Search This Blog

Autoblog

Saturday, November 28, 2015

Hadith: Mahine (month) mein ek baar sare Quran ko padh liya karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Mahine (month)  mein ek baar sare Quran ko padh liya karo

Abdullah bin Amr Radi allahu anhu Se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhse farmaya mahine (month  mein ek baar sare Quran ko padh liya karo maine arz ki mujhko to is se bhi zyada padhne ki taqat hai to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya achcha to phir saat din puara Quran padh liya karo is se zyada na padho
Sahih Bukhari, Jild 6, 5054
------------------------
अब्दुल्लाह बिन अमर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया महीने  में एक बार सारे क़ुरान को पढ़ लिया करो मैने अर्ज़ की मुझको तो इस से भी ज़्यादा पढ़ने की ताक़त है तो  आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अच्छा तो फिर सात दिन में सारा क़ुरान पढ़ लिया करो इस से ज़्यादा ना पढ़ो
सही बुखारी, जिल्द  4, 5054
--------------------------
Narrated Abdullah bin Amr Radi allahu anhu
Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said to me, "Recite the whole Qur'an in one month's time." I said, "But I have power (to do more than that)." Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Then finish the recitation of the Qur'an in seven days, and do not finish it in less than this period."

Sahih Bukhari,  Book 61, Hadith 574

Mafhum-e-Hadith: Aayat-Al-Kursi ki Fazilat

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Aayat-Al-Kursi ki Fazilat
------------------------------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe Ramazan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. (raat mein) ek shakhs achanak mere paas aaya aur galley mein se uthane laga mein ne usko pakad liya aur kaha ke Allah ki kasam main tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein le chaloon ga, is par usne kaha ke Allah ki qasam mein bahu mohtaaj hon. mere bachce hain aur mein sakht zaroorat mand hun.
Hazrat Abu hurairah radi allahu anhu ne kaha maine ( uske izhaar muaazrat par ) usko chorh diya subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujh se pucha, eh Abu Hurairah guzishta raat tumhare qaidi neh kya kya tha? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam is neh sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya, is liye mujhe is par reham aa gaya. aur mein neh usko chorh diya. Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai. aur woh phir aeye ga.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke is farmane ki wajah se mujh ko yaqeen tha ke wo phir zaroor aeyega. is liye mein is ki taak mein laga raha. 
aur jab woh doosri raat aa ke phir galla uthane laga to mein ne usko phir pakda aur kaha ke tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir karoon ga, lekin ab bhi is ki wohi iltija thi ke mujhe chorhe de, main mohtaaj hon. baal bachon ka boojh mere sir par hai. ab mein kabhi nahi aaunga. 
mujhe reham aa gaya aur mein neh usko phir chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya eh Abu Hurairah tumare qaidi ne kya kiya? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne phir iski sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya. jis par mujhe reham aa gaya. is liye mein neh usay chorhe diya.

Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi yahi farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai aur woh phir aeye ga. teesri martaba mein phir is ke intzaar mein tha ke isne phir teesri raat aa kar galla uthana shuru kya, to maine usko pakad liya, aur kaha ki tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pahunchana ab zurori ho gaya hai. ye teesra mauqa hai. har martaba tum yaqeen dilate rahe ke phir nahi aaoge. lekin tum baz nahi aeye. isne kaha ke is martaba mujhe chorhe to main tumhe aise chand kalimaat sikha dunga jis se Allah taala tumhe faida pahuchayega.
Maine poocha woh kalimaat kya hain? usne kaha, jab tum apne bistar par letnay lago to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori parh liya karo. ek nigran farishta Allah taala ki taraf se barabar tumhari hifazat karta rahega. aur subah tak shaitan tumare paas kabhi nahi aa sakega. is martaba bhi phir mein neh usko chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya, guzishta raat tumare qaidi ne tumse kya muaamla kiya? maine arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne mujhe chand kalimaat sikhaye aur yaqeen dilaya ki Allah Subhanhu mujhe is se faayda pahunchayega. isliye maine usko chorh diya. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki woh kalimaat kya hain? maine arz kiya ki usne bataya tha ki jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. Sahaba Radi allahu anhu khair ko sab se aage badh kar lene wale they.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ( unki ye baat sun kar ) farmaya ke agarche woh jhoota tha lekin tum se ye baat sach keh gaya hai Eh Abu hurairah tum ko ye bhi maloom hai ke teen raton se tumhara muaamla kis se tha? unhone kaha nahi. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke woh Shaitan tha .
Sahih Bukhari, Vol 3, 2311

---------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam deputed me to keep Sadaqat (al-Fitr) of Ramadan. A comer came and started taking handfuls of the foodstuff (of the Sadaqa) (stealthily). I took hold of him and said, "By Allah, I will take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ." He said, "I am needy and have many dependents, and I am in great need." I released him, and in the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do yesterday?" I said, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam! The person complained of being needy and of having many dependents, so, I pitied him and let him go." 

Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Indeed, he told you a lie and he will be coming again." I believed that he would show up again as Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam had told me that he would return. So, I waited for him watchfully. When he (showed up and) started stealing handfuls of foodstuff, I caught hold of him again and said, "I will definitely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam. He said, "Leave me, for I am very needy and have many dependents. I promise I will not come back again." I pitied him and let him go.

In the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do." I replied, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! He complained of his great need and of too many dependents, so I took pity on him and set him free." Allah's Apostle said, "Verily, he told you a lie and he will return."

I waited for him attentively for the third time, and when he (came and) started stealing handfuls of the foodstuff, I caught hold of him and said, "I will surely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam as it is the third time you promise not to return, yet you break your promise and come." He said, "(Forgive me and) I will teach you some words with which Allah will benefit you." I asked, "What are they?" He replied, "Whenever you go to bed, recite "Ayat-al-Kursi"-- 'Allahu la ilaha illa huwa-l-Haiy-ul Qaiyum' till you finish the whole verse. (If you do so), Allah will appoint a guard (Angel) for you who will stay with you and no satan will come near you till morning. " So, I released him. In the morning, 

Allah's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What did your prisoner do yesterday?" I replied, "He claimed that he would teach me some words by which Allah will benefit me, so I let him go." Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What are they?" I replied, "He said to me, 'Whenever you go to bed, recite Ayat-al-Kursi from the beginning to the end ---- Allahu la ilaha illa huwa-lHaiy-ul-Qaiyum----.' He further said to me, '(If you do so), Allah will appoint a guard for you who will stay with you, and no satan will come near you till morning.'

(Abu Huraira or another sub-narrator) added that they (the companions) were very keen to do good deeds. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "He really spoke the truth, although he is an absolute liar. Do you know whom you were talking to, these three nights, O Abu Huraira?" Abu Huraira said, "No." He said, "It was Satan."

Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 38, 505

Mafhum-e-Hadith: jise namaz me kuch shaq hawa nikal ne ka ho jata hai. Kya use namaz tod deni chahiye?

Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: jise namaz me kuch shaq hawa nikal ne ka ho jata hai. Kya use namaz tod deni chahiye? 


Abbas bin Tamim ne aur un se un ke uncle Abdullah bin zaid mazni Radhi allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ke samne ek aise Shakhs ka zikr aya jise namaz me kuch sak hawa nikalne ka ho jata hai. Kya use namaz tod deni chahiye? Farmaya ki Nahi. Jab tak woh aawaz na sunle ya badbu na mahsus kar le (is waqt tak namaz na tode) 

{Sahih al-Bukhari:vol:3, 2056}

-------------------------------
English translation: 


Narrated `Abbas bin Tamim that his uncle (Abdullah bin zaid mazni Radhi allahu anhu said: "The Prophet Sallallahu alaihi wasallam was asked: If a person feels something during his prayer; should one interrupt his prayer?" The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said: No! You should not give it up unless you hear a sound or smell something." 
{Sahih al-Bukhari: Vol. 3, Book 34, Hadith 272}

Hadith : Allah ke nazdeek martabe ke aitbaar se wo shakhs sab se bura hai jisko log uski bad-akhlaqi ki wajah se chorh dein

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Allah ke nazdeek martabe ke aitbaar se wo shakhs sab se bura hai jisko log uski
bad-akhlaqi ki wajah se chorh dein
---------------------------
Aisha Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se ek shakhs ne andar aane  ki Ejazat chahi to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ke usko andar bulaa lo, ye apni Qaum ka bahut hi bura aadmi hai, jab wo shakhs andar aa gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne is ke saath narmi ke sath guftagu farmayee , maine  arz kiya  Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  aap ne abhi is ke mutalliq kya farmaya tha aur phir itni narmi ke sath guftagu farmayee .to Aap Sal-Allahu Alaihi ne  farmaya, Aisha  Allah ke nazdeek martabe ke aitbaar se wo shakhs sab se bura hai jisko log uski bad akhlaqi ki wajah se chorh dein
Sahih Bukhari, Vol 7, 6131


Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ALLAH ke yahan Qayamat ke din wo log  sabse badtareen honge  jinki burayee ke darr se log unse milna chorh de.

