Search This Blog

Category

Autoblog

Thursday, October 9, 2014

Hadith: Masjid Quba mein ek namaz (ada karna) umrah ke barabar hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Masjid Quba mein ek namaz (ada karna) umrah ke barabar hai

Usaid bin Zuhair Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Masjid Quba mein ek namaz (ada karna) umrah ke barabar hai
Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1411-Hasan

Sahl bin Hunaif radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo apne ghar mein paak hokar Masjid Quba mein aakar namaz ada kare usko umrah karne ke barabar ajar milega
Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1412-Hasan

Abu Umamah bin Sahl bin Hunaif Radi Allahu Anhuma kahte hain ki mere walid ne kaha ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh apne ghar se bahar nikal kar masjid Quba mein aaye aur wahan namaz ada kare to usko ek umrah ka sawab milega
Sunan Nasaii, Vol. 1, 702-Hasan
--------------------------------------------------
English Translation:
Usaid bin Zuhair Ansari said that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said One prayer in the Quba Masjid is like Umrah.
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 5, 1411-Hasan

Sahl bin Hunaif radi allahu anhu said The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Whoever purifies himself in his house, then comes to the Quba Masjid and offers one prayer therein, will have a reward like that for Umrah.
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 5, 1412-Hasan

Abu Umamah bin Sahl bin Hunaif said My father said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 'Whoever goes out to his Masjid - the Masjid of Quba' and prays therein, that will be equivalent to Umrah.
Sunan Nasaii, Vol. 1, Book 8, 700-Hasan

Total Pageviews