Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: ALLAH subhanahu in ( paanch namazon) ke jariye se gunahon ko mita deta hai
Abu hurairah radi
allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne
farmaya agar kisi shakhs ke darwaze par ek nahar jari ho aur wo roz usmein
paanch baar nahaye to tumhara kya guman hai
kya uske badan par kuch bhi mail baqi rahega , Sahaba Radhi allahu
anhuma ne arz kiya Nahi koi mail baqi nahi rahega , to Aap Sal-Allahu Alaihi
Wasallam ne farmaya yahi misal paancho waqt ki namazo ki hai , ALLAH subhanahu inke jariye se gunahon ko
mita deta hai
Sahih Bukhari, Vol 1,
528
--------------------------------------------------------------
हदीस: अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सललल्लाहु
अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया अगर किसी शख्स के दरवाज़े पर एक नहर जारी हो और वो रोज़
उसमें पांच बार नहाये तो क्या उसके बदन पर कोई मैल बाक़ी रहेगा तो सहाबा रदी
अल्लाहु अन्हुमा ने फ़रमाया नहीं कोई मैल बाकी नहीं रहेगा , तो आप अल्लाह सललल्लाहु
अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया यही मिसाल पांचों वक़्त की नमाज़ों की है अल्लाह सुबहानहु
उनके जरिये से गुनाहों को मिटा देता है
सही बुखारी , जिल्द 1, हदीस 528
-----------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi allahu anhu
I heard Allah's Messenger Sal-Allahu
Alaihi Wasallam saying, "If there
was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a
day would you notice any dirt on him?" They said, "Not a trace of
dirt would be left." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam added, "That is the example of the five
prayers with which Allah blots out (annuls) evil deeds."
Sahih Bukhari, Book
10, Hadith 506