umar Radi AllahuAnhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam decreed that one should not try to cancel a bargain already agreed upon between some other persons (by offering a bigger price). And a man should not ask for the hand of a girl who is already engaged to his Muslim brother, unless the first suitor gives her up, or allows him to ask for her hand.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 73

Hadith: Aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi

Usama bin zaid radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam
 Ne farmaya mainey apney baad mardon ke liye aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi chora hai.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5096

---------------------------------------
Narrated Usama bin Zaid Radi AllahuAnhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said,
 "After me I have not left any affliction more harmful to men than women.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 33: 

Hadith: Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai

Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Aurat se Nikaah char cheezon ki buniyaad par kiya jata hai uske maal ki wajah se , uske khandani sharaf ki wajah se, aur uski khubsurti ki wajah se aur uske Deen ki wajah se , to tum Deendar (religious) aurat se nikaah karke kaamyabi haasil karo aur aisa na karoge to tumhare  hathon ko mitti lagegi (yani baad mein tumhe nadamat hogi)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5090

------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said, "A woman is married for four things, i.e., her wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 27: 

Thursday, August 21, 2014

Hadith: Aamal ka daromadar Niyat par hai aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat kare


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Aamal ka daromadar Niyat par hai aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat kare

Umar bin Al-Khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Aamal ka daromadar Niyat par hai aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat karey isliye jiski hijrat (emigration) ALLAH aur uskey Rasool ki Raza hasil karney ke liye ho to usko ALLAH aur uskey Rasool ki Raza hasil hogi lekin jiski hijrat duniya hassil karney ke liye ho ya kisi aurat se shaadi karney ke iradey se ho to uski hijrat uskey liye hai jiskey liye usney hijrat ki.
Sahih Bukhari, vol 6, 5070

---------------------------------------------------------

Narrated 'Umar bin Al-Khattab Radi Allahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "The rewards (of deeds) are according to the intention, and everybody will get the reward for what he has intended. So whoever emigrated for ALLAH's and His Apostle's sake, his emigration was for ALLAH and His Apostle Sallallahu Alaihi wasallam ; and whoever emigrated for worldly benefits, or to marry a woman, then his emigration was for the thing for what he emigrated for."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 8: 

Hadith: Jo Nikaah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhe

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo Nikaah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhe

Abdullah ibn Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Naujawano ki jamaat tum mein jisey bhi Nikah karney ki maali taqat ho usey Nikaah kar Lena chahiye kyunki ye nazar ko neechi rakhney wala aur Sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai aur jo nikah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhey kyunki Roza uski khwahishaat-e-nafsani ko tod dega.
Sahih Bukhari, Vol 6 ,  5066

--------------------------------------------------------------
Narrated 'Abdullah Radi Allahu Anhu : We were with the Prophet while we were young and had no wealth whatever. So ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "O young people! Whoever among you can marry, should marry, because it helps him lower his gaze and guard his modesty (i.e. his private parts from committing illegal sexual intercourse etc.), and whoever is not able to marry, should fast, as fasting diminishes his sexual power."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 4

Hadith: Tum mein se behatreen wo hai jo Quran Majeed padhe ( sikhe) aur padhaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tum mein se behatreen wo hai jo Quran Majeed padhe ( sikhe) aur  padhaye

Uthman Radi Allahu Anhu se  rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya  tum mein se behatreen wo hai jo Quran Majeed padhey ( sikhey) aur  padhaye ( sikhaye)
Sahih Bukhari, Vol 6 , 5028
--------------------------------------

Narrated 'Uthman Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The best among you (Muslims) are those who learn the Qur'an and teach it."
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 545


Mafhum-e-Hadith: namaz mein imam ke peeche jiska aameen kahna farishto ki aameen ke saath mil jayee uskey tamam pichle gunaah maaf maaf kar diye jate hain

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: namaz mein imama ke peeche jiska aameen kahna farishto ki aameen ke saath mil jayee uskey tamam pichle gunaah maaf maaf kar diye jate hain

