Search This Blog

Category

Autoblog

Thursday, October 18, 2012

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain


Bismillah irrahman nirrahim

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain

Nu'am Al-Mujmir radi allahu anhu se rivayat hai ki main Abu Hurirah Radiallahu anhu ke saath masjid ki chat (roof) par chada unhoney wudhu kiya aur kaha ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki meri ummat ke log wudhu ke nishaanat ki wajah se Qayamat ke din "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( Safaid Peshani aur Safaid haath paaw waley) kah kar bulaye jayengey to tum mein jo koi apni chamak badana chahta hai to wo bada le (yani regular wudhu karta rahey)
Sahih Bukhari, Vol 1, 136

Hazrat usman bin Affan Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Shaksh achchi tarah wudhu karey to uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain
Sahih Muslim, Vol1, 578

------------------------------------------------------------------------------

Narrated Nu'am Al-Mujmir Radiallahu anhu : Once I went up the roof of the mosque, along with Abu Huraira. He perform ablution and said, "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "On the Day of Resurrection, my followers will be called "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( the person who have white hands ,legs and face) from the trace of Ablution and whoever can increase the area of his radiance should do so (i.e. by performing ablution regularly).' 
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 138: 

Uthman b. 'Affan reported: The Messenger of Allah (way peace be upon him) said: He who performed ablution well, his sins would come out from his body, even coming out from under his nails.
Sahih Muslim, Book 002, Number 0476: 

Total Pageviews