Search This Blog

Category

Autoblog

Wednesday, September 25, 2013

Hadith: Qataa Rahmi karney wala (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega


Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Qataa Rahmi karney wala  (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega


Jubair bin Mutim Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qataa Rahmi karney wala  (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega.
Sahih Bukhari,  5984


Narrated Jubair bin Mutim Radi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "The person who severs (split or cut ) the bond of kinship (Relationship) will not enter Paradise.

Wednesday, September 18, 2013

Hadith: Har shaksh ko uski niyat ke mutabiq phal (reward) milta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Har shaksh ko uski niyat ke mutabiq phal (reward)  milta hai


Umar bin Al-Khattab Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Aamal ka daro-madar niyat par hai aur har shaksh ko uski niyat ke mutabiq phal milta hai , jiski hijrat allah aur uskey Rasool ke liye ho wo Allah aur uskey Rasool ke liye samjhi jayegi aur uski jiski hijrat duniya ke liye hogi ya kisi aurat se shaadi karney ke liye to ye hijrat sirf uskey liye hogi  jis niyat se usney ki.
Sahih Bukhari, Vol 4,  2529
---------------------------------------------------
Hadith: every person will get the reward according to what he intends



Narrated  Umar bin Al-Khattab Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "The (reward of) deeds depend on intentions, and every person will get the reward according to what he intends. So, whoever migrated for Allah and His Apostle, then his migration will be for Allah and His Apostle, and whoever migrated for worldly benefits or for marrying a woman, then his migration will be for what he migrated for."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 46, No. 706

Hadith: Ummat ke Dilon mein uthney waley wasawasey Maaf hain (Alhamdulillah)

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Ummat ke Dilon mein uthney waley wasawasey Maaf  hain  (Alhamdulillah)

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala ne meri ummat ke dilon mein uthney waley waswason ko maaf kar diya hai jab tak ki wo us par amal na karey ya zuban par na laye.
Sahih Bukhari, Vol 4,  Vol 2528
-------------------------------------------------
Hadith: whispers in the hearts of my followers are forgiven until….


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Allah has accepted my invocation to forgive what whispers in the hearts of my followers, unless they put it to action or utter it."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 46, No. 705

Hadith: Jo Apney maal ki hifazat kartey huye Qatl kar diya gaya to wo shaheed hai….

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo Apney maal ki hifazat kartey huye Qatl kar diya gaya to wo shaheed hai….

Abdullah Bin Amr Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs apney maal ki hifazat kartey huye Qatl kar diya gaya to wo shaheed hai.
Sahih Bukhari, Vol 3,  2480


Hadith: Whoever is killed while protecting his property then he is a martyr.

Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma I heard the Prophet  Peace be upon him saying, "Whoever is killed while protecting his property then he is a martyr."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 660: 

Mafhum-e-Hadith: Kaabey mein 360 boot they jisey hataya gaya

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Kaabey mein 360 boot they jisey hataya gaya


Abdullah bin Masud Radiallahu anhu se rivayat hai ki jab Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Makka  mein dakhil huye to kaaba sharif ke charon taraf 360 Boot  (idols) they, Aapkey haath mein ek lakdi thi jis sey aap un buton ko maarney lagey aur farmaney lagey  “Haq aa gaya aur baatil mit gaya”.
Sahih Bukhari, Vol 3,  2478
----------------------------------------------------
Engslish Translation:

Narrated Abdullah bin Masud Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam entered Mecca and (at that time) there were 360 idols around the Kaba. He started stabbing the idols with a stick he had in his hand and reciting: "Truth (Islam) has come and Falsehood (disbelief) has vanished."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 658: 

Hadith: Qayamat se pahley Isa Alaihi Salam ka Nuzul…..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Qayamat se pahley Isa Alaihi Salam ka Nuzul…..

Abu Hurairah Radiallahu anhu Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak nahi aayegi jab tak Ibn mariyam (Isa Alaihi salam) ka nuzul ek aadil hukmaran ki hesiyat se tum mein na ho, wo saleeb ko todenge , suwaron (pigs) ko qatl karengey aur jaziya qubul nahi karengey (us daur mein) maal aur daulat ki itni kasrat ho jayegi ki koi usey qubul nahi karega 
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2476
 ----------------------------------------
Hadith: Descends of  The son of Mary (Isa Alihi Salam) before the Last hour



Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The Hour will not be established until the son of Mary (Isa Alihi Salam) descends amongst you as a just ruler, he will break the cross, kill the pigs, and abolish the Jaziya tax. Money will be in abundance so that nobody will accept it (as charitable gifts).
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 656: 

Mafhum-e-Hadith: Raastey se kaanteydar daal hataney par maghfirat kar di gayi - SubhanAllah

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Raastey se kaanteydar daal hataney par maghfirat kar di gayi - SubhanAllah

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  ek shaksh raastey par chal raha tha ki usney wahan par kaantedaar dali dekhi usney usey hata diya to allah taala ne uska ye amal Qubul kiya aur uski maghfirat kar di.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2472
-------------------------------------

English Translation :
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "While a man was on the way, he found a thorny branch of a tree there on the way and removed it. Allah thanked him for that deed and forgave him."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 652: 

Hadith: jismein ye chaa (4) khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith :  jismein ye chaar (4) khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga

Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jismein 4 khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga aur ismein se ek aadat bhi ho to usmein nifaq hoga jab tak ki wo ye chor na de 
1. Jab baat karey to jhoot boley,
2. Jab wada karey to pura na karey,
3. jab mua’ahida (ahad) karey to be wafaii karey
4. Aur jab ladaii karey to bad-zubani par utar aaye.
 Sahih Bukhari,  Vol3, 2459
--------------------------------------------------------


Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has (the following) four characters will be a hypocrite, and whoever has one of the following four characteristics will have one characteristic of hypocrisy until he gives it up. These are:
1. Whenever he talks, he tells a lie;
2. Whenever he makes a promise, he breaks it;
3. Whenever he makes a covenant he proves treacherous;
4. Whenever he quarrels, he behaves impudently in an evil insulting manner."
 Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 639:

Total Pageviews