Abu Hurirah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Imam Ghair-il-maghdubi 'alaihim wala-ddal-lin; kahe to tum aameen kaho kyunki jiska ye (aameen) kahna farishto ki aameen ke saath mil jayee uskey tamam pichle gunaah maaf kar diye jaatey hain.
Sahih Bukhari, 4475


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "When the Imam says: 'Ghair-il-Maghdubi 'Alaihim Walad-Dallin
then you must say, 'Ameen', for if one's utterance of 'Ameen' coincides with that of the angels, then his past sins will be forgiven."
Sahih Bukhari, Vol 6, Book 60, No. 2

Hadith: jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega

Jundub Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya pichle zamane mein ek shaksh zakhmi ho gaya tha aur us sey usko badi takleef ho rahi thi aakhir usney churi (knife) se apna haat kaat dala aur khoon bahney laga jis ki wajah se wo mar gaya ALLAH taala ne farmaya mere bandey ne marney mein jaldi ki isliye mainey bhi jannat ko is par haram kar diya.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3463

Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne  farmaya  jisne kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega
Sahih Bukhari, Vol 7, 6105


Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh khud ko apna gala ghont kar maar deta hai, to wo jahannam mein bhi apna gala ghont-ta rahega aur jo kisi teer ya barchi ( yani dhaardar cheez) se apney aapko maar daaley to wo jahannam mein bhi apney aapko isi tarah maarta rahega.
Sahih Bukhari, Vol 2, 1365

-------------------------------------------------------
Narrated Jundub Radi Allahu Anhu: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Amongst the nations before you there was a man who got a wound, and growing impatient (with its pain), he took a knife and cut his hand with it and the blood did not stop till he died. ALLAH said, 'My Slave hurried to bring death upon himself so I have forbidden him (to enter) Paradise.'
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 56, No. 669:

Narrated Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said,  whoever commits suicide with something, will be punished with the same thing in the (Hell) fire
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 126:


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu  The Prophet Peace be upon him said, He who commits suicide by throttling shall keep on throttling himself in the Hell Fire (forever) and he who commits suicide by stabbing himself shall keep on stabbing himself in the Hell-Fire."
Sahih Bukhari,
Book 23, Hadith 446

Hadith: Mera paigham logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho


Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Mera paigham logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho

Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mera paigham logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho, aur jisne mujh par jaanbujh kar (intentionally) jhoot bola usey jahannam mein apne thikane ke liye tayyar rahna chahiye.
Sahih Bukhari,  Vol4, 3461


---------------------------------------------
Narrated Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Convey (my teachings) to the people even if it were a single sentence, And whoever tells a lie on me intentionally, will surely take his place in the (Hell) Fire."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 56, No 667

Hadith: Mujhe mere martabe se zyada na badao


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Mujhe mere martabe se zyada na badao

Hazrat Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mujhe mere martabe se zyada na badao jaise Esa ibn mariyam Alaihi salam ko nasara (Christian) ne inke martabe se jiyada bada diya hai main to sirf ALLAH ka banda hun isliye yahi kaha karo ki Main ALLAH ka banda hun aur uska Rasool hun.
Sahih Bukhari,
Vol 4,3445

--------------------------------------------

Narrated 'Umar Radi allahu anhu: I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saying, "Do not exaggerate in praising me as the Christians praised the son of Mary (Prophet Esa Alaihi Salam), for I am only a Slave. So, call me the Slave of ALLAH and His Apostle."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 654: 

Hadith: Har ek bani aadam jab paida hota hai to paidayeesh ke waqt shaitan usey chuta (touch karta) hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Har ek bani aadam jab paida hota hai to paidayeesh ke waqt shaitan usey chuta (touch karta) hai


Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har ek bani aadam jab paida hota hai to paidayeesh ke waqt shaitan usey chuta (touch karta) hai aur bachcha shaitan ke chune se zor se cheekhta hai, siwaye Mariyam radi allahu anha aur isa Alaihi salam ke
Sahih Bukhari, Vol 4, 3431
--------------------------------------------
Narrated Said bin Al-Musaiyab Radiallahu anhu: Abu Huraira Radiallahu anhu  said, "I heard ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, 'There is none born among the off-spring of Adam, but Satan touches it. A child therefore, cries loudly at the time of birth because of the touch of Satan, except Mary and her child
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 641

Hadith: Ummat ki sabse behatreen khatun Khadeeja Radiallahu anha hain.

