Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Wudhu (Ablution). Show all posts
Showing posts with label Wudhu (Ablution). Show all posts

Sunday, December 11, 2022

Hadith : Jo Aadmi apni sharmgaah ko chuye wo us waqt tak Namaz na padhe jab tak Wudhu na kar le

 *Bismillahirrahmanirraheem*


✦ :  *Hadith : Jo Aadmi apni sharmgaah ko chuye wo us waqt tak Namaz na padhe jab tak Wudhu na kar le*

-----------

*قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ﷺ مَن مَسَّ ذَکَرَہُ فَلَا یُصَلِّ حَتّٰی یَتَوَضَّأَ*

*قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ﷺ مَنْ مَسَّ ذَکَرَہُ فَلْیَتَوَضَّأْ، وَأَیُّمَا امْرَأَۃٍ مَسَّتْ فَرْجَہَا فَلْتَتَوَضَّأْ*

-----------

✦ :  RasoolAllah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jo Aadmi apni Agli sharmgaah ko chuye wo Wudhu kare isee tarah jo Aurat apne sharmgaah ko chuye wo bhi Wudhu kare 

Masnad Ahmad 781-Sahih


☆ :RasoolAllah Sal-Allahu alaihi Wasallam ne farmaya Jo Aadmi apni sharmgaah ko chuye wo us waqt tak Namaz na padhe jab tak Wudhu na kar le

Masnad Ahmad  783-Sahih

-----------

 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا جو (آدمی) اپنی اگلی شرمگاہ کو چھوئے، وہ وضو کرے، اسی طرح جو عورت اپنی شرمگاہ کو چھوئے وہ بھی وضو کرے۔ 

مسند احمد- ۷۸۱-صحیح


 رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا جو آدمی اپنی شرمگاہ کو چھوئے، وہ اس وقت تک نماز نہ پڑھے، جب تک وضو نہ کر لے۔ 

مسند احمد- ۷۸۳-صحیح

-----------

☆ : रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जो आदमी अपनी अगली शर्मगाह को छुए वो वुज़ू करे इसी तरह जो औरत अपनी शर्मगाह को छुए वो भी वुज़ू करे

मसनद अहमद  781– सहीह


 ★ : रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया जो आदमी अपनी शर्मगाह को छुए वो उस वक़त तक नमाज़ ना पढ़े जब तक वुज़ू ना कर ले

मसनद अहमद  783-सहीह

-----------

☆ :RasoolAllah Sal-Allahu alaihi Wasallam Said Whoever (a man) touches his front private area should perform ablution, similarly a woman who touches her private area should also perform ablution

Masnad Ahmad 781- Sahih


☆ :RasoolAllah Sal-Allahu alaihi Wasallam Said A person who touches his private parts should not pray until he performs ablution

Masnad Ahmad 783- Sahih

Wednesday, October 20, 2021

✦: Farishta kahta hai Eh Allah apne bande ko maaf farma kyunki Wo wuzu karke soya tha


Bismillahirrahmanirraheem

✦: Farishta kahta hai Eh Allah apne bande ko maaf farma kyunki Wo wuzu karke soya tha
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Apne inn Jismo ko paak karo Allah Subhanahu tumhein pakeezgi ataa farmaye, Jo banda bhi taharat ki halat mein soye ( yani Wazu kar ke soye) to ek farishta uske sath raat guzarta hai aur jab bhi wo shakhs raat ke kisi bhi waqt karwat badlta hai to farishta kahta hai Eh Allah apne bande ko maaf farma kyunki Wo wuzu karke soya tha
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا اپنے  ان جسموں کو پاک کرو اللہ تمہیں پاکیزگی عطا فرمائے  جو بندہ بھی طہارت کی حالت میں سوئے ( یعنی وضو کر  کے ) سوئے تو ایک فرشتہ اس کے ساتھ رات گزرتا ہے ۔جب بھی وہ شخص رات کے کسی وقت کروٹ بدلتا ہے تو فرشتہ کہتا ہے  اے اللہ ! اپنے بندے کو معاف فرما ، کیونکی وہ  وضو کرکے سویا تھا 
-------
✦: रसूल अल्लाह सलअललाहू अलैही वसललम ने फ़रमाया अपने इन जिस्मों को पाक़ करो अल्लाह सुबहानहु  तुम्हे पाकीज़गी अता फरमाए जो बंदा भी तहारत की हालत में (यानि वुज़ू करके) सोए तो एक फ़रिश्ता उसके साथ रात गुज़ारता है जब भी वो शख्स रात के किसी भी वक़्त  करवट बदलता है तो फ़रिश्ता कहता है की एह अल्लाह अपने बन्दे को माग फरमा क्यूंकि वो वुज़ू करके सोया था 
-------
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam  said, Purify these bodies of yours, that Allah may purify you. If any servant Sleeps in the night in a state of purity (with Abluiton) an angel resides with him in his bed  and Every time he turns in his bed during sleep,  the angel says  O Allah, forgive your servant, as he has slept in a state of purity. (With Ablution) 
Al-Mu’jam Al Awsat -Tabrani 5087-Hasan
Sahi Al Jame 3936-Hasan



Tuesday, January 21, 2020

Raat ko Wudhu karke sona Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki Sunnat hai

Bismillahirrahmanirraheem

✦ Raat ko Wudhu karke sona Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  ki Sunnat hai 
----
✦ Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam jab sone ka irada karte to Namaz wala Wudhu karte aur phir so jate
---
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  جب سونے کا ارادہ کرتے تو نماز والا وضو کرتے اور پھر سو جاتے
مسند احمد - ٥٥١٢-صحیح 
---
✦ आईशा रदी अल्लाहू अन्हा  से रिवायत है रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम  जब सोने का इरादा करते तो नमाज़ वाला वुज़ू करते और फिर सो जाते
---
✦ Narrated Aisha Radi Allahu Anha Whenever the Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  intended to sleep he used to perform ablution like that for the prayer
Musnad Ahmed-5512-Sahih

