Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, August 13, 2013

Hadith: 3 tarah ke log Jinhey Allah Qayamat ke din Dekhega bhi nahi

Bismillahirrahmanirrahim

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 3 tarah ke log wo hongey jinki taraf Qayamat ke din Allah Taala nazar bhi nahi uthayega aur na unhey paak karega bulki unkey liye dardnaak azab hoga.
1.wo shaksh jiskey paas raastey mein Zarurat se jiyada paani ho aur usney kisi musaafir ko uskey istaimaal se rok diya.
2.Wo shaksh jo kisi haakim se bait sirf duniya ke liye karey ki agar wo haakim usey kuch de to wo raazi rahey warna khafa ho jaye.
3.Wo shakhsh jo apna (bechney ka) saaman asar ke baad lekar khada hua aur kahney laga ki us Allah ki Qasam jiskey siwa koi sachcha maabud nahi, mujhe is saaman ki qeemat itni itni mil rahi thi us par ek shakhsh ne usey sahi samjha (aur us saman ko kharid liya).
Sahih Bukhari, Vol 3, 2358
-----------------------------------------------------

English Translation:
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There are three persons whom Allah will not look at on the Day of Resurrection, nor will he purify them and theirs  shall be a severe punishment.
1. A man possessed superfluous water, on a way and he withheld it from travelers.
2. A man who gave a pledge of allegiance to a ruler and he gave it only for worldly benefits. If the ruler gives him something he gets satisfied, and if the ruler withholds something from him, he gets dissatisfied.
3. And man displayed his goods for sale after the 'Asr prayer and he said, 'By Allah, except Whom None has the right to be worshipped, I have been given so much for my goods,' and somebody believes him (and buys them)."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 40, No. 547: 

Total Pageviews