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Ummat ki sabse behatreen khatun Khadeeja Radiallahu anha hain

Ali Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Maryam bint Imran (Apne zamane ki) sabse achchi khatun thi aur is ummat ki sabse behatreen khatun Khadeeja Radiallahu anha hain.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3432


-------------------------------------------
Narrated  Ali Radiallahu anhu  I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Mary, the daughter of ‘Imran was the best among the women (of the world of her time) and Khadija is the best amongst the women. (of this nation)."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 642

Mafhum-e-Hadith:Shaitan aur Nazar-E-bad se bachne ki Dua

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:Shaitan aur Nazar-E-bad se bachne ki Dua

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah subhanahu se Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye panaah talab kiya karte they aur farmate they ki tumhare buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi kalamat ke jariye ALLAH ki panaah maanga kartey they.

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ


A'oodhu bikalimatIllahi-tammatti min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin
(Main Panaah maangta hun ALLAH ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)
Sahih Bukhari,Vol4,3371

------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to seek Refuge with ALLAH for Al-Hasan and Al-Husain and say: "Your forefather (Abraham Alaihi Salam) used to seek Refuge with ALLAH for Ishmael and Isaac (Alaihi salam) by reciting the following:


أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ

( O ALLAH! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.)
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 590

Hadith: wahan Jin roohon mein aapas mein pahchan thi unmein yahan bhi mohabbat hoti hai aur Jo wahna gair thi yahan bhi khilaf rahti hain.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: wahan Jin roohon mein aapas mein pahchan thi unmein yahan bhi mohabbat hoti hai aur Jo wahna gair thi yahan bhi khilaf rahti hain

Hazrat Aayesha Radiallahu anha se rivayat hai ki Roohon ke jhund ke jhund alag alag they phir wahan Jin roohon mein aapas mein pahchan thi unmein yahan bhi mohabbat hoti hai aur Jo wahna gair thi yahan bhi khilaf rahti hain.
Sahih Bukhari,
Vol 4, 3336

Narrated Aisha Radi Allahu Anhu I heard the Prophet Sallallahu alaihi wasallam said Souls are like recruited troops: Those who are like qualities are inclined to each other, but those who have dissimilar qualities, differ."

Sahih Bukhari,  Book 55, No. 552

Hadith: ALLAH Taala us shaksh se puchega jise Dozakh ka sabse halka azab diya gaya hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH Taala us shaksh se puchega jise Dozakh ka sabse halka azab diya gaya hoga 

Hazrat Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH Taala us shaksh se puchega jisey Dozakh ka sabse halka azab diya gaya hoga ki agar duniya mein tumhari koi cheez hoti to kya tu usey azab se nijat paaney ke liye iskey badle de sakta tha? wo shaksh kahega ji haan is par ALLAH taala farmayega ki jab tu Aadam ki peeth (backbone) mein tha to mainey tujhse is sey bhi mamuli cheez ka mutaliba kiya tha ki mere saath Kisi ko sharik na karna lekin (tuney) isee shirk ka amal ikhtiyar kar liya.
Sahih Bukhari, Vol 4,3334
-----------------------------------------------

Narrated Anas Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "ALLAH will say to that person of the (Hell) Fire who will receive the least punishment, 'If you had everything on the earth, would you give it as a ransom to free yourself (i.e. save yourself from this Fire)?' He will say, 'Yes.' Then ALLAH will say, 'While you were in the backbone of Adam, I asked you much less than this, i.e. not to worship others besides me, but you insisted on worshipping others besides me.'
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 551:

Hadith: Maan ke pet mein hi sab kuch farishta likh deta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Maan ke pet  mein hi sab kuch farishta likh deta hai

