Search This Blog

Autoblog

Sunday, February 28, 2016

✦ Islamic Quiz-8 ✦

Islamic Quiz-8

Sawal: Quran kareem mein Surah An-Nisa hai, ismein An-Nisa ka matlab kya hota hai ?

A. Aurtein
B. Mard
C. Bachche
D. Farishte

E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
 
------------------------------------------------------
Quiz : There is surah in Quran name Al-Nisa, What is the mean of An-Nisa ?

A. Women
B. Men
C. Children
D. Angels

E. None of the above

F. I want to know

Correct Answer is A :


 An-Nisa ka matlab hota hai Aurtein

✦ Islamic Quiz-7 ✦

Islamic Quiz-7

Sawal: Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ye dua
الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
 
Allahumma Bismika Amutu wa Aahya kis waqt padha karte they

A. Ghar se nikalte waqt
B. Raat ko sote waqt
C. Subah ko bedar hote waqt
D. Khane se pahle

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------------------

Quiz : At which time the Prophet sallallahu alaihi wasallam used to say this dua-
الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Alhamdu lillahil-lazi 'ahyana baada ma amatana wailayhin-nushur

A.  While going out from home
B.  While going to bed for sleeping
C.  After waking  up in the morning
D.  Before eating

E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab C:

Huzefa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab
jab bedar hote (yani Neend se jagte) to ye farmate
الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Alhamdu lillahil-lazi 'ahyana baada ma amatana wailayhin-nushur
ALLAH ke liye hi tamam taarifien hain jisney humein zinda kiya, iskey baad ke isney maut taari kar di(de di) thi aur usi ki taraf lautna hai
Sahih Bukhari, Vol7,  6312

--------------------------
Narrated Hudhaifa Radi Allahu Anhu : When the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  got up (in the morning) , he used to say,

الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ
Alhamdu lillahil-ladhi 'ahyana baada ma amatana wailayhin-nushur
Praise is to ALLAH Who gives us life after He has caused us to die and to Him is the return.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 326

✦ Islamic Quiz-6 ✦

Islamic Quiz-6

Sawal: Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ye dua

اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
 
Allahumma Bismika Amutu wa Aahya kis waqt padha karte they

A. Ghar se nikalte waqt
B. Raat ko sote waqt
C. Subah ko bedar hote waqt
D. Khane se pahle

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------------

Quiz : At which time the Prophet sallallahu alaihi wasallam used to say this dua-
اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
  Allahumma Bismika Amutu wa Aahya

A.  While going out from home
B.  While going to bed for sleeping
C.  After waking  up in the morning
D.  Before eating

E. None of the above
F. I want to know


Sahi Jawab B
Huzefa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah  Sallallahu Alaihi Wasallam  jab apne bistar par let-tey to ye farmate

اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا

Allahumma Bismika Amutu wa Aahya
Ya ALLAH, tere hi naam ke saath main murda aur Zinda rahta huSahih Bukhari, Vol7,  6312

---------------------------
Narrated Hudhaifa Radi Allahu Anhu : When the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went to bed at night, he would put his hand under his cheek and then say,

اللَّهُمَّ  بِاسْمِكَ أَمُوتُ و َأَحْيَا
Allahumma bismika amutu wa ahya



Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 326

✦ Islamic Quiz-5 ✦

Islamic Quiz-5

Sawal: Hazrat Abu Bakr siddiq Radi allahu anhu ki ek beti ka nikah Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se hua tha unka kya naam hai ?

A. Aisha Radi allahu anha
B. Khadija Radi allahu anha
C. Hafsa Radi allahu anha
D. Sawda Radi allahu anha

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
------------------------------
Quiz : A daughter of Abu bakr siddiq Radi allahu anhu got married with Prophet sallallahu alaihi wasallam , what is the name of that daughter  ?

A. Aisha Radi allahu anha
B. Khadija Radi allahu anha
C. Hafsa Radi allahu anha
D. Sawda Radi allahu anha

E. None of the above

F. I want to know

Answer: C. Aisha bint Abu Bakr Radi Allahu Anhuma

✦ Islamic Quiz-4 ✦

Islamic Quiz-4

Sawal: Hazrat Umar Radi allahu anhu ki ek beti ka nikah Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se hua tha unka kya naam hai ?

A. Aisha Radi allahu anha
B. Khadija Radi allahu anha
C. Hafsa Radi allahu anha
D. Sawda Radi allahu anha

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------------

Quiz : A daughter of Umar Radi allahu anhua got married with Prophet sallallahu alaihi wasallam , what is the name of that daughter  ?

A. Aisha Radi allahu anha
B. Khadija Radi allahu anha
C. Hafsa Radi allahu anha
D. Sawda Radi allahu anha

E. None of the above

F. I want to know


Answer: C. Hafsa bint Umar Radi Allahu Anhuma

✦ Islamic Quiz-3 ✦

Islamic Quiz-3

Sawal: Inmein se kin kin ko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabira gunah kaha hai ?

A. Waldein ki nafarmani karna
B. ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna
C. Kisi ki nahaq jaan lena 
D. upar ke sabhi kabira gunah hain 

E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------------------------------------------
3. Which are the great (major) sins ?

A.They areTo join others in worship with ALLAH, 
B.To be undutiful to one's parents. 
C.To kill a person
D. Above all are major sins

E. None of the above
F. I want to know



Sahi jawab D
Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se bade (kabira ) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 

1. ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, 
2. Waaldein ki nafarmani karna, 
3. Kisi ki (nahaq) jaan lena , 
4. aur Jhooti gawahi dena. 
Sahih Bukhari, Vol 4,2653
-------------------------

The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was asked about the great sins He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "
1.They areTo join others in worship with ALLAH, 
2.To be undutiful to one's parents. 
3.To kill a person 
4.and to give a false witness." 
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 48, No. 821

✦ Islamic Quiz-2 ✦

Islamic Quiz-2

Sawal:  inmein se Wo kaunse Nabi hain jinke dada bhi nabi hain aur walid bhi nabi hain aur unke bete bhi nabi hain 
A. Musa Alaihi salam
B. Yaqub Alaihi salam
C. Ibrahim Alaihi salam
D. Nooh Alaihi salam

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------
Quiz:  What is the name of that prophet whose son , father and grand father is also prophet ?
A. Musa Alaihi salam
B. Yaqub Alaihi salam
C. Ibrahim Alaihi salam
D. Nooh Alaihi salam

E. None of the above

F. I want to know


jawab:  B. Yaqub alaihi salam 
unke dada ibrahim alaihi salam bhi nabi hain aur unke walid ishaq alaihi salam bhi nabi hai aur unke bete Yusuf  alaihi salam bhi nabi hain
-------------------------


Answer: B Yaqub Alaihi salam
His son Yusuf alaihi salam is prophet
His Father Ishaq alaihi salam is also prophet
and his grand father ibrahim alaihi salam is also prophet

✦ Islamic Quiz-1 ✦

 Islamic Quiz -1

Sawal: Quran mein Surah At-Taubah ki aayat no. 40 mein Allah subhanahu ne farmaya hai 
إِذْ هُمَا فِي الْغَارِ إِذْ يَقُولُ لِصَاحِبِهِ لَا تَحْزَنْ إِنَّ اللَّهَ مَعَنَا
"jab wo dono Gaar mein the us waqt wo (Rasool-Allah  Sallallhu-Alaihi-Wasallam) apne rafeeq (sahaba radi alahu anhu) ko tasalli dete they ki Gam na karo Allah hamare saath hai"
us waqt gaar mein Rasool-Allah  Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke saath kaunse sahaba they

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------


Quiz : There is a verse in Surah Tauba (8) verse no 40, in which Allah says that

" AL Quran : when they were in the cave, he (Peace be upon him) said to his companion 
"Be not sad (or afraid), surely Allah is with us. 

