Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Qurbani (Sacrifice). Show all posts
Showing posts with label Qurbani (Sacrifice). Show all posts

Sunday, August 4, 2019

Mafhum e Hadith: Qurabani ki istata'at ( capacity) nahi rakhne walo ke liye Qurabani Ka sawab


Bismillahirrahmanirraheem

Mafhum e Hadith: Qurabani ki istata'at ( capacity) nahi rakhne walo ke liye Qurabani Ka sawab
------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh se irshad farmaya mujhe das dhul hijja ke din Eid manane ka hukm hua hai Allah Subhanahu ne iss din ko iss ummat ke liye Eid banaya usne arz kiya agar mere paas kuch bhi mojud na ho ( Yani Qurbani ke mutabiq nisab mojud na ho) lekin ek hi bakri ya Ootni hai (jis se main fayda hasil karta hun) kya mein uski Qurbani karu Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi,  lekin (eid ki namaz ke baad) tum apne baal aur nakhun kat lo aur munch tarshwa lo bas yehi tumari Qurbani hain Allah Subhanahu Ke nazdik
Sunan Nisai, Jild 3 , 667-Sahih
------
🌹Tashreeh : Jo log Qurbani ka Sawab hasil Karna chahate Hain aur unki istata'at (capacity) nahi hain Wo log bhi Iss sawab ko hasil Kar sakte Hain dhul hijja Ka Chand dekhne ke bad apne baal aur nakhun kaatne as ruk Jaye aur Eid ki Namaz padh Kar unko kaat le to unhein bhi Mukamal Qurbani Ka Sawab milega
------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ایک شخص سے فرمایا: ”مجھے قربانی کے دن ( دسویں ذی الحجہ ) کو عید منانے کا حکم ہوا ہے، اللہ تعالیٰ نے اس دن کو اس امت کے لیے عید کا دن بنایا ہے وہ شخص بولا: میرے پاس کچھ بھی نہ ہو (یعنی قربانی کے مطابق نصاب موجود نہ ہو) لیکن ایک ہی بکری یا اونٹنی  ہے (جس سے میں فائدہ حاصل کرتا ہوں ) کیا میں اس کی قربانی کروں آپ نے فرمایا نہیں , لیکن (عید کی نماز کے بعد) تم اپنے بال اور ناخن کتروالو  اور مونچھ کے بال مونڈلو بس یہ تمہاری قربانی ہے الله  سبحانه کے نزدیک
سنن نسائی جلد ۳ حدیث  ٦٦٧ صحیح
------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने एक शख्स से इरशाद फरमाया मुझे दस ज़ुल हिज़्जा के दिन ईद मनाने का हुक्म हुआ है अल्लाह सुबहानहु ने इस दिन को इस उम्मत के लिए ईद बनाया उसने अर्ज़ 
किया अगर मेरे पास कुछ भी मोजूद ना हो (यानी क़ुर्बानी के मुताबिक़ निसाब मोजूद ना हो) लेकिन एक ही बकरी या ऊंटनी है (जिस से मैं फायदा हासिल करता हूँ) तो क्या में उसकी क़ुर्बानी करूँ आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया नही,  लेकिन (ईद की नमाज़ के बाद) तुम अपने बाल और नाख़ून काट लो और मूँछ तरशवा लो बस यही तुम्हारी क़ुर्बानी हैं अल्लाह सुबहानहु के नज़दीक
सुनन नसाई, जिल्द 3 , 667-सही
------
✦ The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said to a man: I have been instructed to take the Day of Sacrifice as an 'Id which Allah, the Might and Sublime, has ordained for this Ummah. The man said: What do you think if I cannot find anything but a female sheep that has been loaned to me so that I may benefit from its milk - should I sacrifice it? He said: No. Rather cut something from your hair and your nails, trim your mustache and shave your pubic hairs, and you will have a complete reward with Allah, the Might and Sublime, as if you had offered the sacrifice. 
Sunan Nasaii, Book 43, 4370-Sahih

✦ Explanation : if a person is not capabale to sacrifice than he should not cut his hair or nails from the first of Dhul Hijja month, and afterthe eid prayer he should cut his hairs and trim mustache , if he do so he will get reward as he had offered the sacrifice.

Tuesday, May 14, 2019

Hadith: jis Shaks ko Qurbani ki istataat ho phir bhi wo Qurbani na Karen to wo hamari Eid gah ke Qareeb bhi na aaye



*Bismillahirahmanirrahim*

✦ *Hadith:  jis Shaks ko Qurbani ki istataat ho phir bhi wo Qurbani na Karen to wo hamari Eid gah ke Qareeb bhi na aaye*
---------------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis Shaks ko Qurbani ki istata'at ho phir bhi wo Qurbani na Karen to wo hamari Eid gah ke Qareeb bhi na aaye 
Sunan ibn Maja, Jild 3,Hadith 4-Hasan
---------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस शख्स को क़ुर्बानी की इसतताअत (क्षमता) हो फिर भी वो क़ुर्बानी ना करें तो वो हमारी ईदगाह के क़रीब भी ना आए 
सुनन इब्न माजा , जिल्द 3, हदीस 4-हसन 
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص کو  قربانی کی  استطاعت ہو اور وہ قربانی نہ کرے، تو وہ ہماری عید گاہ کے قریب بھی نہ آئے   
سنن ابن ماجہ جلد ۳, حدیث  ٤ حسن
------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said Whoever can afford it, but does not offer a sacrifice, let him not come near our prayer place.” 
Sunan ibn Maja Book  26, 3123 Hasan

Hadith: Gaay (Cow) ka doodh shifa hai uska ghee dawa hai aur uska gosht beemari hai



Bismillahirrahmanirrahim

✦ *Hadith: Gaay (Cow) ka doodh shifa hai uska ghee dawa hai aur uska gosht beemari hai*
-----------
Zuhair apni biwi se rivayat karte hai ki Malika Bint Umar ne unhe ek beemari mein gaay ka ghee istemal karne ka mashwara diya tha aur ye kaha tha ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya uska (Gaay ka) doodh shifa hai uska ghee dawa hai aur uska gosht beemari hai
Al-Silsila-tus-Sahiha- 2293

✦ Tashreh : Ulmao se jab Gaay ki qurbani aur is hadith ke baare mein sawal kiya gaya to unhone kaha hai ki insan ko bahut zyada gaay ka gosht nahi khana chahiye,  magar kabhi kabhi isko kha sakte hain aur qurbani mein agar koi dusra janwar na mile to hi gaay ka istemal karna behtar hai
-----------
زھیر اپنی بیوی سے روایت کرتے ہیں کی ملیکۃ بنت عمر نے ایک  بیماری میں ان کو  گائے کا گھی استمعال کرنے کا مشورہ دیا  تھا۔ 
اور كہا كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس كا دودھ شفا ہے اس كا گھی دوا ہے اور اس كا گوشت بیماری ہے
السلسلہ صحیحہ  - ٢٢٩٣ 
----------
ज़ुहैर अपनी बीवी से रिवायत है की मलिका बिन्त उमर ने एक बीमारी में गाय का घी इस्तेमाल  करने का मशवरा दिया था और  ये कहा था की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम  ने फरमाया उसका (गाय का) दूध शिफा है उसका घी दवा है और  उसका गोश्त बीमारी है
अल सिलसिला अस सहीहा - 2293
-----------
Narrated Zuhair from his wife that malika bint umar recommended the cow's ghee for a disease and said  RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said about the cow: Its milk is a cure, its ghee is a treatment and its meat is a disease.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2293

✦ Explaination : The scholars have reconciled between this hadith and the hadith of his sacrificing the cow for his wives, by stating the intention behind the prohibition of cow’s meat is only referring to consuming large quantities of it. As for eating it sometimes; there is no problem or any harm in this. And it is 
without any doubt permissible; because the intent behind the prohibition of beef is to consume large quantities of it; and to use beef as a replacement for the meat of sheep, goats and camels. This is the answer of the scholars.