Hazrat Anas bin malik ne bayan kiya ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH Taala ne Maa ke raham (Womb) ke liye ek farishta muqarrar kar diya hai wo farishta arz karta hai Eh Rab ye Nutfa hai, Eh Rab ye madhga (clot) hai Eh rab ye Alqa hai, phir jab ALLAH taala usey paida karney ka irada kar leta hai to to farishta puchta hai Eh rab ye Mard hai ya Aurat? , Eh rab ye bura hai ya neik? Eh Rabi iski Rozi kya hai? Aur zindagi ki muddat kitni hai? Is tarah iskey mutabiq Maan ke pet  mein hi sab kuch farishta likh deta hai .
Sahih Bukhari, Vol 4,3333
----------------------------------------------------------


Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "ALLAH has appointed an angel in the womb, and the angel says, 'O Lord! A drop of discharge (semen), O Lord! a clot, O Lord! a piece of flesh.' And then, if ALLAH wishes to complete the child's creation, the angel will say. 'O Lord! A male or a female? O Lord! Wretched or blessed (in religion)? What will his livelihood be? What will his age be?' The angel writes all this while the child is in the womb of its mother."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 550: 

Hadith: Aurton se achcha suluk karo kyunki aurat pasli se paida ki gayee hai.....

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aurton se achcha suluk karo kyunki aurat pasli se paida ki gayee hai.....


Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya aurton se achcha suluk karo kyunki aurat pasli se paida ki gayee hai pasli mein bhi sabse jiyada teda upar ka hissa hota hai agar koi shaksh usey bikul seedhi karna chahye to usey tod kar rahega aur agar usey waisa hi chor de to hamesha tedi hi rah jayegi isliye aurton se achcha suluk karo.
Sahih Bukhari, Vol 4,3331

---------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu  ALLAH 's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said,
Treat women nicely, for a women is created from a rib, and the most curved portion of the rib is its upper portion, so, if you should try to straighten it, it will break, but if you leave it as it is, it will remain crooked. So treat women nicely.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 548:

Hadith: jo koi bhi jannat mein dakhil hoga wo aadam Alaihi salam ki shakal aur Qad ( appearance and figure) par dakhil hoga

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: jo koi bhi jannat mein dakhil hoga wo aadam Alaihi salam ki shakal aur Qad ( appearance and figure)  par dakhil hoga

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ALLAH taala ne Aadam Alaihi salam ko paida kiya to unko 60 haath lamba banaya phir farmaya ki ja aur un farishton ko salam kar, dekhna kin lafzon mein wo salam ka jawab dete hain kyunki wohi tumhara aur tumhari aulad ka tareeqa-e-salam hoga Aadm Alaihi salam gaye aur kaha Assalamo Alaikum farishton ne jawab diya Assalamo alaikum warahmatullah unhoney warahmatullah ka jumla bada diya. jo koi bhi jannat mein dakhil hoga wo aadam Alaihi salam ki shakal aur Qad ( appearance and figure)  par dakhil hoga. Aadam Alaihi Salam ke baad insane ke qad chotey hotey rahey hain.
Sahih Bukhari, Vol 4,3326
-----------------------------------------------------------------


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "ALLAH created Adam, making him 60 cubits tall. When He created him, He said to him, "Go and greet that group of angels, and listen to their reply, for it will be your greeting (salutation) and the greeting (salutations of your offspring." So, Adam said (to the angels), As-Salamu Alaikum (i.e. Peace be upon you). The angels said, "As-salamu Alaika wa Rahmatu-l-lahi" (i.e. Peace and ALLAH's Mercy be upon you). Thus the angels added to Adam's salutation the expression, 'Wa Rahmatu-l-lahi,' Any person who will enter Paradise will resemble Adam (in appearance and figure). People have been decreasing in stature since Adam's creation
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 543: 

Hadith: Farishte us ghar mein nahi jatey jismein Kutta (dog) ya tasweer ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Farishte  us ghar mein nahi jate jismein Kutta (dog) ya tasweer ho

