Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, October 8, 2012

Hadith: Meri khwahish hai ki Main Allah subhanahu ki raah mein maara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Meri khwahish hai ki Main Allah subhanahu ki raah mein maara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh Allah ki raah mein ( Jihad mein) nikla Allah Subhanahu uska zamin ho gaya
(Allah farmata hai) uski meri zaat par yakeen aur mere paighambaro ki tasdeek ne ghar se nikala hai ya to main usko wapas karunga ganimat ke maal ke saath ya jannat mein dakhil kar dunga . Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki Agar main apni ummat par dushwar na samajhta to lashkar ka saath na chorhta aur meri khwahish hai ki Main Allah subhanahu ki raah mein maara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu , phir zinda kiya jauu, phir mara jauu
Sahih Bukhari, Vol1, 36

Abu Huraira Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya us Zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai meri aarzoo hai ki
main Allah taala ke raastey mein Jung karu aur Qatl kiya jauu, Phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu, phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu., phir zinda kiya jauu phir qatl kiya jauu.
Sahih Bukhari, Vol8, 7227
---------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The person who participates in (Holy battles) in Allah's cause and nothing compels him to do so except belief in Allah and His Apostles, will be recompensed by Allah either with a reward, or booty (if he survives) or will be admitted to Paradise (if he is killed in the battle as a martyr). Had I not found it difficult for my followers, then I would not remain behind any sariya (Army) going for Jihad and I would love to be martyred in Allah's cause and then made alive, and then martyred and then made alive, and then again martyred in His cause."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 2, Number 3


Abu Huraira Radiallahu anhu said, Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "By Him in Whose Hand my life is, I would love to fight in Allah's Cause and then get martyred
and then resurrected (come to life) and then get martyred, and then resurrected and then get martyred, and then resurrected and then get martyred.
Sahih Bukhari, Book 90, No. 333: 

Total Pageviews