Thursday, May 9, 2019

Mafhum-e-Hadith : Ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakra Qurbani karta


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith :  Ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakra Qurbani karta 
------------------------
✦ Ata ibn yasar bayan karte hain ki maine Abu Ayyub ansari radi allahu se pucha ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ke zamane mein Qurbani kaise hua karti thi to unhone farmaya ki ek aadmi apne aur apne gharwalo ki taraf se ek bakri (ya ek bakra) Qurbani kiya karta tha  jismein wo khud bhi khate aur dusro ko bhi khilate , yaha tak ki log ek dusre par fakhr karne lag gaye aur haal waise ho gaya jaisa aajkal aap dekh rahe (yani ek ghar mein ek se zyada Qurabani karne lag gaye)
Jamia tirmizi, Jild 2,1545-Sahih
---------------------
✦ अता  इब्न यासिर  बयान करते हैं की मैने अबू अय्यूब अंसारी रदी अल्लाहू से पूछा की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  के ज़माने में क़ुर्बानी कैसे हुआ करती थी तो उन्होने फरमाया की एक आदमी अपने और अपने घरवालों  की तरफ से एक बकरी (या एक बकरा) क़ुर्बानी किया करता था  जिसमें वो खुद भी खाते और दूसरो को भी खिलाते ,यहाँ  तक की लोग एक दूसरे पर फख्र करने लग गये और हाल वैसा  हो गया जैसा आजकल आप देख रहे (यानी एक घर में एक से ज़्यादा क़ुरबानी करने लग गये)
जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 2 , 1545-सही
---------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے زمانے میں قربانیاں کیسے ہوتی تھی؟ انہوں نے کہا: ایک آدمی اپنی اور اپنے گھر والوں کی طرف سے ایک بکری قربانی کرتا تھا، وہ لوگ خود کھاتے تھے اور دوسروں کو کھلاتے تھے یہاں تک کہ لوگ ( کثرت قربانی پر ) فخر کرنے لگے، اور اب یہ صورت حال ہو گئی جو دیکھ رہے ہو ۱

جامع ترمذی جلد ۲  حدیث ١٥٤٥ 
___________________


✦ Narrated Ata bin Yasar Radi Allahu anhu I asked Abu Abyub Al-Ansari radi allahu anhu how the slaughtering was done during the time of the Messenger of Allah (ﷺ). He said: 'A man would sacrifice a sheep for himself and the people in his household. They would eat from it and feed others, until the people (later) would boast about it and it became as you see now."
Jamia Tirmizi, Book 17, 1505-Sahih

Saturday, November 28, 2015

Mafhum-e-Hadith: Qurbani ke janwaro ki koi cheez qasayee ko mazduri mein na do

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Qurbani ke janwaro ki  koi cheez qasayee ko mazduri mein na do

Ali Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mujhe hukm diya ki main Qurbani ke oonto ki dekhbhal karo aur unmein se koi cheez qasayee ko mazduri mein na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1716

ALi Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne hukm diya ki Qurbani ke janwaro ki har cheez gosht chamda aur jhol khairat  kar do aur Qasayee ki mazduri usmei se na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1717

Comments: Aksar log kasayee ko Qurbani ka gosht ya chamda mazduri mein dete hain  jabki kasayee ko uski mazduri alag se deni chahiye aur gosht aur chamda khairat  kar dena chahiye

-------------------------------------------------------------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ordered me to supervise the slaughtering (Animals) and not to give anything (of their bodies) to the butcher as wages for slaughtering.
Sahih Bukhari, Book 26, # 774

Narrated Ali Radhi Allahu Anhu  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ordered me to supervise the (slaughtering) of Budn (Hadi camel) and to distribute their ((slaughtering) meat, skins and covering sheets in charity and not to give anything (of their bodies) to the butcher as wages for slaughtering.

