Search This Blog

Category

Autoblog

Thursday, October 9, 2014

Hadith: Jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey


Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey
Sunan Nasaii, Vol 1, 447 ( Sahih)

Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shkash apni sharmgaah ko chu le wo shaksh tab tak namaz na padhe jab tak wudhu na kar le
Sunan Nasaii, Vol 1, 448 ( Sahih)

Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ghusal karney ke baad wudhu nahi farmatey they (kyunki ghusal karna kafi ho jata hai.)
Sunan Nasaii, Vol 1, 432 ( Hasan)

Note: Ghusal karney ke baad wudhu karna lazim nahi magar badan ko saaf karte waqt agar haath sharmgaah ko chu jaye to phir usey wudhu karna padhega


English Translation:
It was narrated from Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha that the Prophet Peace be upon him  said: If any one of you touches his private part with his hand, let him perform Wudu
Sunan Nasaii, Vol 1, 446 ( Sahih)

It was narrated by Aisha Radi-Allahu-Anha that the Messenger of Allah Peace be upon him would not perform Wudhu ( Ablution) after Ghusl (Bath)
Sunan Nasaii, Vol 1, 430 ( Hasan)

Note: After having bath there is no need to perform Wudhu but while somebody is wiping is body after bath and if he touch his private parts then he have to perform wudhu.

Total Pageviews