Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huyee to mere kuch
bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye
----------------------------
✦ Zaid bin khalid jahni Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi wasallam ne humein Hudebiya mein subah ki namaz padhayee aur raat ko
barish ho chuki thi , namaz se farig hone ke baad Aap Sallallahu Alaihi
wasallam ne logo ki taraf munh kiya aur
farmaya , malum hai tumhare RAB ne kya farmaya hai , logon ne kaha ki Allah aur
uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam
khoob jante hain ,Aap ne farmaya ki tumhare RAB ka irshad hai ki subah
huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye jisne kaha ki Allah
ke fazal aur rahmat se hamare liye barish huyee to wo mera momeen hai aur
sitaro ka munkir hai aur jisne kaha ki falah sitare ki falah jagah par aane se
barish huyee to wo mera munkir hai(yani mujhse kufr kiya) aur sitaro ka momeen hai (yani sitaro par iman
rakhne wala hai)
Sahih
Bukhari, Jil1, 846
✦ ज़ैद बिन खालिद अल-जुहानी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम
ने हूमें हुदेबिया में सुबह की नमाज़ पढ़ाई और रात को बारिश हो चुकी थी , नमाज़ से फारिग होने के बाद आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने लोगो की तरफ मुँह किया
और फरमाया , मालूम है तुम्हारे रब ने क्या फरमाया है ,
लोगों ने कहा की अल्लाह और उसके रसूल सललल्लाहू
अलैही वसल्लम खूब जानते हैं ,आप ने फरमाया की तुम्हारे ऱब का इरशाद है की सुबह हुई तो मेरे
कुछ बंदे मोमीन रहे और कुछ काफ़िर हो गये जिसने
कहा की अल्लाह के फ़ज़ल और रहमत से हमारे लिए बारिश हुई तो वो मेरा मोमीन है और सितारो
का मुनकीर है और जिसने कहा की फ़लाह सितारे की फ़लाह जगह पर आने से बारिश हुई तो वो
मेरा मुनकीर है(यानी मुझसे कुफ्र किया) और
सितारो का मोमीन है (यानी सितारो पर ईमान रखने वाला है)
सही बुखारी, जिल्द 1, 846
---------------------------------
✦ Narrated
Zaid bin Khalid Al-Juhani Radi Allahu Anhu
The Prophet Sallallahu
Alaihi wasallam led us in the Fajr prayer at Hudaibiya after a
rainy night. On completion of the prayer, he faced the people and said,
"Do you know what your Lord has said (revealed)?" The people replied,
"Allah and His Apostle Sallallahu Alaihi wasallam know better." He said, "Allah has
said, 'In this morning some of my slaves remained as true believers and some
became non-believers; whoever said that the rain was due to the Blessings and
the Mercy of Allah had belief in Me and he disbelieves in the stars, and
whoever said that it rained because of a particular star had no belief in Me
but believes in that star.' "
Sahih Bukhari, Book 12, Hadith 807