Sahih Bukhari, Book 26, # 775

Tuesday, September 22, 2015

✦ Al- Quran: Kah do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH hi ke liye hai

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Al- Quran: Kah do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH hi ke liye hai jo saare jahan ka paalne wala hai

Surah Al-Anaam (6) verse 162


✦ Al Quran : Kah do , Eh ALLAH baadshahi ke malik jise tu chahta hai sultanat deta hai aur jis se chahta hai sultanat cheen leta hai , jise tu chahta hai ezzat deta hai aur jise tu chahta hai zaleel karta hai sab khubi tere haath mein hai beshak tu har cheez par qadir hai
Tu hi raat ko din mein dakhil karta hai aur din ko raat mein dakhil karta hai aur zinda ko murde se nikalta hai aur murde ko zinda se nikalta hai aur jise tu chahta hai behisab rizq deta hai
Surah Aal-e-imran 26-27
--------------------
✦ अल- क़ुरान: कह दो, बेशक मेरी नमाज़ और मेरी क़ुर्बानी और मेरा जीना और मेरा मरना अल्लाह ही के लिए है जो सारे जहाँ का पालने वाला है
सुराह अल-अनाम (6) आयत 162



✦ अल क़ुरान : कह दो , एह अल्लाह बादशाही के मलिक जिसे तू चाहता है सलतनत देता है और जिस से चाहता है सलतनत छीन लेता है ,
जिसे तू चाहता है इज्ज़त देता है और जिसे तू चाहता है ज़लील करता है सब खूबी तेरे हाथ में है बेशक तू हर चीज़ पर कादिर है
तू ही रात को दिन में दाखिल करता है और दिन को रात में दाखिल करता है और ज़िंदा को मुर्दे से निकालता है और मुर्दे को ज़िंदा से निकालता है और जिसे तू चाहता है बेहिसाब रिज़क़ देता है
सुरह आल-ए-इमरान 26-27
--------------------
✦ Al Quran : Say , Verily my prayer, and my sacrifices, and my living and my dying are all for ALLAH Who is the Lord of all the worlds
Surah Al-Anaam (6) verse 162

✦ Al Quran : Say : O ALLAH! Possessor of the kingdom, You give the kingdom to whom You will, and You take the kingdom from whom You will, and You endue with honour whom You will, and You humiliate whom You will. In Your Hand is the good. Verily, You are Able to do all things. 
( Oh ALLAH) You make the night to enter into the day, and You make the day to enter into the night , You bring the living out of the dead, and You bring the dead out of the living. And You give wealth and sustenance to whom You will, without limit (measure or account).
Surah Aal-e-Imran, 26-27

✦ Qurbani ki dua ✦


✦ Qurbani ki dua ✦ 
---------------------
إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ
إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَاىَ وَمَمَاتِي
لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ
اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ عَنْ مُحَمَّدٍ وَأُمَّتِهِ


(بِسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ)
(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le 
aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe )
---------------------
✦ Jabir bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah salalalhu alaihi wasallam ne eid ke din do maindho ki Qurbani ki, jab Aap sal-Allahu alaihi wasallam unko Qibla rukh kiya to ye kalimat irsad farmaye
"inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda 
hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya
Wa Mamati Lillahi Rabbil A'lameen.
La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana 
awwalu minal muslimeen. Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi" (Bismillahi Wa-Allahu Akbar)
(Note : Muhammadiw wa ummatihi ki jagah jiski taraf se Qurbani ho uska naam le 
aur agar apni khud ki ho to Aan ki jagah Anni kahe )
Sunan Ibn majah, Jild 3, Hadith 2-Hasan
---------------------
✦ Tarjuma : Main Apna rukh us zaat ki taraf karta hu jisne aasman aur zameen
ko paida farmaya aur aur main shirk karne walon mein se nahi hu 
bila shuba meri namaz aur meri qurbani aur mera Jeena aur mera 
marna sab Allah-Rabbul-Aalameen ke liye hai jiska koi sharik nahi hai 
aur mujhe isee ka hukm diya gaya hai aur main sabse pahle islam lane walo 
mein se hu , Eh Allah ye Qurbani teri hi Ata se hai aur teri hi raza ke liye hai, 
Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) aur unki ummat ki taraf se
(Allah ke naam ke saath aur Allah sabse bada hai)
Sunan Ibn majah, Jild 3, Hadith 2-Hasan
---------------------
✦ जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहु अलैही वसल्लम ने ईद के दिन दो भेड़ों की क़ुर्बानी की, जब आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने उनको क़िब्ला रुख़ किया तो ये कलिमात ईरशाद फरमाये
" ईन्नी वज्जहतू वजहीया लिललज़ी फातारस समावाती वल अरदा हनीफव वमा अना मीनल मुशरीकिन, इन्ना सलाती वा नुसुकी वा महयाया वा मामाती लिल्लाही रबबील आलमीन, 
ला शरीका लहू वा बिज़ालिका उमीरतू वा अना अव्वलू मीनल मुसलीमीन, 
अल्लहुम्मा मिनका वा लका अन मुहम्मदिव व उम्मातिही ( बिस्मिल्लही वा अल्लाहू अकबर )
(मुहम्मदिव व उम्मातिही की जगह जिसकी तरफ से क़ुरबानी हो उसका नाम ले और अपनी तरफ से हो तो वा लका अन्नी कहे ) 
सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 3 , हदीस 2 - हसन
---------------------
✦ Dua for Sacrifice An Animal ✦ 
-----------------------
It was narrated that Jabir bin Abdullah radi alahu anhu said: 
“The Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam sacrificed two 
rams on the Day of Eid. When he turned them to face towards 
the prayer direction he said:
"inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda 
hanifaw wamaa ana minal mushrikeen. inna-Salaati Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamati Lillahi Rabbil A'lameen. La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana awwalu minal muslimeen. 
Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi "
(Bismillahi Wa-Allahu Akbar)
Sunan Ibn majah, Book 26, Hadith 3121-Hasan
( Note : In place of "Muhammad and his nation" you should mention the name of the person on whose behalf the sacrifice is being done)
---------------------------------
Translation: ‘Verily, I have turned my face towards Him Who has created the heavens and the earth, as a monotheist, and I am not of the polytheists. Verily, my prayer, my sacrifice, my living, and my dying are for Allah, the Lord of all that exists. He has no partner. And of this I have been commanded, and I am the first of the Muslims O Allah, from You to You, on behalf of Muhammad and his nation.’”(In the name of ALLAH, Allah is Greatest)

Wednesday, October 1, 2014

Mafhum-e-Hadith: Qurbani ke janwaro ki koi cheez qasayee ko mazduri mein na do

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Qurbani ke janwaro ki  koi cheez qasayee ko mazduri mein na do

Ali Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne mujhe hukm diya ki main Qurbani ke oonto ki dekhbhal karo aur unmein se koi cheez qasayee ko mazduri mein na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1716

ALi Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne hukm diya ki Qurbani ke janwaro ki har cheez gosht chamda aur jhol khairat  kar do aur Qasayee ki mazduri usmei se na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1717

Comments: Aksar log kasayee ko Qurbani ka gosht ya chamda mazduri mein dete hain  jabki kasayee ko uski mazduri alag se deni chahiye aur gosht aur chamda khairat  kar dena chahiye

-------------------------------------------------------------
The Prophet sallallahu alaihi wasallam  ordered me to supervise the slaughtering (Animals) and not to give anything (of their bodies) to the butcher as wages for slaughtering.
Sahih Bukhari, Book 26, # 774

Narrated Ali Radi allahu anhu  The Prophet sallallahu alaihi wasallam  ordered me to supervise the (slaughtering) of Budn (Hadi camel) and to distribute their ((slaughtering) meat, skins and covering sheets in charity and not to give anything (of their bodies) to the butcher as wages for slaughtering.

Sahih Bukhari, Book 26, # 775

Wednesday, September 24, 2014

Hadith: jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahe to apne baal aur nakhun yuhi rahne de

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahe to apne baal aur nakhun yuhi rahne de
-----------------------------------------
Umm Salama Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahe to apne baal aur nakhun yuhi rahne de ( yani na kaate)
Sahih Muslim , Vol 5, #5119

Umm Salama Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jiskey paas janwar ho zabah karne ke liye aur Zil Hijja ka chand aa jaye ( ya jab Dhu'l-Hijja ka mahina aa jaye) to apne Baal na katwaye aur na Nakhun tarashe jab tak qurbani na kar le.
Sahih Muslim , Vol 5, 5121
-----------------------------------------
English Translation:
Umm Salama reported Allah's Messenger may peace be upon him having said this: When any one of you intending to sacrifice the animal enters in the month (of Dhu'l-Hijja) he should not get his hair or nails touched (cut).
Sahih Muslim, Book 022, Number 4869

