Search This Blog

Category

Autoblog

Saturday, November 28, 2015

Hadith: Meri Ummat mein se ek giroh hamesha ALLAH ke qanoon (Ahkam-e-shariyat) par qayam rahega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Meri Ummat mein se ek giroh hamesha ALLAH ke qanoon (Ahkam-e-shariyat) par qayam rahega


Muawiya Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
Meri Ummat mein se ek giroh hamesha ALLAH ke qanoon (Ahkam-e-shariyat) par qayam rahega , usko jhoothlane wale aur mukhalifeen koi nuqsan nahi pahucha sakenge yaha tak ki Allah ka hukm (Qayamat) aa jayegi aur wo isee haal mein honge , Muaaz Radhi allahu anhu ne farmaya ki wo giroh mulk e sham mein hoga
Sahih Bukhari, Vol 8,7460

Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu ne  apne haath se mulk e sham ki taraf ishara kiya aur kaha ki Dushman ( Nasara) jama honge musalmano se ladne ke liye aur musalman bhi unse ladne ke liye jama honge, maine kaha Dushman se tumhari murad Nasara hai unhoney kaha haan
Sahih Muslim, Vol 6, 7281 

ibn Hawalah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  ne farmaya anqareeb aisa waqt aayega jab tumharey lashkar juda juda ho jayengey ek lashkar sham mein hoga to ek yaman mein to ek Iraq mein , Ibn hawala ne kaha ki mainey arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam  agar main us waqt ko paa lu to kis lashkar mein jauu , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mulk-e-sham ko ikhtiyar karna kyunki mulk e sham Allah ki zameeno mein se behatreen mulk hai , Allah subhanahu is mulk mein apne behatreen bando ko jama farmayega aur ye manzur na ho to phir Yaman ko ikhtiyar karna aur apne hawzo ( water tanks) se pani pilaye rahna Allah subhanahu ne meri wajah se Mulk-e-Sham ko aur Ahl-e-Shaam ki kifayat ki hai 
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 711-Sahih


Imran ibn Husayn Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat mein se ek giroh hamesha haq ki khatir ladta rahega , yahan tak ki unmein se aakhir mein ek giroh Dajjal se Qital ( jung) karega. 
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 712 -Sahih 
  

------------------------------------------

English Translation:


Narrated Muawiya Radhi allahu anhu :
I heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying, "A group of my followers will keep on following Allah's Laws strictly and they will not be harmed by those who will disbelieve them or stand against them till Allah's Order (The Hour) will come while they will be in that state, Muaz Radhi allahu anhu said That group will be in Syria.
Sahih Bukhari, Book 93, 552

Abdullah b. Masud Radhi allahu anhu said pointing towards Syria, with the gesture of his hand like this: The enemy shall muster strength against Muslims and the Muslims will muster strength against them (Syrians). I said: You mean Rome? And he said: Yes.
Sahih Muslim, Book #041, Hadith #6927 


Narrated Ibn Hawalah Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: It will turn out that you will be armed troops, one is Shaam, one in the Yemen and one in Iraq. Ibn Hawalah said: Choose for me, Messenger of Allah, if I reach that time. He replied: Go to Shaam, for it is Allah's chosen land, to which his best servants will be gathered, but if you are unwilling, go to your Yemen, and draw water from your tanks, for Allah has on my account taken special charge of Shaam and its people 
Sunan Abu Dawud, Book 14, 2477 -Sahih
  

Narrated Imran ibn Husayn Radi Allahu Anhu The Prophet sallallahu alaihi wasallam said: A section of my community will continue to fight for the right till the last of them fights with the Antichrist
Sunan Abu Dawud, Book 14, 2478-Sahih
 

Total Pageviews