Search This Blog

Autoblog

Tuesday, February 24, 2015

Hadith : Nazar (Mannat) sirf Kanjus ke pass se maal (paisa) nikalti hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Nazar (Mannat) sirf Kanjus ke pass se maal (paisa) nikalti hai

Abdullah Ibn Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne Nazar (mannat) maan-ne se inkaar kiya aur  farmaya ki nazar ( mannat) kisi cheez ko nahi rokti, Nazar sirf Bakhil (Kanjus) ke pass se maal (paisa) nikalti hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6608

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya( ALLAH Subahanhu farmata hai) Nazar (Mannat)  insaan ko aisee koi cheez nahi deti jo maine uski Taqdeer mein na likhi ho, bulki wo taqdeer hi deti hai jo maine uske liye Muqarrar kar di hai, main uske (mannat ke) zariye Bakhil (kanjus) ka maal nikalwa leta hu
Sahih Bukhari, Vol 8, 6609

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mana farmaya hai Nazar se ( Yani Mannat se )   farmaya nazar (mannat) kisi aisee cheez ko aadmee ke nazdeek nahi karti jo ALLAH subhanahu ne uski taqdeer mein na likhi ho, lekin agar Nazar taqdeer ke muwafiq hoti hai to bakhil ke pass se wo maal nikalta hai jisko wo nikalna nahi chahta tha
Sahih Muslim, Vol 4, 4242, 4243


Anas and Abu Hurairah Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek budhe ko dekha jo apne dono beton ke beech mein tek lagaye(sahara liye) chal raha tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya isko kya hua hai uske beton ne kaha ki isne nazar ( mannat) li hai  (Paidal hajj par jane ki)  to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya eh budhe Sawari par baith ja kyunki ALLAH subhanahu mohtaj nahi hai tera aur teri Nazar(mannat) ka
Sahih Muslim,  Vol 4, 4247,4248

Tashreeh (Explanation) As per the book of Sahih Bukhari:
Aksar log yu to ALLAH ki raah mein paisa kharch nahi karte jab koi Museebat aa jati hai to us Waqt tarah tarah ki mannatein mante hain , magar nazar aur mannat man ne se Taqdeer nahi palat sakti hota wohi hai jo Taqdeer mein hai . Aap Sallallahu Alalihi Wasallam ne aisee nazar se mana farmaya jismein banda ye soche ki meri is nazar se bala tal jayegi ,lekin Agar koi ye sochkar Nazar mane ki jo ALLAH ne kismat mein likh diya hai wohi hoga to aisee nazar mana nahi jaise ki Nawafil Roza, Nawafil Namaz etc. aur iska pura karna Wajib hai. jaisy kiImran Alaihi salam ki biwi ne nazar mani thi ki  jo mere pet mein bachcha hai main use duniya ke kaamo se aazad karke teri nazar kar dungi
Al Quran : Jab Imran Alaihi salam ki biwi na kaha ki Ek RAB jo (bachcha) mere pet mein hai main usko teri nazar karti hu use duniya ke kaamon se aazad rakhungi
Surah Aal-e-Imran (3) Verse 35
Maryam radi Allahu anha ko ALLAH subahnahu ne hukm diya ki “Agar tum kisi aadmi ko dekho to kahna ki maine ALLAH ke liye roze ki mannat mani hai”
Surah Maryam (19) , Verse 26

Aur ek dusri jagah ALLAH ne neik logon ki taarif mein ye farmaya hai ki
“Wo (neik log) Apni mannatein puri karte hain aur us ( Qayamat ke) din se darte hain jiski museebat har jagah phaili huyee hogi”
Al Quran : Al-Insan (76), Verse  7

---------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  forbade vowing and said, "In fact, vowing does not prevent anything, but it makes a miser to spend his property."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 605:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said (that ALLAH said), "Vowing does not bring to the son of Adam anything I have not already written in his fate, but vowing is imposed on him by way of fore ordainment. Through vowing I make a miser spend of his wealth."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 606:


Abu Huraira reported ALLAH's Messenger (may peace be upon him) forbidding taking of vows, and said  The vow does not bring anything near to the son of Adam which ALLAH has not ordained for him, but (at times) the vow coincides with Destiny, and this is how something is extracted from the miserly person, which that miser was not willing to give.
Sahih Muslim, Book 14, 4024,4025

Anas bin Malik and Abu Huraira Radhi Allahu Anhuma reported: ALLAH's Apostle (may peace be upon him) found an old man walking between his two sons supported by them, whereupon ALLAH's Apostle (may peace be upon him) said: What is the matter with him? They said: He had taken the vow to walk (on foot to the Ka'ba). whereupon ALLAH's Apostle (may peace be upon him) said: Ride, old man, for ALLAH is not in need of you and your vow.

Sahih Muslim, Book 014, Number ,4029,4030

Explanation:
Most of the people dont spend money in ALLAH's way but whenever any problems occur they start various kinds of vowing , but vowing does not prevent anything, What ALLAH has written in our destiny it must happen. if somebody vow by thinking that Whatever in our destiny it must happen then these kind of vow is allowed  like Nawafil fast, nwafil prayers etc and it must be fulfilled for example


The wife of the Imran took vow for ALLAH that
Al Quran : (Remember) when the wife of 'Imran said: "O my Lord! I have vowed to You what (the child that) is in my womb to be dedicated for Your services
Surah Aal-e-Imran (3) Verse 35
ALLAH says to Maryam radi allahu anha
“And if you see any human being, say: Verily! I have vowed a fast unto the Most Gracious (ALLAH)”
Surah Maryam (19) , Verse 26
 in Quran ALLAH says those are the pious believers who fulfill their vowsThey (pious believers are those who) fulfil (their) vows, and they fear a Day whose evil will be wide-spreading.
Al Quran : Al-Insan (76), Verse  7

Hadith: Chaar batein jo Maa ke pet mein hi likh di jati hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Chaar batein jo Maa ke pet mein hi likh di jati hai

Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai kiRasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  jo Sachcho se bhi sachche hain ne farmaya tum mein se har shaksh Apni Maa ke pet mein 40 din tak nutfe mein rahta hai, phir utnr hi muddat (yani 40 din )tak Alqa yani khoon ki phuki banta hai aur   phir utne hi arse (yani 40 din) tak  Mudghah yani goshta ka lothda banta hai phir ALLAH Subhanahu ek farishta bhejta hai aur  uske baare mein ( maa ke pet mein hi) chaar baton ke likhne ka hukm diya jata hai..uski Rozi ka , Uski Maut ka , uske neik ya bura hone ka  ( aur ye ki wo ladka hai ya ladki ..ye baat hadith no. 6595 mein hai).
Sahih Bukhari, Vol 8, 6594
 --------------------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle, the truthful and truly-inspired, said, "Each one of you collected in the womb of his mother for forty days, and then turns into a clot for an equal period (of forty days) and turns into a piece of flesh for a similar period (of forty days) and then ALLAH sends an angel and orders him to write four things,., his provision, his age, and whether he will be of the wretched or the blessed  ( and will it be a male or a female…this fourth one is mentioned in very next Hadith . 594 )
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 593 

Hadith : Tumhare baare mein mujhe ye Khauff hai ki tum Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Tumhare baare mein mujhe ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge

Uqba bin Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam   mimbar par tasreef laye aur farmaya Aakhirat mein Main tumse aage jauunga aur main tum par gawaah rahunga wallah main apne Hauz ( Al Kauther)  ko is waqt bhi dekh raha hu aur mujhe zameen ke khazano ki kunjiya de di gayee hain  ya farmaya zameen ki kunjiya de di gayee hain aur ALLAH ki Qasam main tumhare baare mein is baat se nahi darta ki Tum Shirk karoge bulki mujhe tumhare baare mein ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6426
Sahih Bukhari, Vol 8, 6590


---------------------------------------------------------
Narrated 'Uqba bin 'Amir Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam ascended the pulpit and said, "I am your predecessor and I am a witness against you. By ALLAH, I am now looking at my Tank-lake (Al-Kauthar) and I have been given the keys of the treasures of the earth (or the keys of the earth). By ALLAH! I am not afraid that after me you will worship others besides ALLAH, but I am afraid that you will start competing for (the pleasures of) this world."
Sahih Bukhari,  Vol 8, Book 76, No. 434
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, No.r 590

Zikr:
اللَّÙ‡ُ رَبِّÙŠ Ù„َا Ø£ُØ´ْرِÙƒُ بِÙ‡ِ Ø´َÙŠْئَاً
ALLAH is my Lord, I do not ascribe anything unto Him.
ALLAH subhanahu mera Rab hai aur main uske Saath kisi ko Sharik nahi karta

Hadith: Mere ghar aur Mere Mimbar ke darmiyan ka hissa jannat ke baago mein se ek baag hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Mere ghar aur Mere Mimbar ke darmiyan ka hissa jannat ke baago mein se ek baag hai

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Mere ghar aur Mere Mimbar ke darmiyan ka hissa jannat ke baago mein se ek baag hai aur mera minber mere hauz  par hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6588
--------------------------------------------------------


 Narrated Abu Huraira: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Between my house and my pulpit there is a garden from amongst the gardens of Paradise, and my pulpit is over my Lake-Fount.
Sahih Bukhari, Book #76, Hadith #588

Mafhum-e-Hadith: Kuch log Hauz-e-kauther se dur kar diye jayenge

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Kuch log Hauz-e-kauther se dur kar diye jayenge

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya
Mere kuch saathi mere hawz ( Al-kauther) par mere samne laye jaynge aur main unhe pahchaan bhi lunga lekin  phir unko mere samne se hata diya jayega to Main kahunga ki ye mere saathi hain , lekin mujhse kaha jayega ki Aapko maalum nahi ki Aapke baad unhone kya kya cheezin Ejad kar li thi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6582

اللهم إني أسألك حبك وحب من يحبك ، والعمل الذي يبلغني حبك
Eh ALLAH main tujhse teri mohabbat aur har us shaksh ki mohabbat ka sawal karta hun jo tujhse mohabbat karta ho, aur us amal ki mohabbat ka jo mujhe teri mohabbat tak pahuncha de
(Tirmidhi)

-----------------------------------------------

Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Some of my companions will come to me at my Lake Fount, and after I recognize them, they will then be taken away from me, whereupon I will say, 'My companions!' Then it will be said, 'You do not know what they innovated (new things) in the religion after you."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 584:

اللهم إني أسألك حبك وحب من يحبك ، والعمل الذي يبلغني حبك
O ALLAH! I ask of You Your love, the love of whoever loves You and the love of those deeds which would draw me to attaining Your love.
(Tirmidhi)

Hadith : ismein se ek baar peeyega wo kabhi bhi piyasa na hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : ismein se ek baar peeyega wo kabhi bhi piyasa na hoga

Abdullah bin Amr Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya mera hawz ( kauther) ek mahine ki musafat ke barabar hoga ( yani wo itna bada hai ki koi ek mahina chale tab jakar uski length puri ho)   , iska paani doodh se ziyada safed aur iski khushbu Musk se ziyada achchi hogi aur iske pyale (cup) aasman ke sitaro ki taadad ke barabar honge jo shaksh ismein se ek baar jo peeyega wo kabhi bhi piyasa na hoga.
Sahih Bukhari, vol 8, 6579

Dua:
اللهم اسقنا من حوض نبيك - صلى الله عليه وسلم - شربة هنيئة لا نظمأ بعدها أبدا
Ya ALLAH humko tere Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Hawz-E-kauthar ka Meetha Jaam ata farma dena  taki iske baad humko kabhi payas  na lagey.
----------------------------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhu  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "My Lake-Fount is (so large that it takes) a month's journey to cross it. Its water is whiter than milk, and its smell is nicer than musk (a kind of Perfume), and its drinking cups are (as numerous) as the (number of) stars of the sky; and whoever drinks from it, will never be thirsty."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 581

Dua:
اللهم اسقنا من حوض نبيك - صلى الله عليه وسلم - شربة هنيئة لا نظمأ بعدها أبدا
O ALLAH! Provide us a pleasant and delicious drink  from the Hawz‑E‑Kauthar (the Reservoir Plenty) of Your Prophet  peace be upon him , that thereafter we feel no thirst whatsoever

Mafhum-e-Hadith: Sabse Aakhir mein jannat mein jane wala shaksh

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Sabse Aakhir mein jannat mein jane wala shaksh
Abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam
  ne farmaya Main khubb janta hu ki Jahannam mein se sabse aakhir mein kaun niklega aur Jannat mein sabse aakhir mein kaun dakhil hoga wo ek Shaksh Jahannam se ghutno ke bal ghaseet-ta hua niklega aur ALLAH Subhanahu us se kahega ki jao aur Jannat mein Dakhil ho jao, wo jannat ke pass jayega lekin aisa malum hoga ki jannat bhari huyee hai isliye wo wapas aayega aur arz karega Eh mere Rab maine jannat ko bhara hua paya ALLAH phir us se kahega ki jao aur jannat mein Dakhil ho jao wo phir aayega aur use aisa lagega ki jannat bhari huyee hai isliye wo wapas laut jayega  aur arz karega Eh mere Rab maine jannat ko bhara hua paya ALLAH subhanahu farmayega jao aur jannat mein dakhil ho jao tumhe Duniya aur us se 10 guna diya jata hai wo Shaksh kahega ki  tu Mera mazak banata hai jabki tu Shahansha(king) hai maine dekha ki us baat par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  hans diye aur Aapke aage ke Dandaan (teeth) mubarak zahir ho gaye aur kaha jata hai ki Wo jannat ka sabse kam Darje wala shaksh hoga.
Sahih Bukhari  Vol 8, 6571

-------------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "I know the person who will be the last to come out of the (Hell) Fire, and the last to enter Paradise. He will be a man who will come out of the (Hell) Fire crawling, and ALLAH will say to him, 'Go and enter Paradise.' He will go to it, but he will imagine that it had been filled, and then he will return and say, 'O Lord, I have found it full.' ALLAH will say, 'Go and enter Paradise, and you will have what equals the world and ten times as much (or, you will have as much as ten times the like of the world).' On that, the man will say, 'Do you mock at me (or laugh at me) though You are the King?" I saw ALLAH's Apostle (while saying that) smiling that his premolar teeth became visible. It is said that will be the lowest in degree amongst the people of Paradise.
Sahih Bukhari,  Book 76, Number 575

Hadith: ALLAH ke Raaste mein Ek Subah ya Shaam ka Safar sari duniya aur jo kuch us mein hai un sabse achcha hai

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: ALLAH ke Raaste mein Ek Subah ya Shaam ka Safar sari duniya aur jo kuch us mein hai
un sabse achcha hai

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke raaste mein ek subah ya ek sham safar karna duniya aur jo kuch usmein hai  , un sabse achcha hai aur jannat mein tumhari ek Kaman ( an arrow bow) ke barabar jagah ya ek kadam ke faasle ke barabar jagah duniya aur jo kuch  usmein hai se behtar hai aur agar jannat ki aurton mein se koi aurat rooye zameen ki taraf jhank kar dekh le to aasman se lekar zameen tak munawwar kar de aur uska dupatta (ya niqab) duniya aur jo kuch usmein hai se badkar hai
Sahih bukhari,Vol8,6568

Narrated Anas Radhi Allahu Anhu The Prophet  Sal-Allahu Alaihi Wasallam "A forenoon journey or an after noon journey in ALLAH's Cause is better than the whole world and whatever is in it; and a place equal to an arrow bow of anyone of you, or a place equal to a foot in Paradise is better than the whole world and whatever is in it; and if one of the women of Paradise looked at the earth, she would fill the whole space between them (the earth and the heaven) with light, and would fill whatever is in between them, with perfume, and the veil of her face is better than the whole world and whatever is in it.
Sahih Bukhari, Book 76, No. 572

Mafhum-e-Hadith: Dozakh mein Sabse kam Darje ka Azab pane wala shaksh

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Dozakh mein Sabse kam Darje ka Azab pane wala shaksh

Nauman bin Bashir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din Dozakhiyon mein Azab ke aitbaar se sab kam Azab pane wala wo shaksh hoga jiske Dono Qadmo ke neeche Do Angaare rakh diye jayenge jiski wajah se uska Dimag khol ( Boiling) raha hoga jis tarah haandi ya Ketli josh maarti hai.

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Dozakh se bacho Sadqa dekar chahe Khajur ka ek tukda dekar hi sahi aur jise ye bhi na mile to achchi baat kahkar (kyunki Achchi baat kahna bhi sadqa hai)
Sahih Bukhari, Vol8 , 6562,6563

Dua:
Allahumma Ajirna Minan Naar
Allahumma Ajirna Minan Naar
Allahumma Ajirna Minan Naar
---------------------------------------
English Translation:
Narrated An-Nu'man bin Bashir Radhi Allahu Anhu :I heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, "The least punished person of the (Hell) Fire people on the Day of Resurrection will be a man under whose arch of the feet two smoldering embers will be placed, because of which his brain will boil just like Al-Mirjal (copper vessel) or a Qum-qum (narrow-necked vessel) is boiling with water."

Narrated 'Adi bin Hatim Radhi Allahu Anhu : Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam sais "Protect yourselves from the Hell-Fire, even if with one half of a date, and he who cannot afford that, then (let him do so) by (saying) a good, pleasant word."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 567, 568:

Dua:
Allahumma Ajirna Minan Naar
Allahumma Ajirna Minan Naar

Allahumma Ajirna Minan Naar

Mafhum-E-hadith : Qayamat se pahle Kaaba sharif ko gira diya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-E-hadith : Qayamat se pahle Kaaba sharif ko gira diya jayega

Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya meri nazron ke samne wo patli taangon wala siyah aadmee hai jo khana-e-Kaaba ke ek ek paththar ko ukhad dega
Sahih Bukhari, Vol2, 1595

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Kaaba ko Do patli pindliyon wala habshi kharab karega ( yani gira dega).
Sahih Bukhari, Vol2,  1596

Tashreeh: Ek rivayat mein hai ki uski aankhein neeli , naak phaili huyee hogi, uske saath aur bahut se log honge wo Kaaba sharif ka ek ek paththat ukhad dalnege aur samundar mein le jakar phenk denge , ye Qayamat ke bilkul nazdeek hoga.

 Narrated Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "As if I were looking at him, a black person with thin legs plucking the stones of the Ka'ba one after another. " 

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "DhusSuwaiqatain (the thin legged man) from Habsha (Ethopia) will demolish the Ka'ba."
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 666: 

Hadith: Raii ke Daane ke barabar Imaan wala bhi jahanname se nikal liya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Raii ke Daane ke barabar Imaan wala bhi jahanname se nikal liya jayega

Abu Said Al-Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab Ahal-e-jannat jannat mein aur Ahal-e-Jahannam jahannam mein Dakhil ho jayenge to ALLAH Subhanahu farmayega ki jiske Dil mein Raii ke Daane ke barabar bhi Imaan ho to use Dojakh se nikal lo, aur us waqt wo log nikal liye jayege jo Jalkar koyele ki tarah ho gaye honge uske baad unhe Nahar-e-hayat mein daala jayega jiski wajah se wo is tarah tar-o- taaza (fresh) ho jayenge jaise Sailab ki jagah par kachre mein se Daana (seed) ug jata hai, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya tumne dekha nahi ki us Daane ki jagah zard rang ka lipta hua baronaq Podha (small plant) ug jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6560
---------------------------------------------------------

English Translation:
Narrated Abu Said Al-Khudri Radhi Allahu Anhu :ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "When the people of Paradise have entered Paradise, and the people of the Fire have entered the Fire, ALLAHSubhanahu will say. Take out (of the Fire) whoever has got faith equal to a mustard seed in his heart. They will come out, and by that time they would have burnt and became like coal, and then they will be thrown into the river of Al-Hayyat (life) and they will spring up just as a seed grows on the bank of a rainwater stream." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Don't you see that the germinating seed comes out yellow and twisted?"
Sahih Bukhari,Book 76, Number 565

Hadith: ALLAH Subahanhu se jannat al Firdous maanga karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH Subahanhu se jannat al Firdous maanga karo

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jab ALLAH taala se mangna ho to Jannat Al firdaus mango kyunki wo jannat ka sabse achcha aur buland darja hai.
Sahih Bukhari, 2790

Abu Sa'id  Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Jannat mein ek Darakht hai jiske saaye mein umdah aur tez raftaar ghode par sawar shaksh 100 saal tak chalta rahe phir bhi use tay ( complete) nahi kar sakta
Sahih Bukhari, Vol 8, 6553

Sahal Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jannat wale (apne upar ke darjo ke) baalakhano (ghar) ko is tarah dekhege jis tarah tum Aasman mein sitaron ko dekhte ho
Sahih Bukhari, Vol 8, 6555
------------------------------------------------------------
 Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, when you ask ALLAH (for something), ask for Al-firdaus which is the best and highest part of Paradise.
Sahih Bukhari, Book #52, Hadith #48

Narrated Sahl Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "The people of Paradise will see the Ghuraf (special abodes) in Paradise as you see a star in the sky
Sahih Bukhari,  Book 76, 561:

Narrated Abu Sa'id Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: There is a tree in Paradise (so huge) that a fast (or a trained) rider may travel: for one hundred years without being able to cross it.
Sahih Bukhari,  Book 76,  559e:

Hadith:Ek jamaat jahannam se Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki shafaat ke jariye bahar niklegi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Ek jamaat jahannam se Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ki shafaat ke jariye bahar niklegi

Anas bin mail Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Ek aisee jamaat jahannam se niklegi  jinhey Jahannam ki Aag ne jala daala hoga aur phir wo jannat mein dakhil hogi jinhe Ahal-e-jannat unhe 'Al-Jahannamiyin' ke naam se yaad karengey.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6559

Imran bin Husain Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya  Ek jamaat jahannam se Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ki shafaat ke jariye bahar niklegi aur jannat mein dakhil hogi jinhe 'Al-Jahannamiyin' ke naam se pukara jayega
Sahih Bukhari, Vol 8, 6566
-------------------------------------------------------------
Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Some people will come out of the Fire after they have received a touch of the Fire, changing their color, and they will enter Paradise, and the people of Paradise will name them 'Al-Jahannamiyin' the (Hell) Fire people."
Sahih Bukhari, , Book 76, Number 564:

Narrated Imran bin Husain Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Some people will be taken out of the Fire through the intercession of Muhammad(Sal-Allahu Alaihi Wasallam) and  they will enter Paradise and will be called Al-Jahannamiyin (the Hell Fire people).
Sahih Bukhari, Book 76, Number 571

Hadith : iske Baad ALLAH Subahanhu tumse kabhi Naraz nahi honge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : iske Baad ALLAH Subahanhu tumse kabhi Naraz nahi honge

Abu Said Khudri se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ALLAH Subahanahu jannat walo se farmayega ki Eh jannat walon, Jannati jawab denge hum hazir hain Eh Rab teri Sa’adat hasil karne ke liye,ALLAH Subhanahu puchega ki kya ab tum khush huye, wo kahenge ki Ab bhi bhala hum razi kyun nahi honge jabki tune humko wo sab kuch de diya jo apni makhluq mein se kisi ko nahi diya , ALLAH Subhanahu farmayega ki main tumko is se bhi behtar cheej dunga,Jannati kahnege ki Eh Rab is se behtar cheej kya hogi , ALLAH Subhanahu farmayega ki Ab main meri Razamandi tum par hamesha rakhuga yani iske baadchcha fitrat par paida hota hai  yani musalman paida hota hai ab tumse kabhi Naraz nahi hunga
Sahih Bukhari, Vol 8, 6549

-----------------------------------------------


Narrated Abu Said Al-Khudri: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, ALLAH will say to the people of Paradise, O the people of Paradise! They will say, Labbaik, O our Lord, and Sa'daik!' ALLAH will say, Are you pleased? They will say, Why should we not be pleased since You have given us what You have not given to anyone of Your creation?' ALLAH will say, 'I will give you something better than that.' They will reply, O our Lord! And what is better than that?' ALLAH will say, I will bestow My pleasure and contentment upon you so that I will never be angry with you after for-ever.
Sahih Bukhari, Book 76, No. 556

Mafhum-e-Hadith: Maut ko bhi Zabah kar diya jayega phir kabhi Maut nahi Aayegi

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Maut ko bhi Zabah kar diya jayega phir kabhi Maut nahi Aayegi

Ibn Umar Radhi Allahu Anhu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab Ahal-e-jannat jannat mein chale jayenge aur jab Ahal-e-Dozakh Dozakh mein chale jayenage to Maut ko laya jayega aur use Jannat aur Dozakh ke darmiyan rakh kar Zabah kar diya jayega phir ek Aawaz dene wala Aawaz dega ki Eh jannat walo tumhe ab Maut nahi aayegi aur EhDozakh walo tumhe bhi ab Maut nahi aayegi is baat se jannati aur ziyada khush ho jayenge aur Jahannami aur ziyada gamgeen ho jayengey.
Sahih Bukhari, Vol8, 6548



Narrated Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "When the people of Paradise have entered Paradise and the people of the Fire have entered the Fire, death will be brought and will be placed between the Fire and Paradise, and then it will be slaughtered, and a call will be made (that), 'O people of Paradise, no more death ! O people of the Fire, no more death ! ' So the people of Paradise will have happiness added to their previous happiness, and the people of the Fire will have sorrow added to their previous sorrow."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 556:

Hadith: Jannat mein dakhil hone wale aksar log Miskeen (Gareeb) they

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Jannat mein dakhil hone wale aksar log Miskeen (Gareeb) they

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya main jannat ke darwaze par khada hua to wahan aksar dakhil hone wale log miskeen ( gareeb) the  aur maaldar log ek taraf rok diye gaye hain unka hisab lena baki hai aur jo log Dozakhi the wo Dozakh ke liye bhej diye gaye hain aur maine jahanamm ke darwaje par khade hokar dekha to usmein aksar dakhil hone wali aurtein thi.
Sahih bukhari, Vol8, 6547
------------------------------------------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "I stood at the gate of Paradise and saw that the majority of the people who had entered it were poor people, while the rich were forbidden (to enter along with the poor, because the were waiting the reckoning of their accounts), but the people of the Fire had been ordered to be driven to the Fire. And I stood at the gate of the Fire and found that the majority of the people entering it were women."
Sahih bukhari, Book 76, No. 555: 

Hadith: ALLAH subhanahu har shaksh se Qayamat ke din Akale mein baat karega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH subhanahu har shaksh se Qayamat ke din Akale mein baat karega


Adi bin Hatim Radhi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kitum mein se Har shaksh se Qayamat ke din ALLAH taala is tarah baat karega ki bande aur ALLAH ke beech koi tarjuman (interpreter)nahi rahega jab wo (banda) dekhega to uske aage koi cheej nazar nahi aayegi aur phir (dusri baar) wo apne samne dekhega to uske samne Aag hogi isliye tum mein se jo shaksh bhi apne aap ko us Aag se bacha sake  to use bachna chahiye , chahe Khajur ka ek tukda (khairat)  dekar hi sahi.
Sahih Bukhari,Vol 8,  6539
---------------------------------------------------------------
Narrated by Adi bin Hatim Radhi Allahu Anhu  that The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "There will be none among you but will be talked to by ALLAH on the Day of Resurrection, without there being an interpreter between him and Him (ALLAH) . He will look and see nothing ahead of him, and then he will look (again for the second time) in front of him, and the (Hell) Fire will confront him. So, whoever among you can save himself from the Fire, should do so even with one half of a date (to give in charity).
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 547

Mafhum-e-Hadith: ALLAH taala farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: ALLAH taala farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they

Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala Qayamat ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat pane ko) de do ge wo kahega ki haan ALLAH taala farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein the ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar kiya aur na mana aur shirk hi kiya
Sahih bukhari, Vol 8 , 6557
--------------------------------------------------------
English Translation:
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, ALLAH will say to the person who will have the minimum punishment in the Fire on the Day of Resurrection, 'If you had things equal to whatever is on the earth, would you ransom yourself (from the punishment) with it?' He will reply, Yes. ALLAH will say, 'I asked you a much easier thing than this while you were in the backbone of Adam, that is, not to worship others besides Me, but you refused and insisted to worship others besides Me."'

Hadith: tum mein se har kisi ka paseena zameen par 70 haath tak phail jayega aur munh tak pahunch kar kaano tak chune lagega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: tum mein se har kisi ka paseena zameen par 70 haath tak phail jayega aur munh tak pahunch kar kaano tak chune lagega

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya qayamat ke din log paseene mein sharabor ho jayenge (bahut sara paseena ho jayega) aur halat ye ho jayegi ki tum mein se har kisi ka paseena zameen par 70 haath tak phail jayega aur munh tak pahunch kar kaano tak chune lagega
Sahih Bukhari, Vol 8, 6532
 ----------------------------------------------------

Narrated Abu Hurairah rad The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, The people will  sweat so profusely on the Day of Resurrection that their sweat will  sink seventy cubits deep into the earth, and it will rise up till it reaches  the people's mouths and ears.
Sahih Bukhari Book 76, No. 539

Category

Total Pageviews