Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label ✦Islamic Quiz✦. Show all posts
Showing posts with label ✦Islamic Quiz✦. Show all posts

Sunday, June 28, 2020

✦ Hadith : Takleef dene wali cheez ko raaste se hata dena bhi iman ka hissa hai

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Takleef dene wali cheez ko raaste se hata dena bhi iman ka hissa hai
-----
✦ Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya imaan ki 60 se kuch upar ya 70 hissey hain jismein sabse kam takleef dene wali cheez ko raaste se hata dena hai aur sabse ziyada La ilaha illAllah kahna hai aur haya bhi Imaan ka hissa hai
Sunan Ibn Majah, 57 -Sahih
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ایمان کے ساٹھ  سے کچھ اپر یا ستر حصّے ہیں، ان میں سے سب سے کم  تکلیف دینے والی  چیز کو راستے سے ہٹا دینا  ہے، اور سب سے 
زیادہ  لا إله إلا الله  کہنا ہے، اور حیاء  بھی ایمان کا ایک حصّہ ہے 
سنن ابن ماجہ جلد ۱ ۵۷ صحیح
-----
✦ रसूलअल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया ईमान की 60 से कुछ उपर या 70 हिस्से (बाब) हैं  जिसमें सबसे कम,  तकलीफ़ देने वाली चीज़ को रास्ते से हटा देना है और सबसे ज़ियादा ला ईलाहा ईलअल्लाह  कहना है और हया भी ईमान का हिस्सा है
सुनन इब्न माजा - 57 -सही
-----
✦ Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam said Faith has sixty-some or seventy parts, the least of which is to remove a harmful thing from the road and the greatest of which is to say La ilaha illallah (none has the right to be worshipped but ALLAH)  And modesty is a branch of faith.
Sunan Ibn Majah, 57 -Sahih



Wednesday, May 15, 2019

❗Islamic Quiz-106 ❗


❗Islamic Quiz-106 ❗
Sawal: Agar koi khane ke shuru mein Bismillah kahna bhul jaye to usko beech mein yaad aane par kya padhna chahiye ?
A. Bismillah wa ala barakatillah
B. Bismillah fi Awwalihi wa Aakhirihi
C. Aawuzubillahi Min As-shaitan Ar-rajim
D. Alhamdulillah Ala Aakhirihi
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

------------------------
Quiz: When one of you eats food, and forgets saying Bismillah in the beginning, then what should he say in between ?
A. Bismillah wa ala barakatillah
B. Bismillah fi Awwalihi wa Aakhirihi
C. Aawuzubillahi Min As-shaitan Ar-rajim
D. Alhamdulillah Ala Aakhirihi
E. None of the above
F. I want to know



Sahi jawab B


Mafhum-e-Hadith: Koi agar khane ke shuru mein Bismillah kahna bhul jaye to yaad aane par Bismillah Fi Awwalihi Wa Aakhirihi kahe
-------------------------
Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Aakhirihi 
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih 

Umar bin abu Salmah Radi Allahu Anha se rivayat hai ki main ek baar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua to aapke samne khana rakha hua tha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beta qareeb ho jao aur Bismillah kah kar apne dahine haath se aur apne samne se khao 
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1915-Sahih 

Wahshi ibn Harb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Sahaba Radi Allahu Anhu ne pucha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum khana khate hain lekin sair nahi hote (yani pet nahi bharta) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya shahayd tum alag alag khate ho unhone kaha ki ji haan , to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum log apne khane ko saath milkar aur Allah ka naam lekar (yani Bismillah kah kar) khaya karo , tumhare khane mein barkat hogi 
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 364 - Hasan 

-------------------------
Answer D

Narrated from Aishah Radi Allahu Anha that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: When one of you eats food, then let him say: Bismillah. If he forgets in the beginning, then let him say: 
Bismillah Fi Awwalihi Wa Akhirih (In the Name of Allah in its beginning and its end.)" 
Jamia Tirmidhi, Vol.3, Book 23, 1858-Sahih 

Narrated Umar bin Abi Salmah Radi Allahu Anha that he entered upon the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam while he has some food. He said: "Sit down O my son! Mention Allah's Name and eat with your right hand, and eat what is nearest to you." 
Jamia Tirmidhi, Vol.3, Book 23, 1857-Sahih 

Narrated Wahshi ibn Harb radi allahu anhu : The Companions of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam we eat but we are not satisfied. He said: Perhaps you eat separately. They replied: Yes. He Sallallahu Alaihi Wasallam said: If you gather together at your food and mention Allah's name, you will be blessed in it. 
Sunan Abu Dawud, Book 27, 3755 (Hasan)

❗Islamic quiz-105 ❗


❗Islamic quiz-105 ❗
Sawal: Jab Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke khutbe ke liye pahli baar mimbar bana diya gaya to kaun unke liye rone laga ?

A. Abu bakr siddiq radi allahu anhu
B. Bilal Radi allahu anhu
C. oontni ka bachcha
D. Khajur ka tana
E. Inmein se koi nahi
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------------
Quiz : When the first time Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam start his seremon on a new pulpit (mimbar) , who started crying ?
A. Abu bakr siddiq radi allahu anhu
B. Bilal Radi allahu anhu
C. A calf of camel
D. A trunks of datepalms
E. None of the above
F. I want to know



Sahih Jawab D

Mafhum-e-Hadith: Khajur ke taney ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se muhabbat
------------------------
Anas in malik Radhi allahu anhu ne Jaber bin Abdullah Radhi allahu anhuma se rivayat kiya ki Masjid-e-nabwi ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki chat khajur ke tano par banayee gayee thi Nabi kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab khutbe ke liye tashreef late to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ek tane ke paas khade ho jate lekin jab aapke liye minbar bana diya gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam us minbar par tashreef le gaye to humne us taney se is tarah rone ki aawaz suni jaise wiladat ke waqt oontni ki aawaz hoti hai , phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne uske kareeb aakar us par haath rakha to wo chup hua
Sahih Bukhari, Vol 5, 3583

Ibn Umar radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam khajur ke tane ka sahara lekar khutba diya karta they , phir jab aapke liye mimbar bana diya gaya Aap Sal-Allahu alaihi wasallam khutbe ke iye us par tashreef le gaye is par us khajur ke tane ne barik aawaz se rona shuru kar diya , phir Aap Sal-Allahu alaihi wasallam uske paas tashreef laye aur apna haath us par phera ( tab wo chup hua)
Sahih Bukhari, Jild 5, 3583
------------------------
Answer D

Narrated Ibn Umar radi allahu anhu The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam used to deliver his sermons while standing beside a trunk of a datepalm. When he had the pulpit made, he used it instead. The trunk started crying and the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam went to it, rubbing his hand over it (then it became quiet.).
Sahi Bukhari, Book 56, Hadith 783

Narrated Anas bin Malik Radhi allahu anhu 
That he heard Jabir bin `Abdullah saying, "The roof of the Masjid An Nabwi (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) was built over trunks of datepalms working as pillars. When the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam delivered a sermon, he used to stand by one of those trunks till the pulpit was made for him, and he used it instead. Then we heard the trunk sending a sound( start crying) like of a pregnant she-camel till the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam came to it, and put his hand over it, then it became quiet."
Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 785

❗Islamic Quiz-104 ❗



❗Islamic Quiz-104 ❗

❗ Dono Sawalo ka jawab ek saath is tarah dijiyega  CD / DA

Sawal 1. Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mairaj ke roz pahle aasman par kaunse Nabee ko dekha tha ?

Sawal 2. Wo kaunse Nabee they jinko Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne dekha ki wo jab apne dahine taraf dekhte to muskura dete aur bayein taraf dekhte to ro dete ?

A. Musa alaihi salam
B. Adam alaihi salam
C. Ibrahi alaihi salam
D. Eesa alaihi salam
E. Idris alaihi salam
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------------

- Please Reply of two quiz together like this .....CD /DA

Quiz 1 : Whats is the Name of that Prophet , Who met to our Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam on First heaven ?

Quiz2. On the night of mairaj Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam saw one prophet, when that prophet looked towards his right, he laughed and when he looked toward his left he wept. What is the name of that prophet ?

A. Musa alaihi salam
B. Adam alaihi salam
C. Ibrahi alaihi salam
D. Eesa alaihi salam
E. Idris alaihi salam
F. I want to know

Sahi jawab B B
------------------
Abu Dhar Gaffari radi allahu an hu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya , mere ghar ki chat khol di gayee us waqt main makka mein tha , phir Jibril alaihi salam utre aur unhone mera seena chaak kiya phir usko zamzam ke paani se dhoya phir ek soney ka tasht laaye jo hikmat aur imaan se bhara hua tha , usko mere seene ke andar rakh diya aur phir mere seene ko jod diya , phir mera haath pakda aur mujhe aasman ki taraf le gaye.

jab main pahle aasman par pahuncha to jibril alaihi salam ne aasman ke daroga (gatekeeper) se kaha ki (darwaza) kholo, usne pucha Aap kaun hain ? jawab diya ki jibril phir usne pucha ki kya aapke saath koi aur bhi hai ? jawab diya haan mere saath Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam hain unhone pucha ki kya unko bulane ke liye aapko bheja gaya tha , kaha ji haan phir jab unhone darwaza khola to pahle aasman par chadh gaye waha humne ek shaks ko baithe huye dekha, unke dayein taraf kuch logo ke jhund they aur kuch jhund bayein taraf they jab wo apne dayein taraf dekhte to muskura dete aur jab bayein taraf nazar karte to ro dete , unhone mujhe dekh kar farmaya , Marhaba Eh Saleh Nabee aur Saleh bete , maine jibrail alaihi salam se pucha ye kaun hai unhone kaha ki ye Adam alaihi salam hain aur unke dayein aur bayein jo jhund hain wo unki aulado ki roohein hain isliye jab wo apne dayein taraf dekhte hain to khushi se muskurate hain aur jab bayein taraf dekhte hain to (gam se ) rote hain
Sahih al-Bukhari , Jild 1, 349

