Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith:
Qurbani ke janwaro ki koi cheez
qasayee ko mazduri mein na do
Ali Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ne mujhe hukm diya ki main Qurbani ke oonto ki dekhbhal karo
aur unmein se koi cheez qasayee ko mazduri mein na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1716
ALi Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ne hukm diya ki Qurbani ke janwaro ki har cheez gosht chamda
aur jhol khairat kar do aur Qasayee ki
mazduri usmei se na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1717
Comments: Aksar log kasayee ko Qurbani ka gosht ya
chamda mazduri mein dete hain jabki
kasayee ko uski mazduri alag se deni chahiye aur gosht aur chamda khairat kar dena chahiye
-------------------------------------------------------------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam ordered me to supervise the slaughtering (Animals)
and not to give anything (of their bodies) to the butcher as wages for
slaughtering.
Sahih Bukhari, Book 26, # 774
Narrated Ali Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam ordered me to supervise the (slaughtering) of
Budn (Hadi camel) and to distribute their ((slaughtering) meat, skins and
covering sheets in charity and not to give anything (of their bodies) to the
butcher as wages for slaughtering.
Sahih Bukhari, Book 26, # 775