Search This Blog

Autoblog

Wednesday, May 26, 2021

✦: Hadith : Bait ul Muqaddas (Masjid e Aqsa) aur uske qareeb ka giroh Qayamat tak deen par sabit qadam aur dushman par galib rahega

  


Bismillahirrahmanirraheem

✦: Hadith : Bait ul Muqaddas (Masjid e Aqsa) aur uske qareeb ka giroh Qayamat tak deen par sabit qadam aur dushman par galib rahega
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ka ek giroh Qayamat tak deen par sabit qadam aur dushman par galib rahega unse ikhtalaf karne wale unka kuch na bigad sakenge siwaye uske ke unhein kuch maashi tangdasti (Rizq aur maal ki kami) ka samna karna padhe, aur wo usee halat par honge yaha tak ke Allah subhanahu ka hukm aa jayega   Sahaba Radi Allahu Anhuma ne kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam wo kaha honge Aap Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya wo Bait ul muqaddas  (Masjid e Aqsa) aur uske aas paas honge
Masnad Ahmed - 12494
-----
رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: میری امت کا ایک گروہ قیامت تک دین پر ثابت قدم  اور دشمن پر غالب رہے گا، ان سے اختلاف کرنے والے ان کا کچھ نہ بگاڑ سکیں گے، سوائے اس کے کہ انہیں کچھ معاشی تنگدستی کا سامنا کرنا پڑے،  اوروہ اسی حالت پر ہوں گے یہاں تک کہ اللہ تعالیٰ کا حکم آجائے گا۔  صحابہ نے کہا: اے اللہ کے رسول! وہ کہاں ہوں گے؟ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: وہ بیت المقدس اور اس کے آس پاس  ہوں گے۔
مسند احمد ١٢٤٩٤ 
----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मेरी उम्मत का एक गिरोह क़यामत तक दीन पर साबित क़दम और दुश्मन पर ग़ालिब रहेगा , उनसे इख्तालाफ़ करने वाला उनका कुछ भी बिगाड़ नहीं सकेंगे सिवाए उसके की उन्हें कुछ माशी तंगदस्ती ( रिजक और माल की कमी ) का सामना करना पढ़े , और वो उसी हालत पर होंगे यहाँ तक की अल्लाह सुबहानहु का हुक्म आ जाएगा  , सहाबा रदी अल्लाहु अन्हुमा ने कहा या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम वो कहाँ होंगे आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया वो बैत अल-मुक़द्दस और उसके आस पास होंगे 
मसनद अहमद - 12494
----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said A group among my Ummah will continue to follow the truth and will prevail (will be powerful) and those who oppose them will not be able to harm them except that they may face some Economic hardship and they will be in such condition till Allah's Order (The Hour) will come , Sahaba Radi Allahu Anhuma asked Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam where will they be? He Sallallahu Alaihi wasallam said they will be near Bait ul muqaddas (Masjid e Aqsa) and around it
Masnad Ahmed - 12494


Monday, May 17, 2021

Hadith : Darakht ya pattarkahega Eh Musalman mere peeche ye ek yahudi hai issko qatl kar de

*Bismillahirrahmanirraheem*

✦: *Hadith : Darakht ya pattarkahega Eh Musalman  mere peeche ye ek yahudi hai issko qatl kar de*
----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat qayam nahi hogi yaha tak ke muslman yahudiyon ke khilaf jung ladenge aur muslman unko qatl karenge yaha tak ke yahudi darakht ya patthar ke peeche chupega aur patthar ya darakht kahega Eh Musalman Eh Allah ke bande mere peeche ye ek yahudi hai idhar aa issko qatl kar de siwaye Gharqad ke darakht ke ( wo nahi kahega) kyu ke wo yahud ka darakht hai
Sahih Muslim - 2922
----
رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  نے فرمایا قیامت قائم نہیں ہوگی ، یہاں تک کہ مسلمان یہودیوں کے خلاف جنگ لڑیں گے اور مسلمان ان کو قتل کریں گے حتیٰ کہ یہودی درخت یا پتھر کے  پیچھے چھپے گا اور پتھر یا درخت کہے گا : اے مسلمان!اے اللہ کے بندے!میرے پیچھے یہ ایک یہودی ہے ادھر آ  اس کوقتل کردے ، سوائے غرقد کے درخت کے ( وہ نہیں کہے گا )  کیونکہ وہ یہود کا درخت ہے ۔