------------------------
Answer BB


Narrated Abu Dhar Radi allahu anhu Allah's Messenger Sal-Allahu alaihi wasallam said, "While I was at Mecca the roof of my house was opened and Gabriel descended, opened my chest, and washed it with Zamzam water. Then he brought a golden tray full of wisdom and faith and having poured its contents into my chest, he closed it. Then he took my hand and ascended with me to the nearest heaven ( first heaven) , when I reached the nearest heaven, Gabriel said to the gatekeeper of the heaven, 'Open (the gate).' The gatekeeper asked, 'Who is it?' Gabriel answered: 'Gabriel.' He asked, 'Is there anyone with you?' Gabriel replied, 'Yes, Muhammad I is with me.' He asked, 'Has he been called?' Gabriel said, 'Yes.' So the gate was opened and we went over the nearest heaven and there we saw a man sitting with some people on his right and some on his left. When he looked towards his right, he laughed and when he looked toward his left he wept. Then he said, 'Welcome! O pious Prophet and pious son.' I asked Gabriel, 'Who is he?' He replied, 'He is Adam and the people on his right and left are the souls of his offspring. Those on his right are the people of Paradise and those on his left are the people of Hell and when he looks towards his right he laughs and when he looks towards his left he weeps.'
Sahih al-Bukhari , Jild 1, Book 8, Hadith 345

❗Islamic Quiz -103 ❗



❗Islamic Quiz -103 ❗

Sawal: Agar tum kisi cheez ko aad (sutra) bana kar namaz padh rahe ho phir bhi agar koi samne se guzarne ki koshish kare to kya karna chahiye?
A. Namaz tod kar phir se parhni chahiye
B. Namaz mukammal karke dohrani chahiye
C. Guzarne ki koshish karne wale ko rok dena chahiye
D. Kuch nahi karna chahiye
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------
Quiz : If anybody is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then whats should He or She do ?
A. He should stop prayer and again start
B. He Should complete the remaining prayer and repeat this again
C. He should repulse (push back) the one who tries to pass in front of
D. He should do nothing
E. None of the above
F. I want to know



Sahi jawab C


Abu Salih As-Samman radi allahu anhu ne kaha ki maine Abu saeed khudri radi allahu anhu ko jumma ke din namaz parhte hue dekha. aap kisi cheez ki taraf munh kiye huye logon ke liye usko aad banaye hue they ( yani add banaye namaz padh rahe they) ke uske beech mein se ek jawan ne chaha ke aap ke samne se ho kar guzar jaye. Abu saeed radi Allahu anhu ne is ke seene par dhakka de kar rokna chaha. jawan ne charon taraf nazar dodayi lekin koi rasta siwaye samne se guzarne ke na mila. is liye woh phir isi taraf se nikalne ke liye lota. ab abu saeed radi allahu anhu ne pahle se bhi ziyada zor se dhakka diya. usko abu saeed radi allahu anhu se shikayat hui aur woh apni yeh shikayat Mervan ke paas le gaya. is ke baad abu saeed radi allahu anhu bhi tashreef le gaye. Mervan ne kaha eh abu saeed radi allahu anhu aap aur aap ke bhatije mein kya muaamla paish aaya. 

Aap ne farmaya ke maine Nabi kareem Sal-Allahu alaihi wasallam se suna hai ki Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke jab koi shakhs kisi cheez ki taraf munh karke namaz padhe aur is cheez ko aad bana raha ho phir bhi agar koi samne se guzray to usko rok dena chahiye. agar ab bhi usko israar ho to usay ladna chahiye ( Yani taqat se rokna chahiye) Kyunki woh Shaitan hai 
Sahih Bukhari, Vol 1, 509

Busr bin saeed Radiallahu anhu se rivata hai ki Abu Jahim Radiallahu anhu ne kaha ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar 
Namazi ke samne se guzarney wala shakash janta ki uska kitna bada gunaah hai to uskey samney se guzarney ki bajaye wo 40 (din, mahiney aur saal) tak intezar karta, abu an nadr ne kaha ki mujhe yaad nahi ki unhoney 40 din , mahiney ya saal kaha tha.
Sahih Bukhari, Vol 1 , 510

-----------------------------------
Answer C

Narrated Abu Salih As-Samman radi allahu anhu:
I saw Abu Sa`id Al-Khudri praying on a Friday, behind something which acted as a Sutra. A young man from Bani Abi Mu'ait , wanted to pass in front of him, but Abu Sa`id repulsed him with a push on his chest. Finding no alternative he again tried to pass but Abu Sa`id pushed him with a greater force. The young man abused Abu Sa`id and went to Marwan and lodged a complaint against Abu Sa`id and Abu Sa`id followed the young man to Marwan who asked him, "O Abu Sa`id! What has happened between you and the son of your brother?" Abu Sa`id said to him, "I heard the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam saying, 'If anybody amongst you is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then he should repulse (push back) him and if he refuses, he should use force against him 
for he is a Shaitan (a Satan).' "
Sahi Bukhari, Book 9, Hadith 487

Narrated Busr bin Said Radiallahuanhu :Abu Juhaim Radiallahuanhu said that, "ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him." Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 9, No. 489

! Islamic Quiz -102 !