What is the name of that companion who was present in the cave with prophet peace be upon him

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab:
A. Hazrat Abu bakr siddiq radi allahu anhu

Al Quran: Agar tum unki ( Rasool-Allah ki) madad nahi karogey to Allah unka Madadgar hai (wo waqt yaad karo) jab unko kafiron ne ghar se nikal diya (us waqt) do mein(ek Abu Bakr they) aur Dusrey ( khud Rasoollallah they) jab wo dono Gaar mein they us waqt wo (Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam) apney rafeeq ko tasalli detey they ki Gam na karo Allah hamarey saath hai
Al Quran, Surah At-Taubah, Chapter #9, Aayah #40

Hadith: Abu Bakr Siddiq Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki hum gaar mein they aur Mainey Mushriko ke paanw dekhey apney siron par, mainey arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam agar unmein se koi apney qadmo ki taraf dekhey to humko dekh lega Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Eh Abu Bakr tu kya samjhta hai un dono ko, jinkey saath teesra ALLAH bhi hai
Sahih Muslim - Vol6 - 6169


Al Quran: If you help him (Muhammad Peace be upon him ) not , for Allah did indeed help him when the disbelievers drove him out, the second of the two; when they (Muhammad Peace be upon him and abu bakr Radi-Allahu-Anhu ) were in the cave, he (Peace be upon him) said to his companion 
"Be not sad (or afraid), surely Allah is with us.
Al Quran, At-Taubah, Chapter #9, Verse #40

Hadith: Abu Bakr Siddiq may Allah be pleased with him reported I saw the feet of the polytheists very close to us as we were in the cave. I said: Allah's Messenger, if one amongst them were to see at his feet he would have surely seen us. Thereupon Prophet Peace be upon him said: Abu Bakr, what can befall twain who have Allah as the third One with them.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5868


Al Quran : Aur Allah ek aisee basti ki misaal bayan farmata hai jahan har tarah ka aman tha


 Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran :  Aur Allah ek aisee basti ki misaal bayan farmata hai jahan har tarah ka aman tha uski Rozi faragat ke saath har jagah se chali aati thi phir (unhoney) Allah ke ehsaano ki nashukri ki phir Allah ne unke burey kaamon ke sabab se jo wo kiya kartey they , ye maza chakhaya ki un par faqa aur khauff aa gaya.
AL Quran,  Surah An Nahl (16),  Verse : 112
 ------------
और अल्लाह एक ऐसी बस्ती की मिसाल बयान फ़रमाता है जहाँ हर तरह का अमन थे उसकी रोज़ी  फ़राग़त के साथ हर जगह से चली आती थी फिर (उन्होंने ) अल्लाह के एहसानो की नाशुक्री की फिर अल्लाह ने उनके बुरे कामों के सबाब से जो वो किया करते थे , ये मज़ा चखाया की उन पर फ़ाक़ा और खौफ आ गया।
अल -क़ुरआन , सूरह नहल (16 ), आयत 112
  ------------

And Allah puts forward the example of a township  that dwelt secure and and well-content  its provision coming to it in abundance from every place, but it (its people) denied the Favours of Allah (with ungratefulness). So Allah made it taste extreme of hunger (famine) and fear, because of that (evil ) which they (its people) used to do .

AL Quraan,  Surah An Nahl (16),  Verse : 112

Hadith: jab Imam Sami Allahu leman hamedah kahe to tum Allahumma Rabbana lakal Hamd kaho kyunki……

Hadith: jab Imam Sami Allahu leman hamedah kahe to tum Allahumma Rabbana lakal Hamd kaho kyunki…….
------------------------

Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab Imam (سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ‏) Sami Allahu leman hamedah kahe to tum(اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ) Allahumma Rabbana lakal Hamd kaho kyunki jiska ye kahna farishto ke kahne ke saath hoga to uske pichle tamam gunah bakhsh diye jayenge

Sahih Bukhari,  Jild 1, 796
 ------------------------
अबू हुरैरह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया जब ईमाम  (سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ‏) समी अल्लाहू लेमन हामेदा कहे तो तुम (اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ) अल्लाहुम्मा रब्बना लकल  हम्द  कहो क्यूंकी जिसका ये कहना फरिश्तों  के कहने के साथ होगा तो उसके पिछले तमाम गुनाह बख़्श दिए जाएँगे
सही बुखारीजिल्द 1, 796

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu  Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam  said, When the Imam says, Sami Allahu liman hamidah  you should say, Allahumma Rabbana lakal-hamd. And if the saying of any one of you coincides with that of the angels, all his past sins will be forgiven.

Sahih Bukhari,  Book 12, Hadith 762

Hadith : jo bhi haraf tum surah fatiha aur surah baqara ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : jo bhi haraf tum surah fatiha aur surah baqara ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
------------
Abdullah bin Abbas Radi allahu anhu ne kaha ki ek din jibril alaihi salam Nabi Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke paas baithe huye they ki ek bade zor ki aawaz darwaza khulne ki suni aur apna sir uthaya , to jibril alaihi salam ne kaha ki ye ek darwaza hai aasman ka jo aaj khula hai aur us se pahle kabhi nahi khula phir us se ek farishta utra jibril alaihi salam ne kaha ki ye farishta jo zameen par utra hai wo aaj se pahle kabhi nahi utra aur phir usne kaha ki khushkhabri ho aapko do nooro ki jo aapko inayat huye hain aur ye aapki siwa kisi aur nabi ko nahi mile ek surah fatiha hai aur dusri surah baqara ki aakhri aayatein , aur jo bhi haraf tum usmein se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
Sahih Muslim, Jild 2, 1877

Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009 
---------------
Note : is hadith ka mafhum ye hai ki surah fatiha mein jo dua hai aur surah baqara ki aakhri aayaton mein jo dua hai wo isko padhne se qubul hogi ------------
अब्दुल्लाह बिन अब्बास रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की एक दिन जिब्रिल अलैही सलाम नबी सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम के पास बैठे हुए थे की एक बड़े ज़ोर की आवाज़ दरवाज़ा खुलने की सुनी और अपना सिर उठाया , तो जिब्रिल अलैही सलाम ने कहा की ये एक दरवाज़ा है आसमान का जो आज खुला है और उस से पहले कभी नही खुला फिर उस से एक फरिश्ता उतरा जिब्रिल अलैही सलाम ने कहा की ये फरिश्ता जो ज़मीन पर उतरा है वो आज से पहले कभी नही उतरा और फिर उसने कहा की खुशख़बरी हो आपको दो नूरों की जो आपको ईनायत हुए हैं और ये आपके सिवा किसी और नबी को नही मिले एक सुराह फातिहा है और दूसरी सुरह बक़रा की आखरी आयतें , और जो भी हरफ़ तुम उसमें से पढ़ोगे तो उसकी माँगी हुई चीज़ तुम्हे ज़रूर मिलेगी
सही मुस्लिम, जिल्द 2, 1877

अब्दुल्लाह इब्न मसूद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसने सुरह अल-बक़रा की दो आखरी आयतें रात में पढ़ ली वो उसके लिए काफ़ी हो जाएगी (आफ़त से बचने के लिए)
सही बुखारी, जिल्द 6, 5009
----------------------------

Ibn Abbas Radi allahu anhu reported that while Gabriel was sitting with the Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam he heard a creaking sound above him. He lifted his head and said: This As a gate opened in heaven today which had never been opened before. Then when an angel descended through it, he said: This is an angel who came down to the earth who had-never come down before. He greeted and said: Rejoice in two lights given to you which have not been given to any prophet before you: Fatihat al-Kitab (Surah fatiha) and the concluding verses of Suarah al-Baqara. You will never recite a letter from them for which you will not be given (a reward).( it means whatever you will recite from them you will be given )
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1760

Narrated Abu Mas ud Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night,
that will be sufficient for him.
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530

✦ Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye
----------------------------
Zaid bin khalid jahni Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne humein Hudebiya mein subah ki namaz padhayee aur raat ko barish ho chuki thi , namaz se farig hone ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ne logo ki taraf munh kiya aur farmaya , malum hai tumhare RAB ne kya farmaya hai , logon ne kaha ki Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam  khoob jante hain ,Aap ne farmaya ki tumhare RAB ka irshad hai ki subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye jisne kaha ki Allah ke fazal aur rahmat se hamare liye barish huyee to wo mera momeen hai aur sitaro ka munkir hai aur jisne kaha ki falah sitare ki falah jagah par aane se barish huyee to wo mera munkir hai(yani mujhse kufr kiya)  aur sitaro ka momeen hai (yani sitaro par iman rakhne wala hai)
Sahih Bukhari,  Jil1, 846

ज़ैद बिन खालिद अल-जुहानी  रदी अल्लाहू अन्हु  से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने हूमें हुदेबिया में सुबह की नमाज़ पढ़ाई और रात को बारिश हो चुकी  थी , नमाज़ से फारिग होने के बाद  आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने लोगो की तरफ मुँह किया और फरमाया , मालूम है तुम्हारे रब ने क्या फरमाया है , लोगों ने कहा की अल्लाह और उसके रसूल सललल्लाहू अलैही वसल्लम खूब जानते हैं ,आप ने फरमाया की तुम्हारे ऱब का इरशाद है की सुबह हुई तो मेरे कुछ बंदे मोमीन  रहे और कुछ काफ़िर हो गये जिसने कहा की अल्लाह के फ़ज़ल और रहमत से हमारे लिए बारिश हुई तो वो मेरा मोमीन है और सितारो का मुनकीर है और जिसने कहा की फ़लाह सितारे की फ़लाह जगह पर आने से बारिश हुई तो वो मेरा मुनकीर है(यानी मुझसे कुफ्र किया)  और सितारो का मोमीन है (यानी सितारो पर ईमान रखने वाला है)
सही बुखारीजिल्द 1, 846
---------------------------------
 Narrated Zaid bin Khalid Al-Juhani Radi Allahu Anhu 
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam   led us in the Fajr prayer at Hudaibiya after a rainy night. On completion of the prayer, he faced the people and said, "Do you know what your Lord has said (revealed)?" The people replied, "Allah and His Apostle Sallallahu Alaihi wasallam  know better." He said, "Allah has said, 'In this morning some of my slaves remained as true believers and some became non-believers; whoever said that the rain was due to the Blessings and the Mercy of Allah had belief in Me and he disbelieves in the stars, and whoever said that it rained because of a particular star had no belief in Me but believes in that star.' "
Sahih Bukhari,   Book 12, Hadith 807

✦ Shahar-e-Madina ki Azmat

Bismillahirrahmanirrahim

Shahar-e-Madina ki Azmat
-----------

Abu Hurirah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasool-AllahuSal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Madine ke raaston par farishte hain na ismein taoon( plague ki beemari) aa sakti hai aur na dajjal
Sahih Bukhari, Vol 3, 1880

Anas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh ALLAH jitni makka mein barkat ata farmayee hai madiney mein us sey Duguni barkat ata farma.
Sahih Bukhari, Vol 3, 1885

Aisha Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ya Allah hamare Dilon mein madine ki Muhabbat is tarah paida kar de jaise makka ki muhabbat hai bulki is sey bhi ziyada
Sahih Bukhari, Vol 3, 1889

Hadith: Zaid bin Aslam Radhi Allahu Anhu ne apne walid se suna ki Hazrat umar Radhi Allahu Anhu ye kaha karte they Ya ALLAH mujhe tere raaste mein Shahadat naseeb farma aur tere Rasool Sallallahu Alalihi Wasallam ke shahar (Madina) mein maut naseeb farma
Sahih Bukhari, Vol 3 , 1890

----------
अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मदीने के रास्तों पर फरिश्ते हैं ना इसमें ताऊन( प्लेग की बीमारी) आ सकती है और ना दज्जाल 
सही बुखारी, जिल्द 3, 1880


अनस रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया एह अल्लाह जितनी मक्का में बरकत आता फरमाई है मदीने में उस से दुगुनी बरकत अता फरमा 
सही बुखारी, जिल्द 3, 1885


आईशा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया या अल्लाह हमारे दिलों में मदीने की मुहब्बत इस तरह पैदा कर दे जैसे मक्का की मुहब्बत है बल्कि इस से भी ज़ियादा
सही बुखारी, जिल्द 3, 1889

हदीस: ज़ैद बिन असलम रदी अल्लाहू अन्हु ने अपने वालिद से सुना की हज़रत उमर रदी अल्लाहू अन्हु ये कहा करते थे या अल्लाह मुझे तेरे रास्ते में शहादत नसीब फरमा और तेरे रसूल सललल्लाहू अलैही वसल्लम के शहर (मदीना) में मौत नसीब फरमा 
सही बुखारी, जिल्द 3, 1890

----------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "There are angels guarding the entrances (or roads) of Medina, neither plague nor Ad-Dajjal will be able to enter it.
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 30, No. 104


Narrated Anas Radi allahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "O ALLAH! Bestow on Medina twice the blessings You bestowed on Mecca.
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 30, No. 109


Narrated Aisha Radi Allahu Anha Allah's Apostle Peace be upon him said, "O Allah! Make us love Medina as we love Mecca or even more than that
Sahih Bukhari, Book #30, 113



Narrated Zaid bin Aslam from his father umar Radhi Allahu Anhu said, O ALLAH! Grant me martyrdom in Your cause, and let my death be in the city of Your Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam .
Sahih Bukhari, Book #30, 114

✦ Mafhum-e-Hadith: juma ek din ek khas waqt hota jab jo bhi khair ki dua maango qubul hoti

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: juma ek din ek khas waqt hota jab jo bhi khair ki dua maango qubul hoti
------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (Yani Rasool-Allah) Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma mein ek ghadi aisee aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega
Sahih Bukhari, Jild 6, 5294


Jabir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma ka din 12 ghante ka hai jisme koi momeen banda Allah subhanahu se kuch mange to Allah usko jarur ata farmate hai , tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talas karo
Sunan Nasaii, Vol 1,1392-Sahih


Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Juma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo
Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471-Sahih
------------------
अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की अबू अल-क़ासिम (यानी रसूल-अल्लाह) 
सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ज़ूमा में एक घड़ी ऐसी आती है की जो मुसलमान भी उस वक़्त खड़ा होकर नमाज़ पढ़े और अल्लाह से कोई खैर माँगे तो अल्लाह सुबहानहु उसको ज़रूर देगा
सही बुखारी, जिल्द 6, 5294


जाबिर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ज़ूमा का दिन 12 घंटे का है जिसमे कोई मोमीन बंदा अल्लाह सुबहानहु से कुछ माँगे तो अल्लाह उसको ज़रूर अता फरमाते है , तुम लोग उसको असर के बाद आखरी वक़्त में तलाश करो
सुनन नसाई, जिल्द1,1392-सही


अनस बिन मलिक रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया ज़ूमा के दिन (दुआ क़ुबूल होने की) वो मुबारक घड़ी को असर और गुरुब ए आफताब (यानि मगरिब) के दरमियान तलाश करो
जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 1, 471-सही
------------------
Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu :Abul Qasim (the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) said, "There is an hour (or a moment) of particular significance on Friday. If it happens that a Muslim is offering a prayer and invoking Allah for some good at that very moment, Allah will grant him his request." 
Sahih Bukhari, Book 63, Hadith 216


It was narrated from Jabir bin Abdullah Radi allahu anhu that:The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: "Friday is twelve hours in which there is no Muslim slave who asks Allah for something but He will give it to him, so seek it in the last hour after Asr.
Sunan Nasaii, Book 14, Hadith 139-Sahih


Anas bin Malik Radi allahu anhu narrated that :the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: "Seek out the hour that is hoped for on Friday after Asr until the sun has set."
Jamia Tirmidhi , Book 4, Hadith 489-Sahih

Category

Total Pageviews