Umm Salama, the wife of Allah's Apostle may peace be upon him reported Allah's Messenger may peace be upon him have said: He who has a sacrificial animal with him whom (he intends) to offer as sacrifice, and he enters the month of Dhu'I-Hijja, he should not get his hair cut or nails trimmed until he has sacrificed the animal.
Sahih Muslim, Book 022, Number 4873

Ye Chaar tarah ke jaanwar Qurbani ke liye nahi lene chahiye

Bismillahirrahmanirrahim

 Chaar tarah ke jaanwar Qurbani ke liye nahi lene chahiye
(
Four Types of animals should be avoided in sacrifice )

Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Qurbani ke liye chaar tarah ke jaanwar durast nahi hai
1. Wo jiska kaanapan ya bhaingapan bilkul zahir ho, 2. dusra wo jo dekhney se hi beemar lagta ho,

3. teesra wo jiska langdapan bilkul zahir ho,
4. aur  chotha wo jo budha aur bilkul kamjor ho jiski haddiyon mein Gooda na ho

Sunan Abu Dawud, Vol 2 1029-Sahih

-----------------------------------------------------------------------------------------------

Narrated Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Four (types of animals) should be avoided in sacrifice: A One-eyed animal which has obviously lost the sight of one eye, a sick animal which is obviously sick, a lame animal which obviously limps and an animal with a broken leg with no marrow.
Sunan Abu Dawud, Book 15, Number 2796
-Sahih

Thursday, November 7, 2013

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain


Bismillah irrahman irrahim

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain

Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudaybiyyah waley saal mein humney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke saath milkar 7 aadmiyon ki taraf se ek oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki tataf se ek gaay (cow) ki Qurabani kiSahih Muslim, Vol 3,  3185

Jabir bin Abdullah (Allah be pleased with him) reported:
In the year of Hudaibiya (6 H ), we, along with Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam
sacrificed a camel for seven persons and a cow for seven persons.

Sahih Muslim , book 7, Hadith 3024

Monday, October 22, 2012

Hadith: Tum log Bismillah par kar usey kha liya karo.


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith:  Tum log Bismillah par kar usey kha liya karo.

Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki Kuch logon ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam bahut se log hamarey yahan Ghosht latey hain humein ye malum nahi ki Allah ka naam unhoney zabah ke waqt liya tha ya nahi? Is par Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum log Bismillah par kar usey kha liya karo. 
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2057
-------------------------------------------------------------------------
Narrated 'Aisha Radiallahu anha : Some people said, O Allah's Apostle! Sallallahu Alaihi Wasallam  Meat is brought to us by some people and we are not sure whether the name of Allah has been mentioned on it or not (at the time of slaughtering the animals). Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said (to them), Mention the name of Allah ( Say Bismillah)  and eat it. 
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 273: 

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain


Bismillah irrahman irrahim

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain

Narrated Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu : We sacrificed along with the Apostle of Allah (peace_be_upon_him) at al-Hudaybiyyah a camel for seven and a cow for seven people. 
Sunan Abu Dawud, Book 15, Number 2803: 
----------------------------------------------------------------------------
Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudaybiyyah waley saal mein humney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke saath milkar 7 aadmiyon ki taraf se ek oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki tataf se ek gaay (cow) ki Qurabani ki
Sunan Abu Dawud, Vol 2 , 1036

Al Quran : Allah ko na unka Gosht aur na unka khoon pahunchta hai magar tumhari parhezgari uskey wahan pahunchti hai

Bismillah irrahman nirrahim

Al Quran : Allah ko na unka Gosht aur na unka khoon pahunchta hai magar tumhari parhezgari uskey wahan pahunchti hai

Aur humney tumharey liye Qurbani ke oont ko Allah ki Nishaniyon mein se banaya hai tumharey liye unmein faydey bhi hain phir un par Allah Subhanahu ka naam khada karkey lo, phir jab wo kisi pahlu par gir parey to unmein se khud khao aur Sabar se baithne

y waley aur Sahil ko bhi khilao Allah ne unko tumharey liye aisa musakhkhar kar diya hai taki tum shukar karo
Allah ko na unka Gosht aur na unka khoon pahunchta hai magar tumhari parhezgari uskey wahan pahunchti hai isi tarah unhey tumharey taabey kar diya hai taki tum Allah ki buzurgi bayan karo is par ki usney tumhey hidayat ki aur Neik logo ko khushkhabri suna do.