! Islamic Quiz -102 !

Sawal: Abu Bakr Siddiq Radhi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe aisee dua sikha dijiye jo main namaz mein parha karu to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ye dua padhne ka hukm diya


Quiz: Abu Bakr Siddiq Radhi Allahu Anhu said to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , "Teach me an invocation with which I may invoke (ALLAH) in my prayer." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said read..


A.
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبَّاً وَبِالْإِسْلَامِ دِينَاً وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيَّاً 
( Raditu billahi Rabba.........)
B.
اللّهُـمَّ أَنْـتَ السَّلامُ ، وَمِـنْكَ السَّلام 
تَبارَكْتَ يا ذا الجَـلالِ وَالإِكْـرام 
( Allahumma Ant-as-Salam wa .....)
C.
اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
فَاغْفِرْ لِي مِنْ عِنْدِكَ مَغْفِرَةً، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
( Allahumma inni zalamtu nafsi......)
D.
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
( SubhanAllahi wa behmadihi..
SubhanAllahil azeem)
E. None of the above
F. I want to know



Sahi Jawab C

Abu Bakr Siddiq Radhi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe aisee dua sikha dijiye jo main namaz mein Parha karu to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Parha karo

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
فَاغْفِرْ لِي مِنْ عِنْدِكَ مَغْفِرَةً، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ 

“Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kathiran wala yaghfirudh-dhunuba illa anta, Faghfirli maghfiratan min indika war-hamni, innaka antalGhafur-ArRahim."
( EhALLAH maine Apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunahon ko tere siwa koi maaf nahi karta meri maghfirt kar aisee maghfirat jo tere pass se ho aur mujh par raham kar beshak tu bada maghfirt karne wala aur Raham karne wala hai)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6326

( Note : Ulma kahte hain ki ye dua Namaz mein aakhri rakat mein Attathiyat ( tashahud) aur durud Ibrahim parhne ke baad parhni chahiye )
-------------------------------------------------------------
Answer C

Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhu : Abu Bakr Siddiq Radhi Allahu Anhu said to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , "Teach me an invocation with which I may invoke (ALLAH) in my prayer." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Say:

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
فَاغْفِرْ لِي مِنْ عِنْدِكَ مَغْفِرَةً، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ 

Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kathiran wala yaghfirudh-dhunuba illa anta, Faghfirli maghfiratan min indika war-hamni, innaka antalGhafur-Rahim." 
O ALLAH, I have wronged myself great injustice. And does not forgive sin except You . so forgive me for forgiveness from you, and mercy on me, No doubt 
You are very Forgiving and Merciful. 

Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 338

✦ Islamic Quiz-101✦



✦ Islamic Quiz-101✦

 Ek Jung aisee huyee thi jo jordan ke paas ladi ja rahi thi , Musalmano ke 3 ameer ( commander ) udhar jung mein jab shaheed ho rahe they Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam madina main sahaba Radi allahu anhu ke beech tashreef farma hokar unki shahadat ki khabar live dete ja rahe they ki
"Ab ………………………………… jhanda uthaye huye hain aur ab unhe shaheed kar diya gaya hai , ab ………………………….ne jhanda utha liya hai aur ab unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab ibn ………………………………………….. Radi allahu anhu ne jhanda utha liya aur unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki ankho se aansoo jari ho gaye aur phir farmaya ab Allah ki talwaro mein se ek talwar Khalid bin waleed Radi allahu anhu ne jhanda apne haath mein le liya hai aur Allah ne unke haath par fateh ata farma di hai ( Allahu Akbar)

Sawal : Us jung mein shaheed hone wale 3 commender Shahaba kaun they ?
A. Saab bin waqas, Ubai bin Kaab , Jafar Radi allahu anhuma
B. Muaaz bin jabal , Saab bin waqas , zaid bin Harith Radi allahu anhuma
C. Ubai bin Kaab , Musaib bin umair, Muaaz bin jabal Radi allahu anhuma
D. Zaid bin Harith, Jafar , ibn rawaha Radi allahu anhuma
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------------------
Quiz: There was a battle near Jordan in which 3 commander of muslim army got martry and while they were getting martyr in battle field the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam was giving information live to the sahaba in madina …like this
"…………………….. took the flag (as the commander of the army) and was martyred, then …………………………. took it and was martyred, and then………………… took it and was martyred." At that time the Prophet's eyes were shedding tears. He added, "Then the flag was taken by a Sword amongst the Swords of Allah (i.e. Khalid) and Allah made them ( the Muslims) victorious. (Allahu Akbar)."
Quiz : Who were that 3 commender sahaba radi allahu anhuma who got martyr in that battle ?

A. Saab bin waqas, Ubai bin Kaab , Jafar Radi allahu anhuma
B. Muaaz bin jabal , Saab bin waqas , zaid bin Harith Radi allahu anhuma
C. Ubai bin Kaab , Musaib bin umair, Muaaz bin jabal Radi allahu anhuma
D. Zaid bin Harith, Jafar , ibn rawaha Radi allahu anhuma
E. None of the above
F. I want to know

Correct Answer is D

Anas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne(tha Ghazwa e Muta ke din) Zaid , Jafar aur Abdullah Ibn Rawaha ki shahdat ki khabar us waqt hi de di thi jabki unki koi khabar bhi nahi aayee thiAap Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmate ja rahe they Ab Zaid Radi allahu anhu jhanda uthaye huye hain aur ab unhe shaheed kar diya gaya hai , ab jafar Radi allahu anhu ne jhanda utha liya hai aur ab unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab ibn rawaha Radi allahu anhu ne jhanda utha liya aur unhe bhi shaheed kar diya gaya hai ab Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki ankho se aansoo jari ho gaye aur phir farmaya ab Allah ki talwaro mein se ek talwar Khalid bin waleed Radi allahu anhu ne jhanda apne haath mein le liya hai aur Allah ne unke haath par fateh ata farma di hai ( Allahu Akbar)
Sahih Bukhari, Jild 5,4262
-------------------------------------------------------

Answer D

Narrated Anas Radi allahu anhu :
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam had informed the people of the martyrdom of Zaid, Ja`far and Ibn Rawaha before the news of their death reached.( on the day of Ghazwa e Muta) The Prophet (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) said, "Zaid took the flag (as the commander of the army) and was martyred, then Ja`far took it and was martyred, and then Ibn Rawaha took it and was martyred." At that time the Prophet's eyes were shedding tears. He added, "Then the flag was taken by a Sword amongst the Swords of Allah (i.e. Khalid) and Allah made them ( the Muslims) victorious. (Allahu Akbar)
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 561

✦ Islamic Quiz-99✦


✦ Islamic Quiz-99✦

Sawal: Sulaiman Alaihi Salam ke lashkar ko dekhkar ye kisne kaha ki apne gharo mein ghus jao kahi tumhe Sulaiman alaihi salam aur unki fauje pees na daale ?
A. Billi ne (Cat)
B. Kawwe ne (crow)
C. Cheeti ne (ant)
D. kabutar ne ( pigeon)
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------
Quiz: After watching the army of Sulaiman Alaihi Salam who said this Enter your dwellings, lest Sulaiman (Solomon) and his hosts should crush you ?
A. A Cat
B. A Crow
C. An Ant
D. A pigeon
E. None of the above
F. I want to know


Correct Answer is C - Cheenti ne

Al Quran : Aur Sulaiman alaihi salam ke pass unke lashkar jinn aur insaan aur parinde jama kiye jaate phir unki jamatein banayee jati. Yaha tak ki jab cheetiyon (ants) ke maidan par pahunche to ek cheenti ne kaha eh cheetiyon apne gharo mein ghus jao kahi tumhe Sulaiman alaihi salam aur unki fauje pees na daale aur unhe khabar bhi na ho
Surah An-Naml (27), Aayat 17-18
------------------------


Answer C

Al Quran : And there were gathered before Sulaiman (Solomon) his hosts of jinn and men, and birds, and they all were set in battle order (marching forward).Till, when they came to the valley of the ants, one of the ants said: "O ants! Enter your dwellings, lest Sulaiman (Solomon) and his hosts should crush you, while they perceive not."
Surah An-Naml (27), Aayat 17-18

✦ Islamic Quiz-98✦


✦ Islamic Quiz-98✦

Sawal: kaunsi farz namaz se pahle 4 raakt padhne wale ke liye Aasman ke darwaze khol diye jate hain ?
A. Fajar
B. Zuhar
C. Asar
D. Isha
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------------
The gates of heaven are opened for the one who pray four rakahs before ...............?
A. Fajar
B. Dhuhar
C. Asar
D. Isha
E. None of the above
F. I want to know


Sahi Jawab- B

Abu Ayyub Ansari se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi ne farmaya Zuhar ki Namaz se pahle chaar rakaah padhe jismein darmiyan mein Salam na ho to uskey liye Aasaman ke darwazey khol diye jate hain - 
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1257 -Hasan
------------
Answer B

Narrated AbuAyyub Radi Allahu Anhu: The Prophet (peace_be_upon_him) said: The gates of heaven are opened for the one who pray four rak'ahs containing no taslim (salutation) before the noon prayer. 
Sunan Abu Dawud, Book 4, 1265 –Hasan

✦ Islamic Quiz-97✦


✦ Islamic Quiz-97✦

Sawal : Jab Adam Alaihi Salam ke bete Qabil ne apne bhai ka qatl kar diya to usko kiske jariye se Allah ne bataya ki laash ko kis tarah se dafan karna hai ?
A. Adam Alaihi salam ke jariye
B. Kawwe ( Crow) ke jariye
C. Billi (Cat) ke jariye
D. Farishte ke jariye
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai 
------------------------
Quiz : When The son of Adam Alaihi Salam Qabil killed his brother Habil , after that by whom Allah guided him how to bury a dead body ?
A. By Adam Alaihi salam
B. By a Crow
C. By a Cat
D. By a Angel
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab B

Al Quran : Phir Allah ne ek kawwa bheja jo zameen kuredne laga take usko ( Adam alaihi salam ke bete Qabil ko) dikhaye ki apne bhai ki laash ko kis tarah chupaye , ( ye dekhkar Qabil) kahne laga hai mujhse itna bhi na ho saka ke iskawwe ke barabar hota ke apne bhai ki laash chhupa deta phir woh pasheman hua
Al Quran , Surah Al Maida (5) , verse 31
---------------------

Correct Answer B


Al Quran : Then Allah sent a crow who scratched the ground to show him to hide the dead body of his brother. He (the murderer) said: "Woe to me! Am I not even able to be as this crow and to hide the dead body of my brother?" Then he became one of those who regretted.
Al Quran , Surah Al Maida (5) , verse 31

Tuesday, November 8, 2016

✦ Islamic Quiz-95✦


✦ Islamic Quiz-95✦

Sawal : Jab koi musalman ek neki krta hai to usko maximum kitni neki ka sawab milta hai ?
A. 7
B. 70
C. 700
D. 7000
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz : If any muslim do a single good deeds, how many maximum good deeds written for him for this ?
A. 7
B. 70
C. 700
D. 7000
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab C
-----------------
Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki tum mein se koi shakhsh jab apney islam ko umdah bana le (yani Nifaq aur riya se paak kar le) to har neik kaam jo wo karta hai uskey ewaz 10 se lekar 700 guna tak nekiyan likhi jati hain aur har bura kaam jo wo karta hai wo utna hi likha jata hai ( jitna usney kiya)
 Sahih Bukhari , 42 

------------------------

Answer C – 700

Narrated Abu Huraira Radi Allaho Anho: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If any one of you improve (follows strictly) his Islamic religion then his good deeds will be rewarded ten times to seven hundred times for each good deed and a bad deed will be recorded as it is." 
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, Number 41 

✦ Islamic Quiz-94✦


✦ Islamic Quiz-94✦

Sawal: Salsabil kya hai ?
A. Jannat ka ek ghar (Home)
B. jannat ki hoor ( hoor)
C. Jannat ki ek machli (fish)
D. Jannat ka ek chasma (fountain)
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------
What is salsabil ?
A. A house in paradise
B. A Hoor of paradise
C. A fish of paradise
D. A fountain (spring) of paradise
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab D
---------------
Bismillahirrahmanirrahim

وَيُسْقَوْنَ فِيهَا كَأْسًا كَانَ مِزَاجُهَا زَنجَبِيلًا  

عَيْنًا فِيهَا تُسَمَّىٰ سَلْسَبِيلًا


Al Quran : Aur waha ( jannat mein) unko aisee sharab pilayee jayegi jismein sonth (adrak) ki aamazish hogi, wo waha ek chashma (fawwara) hai jiska naam salsabil hai 
Surah Al-insan (76) , Verse 17-18
-----------
Answer D

Al Quran: And they will be given to drink there of a cup (of wine) mixed with Zanjabil (ginger),[From] a fountain(spring)  within Paradise named Salsabeel.

Surah Al-insan (76) , Verse 17-18

✦ Islamic Quiz-93✦


✦ Islamic Quiz-93✦

Sawal: Jibril alaihi salam ke kitne par (wings) hain
A. 40
B. 600
C. 70
D. 200
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------
How many wings does Jibril alaihi salam has ?
A. 40
B. 600
C. 70
D. 200
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab  600

Ash-Shaibani radi allahu anhu ne kaha ki maine Zirr bin habish radi allahu anhu se Quran ki is aayat ke baare mein pucha jismein Allah ne farmaya 

"
فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى * فَأَوْحَى إِلَى عَبْدِهِ مَا أَوْحَى"
yani (un dono mein) do kamano ka faasla rah gaya ya us se bhi kam , phir Allah ne apne bande par wahi nazil farmayee aur jo kuch bhi nazil faramyee wo nazil farmayee
Surah An najam (50) , Aayat 10|

is pr Abdullah bin masood radi allahu anhu ne kaha ki Rasool-Allah salalalahu alaihi wasallam ne Jibril alaihi salam ko dekha tha jinke 600 par (wings) they
Sahi Bukhari, Vol 6, 4857
----------------
Correct Answer is B : 600


Narrated Ash-Shaibani radi allahu anhu:
I asked Zirr bin habish radi allahu anhu about the Statement of Allah: 
"
فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى * فَأَوْحَى إِلَى عَبْدِهِ مَا أَوْحَى"
And was at a distance of two bows' length or (even) nearer. So (Allah) revealed to His slave [Muhammad Sal-Alalhu alaihi wasallam through Jibril alaihi salam] whatever He revealed.
(Al Quran , 53: 10) 

