Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, October 20, 2015

Hadith: jab bhi koi shakhs achchi tarah wudhu karta hai aur namaz padhta hai to uskey ek Namaz se dusri namaz ke padhney tak ke gunah maaf kar diye jaate hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab bhi koi shakhs achchi tarah wudhu karta  hai aur namaz padhta hai to uskey ek Namaz se dusri namaz ke padhney tak ke gunah maaf kar diye jaate hain

Hazrat Usman Radhi Allahu Anhu ne wudhu kiya to farmaya Main tumko EK hadith Sunata hu Agar Quran paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti to main ye Hadith tumko na sunata , Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab bhi koi shakhs achchi tarah wudhu karta  hai aur namaz padhta hai to uskey ek Namaz se
dusri namaz ke padhney tak ke gunah maaf kar diye jaate hain
Sahih Bukhari, Vol 1, 153

( Urwah Radhi Allahu Anhu kahte hain wo ye aayat ye hai “Jo log Allah ki us Nazil ki huyee Hidayat ko Chupate hain jo usne logon ke liye Apni kitab mein bayan ki hai , Un Par Allah ki Laanat hai aur (Dusre) Laanat karne walon ki laanat hai -
Al Quran , Al Baqarah : 159) 

----------------------------
English Translation:
Narrated Humran Radhi Allahu Anhu (the slave of 'Uthman) After performing the ablution 'Uthman Radhi Allahu Anhu said, "I am going to tell you a Hadith which I would not have told you, had I not been compelled by a certain Holy Verse I heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, 'If a man performs ablution perfectly and then offers the compulsory congregational prayer, Allah will forgive his sins committed between that (prayer) and the (next) prayer till he offers it. 

Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4, Number 161

(the sub narrator urwa Radhi Allahu Anhu said: This verse is: "Verily, those who conceal the clear signs and the guidance which we have sent down...Al Quran: 2:159).

Total Pageviews