Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, October 22, 2012

Mafhum-e- Hadith: Pahley Apna Hajj ada karo phir dusron ki taraf se Hajj karo

Bismillah irrahman nirrahim

Mafhum-e- Hadith: Pahley Apna Hajj ada karo phir dusron ki taraf se Hajj karo

AbuRazin Radiallahu anhu se rivayat hai ki Banu amir ke ek shaksh ne Kaha , Ya Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam mere walid bahut umar daraz hain wo apney aap na to hajj kar saktey hain na umrah aur na hi wo jabal (mount) par ja saktey hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ap

ney Walid ki taraf se Hajj aur umrah karo
Sunan Abu Dawud, Vol2, 46

Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko kahtey huye suna ki Labbayka An Shubrumah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha ki Shubrumah kaun hai usney kaha hai wo mer bhai (ya rishteydar) hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us sey pucha kit u apna hajj kar chuka hai usney kaha nahi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya pahley tu apna Hajj ada kar uskey baad Shubrumah ki taraf se hajj karna
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 47
------------------------------------------------------
Narrated AbuRazin Radiallahu anhu : A man of Banu Amir said: Oh Apostle of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam , my father is very old, he cannot perform hajj and umrah himself nor can be ride on a mount. He Sallallahu Alaihi wasallam said: Perform hajj and umrah on behalf of your father.
Sunan Abu Dawud, Book 10, Hadith #1806

Narrated Abdullah ibn Abbas: The Prophet (peace_be_upon_him) heard a man say: Labbayk (always ready to obey) on behalf of Shubrumah. He Sallallahu Alaihi Wasallam asked: Who is Shubrumah? He replied: A brother or relative of mine. He Sallallahu Alaihi Wasallam asked: Have you performed hajj on your own behalf? He said: No. He Sallallahu Alaihi Wasallam said: perform hajj on your own behalf, then perform it on behalf of Shubrumah.
Sunan Abu Dawud, Book 10, Number 1807:

Total Pageviews