Abdullah (bin Mas`ud) informed us that Muhammad al-Alalhu alaihi wasallam had seen Gabriel (Jibril alaihi salam) with six hundred wings."
Sahi Bukhair, Book 60, Hadith 380

✦ Islamic Quiz-92✦


✦ Islamic Quiz-92✦

Sawal: Surah fatiha mein Allah subhanahu ke kitne naam hain ( including Allah)

A. 3
B. 4
C. 5
D. 7
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------

Quiz: How many Allah's names are there in Surah Fatiha (includin Allah)

A. 3
B. 4
C. 5
D. 7
E. None of the above
F. I want to know

Correct Answer is 5


Allah, RAB, Ar-Rahman, Ar-Rahim, Malik

✦ Islamic Quiz-91✦

✦ Islamic Quiz-91✦

Sawal: Jo log Rasool-Allah sal-Allahu ke saath hain unki pahchan Quran mein kya batayee gayee hai ?

A. Wo Bait-ALlah ka hajj karte hain
B. Wo kafiro aur dushmano ke saath bhi raham dil hote hain
C. Wo Ramzan ke roze rakha karte hain
D. Wo kafiro par sakht aur aapas mein raham dil hain
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------

What  Quran said about the people who are with  Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam ?

A. Those perform Hajj of bait Allah
B. Those are merciful with disbelievers and enemies.
C. Those perform fasting of Ramzan
D. Those are severe against disbelievers, and merciful among themselves
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab D

Al Quran: Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain aur jo log unke saath hain wo kuffar par sakht hain aur aapas mein raham dil hain,
tum unhe dekhoge ki ruku aur sujud kar rahein , Allah ka fazal aur khushnudi talash karte hain unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain
Surah Fath (48),  Aayat 29


Answer D

Al Quran: Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam  is the Messenger of Allah. And those who are with him are severe against disbelievers, and merciful among themselves. You see them bowing and falling down prostrate (in prayer), seeking Bounty from Allah and (His) Good Pleasure. The mark of them (i.e. of their Faith) is on their faces (foreheads) from the traces of prostration (during prayers).

✦ Islamic Quiz-90✦


✦ Islamic Quiz-90✦

Sawal: HAWIYAH kya hai ?
A. Dahakti huyee aag
B. Dozakh ka pool
C. Dozakhiyo ka khana
D. Qabr ka andhera
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------------
Quiz : What is HAWIYAH ?
A. Fiercely blazing Fire
B. The bridge of Hell
C. The food for the people of Hell
D. The darkness of grave
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab A

Al Quran: Khad khadaney wali, Khadkhadaney wali kya hai, Aur tum kya jano ki Khadkhadane wali kya hai 
Jis Din log aisey ho jayenge jaise bikhre huye patange, 
Aur pahaad aisey ho jayenge jaise dhunki huyee rang birangi oon
to jiske (Neik Aamal ke) wajan bhari honge, wo Dil pasand Aish mein hoga 
Aur jiske (aamal ke) wajan halke honge , uska thikana haawiya hai
Aur tum kya samjhey ki HAWIYAH kya cheez hai, dahakti huyee aag hai
Al Quran , Surah Al Qaria (101)
-------------------------------------

Correct answer A

Al-Qariah (the striking Hour), What is the striking (Hour)?
And what will make you know what the striking (Hour) is?  
It is a Day whereon mankind will be like moths(insects) scattered about.
And the mountains will be like carded wool 
Then as for him whose balance (of good deeds) will be heavy,He will live a pleasant life (in Paradise). But as for him whose balance (of good deeds) will be light,  He will have his home in Hawiyah And what will make you know what it is?  (It is) a fiercely blazing Fire!

Al Quran , Surah Al Qaria (101)

✦ Islamic Quiz-89✦


✦ Islamic Quiz-89✦

Sawal: Sulaiman alaihi salam ke alawa aur kaunse Nabi Inmein se parindo ki boli jante they ?
A. Yaqub alaihi salm
B. Hood alaihi salam
C. Dawud alaihi salam
D. Aur koi nahi jaanta tha
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------------------
Quiz: Who else knows the languages of birds besides Sulaiman alaihi salam ?
A. Yaqub alaihi salm
B. Hood alaihi salam
C. Dawud alaihi salam
D. Nobody else knows
E. None of the above
F. I want to know


 Sahih Jawab  C

Al Quran : Aur humne Dawud alaihi salam aur Sulaiman alaihi salam ko ilm diya aur kahne lage Allah ka shukr hai jisne humen imaan wale bando par fazilat di, aur 
Sulaiman Alaihi Salam Dawud alaihi salam ke waris huye aur kahne lage ki eh logo humein parindo ki boli sikhayee gayee hain aur humko har tarah ke saaz aur 
saman diye gaye hain beshak ye sareeh fazilat hai
Surah An-Naml (27) , 15-16
----------------
Answer C