Tuesday, May 14, 2019

Mafhum e Hadith: Wuzu ki Fazeelat


Bismillahirahmanirrahim

✦  *Mafhum e Hadith: Wuzu ki Fazeelat*
--------
✦ Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mera Hauz Aaila se Adan tak ke fasle se zyada bada hai aur is ka paani barf se zyada safed aur shahad se mile doodh se zyada meetha hai aur is ke bartan sitaron ki tadad se zyada hai (ye sirf meri Ummat ke liye hai islye main (Ummat ke alawa dusre) logo ko us se rokunga Jaise Admee Apne Hauz se logo ke Oonth ko rokhta hai Sahaba Radi Allahu Anhuma ne pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kya us din Aap hame pahchan lenge Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haan tumhari ek nishani hogi jo dusri kisi ummat ki nahi hogi wo ye ki tum wuzu ke asar se chamakte huye chehre aur haath Paanw ke sath mere paas aaoge
Sahih Muslim Jild 1 , 581
-------
حضرت ابو ہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ سے روایت کی کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا  میرا حوض عدن سے ایلہ تک کے فاصلے سے زیادہ وسیع ہے اور ( اس کا پانی ) برف سے زیادہ سفید اور شہد سے ملے دودھ سے زیادہ شیریں ہے اور اس کے برتن ستاروں کی تعداد سے زیادہ ہیں ، ( یہ خالصتاً میری امت کے لیے ہے ، اس لیے ) میں ( امت کے علاوہ دوسرے ) لوگوں کو اس سے روکوں گا ، جیسےآدمی اپنےحوض سے لوگوں کے اونٹوں کو روکتا ہے  صحابہ کرام نے پوچھا : اے اللہ کے رسول !کیا اس دن آپ ہمیں پہچانیں گے؟ آپ نے فرمایا ہاں ، تمہاری ایک علامت ہو گی جو دوسری کسی امت کی نہیں ہو گی ، تم وضو کے اثر سے چمکتے ہوئے چہرے اور ہاتھ پاؤں کے ساتھ میرے پاس آؤ گے ۔
صحیح مسلم جلد ۱, ۵۸۱
-------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू  ने फरमाया मेरा हौज़ आईला से आदान तक के फ़ासले से ज़्यादा बड़ा है और इस का पानी बर्फ से ज़्यादा सफ़ेद  और शहद से मिले दूध से ज़्यादा मीठा है और इस के बर्तन सितारों की तादाद से ज़्यादा है (ये सिर्फ़ मेरी उम्मत के लिए है इसलिए मैं (उम्मत के अलावा दूसरे) लोगों को उस से रोकुंगा जैसे आदमी अपने हौज़ से लोगों  के ऊँट को रोकता है सहाबा  रदी अल्लाहू अन्हुमा ने पूछा या रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम क्या उस दिन आप हमे पहचान लेंगे आप सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम  ने फरमाया हाँ तुम्हारी एक निशानी होगी जो दूसरी किसी उम्मत की नही होगी , वो ये की तुम वज़ु के असर से चमकते हुए चेहरे और हाथ पाँव के साथ मेरे पास आओगे
सही मुस्लिम जिल्द 1 , 581
-------
Abu Huraira reported: Verily Allah's Messenger Sallallahu Alahih Wasallam said: My Cistern has its dimensions wider than the distance between Aila and Aden, and its water is whiter than ice and sweeter than the honey diluted with milk, and its cups are more numerous than the numbers of the 
stars. Verily I shall prevent the (faithless) people therefrom just as a man prevents the camels of the people from his fountain. They said: Messenger of Allah Sallallahu Alahih Wasallam will you recognise us on that day? He said: Yes, you will have distinctive marks which nobody among 
the peoples (except you) will have you would come to me with blazing forehead and bright hands and feet on account of the traces of ablution. 
Sahih Muslim Volume 1 , 581

Thursday, October 9, 2014

Hadith: Jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey


Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey
Sunan Nasaii, Vol 1, 447 ( Sahih)

Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shkash apni sharmgaah ko chu le wo shaksh tab tak namaz na padhe jab tak wudhu na kar le
Sunan Nasaii, Vol 1, 448 ( Sahih)

Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ghusal karney ke baad wudhu nahi farmatey they (kyunki ghusal karna kafi ho jata hai.)
Sunan Nasaii, Vol 1, 432 ( Hasan)

Note: Ghusal karney ke baad wudhu karna lazim nahi magar badan ko saaf karte waqt agar haath sharmgaah ko chu jaye to phir usey wudhu karna padhega


English Translation:
It was narrated from Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha that the Prophet Peace be upon him  said: If any one of you touches his private part with his hand, let him perform Wudu
Sunan Nasaii, Vol 1, 446 ( Sahih)

It was narrated by Aisha Radi-Allahu-Anha that the Messenger of Allah Peace be upon him would not perform Wudhu ( Ablution) after Ghusl (Bath)
Sunan Nasaii, Vol 1, 430 ( Hasan)

Note: After having bath there is no need to perform Wudhu but while somebody is wiping is body after bath and if he touch his private parts then he have to perform wudhu.

Sunday, December 9, 2012

Mafhum-e-Hadith: janabat ki halat mein wudhu karkey sona chahiye



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  janabat ki halat mein wudhu karkey sona chahiye

Abdullah bin umar  Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se pucha gaya ki kya hum logon mein se koi Janabat ki halat  mein so sakta hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya (HAAN)  jis waqt waqt wo wudhu kar le
Sunan Nasaii , Vol 1, 262 ( Sahih)

Abdullah bin umar  Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki  Umar Radi-Allahu-Anhu  ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se pucha ki mujhko Raat je janabat ho jati hai , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya tum Wudhu kar lo aur sharmgaah ko dho  lo  phir uskey baad so saktey ho
Sunan Nasaii , Vol 1, 263 ( Sahih)

