Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Yateem aur Bewa ( Orphan and Widow). Show all posts
Showing posts with label Yateem aur Bewa ( Orphan and Widow). Show all posts

Sunday, February 12, 2023

Hadith : in Saat Halaq karne wale Gunaho se bacho

  *Bismillahirrahmanirraheem*

✦: *Hadith : in Saat Halaq karne wale Gunaho se bacho*

-----------

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ 

اجْتَنِبُوا السَّبْعَ الْمُوبِقَاتِ   قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَمَا هُنَّ قَالَ ‏"‏ الشِّرْكُ بِاللَّهِ، وَالسِّحْرُ، وَقَتْلُ النَّفْسِ الَّتِي حَرَّمَ اللَّهُ إِلاَّ بِالْحَقِّ، وَأَكْلُ الرِّبَا، وَأَكْلُ مَالِ الْيَتِيمِ، وَالتَّوَلِّي يَوْمَ الزَّحْفِ، وَقَذْفُ الْمُحْصَنَاتِ الْمُؤْمِنَاتِ الْغَافِلاَتِ

-----------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya 7 Halaq karne wale Gunaahon se bacho sahaba Radhi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  wo kya kya hai? Farmaya

1.  ALLAH ke Saath Shirk karna

2.  Jadu karna

3.  Nahaq kisi ki Jaan lena jo ALLAH ne haram kiya hai

4.  Sood (Riba) Khana

5.  Yateem ka Maal khana

6.  Jung ke din Peeth pherna

7.  Paak Daman Ghafil Momeen Aurton par Tohmat lagana

-----------

رسول اللہ صل اللہ علیہ وسلّم نے فرمایا سات ( 7 ) حلاق کرنے والے گناہوں سے بچو صحابہ رضی اللہ عنہما نے عرض کیا یا رسول اللہ صل علیہ و سلّم وہ کیا ہے ؟ فرمایا 

۱. اللہ کے ساتھ شرک کرنا 

۲. جادو کرنا 

۳. ناحق کسی کی جان لینا جو اللہ نے حرام کیا ہے 

سود( ربا ) کھانا .٤ 

۵. یتیم کا مال کھانا 

جنگ کے دن پیٹھ پھیرنا .٦

۷. پاک دامن غافل مؤمن عورتوں پر تحمد لگانا

-----------

रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम ने फरमाया सात हलाक़ करने वाले गुनाहों से बचो सहाबा रज़ी अल्लाहु अन्हुमा ने अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम वो क्या है ?..फरमाया..

1. अल्लाह के साथ शिर्क करना

2. जादू करना

3. नाहक़ किसी की जान लेना जो अल्लाह ने हराम किया है

4. सूद ( रिबा ) खाना

5. यतीम का माल खाना 

6. जंग के दिन पीठ फेरना 

7. पाक दामन ग़ाफिल मोमिन औरतौं पर तोहमत लगाना 

 सही बुख़ारी  6857

--------

✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Avoid the seven great destructive sins." They (the people!) asked, "O Allah's Apostle! What are they?" He said, 

1. To join partners in worship with Allah

2. To practice sorcery (Magic)

3. To kill the life which Allah has forbidden except for a just cause (according to Islamic law); 

4. To eat up usury (Riba), 

5. To eat up the property of an orphan; 

6. To give one's back to the enemy and fleeing from the battle-field at the time of fighting and 

7. To accuse chaste women who never even think of anything touching chastity and are good believers."

Sahih  Bukhari 6857

Monday, March 29, 2021

Yateem ke sir par haath pherne ka sawab

 

 *Bismillahirrahmanirraheem*

*✦: Yateem ke sir par haath pherne ka sawab*
------
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ne sirf Allah Subhanahu ke liye kisi yateem ke sir pe haath phera to is ka haath jitne balon par se guzarega, is ko utney balon ke barabar neikiyan milengi
Musnad Ahmed 9068-Sahih

---
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا جس نے صرف اللہ تعالیٰ کے لیے کسی یتیم کے سر پھر ہاتھ پھیرا تو اس کا ہاتھ جتنے بالوں پر سے گزرے گا، اس کو اتنے بالوں کے برابر نیکیاں ملیں گی ۔
مسند احمد ٩٠٦٨-صحیح
---

✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसने सिर्फ अल्लाह सुबहानहु के लिए किसी यतीम के सर पर हाथ फेरा तो उसका हाथ जितने बालों पर से गुजरेगा उसको उतने बालों के बराबर नेकियाँ मिलेंगी
मसनद अहमद - 9068 सही

---
✦:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Whoever turns his hand over the head of an orphan only for the sake of Allah, then his hand will pass through as many hairs as he has passed, he will be rewarded with good deeds for as many hairs.
----
Musnad Ahmed 9068-Sahih

Wednesday, May 15, 2019

Mafhum e Hadith: Us shakhs ke liye lazmi taur par Jannat wajib ho jayegi




*Bismillahirahmanirrahim*

*Mafhum e Hadith: Us shakhs ke liye lazmi taur par Jannat wajib ho jayegi*
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis muslman ne kisi aise yateem bachche ko jiske maa aur baap dono ki wafat ho gayee ho ko apne khane peene mein apne sath rakha yaha tak ki Allah Subhanahu ne us yateem ko gani (self depend) Kar diya to us shakhs ke liye lazmi taur par Jannat wajib ho jayegi
Musnad Ahmed-9065-Sahih
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جس مسلمان نے کسی ایسے یتیم بچچے کو جس کے  ماں اور باپ دونوں کی وفات ہو گیئ ہو  کو کھانے پینے میں اپنے ساتھ رکھا یہاں تک کہ اللہ  سبحانه نے اس یتیم کو غنی کر دیا تو اس کے لیے  لازمی  طور پر جنت واجب ہو جائے گیئ 
مسند احمد -٩٠٦٥ - صحیح 
-------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम  ने फरमाया जिस मुसलमान ने किसी ऐसे यतीम बच्चे को जिसके माँ और बाप दोनों की वफात हो गयी हों , को खाने पीने में अपने साथ रखा यहा तक की अल्लाह सुबहानहु ने उस यतीम को गनी कर दिया तो उस शख्स के लिए लाज़मी तौर पर जन्नत वाजिब हो जाएगी
मसनद अहमद -9065-सही
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said any muslim who feed such an orphan whose fahther and mother both died , unitll Allah makes him self depend , he will be granted Paradise for sure
Masnad Ahmed-9065-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Bewaon aur miskeenon ki madad karne wale ka darja


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Bewaon aur miskeenon ki madad karne wale ka darja 
___
✦ Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bewaon aur miskeenon ke kaam aane wala Allah ke raastey mein Jihad karney wale ke barabar hai ya Raat bhar Ibadat aur din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 5353
-----------
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ، بیواؤں اور مسکینوں کے کام آنے والا اللہ کے راستے میں جہاد کرنے والے کے برابر ہے ، یا رات بھر عبادت اور دن کو روزے رکھنے والے کے برابر ہے ۔
-----------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बेवाओं और मिस्कीनों के काम आने वाला अल्लाह के रास्ते में जिहाद करने वाले के बराबर है या रात भर इबादत और दिन भर रोज़ा रखने वाले के बराबर है
सही बुखारी, जिल्द 6, 5353
-----------
✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "The one who looks after a widow or a poor person is like a Mujahid (warrior) who fights for Allah's Cause, or like him who performs prayers all the night and fasts all the day."
Sahih Bukhari, Book 64, No. 265

Tuesday, May 14, 2019

Hadith : Jab bachcha balig ho jata hai to wo Yateem nahi rahta


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Jab bachcha balig ho jata hai to wo Yateem nahi rahta
------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ehatlaam (wet dream) hone ke baad koi yateemi nahi  (yani jab bachcha balig ho jata hai to wo yateme nahi rahta) aur jab bachchi haiza ho jaye to us par bhi yateemi jari nahi rahegi
Al-Silsila-As-Sahiha, 195
------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: احتلام ہونے کے بعد کوئی یتیمی نہیں (یعنی جب کوئی جوان ہو جاتا ہے تو وہ یتیم نہیں رہتا) ،اور  بچی حائضہ (بالغہ) ہو جائے تو اس پر بھی یتیمی جاری نہیں ہوگی
السلسلہ صحیحہ  ١٩٥ 
------------
✦ रसूल अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया एहतलाम होने के बाद कोई यतीमी नहीं (यानि जब बच्चा बालिग हो जाता है तो वो यतीम नहीं रहता) और जब बच्ची हायजा हो जाये तो उस पर भी यतीमी जारी  नहीं रहेगी
अल सिलसिला अस सहिहा, 195
------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said that There is no orphanhood after puberty and as soon as the girl got her period of menses she will not be consider as an orphan any more.
Al-Silsila-tus-Sahiha , 195

Sunday, May 12, 2019

Hadith: Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai.


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai.
------------
✦ Abu darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Mere liye , kamjor logon ko talash karo kyunki tumhey unhi ki wajah se rozi milti hai aur unhi ki wajah se tumhari madad ki jati hai
Sunan Abu Dawud, Jild 2, 822-Sahih

✦ Mus'ab bin Sad Radiallahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai.
Sahih Bukhari, Jild 4, 2896
------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: میرے لیے ضعیف اور کمزور لوگوں کو ڈھونڈو، کیونکہ تم اپنے کمزوروں کی وجہ سے رزق دیئے جاتے اور مدد کئے جاتے ہو ۔
سنن ابو داوود جلد ٢ حدیث ٨٢٢-صحیح 

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تم لوگوں کو صرف اپنے کمزور اور معذور لوگوں کی دعاؤں کی وجہ سے اللہ کی طرف سے مدد اور رزق دیا جاتا ہے 
صحیح بخاری، جلد ٤،حدیث ٢٨٩٦ 
----------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मेरे लिए , कमजोर लोगों को तलाश करो क्यूंकी तुम्हे उन्ही की वजह से रोज़ी मिलती है और उन्ही की वजह से तुम्हारी मदद की जाती है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 822-सही

✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तुम लोगों को कमज़ोर और माज़ूर लोगों की दुआओं की वजह से (अल्लाह की तरफ से) मदद और रिज़क़ दिया जाता है.
सही बुखारी, जिल्द 4, 2896
-------------------
✦ Hadith : You gain victory or livelihood through the blessings and invocations of the poor amongst you.
-----------
✦ Narrated AbudDarda Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Seek for me weak persons, for you are provided means of subsistence and helped through your weaklings. 
Sunan Abu Dawud, book 14, 2588

✦ Narrated Mus'ab bin Sad Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "You gain victory or livelihood through the blessings and invocations of the poor amongst you."
Sahih Bukhari, Book 52, No. 145

Thursday, November 13, 2014

Hadith: Bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai
.-------------------------------------------

Safwan bin Salim Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai ya us shaksh ki tarah hai jo din mein Roze rakhta hai aur Raat ko Iba’dat karta hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6006

-------------------------------------------
Narrated Safwan bin Salim Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said "The one who looks after and works for a widow and for a poor person, is like a warrior fighting for ALLAH's Cause or like a person who fasts during the day and prays all the night." Narrated Abu Huraira that the Prophet said as above.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 35

Hadith: Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge……

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge……

Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge aur Aapne shahdat aur darmiyani ungliyon ke ishaare se (dono ka kareeb hona) bataya
Sahih Bukhari, Vol 7, 6005



Narrated Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "I and the person who looks after an orphan and provides for him, will be in Paradise like this," putting his index and middle fingers together. (same like both finger)
Sahih Bukhari, Book 73, No. 34

Total Pageviews