Sahih Bukhari, Vol 7, 6032

------------------------------------------
आईशा रदी अल्लाहू अन्हा  से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम से एक शख्स ने अंदर आने  की ईजाज़त चाही तो आप साल-अल्लाहू अलैही वासल्लं  ने फरमाया के उसको अंदर बुला लो, ये अपनी क़ौम का बहुत ही बुरा शख्स  है, जब वो शख्स अंदर आ गया तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने इस के साथ नर्मी के साथ गुफ्तगू फरमाई , मैने  अर्ज़ किया  या रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  आप ने अभी इस के मुताल्लिक़ क्या फरमाया था और फिर इतनी नर्मी के साथ गुफ्तगू फरमाई तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने  फरमाया, आईशा अल्लाह के नज़दीक मर्तबे के ऐतबार से वो शख्स सब से बुरा है जिसको लोग उसकी बद-अख़लाक़ी की वजह से छोड़ दें
सही बुखारी, जिल्द  7, 6131

आएशा रदी अल्लाहू अन्हा  से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया अल्लाह के यहाँ क़यामत के दिन वो लोग सबसे बदतरीन होंगे जिनकी बुराई के डर से लोग उनसे मिलना छोढ़ दे
सही बुखारी, जिल्द 7, 6032
--------------------------------------
Narrated Aisha radi allahu anhu A man asked permission to see the Prophet SalAllahu alaihi wasallam . He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Let Him come in; What an evil man of the tribe he is ). But when he entered, the Prophet SalAllahu alaihi wasallam spoke to him gently in a polite manner. I said to him, "O Allah's Apostle! You have said what you have said, then you spoke to him in a very gentle and polite manner? The Prophet SalAllahu alaihi wasallam said, "The worse people, in the sight of Allah are those whom the people leave (undisturbed) to save themselves from their dirty language.
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 152

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said  The worst people in ALLAH's sight on the Day of Resurrection will be those whom the people leave (undisturbed) to be away from their evil (deeds)."
Sahih Bukhari, Book 73, No 59


Hadith: Dab kar marne wala shaheed hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Dab kar marne wala shaheed hai

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Shaheed paanch tarah ke hote hain taoon (ki beemari) mein halaq hone wala , pet ki beemari se marne wala , doob kar marne wala, dab kar marne wala aur Allah ke raaste mein shahadat pane wala
Sahih Bukhari, Vol 4,2829
--------------------

अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया शहीद पाँच तरह के होते हैं ताऊन (की बीमारी) में हलाक़ होने वाला , पेट की बीमारी से मरने वाला , डूब कर मरने वाला, दब कर मरने वाला और अल्लाह के रास्ते में शहादत पाने वाला
सही बुखारी, जिल्द 4,2829
--------------------
Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu :
Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Five are regarded as martyrs: They are those who die because of plague, Abdominal disease, drowning and  a falling building (one who is buried under debris) and the martyrs in Allah's Cause."

Sahih Bukhari, Book 52, Hadith 82

* Namaz mein padhe jane wale Tashahud (Attahiyat) ka tarjuma *

Bismillahirrahmanirrahim


* Namaz mein padhe jane wale Tashahud (Attahiyat) ka tarjuma *
------------------
Tashahud : At-tahiyyatu lillahi was-salawatu wat-taiyibatu . Assalamu 'Alaika aiyuha-n-Nabiyu warahmatullahi wa-barakatuhu. Assalamu alaina wa-ala ibadi-l-lahi as-salihin, Ashhadu an la ilaha illallah wa ashhadu anna Muhammadan Abdu hu wa Rasuluh.
------------------
Tashahud Tarjuma: tamam ibadatein Allah ke liye hai  aur tamam namazein  aur achchi baatein (bhi ALLAH ke liye hai) , aap par salam ho Eh Nabee (Sal-Allahu Alaihi Wasallam)  aur Allah ki rahmatein aur uski barkatein nazil hon, hum par (bhi) salam ho aur Allah ke sabhi neik bando par (bhi salam). Main gawahi deta hu ki Allah ke siwa koi mabud nahi aur gawahi deta hu ki Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) uske bande aur Rasool hain.

Sahih Bukhari, Vol 2, 1202
-----------------
तशहहुद तर्जुमा: तमाम इबादतें अल्लाह के लिए है और तमाम नमाजें और अच्छी बातें (भी  अल्लाह के लिए है) , आप पर सलाम हो एह नबी (सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) और अल्लाह की रहमतें और उसकी बरकतें नज़िल हों, हम पर (भी) सलाम हो और अल्लाह के सभी नेक बन्दों पर (भी सलाम),  मैं गवाही देता हूँ  की अल्लाह के सिवा कोई माबूद नही और गवाही देता हूँ की मुहम्मद (सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) उसके बंदे और रसूल हैं.
सही बुखारी जिल्द 2, 1202
----------------

All the compliments are for Allah and all the prayers and all the good things (are for Allah). Peace be on you, O Prophet, and Allah's mercy and blessings (are on you). And peace be on us and on the good (pious) worshipers of Allah. I testify that none has the right to be worshipped but Allah and that Muhammad is His slave and Apostle.

Sahih Bukhari, Book 22, Hadith 294

Hadith Qudsi : Allah subhaanhu farmata hai mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu

Bismillahirrahmanirrahim



Hadith Qudsi : Allah subhaanhu farmata hai mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu
---------------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai  Jisne mere kisi wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai  aur Mera banda jin jin ibadaton  se Mera Qurb hasil karta hai  (yani mere kareeb aata hai unmein se) koi ibaadat mujhko us se ziyada  pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai ( jaise Namaz Roza , Hajj , Zakat..)  Aur mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna
ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu phir jab  main us se Muhabbat karne lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis se wo sunta hai,uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath  ban jatahu jis se wo pakadta hai , uska paaw (leg) ban jata hu jis se wo
chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai  to main usko Mehfooz rakhta hu Aur main jo kaam karna chahta hu usmein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momeen bande ki Jaan nikalne mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta 
Sahih Bukhari, Vol 7, 6502 
----------------------
हदीस कुदसी : अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया
अल्लाह सूबहानहु फरमाता है  जिसने मेरे किसी वली से दुश्मनी की उसे मेरी
तरफ से एलान-ए-जुंग है और मेरा बंदा जिन जिन इबादतों से मेरा कुर्ब हासिल
करता है (यानि मेरे करीब आता है उनमें से) कोई ईबादत मुझको उस से ज़्यादा
पसंद नही है जो मैने  उस पर फ़र्ज़ की है (जैसे नमाज़,रोज़ा,हज, ज़कात..)
और मेरा बंदा फ़र्ज़  अदा करने के बाद नवाफ़िल ईबादत करके मुझसे इतना
ज़्यादा  नज़दीक हो  जाता है की मैं उस से मुहब्बत करने लग जाता हूँ फिर
जब मैं उस से मुहब्बत करने लग जाता हू तो मैं उसका कान बन जाता हूँ जिस
से वो सुनता है, उसकी आँख बन जाता हू जिस से वो देखता है , उसका हाथ
बन जाता हू जिस से वो पकड़ता है , उसका पाँव बन जाता हूँ जिस से वो
चलता है. और अगर मुझसे माँगता है तो मैं उसे देता हूँ , अगर वो किसी दुश्मन
या शैतान से मेरी पनाह का तालिब होता है तो मैं उसको महफूज़ रखता हूँ
मैं जो काम करना चाहता हूँ उसमें मुझे इतना तरद्दुद (Hesitation) नही होता जितना की मुझे अपने मोमीन  बंदे की जान निकालने में होता है वो तो मौत को पसंद नही करता और मुझे भी उसको तकलीफ़ देना अच्छा नही लगता
सही बुखारी, जिल्द 7,  6502
----------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said that , "Allah Subhanahu said, 'I will declare war against him who shows hostility to a pious worshipper of Mine. And the most beloved things with which My slave comes nearer to Me, is what I have enjoined upon him;  

 And My slave keeps on coming closer to Me through performing Nawafil (praying or doing extra deeds besides what is obligatory) till I love him, so I become his sense of hearing with which he hears, and his sense of sight with which he sees, and his hand with which he grips, and his leg with which he walks; and if he asks Me, I will give him, and if he asks My protection (Refuge), I will protect him; (i.e. give him My Refuge) and I do not hesitate to do anything as I hesitate to take the soul of the believer, for he hates death, and I hate to disappoint him." 
Sahih Bukhari, Book #76, Hadith #509 

Category

Total Pageviews