Baab: Paki  ka bayan :  Agar Janubi  shaksh wudhu na karey :

Ali Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya us ghar mein (rahmat ke) farishtey dakhil nahi hotey jis ghar mein Kutta , tasweer ya Junubi  shaksh ho
Sunan Nasaii , Vol 1, 264 ( Hasan)

--------------------------------------------------------------------------------------------
It was narrated from  Abdullh bin Umar that  umar may Allah be pleased with him said: O  Messenger of Allah Peace be upon him May any one of us sleep while he is Junub?"  He Peace be upon him  said: (YES) When he performs Wudu.
Sunan Nasaii , Vol 1, 260 ( Sahih)

It was narrated that Ibn 'Umar said: "Umar mentioned to the Messenger of Allah Peace be upon him  that he became Janub at night, the Messenger of Allah  Peace be upon him said 'Perform Wudhu and wash your Private parts  then sleep.
Sunan Nasaii , Vol 1, 261 ( Sahih)

Chapter : If A Janub  person does not perform Wudhu :
It was narrated from Ali  may Allah be pleased with him said that the Prophet Peace be upon him  said: The angels do not enter a house where there is an image, a dog or a Junub person. (Hasan)
Sunan Nasaii , Vol 1, 262 ( Hasan)

Janub  :
impure due to sexual intercourse or semen discharge

Tuesday, November 20, 2012

Hadith>> Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye jayengey


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith>> Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye jayengey

Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karey aur phir kahey ki
Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu
(Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam)Allah ke bandey aur Rasool hain)
Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye janyegey aur wo shaksh jannat ke jis darwazey se chahey dakhil ho jaye
Sunan nasaii, Vol1, 150 . ( Sahih)
---------------------------------------------
 It was narrated that 'Umar bin Al-Khattab may ALLAH be pleased with him said: "The Messenger of Allah peace be upon him said: whoever performs Wudhu well, then says:  Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu (I bear witness that there is no God except Allah, and I bear witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah
Then eight gates of Paradise will be opened for  him, and he may enter through whichever one he wishes
Sunan nasaii, Vol1, 148 ( Sahih)

Hadith: >> Shaitan raat mein naak ki jad ke andar rahta hai


BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

Hadith: >> Shaitan raat mein naak ki jad ke andar rahta hai

Hazrat Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jab koi shaksh so kar uthey phir wo wudhu karey to teen martaba naak saaf karey kyunki Shaitan raat mein naak ki jad ke andar
rahta hai 
Sunan Nasai, Vol 1, #91 ( Sahih)

I t was narrated from Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  that the Messenger of Allah Peace be upon him said:  When any of  you wakes from sleep then let him sniff water in his nose and blow it out three  times, for the Shaitan spends the night on his nose."
( Classified As Sahih )
Sunan Nasaii, Vol1, #90

Thursday, October 18, 2012

Mafhum-e-Hadith: Wudhu kartey waqt Naak saaf karo


 Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever performs ablution should clean his nose with water by putting the water in it and then blowing it out
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 162:
------------------------------------------------------------------Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jo shaksh wudhu karey usey chahiye ki paani andar dalkar naak saaf karey aur usey (pani ko) phir bahar nikal de
Sahih Bukhari, Vol 1,161

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain


Bismillah irrahman nirrahim

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain

Nu'am Al-Mujmir radi allahu anhu se rivayat hai ki main Abu Hurirah Radiallahu anhu ke saath masjid ki chat (roof) par chada unhoney wudhu kiya aur kaha ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki meri ummat ke log wudhu ke nishaanat ki wajah se Qayamat ke din "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( Safaid Peshani aur Safaid haath paaw waley) kah kar bulaye jayengey to tum mein jo koi apni chamak badana chahta hai to wo bada le (yani regular wudhu karta rahey)
Sahih Bukhari, Vol 1, 136