صحیح مسلم - ٢٩٢٢
----
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया क़यामत उस वक़्त तक कायम नहीं होगी जब तक की मुसलमान यहूदियों के ख़िलाफ़ जंग लड़ेंगे और मुसलमान उनको क़त्ल करेंगे यहाँ तक की यहूदी दरख़्त या पत्थर के पीछे छुपेगा और  दरख़्त या पत्थर कहेगा एह मुस्लमान एह अल्लाह के बन्दे मेरे पीछे एक यहूदी है इधर आ और इसको क़त्ल कर दे , सिवाए ग़रक़द के दरख़्त के (वो नहीं कहेगा) क्यूंकि वो यहूदियों का दरख़्त है
सही मुसलिम - 2922

----
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said The last hour would not come unless the Muslims will fight against the Jews and the Muslims would kill them until the Jews would hide themselves behind a stone or a tree and a stone or a tree would say: Muslim, or the servant of Allah, there is a Jew behind me; come and kill him; but the tree Gharqad would not say, for it is the tree of the Jews.
Sahih Muslim - 2922
----
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said The last hour would not come unless the Muslims will fight against the Jews and the Muslims would kill them until the Jews would hide themselves behind a stone or a tree and a stone or a tree would say: Muslim, or the servant of Allah, there is a Jew behind me; come and kill him; but the tree Gharqad would not say, for it is the tree of the Jews.
Sahih Muslim - 2922

 

Tuesday, May 11, 2021

🌹 Allah ki baargaah mein Hamd ke saath ek khubsurat Dua ❣️

 🌹 Allah ki baargaah mein Hamd ke saath ek khubsurat Dua ❣️

------------

•Ya ALLAH Tere liye Hamd hai , tu zameeno aur Aasmaano ka noor hai, tu zameen aur aasmaano aur jo kuch usmein hai un sab ka RABB hai, un sab ka MALIK hai


• Ya ALLAH Tu sachcha hai, Tera waada  sachcha hai, Teri baatein sachchi hai , Tujhse milna Haq hai, teri jannat haq hai, teri Dozakh haq hai aur Qayamat bhi Haq hai ,... tere sarey Nabi sachchey hain aur Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam bhi haq hain

• Ya ALLAH hum tujh par Imaan latey hain, tujhi se madad maangtey hain

• YA ALLAH hamare un gunaaho ko maaf farma de jo hum kar chukey hain aur jo gunah humse aagey honey waley hain, Jo Gunah humney chip kar kiye aur jo khullam khulla kiye ub sab gunaahon ko bhi maaf farma de


• Beshak tu hi mera RABB hai tere siwa koi ibaadat ke layaq nahi , Ya Allah tere hi liye hamd hai tuney hamein banaya aur Hidayat ata farmayee aur ilm ata farmaya


• Ya ALLAH, Ya Rahman, Ya Raheem, Ya Ghaffar, Ya Hayyu, Ya Qayyum Ya Malik-Al -Mulk Beshak mulk tera hai , baadshahi teri hai, Jisey chahey tu izzat deta hai aur jisey chahey tu zillat deta hai


•Ya ALLAH Tu bemisaal hai , tere jaisa koi nahi tu har cheez par Qadir hai , Zameen aur Aasman mein jo kuch bhi hai wo sab teri tasbeeh bayan karte hain, Tu sabse behtar maula aur sabse behtar madadgaar hai


•Ya ALLAH Hum teri waisey taraif nahi kar saktey jaisey tuney ki hai, teri izzat aur tera muqam buland hai,Ya Allah Humein tere pyare Habib jisey tune Rahmatul lil alameen bana kar bheja hai unki shafa'at naseeb farma


•Ya ALLAH Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki sari ummat par raham farma 


•Ya ALLAH hamein hidayat ata farma beshak tu hi sabse behtar hidayat dene wala hai


•Ya ALLAH tu maaf karne wala aur maaf karne ko pasand karta hai so hamare gunaah maaf farma de.