AL Quran, Surah Hajj (22) , Verse 37
-----------------------------------------------------------------------
And the camels and cattle We have appointed for you as among the symbols of Allah; for you therein is good. So mention the name of Allah upon them when lined up [for sacrifice]; and when they are [lifeless] on their sides, then eat from them and feed the needy and the beggar. Thus have We subjected them to you that you may be grateful. It is neither their meat nor their blood that reaches Allah, but it is piety from you that reaches Him. Thus have We made them subject to you that you may magnify Allah for His Guidance to you. And give glad tidings to the Muhsinun (doers of good).
AL Quran, Surah Hajj (22) , Verse 37

Al Quran : Beshaq Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna Allah hi ke liye hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

إِنَّ صَلاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

Al Quran :  Beshaq Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna Allah hi ke liye hai jo saarey jahan ka paalney wala hai
-----------------------------------------------
Undoubtedly, my prayer, and my sacrifices, and my living and my dying are all for Allah Who is the Lord of all the worlds.'
Al-Qur'an, Surah Anaam.(6). verse 162

Hadith: Jiski istitaat ho phir bhi wo Qurbani na karey to wo hamari Eidgaah ke qareeb bhi na aaye

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Jiski istitaat ho phir bhi wo Qurbani na karey to wo hamari Eidgaah ke qareeb bhi na aaye

Abu Hurairah Radi alla

hu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jiski istitaat ho phir bhi wo Qurbani na karey to wo hamari Eidgaah ke qareeb bhi na aaye
Sunan ibn Majah, Vol3, #4   (Hasan)
------------------------------------------------------
It was narrated from Abu Hurairah radi allahu anhu that the Messenger of Allah said: Whoever can afford it but does not offer a sacrifice, let him not come near our prayer place.
Sunan ibn Majah, Vol4, #3123
  (Hasan)

Hadith: jisney (Eid ki) Namaz se pahle Qurbani kar di ho usey dusra jaanwar badley mein Qurbani karna chahiye

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Hadith: jisney (Eid ki) Namaz se pahle Qurbani kar di ho usey dusra jaanwar badley mein Qurbani karna chahiye 

Jundab Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne namaz parhney ke baad khutba diya phir Qurbani ki aur farmaya jisney (Eid ki) Namaz se pahle Qurbani kar di ho usey dusra jaanwar badley mein Qurbani karna chahiye aur 

jisney Namaz se pahley Qurbani na ki ho wo Allah ke naam se Qurbani karey.
Sahih Bukhari, Vol 2, 985
---------------------------------------------------------------
Narrated Jundab Radi-Allahu-Anhu On the day of Nahr the Prophet offered the prayer and delivered the Khutba and then slaughtered the sacrifice and said, "Anybody who slaughtered (his sacrifice) before the prayer should slaughter another animal in lieu of it, and the one who has not yet slaughtered should slaughter the sacrifice mentioning Allah's name on it."
Sahih Bukhari, Book 15, Number 101:

Al Quran : Apney RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani diya karo

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Al Quran : Apney RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani diya karo

(Oh Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ) humney Aapko Kauther Ata farmayee hai,
to apney RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani diya karo
Beshaq aapka dushman hi be naam-o-nishan raheyga
Al Quran , Surah AL-Kauther (108) , Verse 1-3
-------------------------------------------------------------

----
Verily, We have granted you (O Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ) Al-Kauthar (a river in Paradise).
So pray to your Lord and sacrifice [to Him alone].
For he who hates you , he will be cut off
Al Quran , Surah AL-Kauther (108) , Verse 1-3

Total Pageviews