Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Mafhum-e-Hadith : Hajj aur umrah ke
tawaf mein 7 chakakaron mein se pahley 3 chakkaron mein Ramal karna sunnat hai
Salim Radi Allahu Anhu aoney walid se rivayat kartey hai ki Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Makka tasreef laatey to pahley tawaf shuru kartey waqt hajar-e-Aswad ko Bosa detey aur 7 chakakaron mein se pahley 3 chakkaron mein Ramal kartey they ( yani tez tez chaltey)
Sahih Bukhari, Vol2, 1603
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne pahley teen chakakaron mein ramal kiya aur baki chaar chakkaron mein hasb-e-mamul ( yani normal) chaley , Hajj aur Umrah dono mein
Sahih Bukhari, Vol2, 1604
---------------------------------------------------------------------
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 673:
Narrated Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam did Ramal ( walking fast) in (first) three rounds (of Tawaf), and walked (normally) in the remaining four, in Hajj and Umra.
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 674: