Search This Blog

Autoblog

Tuesday, September 22, 2015

✦ Al- Quran: Kah do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH hi ke liye hai

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Al- Quran: Kah do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH hi ke liye hai jo saare jahan ka paalne wala hai

Surah Al-Anaam (6) verse 162


✦ Al Quran : Kah do , Eh ALLAH baadshahi ke malik jise tu chahta hai sultanat deta hai aur jis se chahta hai sultanat cheen leta hai , jise tu chahta hai ezzat deta hai aur jise tu chahta hai zaleel karta hai sab khubi tere haath mein hai beshak tu har cheez par qadir hai
Tu hi raat ko din mein dakhil karta hai aur din ko raat mein dakhil karta hai aur zinda ko murde se nikalta hai aur murde ko zinda se nikalta hai aur jise tu chahta hai behisab rizq deta hai
Surah Aal-e-imran 26-27
--------------------
✦ अल- क़ुरान: कह दो, बेशक मेरी नमाज़ और मेरी क़ुर्बानी और मेरा जीना और मेरा मरना अल्लाह ही के लिए है जो सारे जहाँ का पालने वाला है
सुराह अल-अनाम (6) आयत 162



✦ अल क़ुरान : कह दो , एह अल्लाह बादशाही के मलिक जिसे तू चाहता है सलतनत देता है और जिस से चाहता है सलतनत छीन लेता है ,
जिसे तू चाहता है इज्ज़त देता है और जिसे तू चाहता है ज़लील करता है सब खूबी तेरे हाथ में है बेशक तू हर चीज़ पर कादिर है
तू ही रात को दिन में दाखिल करता है और दिन को रात में दाखिल करता है और ज़िंदा को मुर्दे से निकालता है और मुर्दे को ज़िंदा से निकालता है और जिसे तू चाहता है बेहिसाब रिज़क़ देता है
सुरह आल-ए-इमरान 26-27
--------------------
✦ Al Quran : Say , Verily my prayer, and my sacrifices, and my living and my dying are all for ALLAH Who is the Lord of all the worlds
Surah Al-Anaam (6) verse 162

✦ Al Quran : Say : O ALLAH! Possessor of the kingdom, You give the kingdom to whom You will, and You take the kingdom from whom You will, and You endue with honour whom You will, and You humiliate whom You will. In Your Hand is the good. Verily, You are Able to do all things. 
( Oh ALLAH) You make the night to enter into the day, and You make the day to enter into the night , You bring the living out of the dead, and You bring the dead out of the living. And You give wealth and sustenance to whom You will, without limit (measure or account).
Surah Aal-e-Imran, 26-27

✦ Qurbani ki dua ✦


✦ Qurbani ki dua ✦ 
---------------------
إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ
إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَاىَ وَمَمَاتِي
لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ
اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ عَنْ مُحَمَّدٍ وَأُمَّتِهِ


(بِسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ)
(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le 
aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe )
---------------------
✦ Jabir bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah salalalhu alaihi wasallam ne eid ke din do maindho ki Qurbani ki, jab Aap sal-Allahu alaihi wasallam unko Qibla rukh kiya to ye kalimat irsad farmaye
"inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda 
hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya
Wa Mamati Lillahi Rabbil A'lameen.
La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana 
awwalu minal muslimeen. Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi" (Bismillahi Wa-Allahu Akbar)
(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le 
aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe )
Sunan Ibn majah, Jild 3, Hadith 2-Hasan
---------------------
✦ Tarjuma : Main Apna rukh us zaat ki taraf karta hu jisne aasman aur zameen
ko paida farmaya aur aur main shirk karne walon mein se nahi hu 
bila shuba meri namaz aur meri qurbani aur mera Jeena aur mera 
marna sab Allah-Rabbul-Aalameen ke liye hai jiska koi sharik nahi hai 
aur mujhe isee ka hukm diya gaya hai aur main sabse pahle islam lane walo 
mein se hu , Eh Allah ye Qurbani teri hi Ata se hai aur teri hi raza ke liye hai, 
Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) aur unki ummat ki taraf se
(Allah ke naam ke saath aur Allah sabse bada hai)
Sunan Ibn majah, Jild 3, Hadith 2-Hasan
---------------------
✦ जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहु अलैही वसल्लम ने ईद के दिन दो भेड़ों की क़ुर्बानी की, जब आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने उनको क़िब्ला रुख़ किया तो ये कलिमात ईरशाद फरमाये
" ईन्नी वज्जहतू वजहीया लिललज़ी फातारस समावाती वल अरदा हनीफव वमा अना मीनल मुशरीकिन, इन्ना सलाती वा नुसुकी वा महयाया वा मामाती लिल्लाही रबबील आलमीन, 
ला शरीका लहू वा बिज़ालिका उमीरतू वा अना अव्वलू मीनल मुसलीमीन, 
अल्लहुम्मा मिनका वा लका अन मुहम्मदिव व उम्मातिही ( बिस्मिल्लही वा अल्लाहू अकबर )
(मुहम्मदिव व उम्मातिही की जगह जिसकी तरफ से क़ुरबानी हो उसका नाम ले और अपनी तरफ से हो तो वा लका अन्नी कहे ) 
सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 3 , हदीस 2 - हसन
---------------------
✦ Dua for Sacrifice An Animal ✦ 
-----------------------
It was narrated that Jabir bin Abdullah radi alahu anhu said: 
“The Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam sacrificed two 
rams on the Day of Eid. When he turned them to face towards 
the prayer direction he said:
"inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda 
hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamati Lillahi Rabbil A'lameen. La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana awwalu minal muslimeen. 
Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi "
(Bismillahi Wa-Allahu Akbar)
Sunan Ibn majah, Book 26, Hadith 3121-Hasan
( Note : In place of "Muhammad and his nation" you should mention the name of the person on whose behalf the sacrifice is being done)
---------------------------------
Translation: ‘Verily, I have turned my face towards Him Who has created the heavens and the earth, as a monotheist, and I am not of the polytheists. Verily, my prayer, my sacrifice, my living, and my dying are for Allah, the Lord of all that exists. He has no partner. And of this I have been commanded, and I am the first of the Muslims O Allah, from You to You, on behalf of Muhammad and his nation.’”(In the name of ALLAH, Allah is Greatest)

Saturday, September 19, 2015

Mahum-e- Hadith: Apne hi waldein par laanat bhejna wala shaksh

Bismillahirrahmanirrahim

Mahum-e- Hadith: Apne hi waldein par laanat bhejna wala shaksh
----------------------
Abdulllah bin Umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya yakeenan  kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apne waldein par laanat bheje (logo ne pucha) ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  koi shakhsh apne hi waldein par laanat kaise bhejega to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uske walid aur maa ko bura kahega  (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)
Sahih Bukhari,Vol 7, 5973
----------------------
Narrated Abdullah bin Amr Radhi Allahu Anhu
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said. It is one of the greatest sins that a man should curse his parents." It was asked (by the people), "O ALLAH's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! How does a man curse his parents?" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "'The man abuses the father of another man and the latter abuses the father of the former and abuses his mother."

Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 73, Hadith 4

Hadith: Har bachcha fitrat (sirf ek ALLAH ki ibadat) par paida hota hai

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Har bachcha fitrat (sirf ek ALLAH ki ibadat) par paida hota hai 

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har bachcha fitrat (sirf ek ALLAH ki ibadat) par paida hota hai  aur uske maan baap use yahudi , nasrani ya majusi bana dete hain
Sahih Bukhari, Vol 2, 1359
---------------------



Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu every child is born with a true faith (i.e. to worship none but ALLAH Alone) but his parents convert him to Judaism or to christianity or to Magainism”
Sahih Bukhari, Book 
#23, Hadith 441

Hadith: jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi
------------------------
Abdullah ibn masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uske liye kaafi ho jayegi (aafat se bachne ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009


Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apne gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padhi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota
Jamia Tiirmidhi , Vol 2, 784-Sahih


------------------------
Narrated Abu Masud Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night, that will be sufficient for him.
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, 530

Narrated Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu that the Messenger of ALLAH Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surah Al-Baqarah is recited. 


Jamia Tiirmidhi , Vol. 1, Book 42,  2877-Sahih

Hadith: mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahle ke Anbiya ko nahi di gayi thi

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahle ke Anbiya
ko nahi di gayi thi
--------------

Hadith: Jabir radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Allallahu Alaihi wasallam ne
farmaya mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahle ke Anbiya
ko nahi di gayi thi
1. Ek mahine ki Raah se mera Ruaab daalkar meri madad ki gayee
(Yani dushman agar itna dur ho ki us tak pahuchne mein ek mahina lag jaye , itni duri par hone ke baad bhi dushman ke dil mein Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka khauff rahta)


2. Mere liye tamam zameen mein namaz parhne aur paki haasil karne ki ejazat hai
isliye meri ummat ke jis aadmee ki namaz ka waqt (jaha bhi) aa jaye  use namaz parh
leni chahiye 
3. Mere liye maal ganimat halal kiya gaya
4.Pahle anbiya khas apni Qaumo ki hidayat ke liye bheje jate the lekin mujhe duniya ke tamam insaano ki hidayat ke liye bheja gaya hai
5. Mujhe shafaat ata ki gayee hain

Sahih Bukhari, Vol 1, # 438
--------------


Narrated Jabir bin 'Abdullah may ALLAH be pleased with him : ALLAH's Apostle Peace be upon him

said, "I have been given five things which were not given to any amongst the Prophets before me.

These are:
1. ALLAH made me victorious by awe (by His frightening my enemies) for a distance of 
one month's journey. 
2. The earth has been made for me (and for my followers) a place for praying and a thing to perform Tayammum. Therefore my followers can pray wherever the time
 of a prayer is due. 
3. The booty has been made Halal (lawful) for me (and was not made so for
 anyone else). 
4. Every Prophet used to be sent to his nation exclusively but I have been sent to all
 mankind. 
5. I have been given the right of intercession (on the Day of Resurrection.) 

Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 8, #429

Hadith: Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge
----------------------
Hadith: Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jise unhone habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhone uska tazkara Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se bhi kiya, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki agar koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banate aur usmein yahi tasweerain bana dete , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge
Sahih Bukhari , Vol 1, # 427 

----------------------

Narrated Aisha radi allahu anha Um Habiba and Um Salama Radhi Allahu Anhuma mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet peace be upon him  about it, on which he peace be upon him  said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of ALLAH on the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari,  Book 8, #419

* Taraweeh ki namaz ki shuruaat kaise huyee *

Bismillahirrahmanirrahim

* Taraweeh ki namaz ki shuruaat kaise huyee *
 --------------------------
Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ayesha radi allahu Anha ne farmaya ek baar (Ramadan ki ) aadhi raat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam masjid mein tashreef le gaye aur wahan taraweeh ki namaz padhi, Sahaba Radi Allahu Anhuma bhi aapke saath namaz mein shamil ho gaye, subah huyee to unhone uska charcha kiya phir dusri raat mein log pahley se bhi zyada shamil ho gaye, aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath namaz padhi.
Dusri subah ko aur zyada charcha hua to teesri raat us se bhi zyada log jama ho gaye ,
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (us raat bh) namaz padhi aur logo ne aapki pairwi ki,
Chothi raat ko ye aalam tha ki masjid mein namaz padhney aaney walo ke liye jagah bhi baqi nahi rahi
( magar us raat Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz ke liye bahar hi nahi aaye)
bulki subah namaz ke liye tashreef laye aur jab namz padh li to logo ki taraf mutwajja hojar shahadat ke baad farmaya Amma baad tumhare yahan jama hone ka mujhe ilm tha lekin mujhe iska khauf hua ki ye namaz tum par farz na ho jaye aur phir tum usey ada na kar sako Aur jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat huyee uske baad bhi yahi kaifiyat rahi ( log alag alag taraweeh padhte rahe )
Sahih Bukhari, Vol 3, 2012
--------------------------
उरवा बिन जुबैर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की आयशा रदी अल्लाहु अन्हा ने फ़रमाया एक बार (रमज़ान की ) आधी रात में रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम मस्जिद में तशरीफ़ ले गए और वहां तरावीह की नमाज़ पढ़ी , सहाबा रदी अल्लाहु अन्हुमा भी आपके साथ नमाज़ में शामिल हो गए सुबह हुयी तो उन्होंने उसका चर्चा किया
फिर दूसरी रात में लोग पहले से भी ज़्यादा शामिल हो गए और आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के साथ नमाज़ पढ़ी दूसरी सुबह को और ज़्यादा चर्चा हुआ
तो तीसरी रात उस से भी ज़्यादा लोग जमा हो गए , आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने (उस रात भी ) नमाज़ पढ़ी और लोगों ने आपकी पैरवी की.
चौथी रात को ये आलम था की मस्जिद में नमाज़ पढने आने वालों के लिए जगह भी बाकी नहीं रही ( मगर उस रात आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम नमाज़ के लिए बहार नहीं आये )
बल्कि सुबह (फजर की) नमाज़ के लिए तशरीफ़ लाए और जब नमाज़ पढ़ इ तो लोगों की तरफ मुतवज्जा होकर शहादत के बाद फ़रमाया अम्मा बाद तुम्हारे यहाँ जमा होने का मुझे इल्म था लेकिन मुझे इसका खौफ हुआ की ये नमाज़ तुम पर फ़र्ज़ न हो जाए और फिर तुम उसे अदा न कर सको और जब आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की वफ़ात हुयी  तो उसके बाद भी यही केफियत रही ( लोग अलग अलग तरावीह पढ़ते रहे )
सही बुखारी , जिल्द 3,  हदीस : 2012
--------------------------
English Translation:
Narrated Urwa Radi Allahu Anhu That he was informed by Aisha Radi Allahu Anha, Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went out in the middle of the night and prayed in the mosque and some men prayed behind him. In the morning, the people spoke about it and then a large number of them gathered and prayed behind him (on the second night). In the next morning the people again talked about it and on the third night the mosque was full with a large number of people. Allah's Messenger () came out and the people prayed behind him. On the fourth night the Mosque was overwhelmed with people and could not accommodate them, but the Prophet () came out (only) for the morning prayer. When the morning prayer was finished he recited Tashah-hud and (addressing the people) said, "Amma ba'du, your presence was not hidden from me but I was afraid lest the night prayer (Qiyam) should be enjoined on you and you might not be able to carry it on." So, Allah's Apostle passed away and the situation remained like that (i.e. people prayed individually). "

Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 32, Hadith 229

Mafhum-e-Hadith: Namaz ke liye daud kar mat aao bulki sukun aur waqar ke saath chalo

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Namaz ke liye daud kar mat aao bulki sukun aur waqar ke saath chalo
---------------
Abu hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab tum log takbeer ki aawaz sun lo to namaz ke liye chale aao, sukun aur waqar ke saath chalo , aur daud ke mat aao phir namaz ka jo hissa mile use padh lo aur jo na mil sake use baad mein pura kar lo
Sahih Bukhari, Vol 1, 636
---------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said when you hear the Iqama, proceed to offer the prayer with calmness and solemnity and do not make haste. And pray whatever you are able to pray and complete whatever you have missed.

Sahih Bukhari, Vol1, Book 11, Hadith 609

Hadith: Eh ALLAH , Tu meri maghfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Eh ALLAH  , Tu meri maghfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain
--------------------

Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam raat ko ALLAH se ye dua kiya karte the Eh ALLAH tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamad hai tu aasman aur zameen ka qayam karne wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai.
Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tea qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai ,  dozakh sach  hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh ALLAH maine teri hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya
Maine teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain ,
jo (gunah) maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye ( wo maaf farma)

Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi
Sahih Bukhari,  Jld 8, 7385
--------------------
English Translation:
Narrated Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu  The Prophet Peace be upon him  used to invoke ALLAH at night, saying, "O ALLAH: All the Praises are for You: You are the Lord of the Heavens and the Earth. All the Praises are for You; You are the Maintainer of the Heaven and the Earth and whatever is in them. All the Praises are for You; You are the Light of the Heavens and the Earth. Your Word is the Truth, and Your Promise is the Truth, and the Meeting with You is the Truth, and Paradise is the Truth, and the (Hell) Fire is the Truth, and the Hour is the Truth. O ALLAH! I surrender myself to You, and I believe in You and I depend upon You, and I repent to You and with You (Your evidences) I stand against my opponents, and to you I leave the judgment (for those who refuse my message). O ALLAH! Forgive me my sins that I did in the past or will do in the future, and also the sins I did in secret or in public. You are my only God (Whom I worship) and there is no other God for me

Sahih Bukhari, Vol. 9, Book 93, Hadith 482

Hadith: Ya ALLAH main teri panah maangta hu Maseeh-Dajjal ki aazmayeesh se.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Ya ALLAH main teri panah maangta hu Maseeh-Dajjal ki aazmayeesh se.

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ النَّارِ وَمِنْ عَذَابِ النَّارِ،
 وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْقَبْرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ،
 وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْغِنَى، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْفَقْرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  panah maanga karte the ki “ Ya ALLAH main teri panah maangta hu Dozakh ki aazmayeesh se , aur Dozakh ke azab se , aur teri panah maangta hu Qabr ki aazmayeesh se aur teri panah maangta hu Qabr ke azab se,

aur teri panah maangta hu maaldari ki aazamayeesh se , aur teri panah maangta hu Maseeh-Dajjal ki aazmayeesh se.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6376

-----------------------------

Narrated Aisha Radi Allahu Anha The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  used to seek refuge with ALLAH (by saying), "O ALLAH! I seek refuge with You from the affliction of the Fire and from the punishment in the Fire, and seek refuge with You from the affliction of the grave, and I seek refuge with You from the affliction of wealth, and I seek refuge with You from the affliction of poverty, and seek refuge with You from the affliction of Al-Masih Ad-Dajjal.
Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 75, Hadith 387

Hadith: Musalman Musalman ka bhai hai, na us par zulm kare aur na use ( kisi zalim ki) supard kare

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Musalman Musalman ka bhai hai, na us par zulm kare aur na use ( kisi zalim ki)
supard kare
 -------------------
Hazrat Abdullah bin umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Musalman Musalman ka bhai hai, na us par zulm kare aur na use ( kisi zalim ke) supard kare aur jo shaksh apne kisi bhai ki hajat (jarurat) puri karne mein laga hoga ALLAH Subhanahu hajat puri karega
Sahih Bukhari, Vol 8, 6951

 -------------------
Narrated Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said,  A Muslim is a brother of another Muslim. So he should neither oppress him nor hand him over to an oppressor. And whoever fulfilled the needs of his brother, Allah will fulfill his needs."

Sahih Bukhari, Vol. 9, Book 85, Hadith 83

Hadith: jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain
-------------------
Jaber bin abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain phir jab ek ghadi raat guzar jaye to unhe chhodh do aur darwaze band kar lo aur ALLAH ka naam lo isliye ki shaitan band darwaze nahi khol sakta aur apni mashkon par daat laga do aur ALLAH ka naam lo aur apne bartano ko dhaanp do aur ALLAH ka naam lo agar kuch daaanpne ko na mile to un par kuch bhi  aad rakh do aur apne chiragon ko bujha do.
Sahih Bukhari , Vol 6, 5623
-------------------------

Narrated Jabir bin 'Abdullah Radiallahu anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "When night falls (or when it is evening), stop your children from going out, for the devils spread out at that time. But when an hour of the night has passed, release them and close the doors and mention ALLAH's Name, for Satan does not open a closed door. Tie the mouth of your water-skin and mention ALLAH's Name; cover your containers and utensils and mention ALLAH's Name. Cover them even by placing something across it, and extinguish your lamps. "
 
Sahih Bukhari,  Book 69, Hadith 527

Hadith: Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak ki yahudiyon se tumhari jung na ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak ki yahudiyon se tumhari jung na
ho
------------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak ki yahudiyon se tumhari jung na ho , aur wo paththar bhi us waqt ( ALLAH ke hukm se) bol uthenge jiske peeche yahudi chupe hoga  ki Eh Musalman ye yahudi mere peeche chupa baitha hai isko Qatl kar de
Sahih Bukhari, Vol 4, 2926

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya qayamat qayam na hogi yahan tak ki musalman yahudiyo se ladenge phir musalman unko Qatl karenge yahan tak ki yahudi kisi paththar ya darakht ki aad mein chupega to wo paththar ya darkht bolega Eh musalman eh Allah ke bande ye mere peeche ek yahudi hai idhar aa aur use Qatl kar magar garqad ka darakht nahi bolega ( ye ek kaantedar darakht hai jo baitul muqaddas ki taraf bahut hota hai) wo yahuditon ka darakht hai
Sahih Muslim, Vol 6, 7339
------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, The Hour will not be established until you fight with the jews, and the stone behind which a jew will be hiding will say O Muslim There is a jew hiding behind me, so kill him.
Sahih Bukhari, Book 
52, Hadith 177
Abu Huraira reported ALLAH's Messenger (may peace be upon him) as saying: The last hour would not come unless the Muslims will fight against the jews and the Muslims would kill them until the jews would hide themselves behind a stone or a tree and a stone or a tree would say: Muslim, or the servant of ALLAH, there is a jew behind me; come and kill him; but the tree Gharqad would not say, for it is the tree of the jews.
Sahih Muslim, Book
#041, Hadith #6985

Hadith : Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge
--------------------

Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya  jise unhone habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhone uska tazkara Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam se bhi kiya, Aap Sallallahu alaihi wasalam ne farmaya ki unka ye Qayada tha ki agar unmein koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banate aur usmein yahi tasweerain bana dete , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge
Sahih Bukhari , Vol 1, # 427 
--------------------

English Translation:
Narrated 'Aisha may ALLAH be pleased with her :Um Habiba and Um Salama mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet Peace be upon him about it, on which he said, "If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship  at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of ALLAH on the Day of Resurrection."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 8, #419

Hadith: jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai
---------------------
Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai
Sahih Bukhari, Vol 1, 242

Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke baare mein puchte hain
Kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain aur unka Gunaah unke Nafaa se bahut bada hai
Al Quran, Al-Baqara, (2), Verse  219

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: ALLAH's Apostle  Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "All drinks that intoxicate are unlawful (to drink)."
Sahih Bukhari, Book 4, Hadith 243

Al Quran : They ask you  concerning alcoholic drink and gambling. Say: "In them is a great sin, and (some) benefit for men, but the sin of them is greater than their benefit."

Al Quran, Al-Baqara (2), Verse  219

Hadith: jisne Duniya mein sharab pi aur phir us se tauba na ki to wo aakhirat mein us se mehroom rahega

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: jisne Duniya mein sharab pi aur phir us se tauba na ki to wo aakhirat mein us se mehroom rahega
------------------------


Abdullah ibn Umar Radhi Allahu Anhu sae rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne Duniya mein sharab pi aur phir us se tauba na ki to wo aakhirat mein us se mehroom rahega (jo jannat mein peelayi jayegi)
Sahih Bukhari, Vol 7, 5575
------------------------
Narrated Ibn 'Umar: ALLAH's Apostle said, "Whoever drinks alcoholic drinks in the world and does not repent (before dying), will be deprived of it in the Hereafter."
Sahih Bukhari, Book 69, 481

Hadith:Madine se kaafir aur munafiq nikalkar Dajjal ki taraf chale jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Madine se kaafir aur munafiq nikalkar Dajjal ki taraf chale jayega
----------------------

Anas Bin malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya dajjal aayega aur madine ke kareeb ek kinare par Qayam karega phir madina 3 martaba kaanpega jis se uske andar har kaafir aur munafiq nikalkar uski taraf chala jayega
Sahih Bukhari, Vol 8, 7124

Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu : The Prophet said, "Ad-Dajjal will come and encamp at a place close to Medina and then Medina will shake thrice whereupon every Kafir (disbeliever) and hypocrite will go out (of Medina) towards him."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 239
----------------------

Abu BAkra Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Dajjal madine mein dakhil na ho sakega aur us waqt madine ke saat (7) darwaze honge aur har darwaze par do (2) farishte honge
Sahih Bukhari, Vol 8, 7125



Narrated Abu Bakra Radhi Allahu Anhu  The Prophet  Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The terror caused by Al-Masih Ad-Dajjal will not enter Medina and at that time Medina will have seven gates and there will be two angels at each gate (guarding them).
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 240 

Hadith: Qayamat se pahle bahut se chote dajjal bheje jayenge , taqreeban 30 Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Qayamat se pahle bahut se chote dajjal bheje jayenge , taqreeban 30  Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai
---------------------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak Do Azeem jamatein jung na karegi in dono jamaton ke darmiyan badi khoon-rezi hogi halanki dono ka dawah ek hi hoga (yani ek hi mazhab ko maane wale honegy ) yahan tak ki bahut se chote dajjal bheje jayenge taqreeban 30  Dajjal unmein se har ek dawah karega ki wo ALLAH ka Rasool hai yahan tak ki ilm utha liya jayega aur zalzalon ki kasrat hogi aur zamana kareeb ho jayega aur fitne zahir ho jayenge  aur harj bad jayega harj yani Qatl, yahan tak ki tumhare pass maal ki kasrat ho jayegi yahan tak ki parhzigar aur Sahab-e-maal ko ye fikr hone lag jayegi ki uska sadqa  kaun qubul karega aur yahan tak ki wo (sadqa) pesh karega magar jiske samne pesh karega wo kahega ki mujhe iski jarurat nahi aur yahan tak ki log badi badi imaraton mein aapas mein fakhr karenge , ek se ek badkar imaratein banayengey, aur yahan tak ki ek shaksh dusre ki kabr par se guzrega aur kahega ki kaash main bhi isi jagah hota  aur yahan tak ki suraj maghrib se nikal jayega , jaise ho wo (suraj) is tarah tulu hoga  aur log dekh lenege to sab log Imaan le aaayenge lekin ye wo waqt hoga jab kisi aise shaksh ko iska imaan lana fayda na dega jo pahle se imaan na laya hoga aur usne apne imaan ke saath achchay kaam na kiye hon

                        Aur Qayamat achanak is tarah qayam ho jayegi ki do aadmiyon ne apne darmiyan kapda phaila rakha hoga ise abhi bech bhi na paaye honge aur na hi lappet paye honge , aur qayamat is tarah aa jayegi ki ek shaksh apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua hoga aur abhi use pee bhi nahi paya hoga , aur qayamat is tarah qayam ho jayegi ki wo apne hauz ko durast kar raha hoga aur abhi usmein se paani bhi nahi pee sakega aur Qayamat is tarah qayam ho jayegi ki usne apna luqma munh ki taraf uthaya hoga aur abhi use khaya bhi nahi hoga
Sahih Bukhari, Vol 8, 7121

 -------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The Hour will not be established (1) till two big groups fight each other whereupon there will be a great number of casualties on both sides and they will be following one and the same religious doctrine, (2) till about thirty Dajjals (liars) appear, and each one of them will claim that he is ALLAH's Apostle, (3) till the religious knowledge is taken away (by the death of Religious scholars) (4) earthquakes will increase in number (5) time will pass quickly, (6) afflictions will appear, (7) Al-Harj, (i.e., killing) will increase, (8) till wealth will be in abundance ---- so abundant that a wealthy person will worry lest nobody should accept his Zakat, and whenever he will present it to someone, that person (to whom it will be offered) will say, 'I am not in need of it, (9) till the people compete with one another in constructing high buildings, (10) till a man when passing by a grave of someone will say, 'Would that I were in his place (11) and till the sun rises from the West. So when the sun will rise and the people will see it (rising from the West) they will all believe (embrace Islam) but that will be the time when: (As ALLAH said,) 'No good will it do to a soul to believe then, if it believed not before, nor earned good (by deeds of righteousness) through its Faith.' (6.158)

                               And the Hour will be established while two men spreading a garment in front of them but they will not be able to sell it, nor fold it up; and the Hour will be established when a man has milked his she-camel and has taken away the milk but he will not be able to drink it; and the Hour will be established before a man repairing a tank (for his livestock) is able to water (his animals) in it; and the Hour will be established when a person has raised a morsel (of food) to his mouth but will not be able to eat it."

Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 237: 

Category

Total Pageviews