Search This Blog

Category

Autoblog

Thursday, October 9, 2014

Mafhum e hadith: paanch Namazon ke badley pachas ka sawab milega

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum e hadith:  paanch Namazon ke badley pachas ka sawab milega 


Anas Bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ALLAH  subahanahu ne meri ummaat par 50 namazein farz ki , jab mein (mairaj se) wapas aaya aur  hazrat Musa alaihi salam ke pass se guzra to unhone farmaya ALLAH  subhanahu ne aapki ummat par kya farz kiya hai to maine arz kiya ki 50 namazein farz ki hai to Musa alaihi salam ne kaha ki ALLAH subhanahu ke paas wapas jaaaeye  kyunki tumhari ummat in namazo ko ada nahi kar payegi ,
isliye main phir ALLAH subahanhu ke huzur hazir ho gaya to ALLAH subhanahu ne un namazo ki tadad kam kar di , main phir Musa alaihi slam ki khidmat mein hazir hua to unhone phir farmaya  ki aap  phir se ALLAH  subhanahu ke pass jaaaeye  kyunki tumhari ummat isko bhi ada nahi kar payegi main phir Allah subhanahu ke pass hazir hua to unhoney ( ALLAH subhanahu ne) farmaya ki “ 5 namazien hain magar wo 50 ke barabar hogi mere faisley mein kisi tarah ki tabdeeli nahi hoti”
main phir Musa alaihi salam ki khidmat mein hazir hua to unhoney kaha ki aap phir se ALLAH subhanahu ki khidmat mein hazir ho jaeeye
mainey arz kiya ki ab mujhko ALLAH subhanhau ke paas jaane mein haya mehsus ho rahi hai

Sunan Nasaii Vol 1, 452-Sahih

Anas Bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam par shab-e-mairaj mein pachas (50) namazein farz ki gayee phir kami ki gayee yahan tak ki paanch (5) rah gayee phir aawaz di gayee ki Eh Muhammad ( Sallallahu-Alaihi-Wasallam) hamarey qaul mein tabdili nahi aati , in paanch Namazon ke badley pachas ka sawab milega
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 203-Sahih 


-----------------------------------------------------

Anas bin Malik and Ibn Hazm said The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said: 'Allah, the Mighty and Sublime, enjoined fifty prayers upon my Ummah, and I came back with that until I passed by Musa alaihi salam who said:
'What has your Lord enjoined upon your Ummah?'
I said: 'He has enjoined fifty prayers on them.' Musa alaihi salam  said to me: 'Go back to your Lord, the Mighty and Sublime, for your Ummah will not be able to do that.'
So I went back to my Lord, the Mighty and Sublime, and He reduced a portion of it.

Then I came back to Musa and told him, and he said: 'Go back to you Lord, for your Ummah will not be able to do that.' So I went back to my Lord, the Mighty and Sublime, and

He (Allah) said: 'They are five (prayers) but they are fifty (in reward), and the Word that comes from Me cannot be changed.' I came back to Musa alaihi salam  and he said: 'Go back to your Lord.' I said: 'I feel too shy before my Lord, the Mighty and Sublime.
Sunan Nasaii, Vol.1, Book 5, Hadith 450-Sahih




Anas bin Malik Narrated On the Night of isra, fifty prayers were made obligatory upon the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam . Then it was decreased until it was made five. Then it was called out: 'O Muhammad! Indeed My Word does not change; these five prayers will be recorded for you as fifty.'"
Jamia Tiirmidhi , Book 2, Hadith 65-(Sahih)

Total Pageviews