Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, October 9, 2012

Hadith: Beshaq Deen Aasan hai aur jo shaksh deen mein sakhtiyo ko ikhtiyar karega Deen us par ghalib aa jayega


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Beshaq Deen Aasan hai aur jo shaksh deen mein sakhtiyo ko ikhtiyar karega Deen us par ghalib aa jayega

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya beshaq Deen aasan hai aur jo shaksh deen mein sakhtiyo ko ikhtiyar karega Deen us par ghalib aa jayega ( yani wo deen par us sakhti se na chal sakega) so apney Amal mein pukhtagi (continuity) ikhtiyar karo aur jahan tak mumkeen ho mayana rawi barto  aur khush ho jao , aur Subah ,Dopahar mein aur sham mein  aur kis qadar raat mein Ibadat se madad hasil karo
Sahih Bukhari, Vol 1, 39

-------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet peace be upon him said, "religion is very easy and whoever overburdens himself in his religion will not be able to continue in that way. So you should not be extremists, but try to be near to perfection and receive the good tidings that you will be rewarded; and gain strength by worshipping in the mornings and ( afternoon and evening and) the nights.
Sahih Bukhari, Book 2, Hadith 38

Dua:
يا مقلب القلوب ثبت قلوبنا على دينك

O Allah! The Over-turner of hearts, make my heart steadfast and firmupon Your Deen.
(Eh Dilon ko pherney waley mere dil ko apne deen (islam) par sabit rakh.)

Total Pageviews