Al Quran : And indeed We gave knowledge to Dawud and Sulaiman (Solomon), and they both said: "All the praises and thanks be to Allah, Who has preferred 
us above many of His believing slaves!" And Sulaiman inherited (the knowledge of) Dawud . He said: "O mankind! We have been taught the language of 
birds, and on us have been bestowed all things. This, verily, is an evident grace (from Allah)."
Surah An-Naml (27) , 15-16

✦ Islamic Quiz-88✦


✦ Islamic Quiz-88✦

Sawal: Ismein se kaunsi aayatein Rasool-Allah Sa-Allahu alaihi wasallam ko Mairaj ke roz ata ki gayee ?
A. Aayat-Al-Kursi
B. Surah Baqarah ki aakhri aaytein
C. Surah Kahaf ki aakhri aayatein
D. Surah Fatiha ki sari aayatein
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

---------------------------
Quiz: Which verses were given to Prophet Muhammed Sa-Allahu alaihi wasallam on the night of journey (Mairaj) ?
A. Aayat-Al-Kursi
B. The last verses of Surah Baqarah
C. The last verses pf Surah Kahaf
D. The All verses of Surah Fatiha
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab  B
Surah baqarah ki aakhri aayatein



Abdullah bin masood Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam ko Mairaj hua to Aap sidaratul muntaha tak pahunchey aur wo chatey (sixth) aasman mein hai zameen se jo chadta hai wo yahi aakar thahar jata hai phir le liya jata hai aur jo upar se utarta hai wo bhi yahi thahar jata hai phir le 
liya jata hai Rasool-Allah SallallahuAlaihi wasallam ko wahan 3 cheezein di gayee 
Ek Paanch (5) namazein, 
dusra Surah Baqra ki Aakhri aaytein, 
Teesra Alllah subhanahu ne baksh diya Aap SallallahuAlaihi Wasallam ki ummat mein se har us shakhs ko jo Allah ke Saath Shirk nahi kare 
Sahih Muslim ,Vol1, 1 
-------------------------


Answer B
It is narrated on the authority of Abdullah bin masood that when the Messenger of Allah (may peace be upon him) was taken for the Night journey, he was taken 
to Sidrat-ul-Muntaha, which is situated on the sixth heaven, where terminates everythingthatascendsfromtheearth and is held there, and where terminates every- 
thing that descends from above it and is held there
The Messenger of Allah (may peace be upon him) was given three (things): he was given five prayers, he was given the concluding verses of Sura al-Baqara, 
and remission of serious Sins for those among his Ummah who associate not anything with Allah 
Sahih Muslim, Book #001, Hadith #032

✦ Islamic Quiz-87✦


✦ Islamic Quiz-87✦

Sawal: Allah subhanahu ne ye kiske liye Quran mein ye farmaya hai ki

"jab tum unhe dekhoge to aisa lagega jaise bikhre huye moti hain"
A. Jannat ki Hoor
B. Jannat mein khidmat karne wale ladke
C. Jannat mein momeeno ka mahal
D. Janat mein rahne wale Shaheed
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------
Quiz : For whom Allah subhanahu said in Quran ?

If you see them, you would think them scattered pearls.
A. The Hoor of jannah
B. The boys of jannah who will serve
C. The Palace of jannah for the believer
D. The Martyr who will live in jannah
E. None of the above
F. I want to know



Correct answer is B
------------------------------
Bismillahirrahmanirrahim 

عَيْنًا فِيهَا تُسَمَّىٰ سَلْسَبِيلًا

وَيَطُوفُ عَلَيْهِمْ وِلْدَانٌ مُّخَلَّدُونَ إِذَا رَأَيْتَهُمْ حَسِبْتَهُمْ لُؤْلُؤًا مَّنثُورًا

وَإِذَا رَأَيْتَ ثَمَّ رَأَيْتَ نَعِيمًا وَمُلْكًا كَبِيرًا

Al Quran : Jannat mein ek nahar hai jiska naam salsabil hai, Aur uske pass (jannat mein ) mein ladke aate jaate honge jo hamesha (ek hi halat par) rahenge jab tum un par nigah daalo to khayal karoge ki jaise bikhre huye moti hain, aur jab tum waha (jannat mein) dekhoge to bahut zayada naimatein aur azeem saltanat dekhoge 
Surah Al insan (76) , Verse 18-20
---------------------
Al Quran : A spring there, called Salsabil.And round about them will (serve) boys of everlasting youth. If you see them, you would think them scattered pearls. And when you look there (in Paradise), you will see a delight (that cannot be imagined), and a great dominion.
Surah Al insan (76) , Verse 18-20

✦ Islamic Quiz-86✦


✦ Islamic Quiz-86✦

Sawal: Durud e ibrahim mein Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ka naam kitni baar aaya hai ?

A. 5
B. 8
C. 2
D. 4
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------
Quiz: How many times the name of prophet Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) mentioned in Durud-e-ibrahim ?

A. 5
B. 8
C. 2
D. 4
E. None of the above
F. I want to know

Correct Answer is D 4 baar

اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد  كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم  إنك حميد مجيد
  .اللـــــــهم بارك على محمد وعلى آل محمد  كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد

✦ Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid. 

Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.

Total Pageviews