Hazrat Abu Talha Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Farishte us ghar mein nahi jatey jismein Kutta (dog) ya tasweer ho
Sahih Bukhari, Vol 4,3322



Narrated Abu Talha Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Angels do not enter a house which has either a dog or a picture in it."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 539

Hadith: Jab murge ki aawaz suno to ALLAH se uskey Fazal ka sawal kiya karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jab murge ki aawaz suno to ALLAH se uske Fazal ka sawal kiya karo

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab murgey ki aawaz suno to ALLAH se uskey Fazal ka sawal kiya karo kyunki usney farishte ko dekha hai aur jab gadhe (donkey) ki aawaz suno to shaitan se, ALLAH ki panaah mango kyunki usne shaitan  dekha hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3303

-------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "When you hear the crowing of cocks, ask for ALLAH's Blessings for (their crowing indicates that) they have seen an angel. And when you hear the braying of donkeys, seek Refuge with ALLAH from Satan for (their braying indicates) that they have seen a Satan."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 522:
------------------------------------------------------------------------

*Murge ki aawaz sunkr ye padhe:  اللهم انى اسألك من فضلك
Allahumma inni asaluka min fadlika

*Gadhe ki Aawaz sunkar ye padhe: 
أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
Aaoodhu Billaahi minash-shaitaanir-rajeem

Hadith: Ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi


Abu Said khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi jinhe wo pahaad ki chotiyon aur baarish ki waadiyon mein le kar chala jayega taki us tarah apne deen aur iman ko fitno se bacha le.
Sahih Bukhari,
Vol 4,3300
------------------------------------------------------


Narrated Abu Said al-Khudri Radiallahu anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  said, There will come a time when the best property of a man will be sheep which he will graze on the tops of mountains and the places where rain falls (i.e. pastures) escaping to protect his religion from afflictions.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 519

Hadith: Muazzin ki aawaz ( Adhan) jahan tak bhi koi insaan , jinn ya koi cheez bhi sunegi to Qayamat ke din uskey liye gawaahi degi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Muazzin ki aawaz ( Adhan)  jahan tak bhi koi insaan , jinn ya koi cheez bhi sunegi to Qayamat ke din uskey liye gawaahi degi

 Abu Said khudri Radiallahu anhu ne apne walid se kaha ki main dekhta hun ki tumko jungle mein bakriyan charana bahut pasand hai isliye jab kabhi apni bakriyon ke saath tum kisi bayaban mein mojud ho aur namaz ke liye azan do to apni aawaz khub buland karo kyunki muazzin ki aawaz ( Adhan)  jahan tak bhi koi insaan , jinn ya koi cheez bhi sunegi to Qayamat ke din uskey liye gawaahi degi , Abu said khudri ne kaha ye Hadith mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se suni hai.

Sahih Bukhari,
Vol 4,3296
-------------------------------------------------------


Hazrat Abu Said Al-Khudri Radiallahu anhu said to his father. "I see you are fond of sheep and the desert, so when you want to pronounce the Adhan, raise your voice with it for whoever will hear the Adhan whether a human being, or a Jinn, or anything else, will bear witness, in favor on the Day of Resurrection." Abu Said added, "I have heard this from ALLAH's Apostle."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 517

Hadith: Shaitan raat bhar uski naak ke nathney (upper part of nose) mein baitha rahta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Shaitan raat bhar uski naak ke nathne (upper part of nose) mein baitha rahta hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi so kar uthey aur wudhu karey to 3 baar apni naak ko saaf kare kyunki shaitan raat bhar uski naak ke nathney (upper part of nose) mein baitha rahta hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3295
---------------------------------------------
Hadith: Satan has stayed in the upper part of his nose all the night….


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If anyone of you rouses from sleep and performs the ablution, he should wash his nose by putting water in it and then blowing it out thrice, because Satan has stayed in the upper part of his nose all the night."
Sahih Bukhari, Vol. 4, Book 54, No. 516

Category

Total Pageviews