Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Waseeyat (Bequest). Show all posts
Showing posts with label Waseeyat (Bequest). Show all posts

Sunday, May 12, 2019

Hadith :Waseeyat mein na-insafi karne wale ka khatama bura hota hai


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith :Waseeyat mein na-insafi karne wale ka khatama bura hota hai
----------------
✦ Al Quran : Allah Subhanahu tumhari aulad ke baare mein tumko irshad farmata hai ki (jaydad mein) ek ladke ka hissa do ladkiyo ke barabar hai (yani ek bete ko jitna hissa diya jayega uska aadha hissa beti ko bhi dena jaruri hai)
Surah Nisa(4) Aayat 11

✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Admee 70 Saal tak (yani zindagi bhar) Neik Aaamal karta rahta hai phir waseeyat Ke waqt apni waseeyat mein nainsafi kar deta hai jiski wajah se uska khatma burey Aamal per ho jata hai aur wo jahannum mein chala jata hai isee tarh aadmee 70 saal tak burey aamal karta rehta hai lekin apni waseeyat main insaf kar deta hai to uska khatma bil-khair hota hai aur wo Jannat Mai jata hai 
Sunan Ibn Majah,Jild 2, 861-Hasan
----------------
 الله تمہاری اولاد کے بارے میں تم کو ارشاد فرماتا ہے کہ ایک لڑکے کا حصہ دو لڑکیوں کے حصے کے برابر ہے۔
سورة النساء (٤) آیت ١١ 

رسول اللہ ﷺ نے فرمایا:  آدمی ستر سال تک نیک اعمال  کرتا رہتا ہے، پھر وصیت کے وقت اپنی وصیت میں نہ انصافی کرتا ہے، تو اس کا خاتمہ برے عمل پر ہوتا ہے اور جہنم میں جاتا ہے  اسی طرح آدمی ستر سال تک برے اعمال  کرتا رہتا ہے لیکن اپنی وصیت میں انصاف کرتا ہے، اس کا خاتمہ بالخیر ہوتا ہے، اور جنت میں جاتا ہے ۔ 
سنن ابن ماجہ جلد ٢ ، ٨٦١-حسن 
----------------
✦ अल क़ुरान : अल्लाह सुबहानहु तुम्हारी औलाद के बारे में तुमको इरशाद फरमाता है की (जायदाद में) एक लड़के का हिस्सा दो लड़कियों  के बराबर है (यानी एक बेटे को जितना हिस्सा दिया जाएगा उसका आधा हिस्सा बेटी को भी देना ज़रूरी है)
सुरह निसा (4) आयत 11

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि  वसल्लम ने फरमाया आदमी 70 साल तक (यानी ज़िंदगी भर) नेक आमाल करता रहता है फिर वसीयत के वक़्त अपनी वसीयत में नाइंसाफी कर देता है जिसकी वजह से उसका ख़ात्मा बुरे आमाल पर हो जाता है और वो जहन्नुम में चला जाता है इसी तरह आदमी 70 साल तक बुरे आमाल करता रहता है लेकिन अपनी वसीयत मैं इंसाफ़ कर देता है तो उसका ख़ात्मा बिल-खैर होता है और वो जन्नत में चला  जाता है 
सुनन इब्न माजा ,जिल्द 2, 861-हसन

✦  Hadith : Being Unjust in will may ends life with evil deeds 
----------------
✦ Al Quran : Allah commands you as regards your children's (inheritance): to the male, a portion equal to that of two females.
Surah Nisa(4) Aayat 11

✦ It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said A man may do the deeds of the people of goodness for seventy years, then when he makes his will, he is unjust in his will, so he ends (his life) with evil deeds and enters Hell. And a man may do the people of evil for seventy years, then he is just in his will, so he ends (his life) with good deeds and enters Paradise.
Sunan Ibn Majah,Book 22, 2704-Hasan

Sunday, May 25, 2014

Al Quran : Tum par farz kiya jata hai ki jab tum mein se kisi ke Maut ka waqt aa jaye to..

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Tum par farz kiya jata hai ki jab tum mein se kisi ke Maut ka waqt aa jaye to agar wo kuch Maal chhodh jane wala ho to Maa Baap aur Rishteydaron ke liye Dastur ke Mutabiq Wasiyat kar jaye
Al Quran , Surah Al Baqara( 2) # 180

--------------------------------------------
Al Quran : It is prescribed for you, when death approaches any of you,  if he leaves wealth, that he makes a bequest to parents and next of kin, according to reasonable manners.
Al Quran , Surah Al Baqara( 2) # 180


Tuesday, December 25, 2012

Mafhum-e-Quran : Parhaizgaron par marney se pahley Waseeyat karna lazim hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Quran : Parhaizgaron par marney se pahley Waseeyat karna lazim hai

Tum par farz kiya jata hai ki jab tum mein se kisi ke Maut ka waqt  aa jaye to agar wo kuch Maal chorh janey wala ho to Maa Baap aur Rishteydaron ke liye Dastur ke Mutabiq Wasiyat kar jaye  ye lazim hai parhezgaron par. Phir Jo koi usey sunney ke baad badal daaley uska gunaah usi par hoga jo usey badlega, beshaq Allah bada sunney wala aur janney wala hai.
Al Quran, Surah Al-Baqara (2), Verse: 180-181
-----------------------------

English Translation
It is prescribed for you, when death approaches any of you, if he leaves wealth, that he makes a bequest to parents and next of kin, according to reasonable manners. (This is) a duty upon Al-Muttaqun. Then whoever changes the bequest after hearing it, the sin shall be on those who make the change. Truly, Allah is All-Hearer, All-Knower.
Al Quran, Surah Al-Baqara (2), Verse: 180-181

Total Pageviews