Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Mafhum-e-Hadith: Agar Namaz
parhtey waqt Neend aa jaye
to usey so jana chahiye yahan tak ki neend us se khatam ho jaye
Hazrat Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallahu
Sallallahu Alaihi Wasallam ne famaya
namaz Parhtey waqt jab tum mein
se kisi ko oongh aa jaye (feeling sleepy) to usey so jana chahiye yahan
tak ki neend us se khatam ho jaye isliye ki jab tum mein se koi shaksh namaz
mein oongh raha ho to wo kuch na janega
ki wo maghfirat talab kar raha hai ya apney nafs ko baddua kar raha hai
Sahih Bukhari, wudhu ka Bayan (212)
------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------
Narrated 'Aisha radi allahu anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If anyone of you feels drowsy while praying he should go to bed (sleep) till his slumber is over because in praying while drowsy one does not know whether one is asking for forgiveness or for a bad thing for oneself."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 211: