Bismillahirrahmanirrahim
AL Quran : Hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte
Hadith: Abu hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai
ki do aadmiyon ne aapas mein gaali galoch ki jinmein se ek musalman tha aur
dusra yahudi tha , Mualman ne kaha us RAB ki kasam jisne Rasool-Allah
sallallahu alaihi wasallam ko sare jahan par barguzida kiya hai , Yahudi ne
kaha ki us RAB ki kasam jisne Musa Alaihi salam ko sare jahan par barguzida
kiya hai , rawi ne kaha ki musalman yahudi ki baat sunkar khafa ho gaya aur
uske munh par ek tamancha maar diya.
Yahudi Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke
pass gaya aur sara waqiya arz kiya , phir Rasool-Allah sallallahu alaihi
wasallam ne farmaya Musa alaihi salam par mujhko fazilat na do kyunki Qaymata
ke din soor phunkte hi sab behosh ho jayenge aur main sabse pahla shaks hunga
jisko hosh aayega aur main dekhunga ki Musa alaihi salam Arsh ilahi ka kona
thame huye hain mujhe ye nahi malum ki Musa alaihi salam un logo mein they jo
behosh huye ya phir mujhse pahle hosh mein aaye ya phir Allah subhanahu ne unko
behosh nahi hone diya
Sahih Bukhari, Vol 8, 6517
Al Quran : Rasool (Sallallahu
alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua
aur momeen bhi. Sab imaan rakhte hain Allah par aur aur uske farishton par aur
uski kitabon par aur uske Rasoolo par , ( aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo
mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul
kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar
aana hai
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285
------------------------------------------------
Hadith:
Narrated Abu Huraira Radhi allahu anhu :
Two
men, a Muslim and a Jew, abused each other. The Muslim said, "By Him Who
gave superiority to Muhammad over all the people." On that, the Jew said,
"By Him Who gave superiority to Moses over all the people." The
Muslim became furious at that and slapped the Jew in the face. The Jew went to
Allah's Messenger (sallallahu alaihi wasallam ) and informed him of what had
happened between him and the Muslim.
Allah's
Apostle sallallahu alaihi wasallam said, "Don't give me superiority over
Moses, for the people will fall unconscious on the Day of Resurrection and I
will be the first to gain consciousness, and behold ! Moses will be there
holding the side of Allah's Throne. I will not know whether Moses has been
among those people who have become unconscious and then has regained consciousness
before me, or has been among those exempted by Allah from falling
unconscious."
Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 76, Hadith 524
Al Quran: The Messenger (Muhammad
sallallahu alaihi wasallam ) believes in what has been sent down to him from
his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allah, His Angels,
His Books, and His Messengers. (They say), "We make no distinction between
one another of His Messengers" - and they say, "We hear, and we obey.
(We seek) Your Forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all)."
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285