Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Hadith: Mere baad tum par
aisey log hukmaran hongey jinki
mashguliyat unko waqt par Namaz ki adayeegi se rok degi
Ubadah ibn as-Samit Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Mere baad tum par aisey log hukmaran hongey jinki mashguliyat unko waqt par Namaz ki adayeegi se rok degi yahan tak ki waqt nikal jayega isliye tum apney waqt par Namaz parhna ek shaksh ne pucha ki
Ya Rasoollallah Sallallahu Alalihi wasallam kya main unkey ( jamaat
mein sharik hokar dobara) Namaz parh lu ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne
farmaya Haan
agar tu chahey
Sunan Abu Dawud, Vol 1, #
431
Narrated
Ubadah ibn as-Samit Radi Allahu Anhu
After me you will come under rulers who will be detained from saying
prayer at its proper time by (their) works until its time has run out, so offer
prayer at its proper time. A man asked him: Apostle of Allah peace be upon him
, may I offer prayer with them? He peace be upon him replied: Yes, if you wish
(to do so).
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # Book 2, Number 0433:
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # Book 2, Number 0433: