Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, October 1, 2012

Mafhum-e-Hadith: Jin Aurton ke Haiz ke Din guzar jaye aur phir bhi paak na ho to wo Namaz parh sakti hain


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Jin Aurton ke  Haiz ke Din guzar jaye aur phir bhi paak na ho to wo Namaz parh sakti hain

Aayesha Radi Allahu Anha se Rivayat hai ki Fatima bint Abi Hubaish ki Beti ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam Main to Paak hi nahi hoti to kya mein bilkul Namaz chorh du Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Rag ka khoon hai Haiz nahi, isliye jab Haiz ke din ( jismein tumhey pahley Haiz aaya karta tha) aaye to Namaz chorh de aur jab Andazey ke Mutabiq wo din Guzar jaye to khoon Dho daal aur namaz parh
Sahih Bukhari, Vol 1, 306
----------------------------------------------------------------
Hadith: It is from a blood vessel and not the menses……

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anhu  : Fatima bint Abi Hubaish said to Allah's Apostle Peace be upon him , "O Allah's Apostle Peace be upon him  I do not become clean (from bleeding). Shall I give up my prayers?" Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam replied: "No, because it is from a blood vessel and not the menses. So when the real menses begins give up your prayers and when it (the period) has finished wash the blood off your body (take a bath) and offer your prayers."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 6, Number 303: 

Total Pageviews