Hazrat usman bin Affan Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Shaksh achchi tarah wudhu karey to uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain
Sahih Muslim, Vol1, 578

------------------------------------------------------------------------------

Narrated Nu'am Al-Mujmir Radiallahu anhu : Once I went up the roof of the mosque, along with Abu Huraira. He perform ablution and said, "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "On the Day of Resurrection, my followers will be called "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( the person who have white hands ,legs and face) from the trace of Ablution and whoever can increase the area of his radiance should do so (i.e. by performing ablution regularly).' 
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 138: 

Uthman b. 'Affan reported: The Messenger of Allah (way peace be upon him) said: He who performed ablution well, his sins would come out from his body, even coming out from under his nails.
Sahih Muslim, Book 002, Number 0476: 

Tuesday, October 2, 2012

Hadith: (Madhi nikalney) par sirf wudhu karna kaafi hai (Ghusal farz nahi)


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: (Madhi nikalney) par sirf wudhu karna kaafi hai (Ghusal farz nahi)
 
Sahl ibn Hunayf Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Main Madhi (mazi) ke baar baar nikalne se takleef mein mubtala rahta tha kyunki main aksar iski wajah se Ghusal kiya karta tha mainey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  se is barey mein arz kiya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (Madhi nikalney) par sirf wudhu karna kaafi hai mainey arz kiya Ya Rasoollallah  allallhu Alaihi Wasallam  agar madhi kapdo par lag jaye to kya karu ? Aapney farmaya Ek chullu paani lekar us Muqam par chidak do jahan tumhey mehsus ho madhi lagi hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 210
-------------------------------------------------------------------------------
Narrated Sahl ibn Hunayf may ALLAH be pleased with him : I felt greatly distressed by the frequent flowing of prostatic fluid (Madhi). For this reason I used to take a bath very often. I asked the apostle of Allah  peace_be_upon_him about this. He Peace be upon him replied: Ablution will be sufficient for you because of this. I asked: O Apostle of Allah , what should I do if it smears my clothes. He Peace be upon him  replied: It is sufficient if you take a handful of water and sprinkle it on your clothe when you find it has smeared it.
Sunan Abu Dawud,Book 1, Number 0210
------------------------------------------------------------------------------
Explanation:
Other than urine, there are basically three types of discharges that are released from one’s private organs:
  1. Wadi (a thick white secretion immediately after uniration by some people)
  2. Madhi (a sort of slow release of lubricant just prior to a full sexual discharge)
  3. Mani (a full sexual discharge)
If only Wadi or Madhi is released, one does not require a ‘ghusl’ or full bath to purify himself; he must wash his private parts and the part of his clothes or body where the‘wadi’ or ‘madhi’ has touched, do the wudu, and he would be available for prayer.
If Mani is released, then it become obligatory to perform a ‘ghusl’ or full bath to purify oneself.
Allah knows Best

Mafhum-e-Hadith: Wudhu sahi na honey par wudhu aur namaz ko dohraney ka hukm……..


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Wudhu sahi na honey par wudhu aur namaz ko dohraney ka hukm……..

Ek sahabi radi Alllahu anhu rivayat kartey hain hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne ek shaksh ko namaz parhtey huye dekha uskey paaw mein ek Dirham ke barabar jagah sukhi rah gayee thi to AAP sallAlllahu alaihi wasallam ne usko wudhu aur Namaz ke lotaney ka hukm diya
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 175

--------------------------------------------------------------------------------
Mafhum-e-Hadith: If ablution ( Wudhu) is not proper then repeat the ablution  and prayer

Narrated Some Companions of the Prophet may ALLAH be pleased with him : The Prophet Peace be upon him  saw a person offering prayer, and on the back of his foot a small part equal to the space of a dirham remained unwashed; the water did not reach it. The Prophet  peace_be_upon_him commanded him to repeat the ablution and prayer.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0175: 

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ke wudhu ke pani ki taazim


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ke wudhu ke pani ki taazim

Abu Juhaifa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam   Sallallhu Alaihi Wasallam ko Ek Surkh chamdey ke khaimey (tent) mein dekha aur mainey ye bhi dekha ki Bilal radi allahu anhu Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ko wudhu kara rahey hain aur har shaksh (Sahaba) Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ke wudhu ka pani hasil  karney ke liye ek dusrey se aagey badhney ki koshish kar raha hai agar kisi ko thoda sa  pani mil jata to wo usey apney upar Mal leta aur agar koi paani na pa sakta to apney  saathi ke haath ki tari (moisture ) hasil karney ki koshish karta
Sahih Bukhari, Volume 1, #376 (Part 1)
----------------------------------------------------------------------------------------
Mafhum-e-Hadith: Respect of the utilized  water of Prophet Peace be upon him’s Ablution

Narrated Abu Juhaifa may ALLAH be pleased with him I saw Allah's Apostle Peace be upon him  in a red leather tent and I saw Bilal may ALLAH be pleased with him taking the remaining water with which the Prophet Peace be upon him had performed ablution. I saw the people (Sahaba) taking the utilized water impatiently and whoever got some of it rubbed it on his body and those who could not get any took the moisture from the others' hands.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 8, Number 373  (part1)

Sunday, September 30, 2012

Hadith: Us shaksh ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Us shaksh ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho

Hazrat Abu huraira radi Alllahu anhu se rivayat hai ki RASOOLALLAH sallAlllahu alaihi wasallam ne farmaya ki us shaksh ki namaz nahi jiska wudhu nahi aur us shaksh ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho

Sunan Abu Dawud,
  Vol 1, 101
----------------------------------------------------------------
Narrated AbuHurairah Radi Alllahu Anhu
  The Messenger of ALLAH peace be upon him said: The prayer of a person who does not perform ablution is not valid, and the ablution of a person who does not mention the name of ALLAH (in the beginning) is not valid. 
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 101 

Wednesday, September 26, 2012

Hadith: jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 nekiyan likh di jayegi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 nekiyan likh di jayegi


Abdullah bin umar Radi Alllahu Anhuma se rivayat hai AbuGhutayf al-Hudhali 
ne kaha ki Main Abdullah bin umar radi ALLAHhu anhu ke pass tha jab Duhar ki adhan huyee to unhoney Wudhu kiya aur namaz parhaayee iskey baad Asar ki Adhan huyee to unhoney Dobara Wudhu kiya mainey unsey pucha to unhoney kaha ki  RASOOLLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya  ki jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 nekiyan likh di jayegi
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 62
----------------------------------------------------------------------
Hadith: Ten virtuous deeds will be recorded on performing  ablution again

Narrated Abdullah ibn Umar Radi Alllahu Anhu  :AbuGhutayf al-Hudhali reported: I was in the company of Ibn Umar . When the call was made for the noon (zuhr) prayer, he performed ablution and said the prayer. When the call for the afternoon ('asr) prayer was made, he again performed ablution. Thus I asked him (about the reason of performing ablution). He replied: The Apostle of ALLAH peace be upon him  said: For a man who performs ablution in a state of purity, ten virtuous deeds will be recorded (in his favour).
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0062: 

Mafhum-e-Hadith: Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey

Aayesha Radi Alllahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ke liye Wudhu ka pani aur Miswak rakh di jati thi, jab Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam raat mein baidar hotey they to pahley istinja ke liye tashreef  le jatey iskey baad wapas aakar miswak kartey they. 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam jab bhi so kar uthtey chahey raat mein ya chahey din mein to Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 55,56 
( Sahih)


Narrated  Ummul Mu'minin Aisha Radi Alllahu Anha  : Ablution water and tooth-stick were placed by the side of the Prophet (peace_be_upon_him). When he got up during the night (for prayer), he relieved himself, then he used the tooth-stick. The Prophet  peace_be_upon_him  did not get up after sleeping by night or by day without using the tooth-stick before performing ablution.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0055,56 
( Sahih)

Tuesday, September 25, 2012

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu Alaihi wasalllam ki ungliyon se Pani nikal raha tha


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 


Mafhum-e-hadith:  Aap Sallallahu Alaihi wasalllam ki ungliyon se  Pani nikal raha tha

Hazrat Anas radi allahu anhu se rivayat hai ki RASOOLALLAH sallallahuAlaihiWasallam ne paani maanga to ek Tub (vessel) laya gaya phaila hua, log usmein se wudhu karney lagey mainey andaza kiya to 60 se 80 Aadmin tak ne wudhu kiya
Main pani ko dekh raha tha Aap Sallallahu Alaihi wasalllam ki ungliyon se  phoot (nikal) raha tha
Sahih Muslim, Vol6, 5941
 ---------------------------------------------------------------------------------------
 Narrated Anas may ALLAH be pleased with him that Allah's Apostle may peace be upon him called for water and he was given a vessel and the people began to perform ablution in that and I counted (the persons) and they were between fifty and eighty and I saw water which was spouting from his fingers.
Sahih Muslim,  Book 030, Number 5656


Hadith: Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ki ungliyon se paaani nikal raha tha


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ki ungliyon se paaani nikal raha tha


Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ki Namaz Asar ka waqt aa gaya , logo ne paani talaash liya jab unhey paani na mila to Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas (ek bartan mein) wudhu ke liye paani laya gaya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne usmein apna haath daal diya aur logon ko hukm diya ki isi (bartan) se wudhu karey, Hazrat Anas Radi Allahu Anhu kahtey hain ki Mainey dekha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki ungliyon ke neechey se paani ubal raha tha , yahan tak ki Aakhri aadmi ne bhi Wudhu kar liya
Sahih Bukhari, Vol 1, 169
 ------------------------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu  :I saw Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam when the 'Asr prayer was due and the people searched for water to perform ablution but they could not find it. Later on (a pot full of) water for ablution was brought to Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  . He Sallallahu Alaihi Wasallam  put his hand in that pot and ordered the people to perform ablution from it. I saw the water springing out from underneath his ( Sallallahu Alaihi Wasallam ‘s)  fingers till all of them performed the ablution
 (it was one of the miracles of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam ).
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4, Number 170

Hadith :Uskey ek Namaz se Dusri namaz ke parhney tak ke Gunnah Maaf kar diye jaatey hain


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Hadith :Uskey ek Namaz se Dusri namaz ke parhney tak ke Gunnah Maaf kar diye jaatey hain

Hazrat Usman Radi Allahu Anhu ne wudhu kiya to farmaya Main tumko  EK hadith Sunata hu Agar Quran paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti to main ye Hadith tumko na sunata , Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab  bhi koi Achchi tarah wudhu karta hai to aur namaz parhta hai to uskey ek Namaz se Dusri namaz ke parhney tak ke Gunaah Maaf kar diye jaatey hain
Sahih Bukhari, Vol 1, 153

 Urwah radi allahu anhu kahtey hain wo ye aayat ye hai  “Jo log Allah ki us Nazil ki huyee Hidayat ko Chupatey hain jo usney logon ke liye Apni kitab mein bayan ki hai , Un Par Allah ki Laanat hai aur (Dusrey) Laanat karney walon ki laanat hai”
 ( Al Quran , Al Baqrah : 159)
----------------------------------------------------------------------------
Narrated Humran Radi Allahu Anhu  (the slave of 'Uthman) After performing the ablution 'Uthman Radi Allahu Anhu  said, "I am going to tell you a Hadith which I would not have told you, had I not been compelled by a certain Holy Verse (the sub narrator 'Urwa said: This verse is: "Verily, those who conceal the clear signs and the guidance which we have sent down...)" (Al Quran: 2:159).

 I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  saying, 'If a man performs ablution perfectly and then offers the compulsory congregational prayer, Allah will forgive his sins committed between that (prayer) and the (next) prayer till he offers it.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4, Number 161

Total Pageviews