Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith:
Qurbani ke janwaro ki koi cheez
qasayee ko mazduri mein na do
Ali Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah
sallallahu alaihi wasallam ne mujhe hukm diya ki main Qurbani ke oonto ki
dekhbhal karo aur unmein se koi cheez qasayee ko mazduri mein na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1716
ALi Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah
sallallahu alaihi wasallam ne hukm diya ki Qurbani ke janwaro ki har cheez
gosht chamda aur jhol khairat kar do aur
Qasayee ki mazduri usmei se na do
Sahih Bukhari, Vol 3, 1717
Comments: Aksar log kasayee ko Qurbani ka gosht ya chamda
mazduri mein dete hain jabki kasayee ko
uski mazduri alag se deni chahiye aur gosht aur chamda khairat kar dena chahiye
-------------------------------------------------------------
The Prophet sallallahu alaihi wasallam ordered me to supervise the slaughtering
(Animals) and not to give anything (of their bodies) to the butcher as wages
for slaughtering.
Sahih Bukhari, Book 26, # 774
Narrated Ali Radi allahu anhu The Prophet sallallahu alaihi wasallam ordered me to supervise the (slaughtering) of
Budn (Hadi camel) and to distribute their ((slaughtering) meat, skins and
covering sheets in charity and not to give anything (of their bodies) to the
butcher as wages for slaughtering.
Sahih Bukhari, Book 26, # 775