•Ya Raheem Humen maaf farma, Ya Kareem Maaf farma


•Ya ALLAH Quran ko hamare Dilon ki bahar aur Seene  ka Noor bana de


•Ya ALLAH humko un logon ke jaisa bana de jo tera Quran padhte aur us par amal karte hain


•Ya ALLAH hum aisey Dil se panaah chahte  hai jo tujhse na darta ho aur jismein teri muhabbat na ho


•Ya ALLAH humein aisey logon se dur rakhna jo humein tujhse aur tere Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam se dur kar dete hain


• Ya ALLAH humko aur hamare gharwalon ko Corona aur dusri buri beemariyon aur waba se bacha


• Ya ALLAH teri raah mein zuban par kalma e shadat ke saath shahadat ki maut naseeb farmana


•Ya ALLAH humko, hamare walidein ko , Bahan Bhai ko aur sare Rihsteydaaron ko Jannatul Firdous ata farma 


•Ya ALLAH hum tujhse Maut ki sakhtiyon se panaah maangte hai 


•Ya ALLAH Ya Rabb  humein marte waqt Tera Kalma Naseeb farma


•Ya ALLAH humein Qabr ke andheron aur Sakhtiyon aur azab se bacha lena


•Ya ALLAH hume pool sirat par se bijli ki tezi se bhi tez guzar dena


•Ya ALLAH humein aisa bana de  jaisa tujhe pasand ho


•Ya ALLAH humein tere Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnaton par amal karney wala bana de


•Ya ALLAH hum bahut kamzor hain humein baar baar shaitan gumraah kar deta hai magar tu har cheez par Qadir hai , Ya RABB  humein Shaitan ki buraai se mehfooz farma de


•Ya ALLAH Ummat-e-Muslimah aur khas karke tere Mujahidon ki Madad farma 


•Ya ALLAH hamare gunaho par hamari pakad na farma ,


•Ya ALLAH ummat ki Maa aur Bahno ko Pardey aur haya wali bane de


•Ya ALLAH hamara Khatma bil khair aur Imaan ke saath karna


•Ya ALLAH baroz-e-Hashr tere arsh ka saya ata farmana jab uskey siwa koi saaya nahi hoga


•Ya ALLAH tu humse Raazi ho ja aur Qayaamat ke din tera deedar ata farmana


•Ya ALLAH baar baarr Hajj aur Umrah karne ki taufiq ata farma 


• Ya ALLAH maut se pahle khawab mein tere Pyare Habib Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam ka Deedar ata farma de aur humko unki aisee Muhabbat ata farma de ki  Hashr ki pareshaniyon mein wo humein pahchaan le aur apne pyare haathon se kauther ka jaam ata farma de


•YA ALLAH beshak tujhe maalum hai ki hamarey Haq mein kya behtar hai jo kuch bhi maange hai usey ata farma de aur jo maangney

 se rah gaya hai woh bhi ata  farma de


•Ya ALLAH  Ya RABB hamein Duniya mein bhi bhalayi ata farma aur Aakhirat mein bhi bhalayi ata farma aur hamein Dozakh ke azaab se bacha 


• Rabbana Wa Taqabbal duaa

• Eh hamare RAB meri Dua Qubul farma.


ÀAMEEN


اللهم صلى على محمد وعلى آل محمد

Allahumma salli alaa Muhammad wa ala aali Muhammed

Thursday, May 6, 2021

Hadith: Shab e Qadr 27 raat hai


Bismillahirrahmanirraheem

Hadith: Shab e Qadr 27 raat hai
---------
✦: Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Ek admee RasoollAllah Sallallahu Alaihi wasallam  ki khidmat mein aaya aur usne Arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam main budha aur beemar aadmee hu mere liye qayam karna mushkil hai lihaza Aap mere liye (in das raaton mein se ) kisi ek raat ko muqarrar kar dein shayad Allah subhanahu mujhe usmein Shab e Qadr ke sawab se nawaz de Aap Sallallahu Alahih wasallam ne farmaya Saatwee yani 27 (raat ka ehtamam karo)
Musnad Ahmed - 4047-Sahih

✦: Muawiyah bin Abu Sufyan Radi Allahu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Shab e Qadr 27 Raat hai
Sunnan e Abu Dawood-1386-Sahih
---------
 عبد اللہ بن عباس ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے کہ ایک آدمی رسول الله صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم  کی خدمت میں آیا اوراس نے عرض کیا یا رسول الله صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم  میں بوڑھا اوربیمار آدمی ہوں، میرے لیے قیام کرنا مشکل ہے، لہذا آپ میرے لیے( آخری دس راتوں میں سے ) کسی ایک رات  کو مقرّر کر دیں، شاید اللہ تعالیٰ مجھے اس میں شب ِ قدر کے ثواب سے نواز دے۔ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  ساتویں یعنی ستائیسویں (رات کا اہتمام کرو)
مسند احمد ٤٠٤٧ - صحیح 

رسول الله صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم نے  فرمایا شب قدر ستائیسویں رات ہے ۔ 
سنن ابو داوود ١٣٨٦-صحیح 
---------
✦: अब्दुल्लाह बिन अब्बास रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की एक आदमी रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की खिदमत में आया और उसने अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम मैं बूढ़ा और बीमार आदमी हूँ , मेरे लिए क़याम करना मुश्किल है इसलिए आप मेरे लिए (इन आखरी दस रातों में से) किसी एक रात को मुक़र्रर कर दें शायद अल्लाह सुबहानहु मुझे उसमें शब ए क़द्र के सवाब से नवाज़ दे ये सुनकर आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फ़रमाया सातवी यानि 27 ( रात का एहतमाम करो) 
मसनद अहमद 4047-सही 

✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया शब ए कद्र 27 वी रात है 
सुनन अबू दाउद 1386-सही 
---------
✦: Narrated by Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu that a person came to the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam and said I am an old and sick person so its too hard for me to perform Qayam Al Lail  (Staying in the night for the sake of Allah) , kindly single out a night for me (among the last 10 nights of Ramdan) , I hope Allah may  grant me the benifits of the Lailatul Qadr (night of destiny) in that night ,Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said Seventh ( It means Perform Qayam in Seventh Night which is 27 night of Ramdan) 
Musnad Ahmed - 4047-Sahih

✦: Narrated Muawiyah bin Abu Sufyan Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said Lailat al-qadr is the twenty-seventh night (of Ramadan) 
Sunnan e Abu Dawood-1386-Sahih



✦: Mafhum e hadith : Is Ummat ko zyada Sawab kamane ke liye Shab e Qadr Ata kar di gaye

 

Bismillahirrahmanirraheem

✦: Mafhum e hadith : Is Ummat ko zyada Sawab kamane ke liye Shab e Qadr Ata kar di gaye
-------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko guzishta yani pichli ummaton ki umrein dikhayee gayee ya us bare mein jo Allah subhanahu ne chaha dikhaya to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne apni ummat ki umar ko chota khayal farmaya ke wo kam umar ki wajah se iss tarah zyada aamal na kar sakenge jis tarah dusri ummaton ke log apni lambi umar ki wajah se kar payenge toh Allah subhanahu ne Aap Sallallahu Alahih Wasallam ko Shab e Qadr ata farma di jo hazar mahino se bhi afzal hai
Muwatta Malik Hadith 16-Sahih
-------
رسول الله صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم  کو گزشتہ امتوں کی عمریں دکھائی گئیں یا اس بارے میں جو اﷲ تعالیٰ نے چاہا دکھایا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنی امت کی عمروں کو چھوٹا خیال فرمایا کہ وہ کم عمروں کی وجہ سے اس طرح زیادہ اعمال نہ کر سکیں گے جس طرح دوسری امتوں کے لوگ اپنی لمبی عمر کی وجہ سے کر پائیں گے تو اﷲ تعالیٰ نے آپ صلی اللہ علیہ وسلم کو شبِ قدر عطا فرما دی جو ہزار مہینوں سے بھی افضل ہے۔
 موطأ الإمام مالك حدیث -16 صحیح 
-------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम को पिछली उम्मतों की उमरें दिखाई गयी या उस बारे में जो अल्लाह सुबहानहु ने चाहा दिखाया तो आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने अपनी उम्मत की उमरों छोटा ख़याल फ़रमाया की वो कम उमरों की वजह से इस तरह ज़्यादा आमाल ना कर सकेंगे जिस तरह दूसरी उम्मतों के लोग अपनी लम्बी उमर की वजह से कर पाएंगे तो अल्लाह सुबहानहु ने आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम को शब ए कद्र अता फरमा दी जो हज़ार महीनों से भी अफज़ल है 
मुवत्ता मालिक , हदीस 16- सही  
-------
✦:  Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam was shown the lifespans of the people (who had gone) before him, or what Allah willed of that, and it was as if the lives of the people of his community had become too short for them to be able to do as many good actions as others before them had been able to do with their long lives, so Allah gave him Laylat al- Qadr, which is better than a thousand months.
Muwatta Malik Hadith 16-Sahih


Category

Total Pageviews