Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Aamal ka daromadar Niyat par hai aur har
shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat kare
Umar bin Al-Khattab
Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Aamal ka daromadar Niyat par hai
aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat karey isliye jiski hijrat
(emigration) ALLAH aur uskey Rasool ki Raza hasil karney ke liye ho to usko ALLAH
aur uskey Rasool ki Raza hasil hogi lekin jiski hijrat duniya hassil karney ke
liye ho ya kisi aurat se shaadi karney ke iradey se ho to uski hijrat uskey
liye hai jiskey liye usney hijrat ki.
Sahih Bukhari, vol 6, 5070
Sahih Bukhari, vol 6, 5070
---------------------------------------------------------
Narrated 'Umar bin
Al-Khattab Radi Allahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said,
"The rewards (of deeds) are according to the intention, and everybody will
get the reward for what he has intended. So whoever emigrated for ALLAH's and
His Apostle's sake, his emigration was for ALLAH and His Apostle Sallallahu Alaihi
wasallam ; and whoever emigrated for worldly benefits, or to marry a woman,
then his emigration was for the thing for what he emigrated for."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 8:
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 8: