Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, July 15, 2016

✦ Islamic Quiz-22✦


Islamic Quiz-22

Sawal: Khadija radi allahu anhu ke baad dusre number par kaun Islam laya?

A. Abu Bakr siddiq radi allahu anhu
B. Aisha radi allahu anha
C. Ali radi allahu anhu
D. Zaid radi allahu anhu
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------------------------
Question: After khadija radi allahu anha who aaccepted Islam ?
A. Abu Bakr siddiq radi allahu anhu
B. Aisha radi allahu anha
C. Ali radi allahu anhu
D. Zaid radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab C. Ali radi allahu anhu

✦ Islamic Quiz-21✦


Islamic Quiz-21
Sawal: inme se sabese Pahle Islam kaun laya?

A. Abu Bakr siddiq radi allahu anhu
B. Khadija radi allahu anha
C. Ali radi allahu anhu
D. Zaid radi allahu anhu
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
 ---------------------
Question: who accepted Islam first among below?

A. Abu Bakr siddiq radi allahu anhu
B. Khadija radi allahu anha
C. Ali radi allahu anhu
D. Zaid radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab B. Khadija Radi Allahu Anha

✦ Islamic Quiz-20✦


Islamic Quiz-20

Sawal:  Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki  " Quran mein ek surah hai ye apne padhne walon ki sifarish karegi yahan tak ki usey bakhsh diya jayega"
Us surah ka kya naam hai?

A. Surah Al-Qasas
B. Surah Yusuf
C. Surah Nooh
D. Surah Al-Mulk
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------------
Quiz : The prophet sallallahu alaihi wasallam said " A surah of the Qur'an  will intercede its reader till he will be forgiven" What is the name of that Surah ?

A. Surah Al-Qasas
B. Surah Yusuf
C. Surah Nooh
D. Surah Al-Mulk
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab D. Surah Al-Mulk

------------
Abu Huraira Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Quran mein 30 aayaton ki ek surah hai jo apney parhney walon ki sifarish karegi  yahan tak ki usey baksh diya jayega  wo surah hai Tabarak-alLazi beyadehil mulk……: ( Surah Al Mulk 67 ) hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1,1387-Hasan
-------------
Narrated AbuHurayrah Radiallahu anhu :  The Prophet Sallallaho alaihey wasallam said: A surah of the Qur'an containing Thirty verses will intercede its reader till he will be forgiven. That is: "Blessed is He in Whose Hand is the sovereignty" (Tabarak-alLazi beyadehil mulk …: Surah Al Mulk 67).
Sunan Abu Dawud, Book 6, Number 1395-Hasan

✦ Islamic Quiz-19✦


Islamic Quiz-19

Sawal: Namaz e Janaza mein kitni takbeerein hoti hain?
A.1 takbir
B.2 takbir
C.3 takbir
D.4 takbir
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------
How many takbir are there in funeral prayer ?
A.1 takbir
B.2 takbir
C.3 takbir
D.4 takbir
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab D.4 takbir
-------------
Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne jab As-hama Najjashi ki namaz e janaza padhayee to 4 takbeerein kahi
Sahih Bukhari, Jild 2, 1334
--------------
Narrated Jabir:
The Prophet () offered the funeral prayer of As-Hama An-Najash and said four Takbir.
Sahih Bukhari, Book 23, Hadith 418

✦ Islamic Quiz-18✦


Islamic Quiz-18

Sawal:  Wo kaunsi Namaz hai jismein sazda nahi hota?
A. Istikhare ki namaz
B. Janaze ki Namaz
C. Eid ki namaz
D. Ishraq ki Namaz
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------------------------------
Quiz: Which Salah (prayer) has no Suzud at all?

A. Istikhara Prayer
B. Funeral Prayer
C. Eid Prayer
D. Ishraq Prayer
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab B. Janaze ki Namaz

✦ Islamic Quiz-17✦


 Islamic Quiz-17

Sawal: Chheek (Sneeze) aane par agar koi Alahmdulilah kahe to uske jawab mein kya kahna chahiye?

A. SubhanAllah
B. Suma Alhamdulillah
C. 
Yarhamukallah
D.  
Yahdikumallah
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------
Quiz: After sneezing, If any musim say Alhamdulillah then what should the other muslim reply on this?

A. SubhanAllah
B. Suma Alhamdulillah
C. 
Yarhamukallah
D.  
Yahdikumallah
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab C. Yarhamukallah
-------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi cheenke (sneezing ) to 'Al-Hamdulillah' kahe aur uska bhai ya uska saathi 'Yar-hamuka-llah’(ALLAH tum par raham karey) kahey, jab saathi Yarhamukallah kahe to uske jawab mein cheenkne wala kahe Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum (yani Alllah tumhe seedhe raaste par rakhe aur tumhare haalat durast karey)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6224
-------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, " If anyone of you sneezes, he should say 'Al-Hamdulillah' (Praise be to ALLAH), and his (Muslim) brother or companion should say to him, Yarhamukallah (May ALLAH bestow his Mercy on you). When the latter says 'Yar-hamuka-llah", the former should say, 'Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum' (May ALLAH give you guidance and improve your condition)."
Sahih Bukhari, Book 73, No. 243

✦ Islamic Quiz-16✦


 Islamic Quiz-16

Sawal: Ek baar Jinno ki ek jamaat Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ke pass aaaye aur unse guzarish ki Aap apni ummat ko in cheezo se istinja karne se mana farma dijiye kyuki ALLAH Subhanahu ne ismein hamari Rozi rakhi hai , kya aapko malium hai wo kaunsi  cheezein hain jismein  Jiinnato ki rozi hoti hai ?

A. Jaanwaro ki khal mein
B. Darakht ke patto mein
C. Haddi, Leed (Gobar) aur koyle mein
D. Mitti aur paththar mein
E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------------
Islamic Quiz: Once the jinn came to the Prophet peace_be_upon_him and said: O Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam, forbid your community to cleans themselves with these things , for in them Allah has provided sustenance for us. So the Prophet peace be upon him forbade them to do so.
Do you know what those things was?

A. Animal Skins
B. Tree Leaves
C. Bones, dung or charcoal
D. Dust and stones
E. None of the above
F. I want to know


Sahi Jawab : C. 
Haddi, Leed (Gobar) aur koyle mein

Abdullah ibn Mas'ud Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki Jinno ki ek jamaat Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ke khidmat mein hazir huyee unhoney arz kiya ki Eh Muhammad SallAlllahu Alaihi Wasallam Aap apni ummat ko mana farma dijiye Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley se istinja karney se kyuki ALLAH Subhanahu ne ismein hamari Rozi rakhi hai, iskey baad Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne aisa karney se mana farma diya
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 39 -Sahih
-------------------
Correct answer is 
C. 
Bones, dung or charcoal


Narrated Abdullah ibn Mas'ud Radi Alllahu Anhu  A deputation of the jinn came to the Prophet peace_be_upon_him and said: O Muhammad SallAlllahu Alaihi Wasallam , forbid your community to cleans themselves with a bone or dung or charcoal, for in them ALLAH has provided sustenance for us. So the Prophet peace be upon him forbade them to do so.
Sunan Abu Dawud, Book 1, 39 - Sahih

✦ Islamic Quiz-15 ✦

 Islamic Quiz-15 

Sawal: Surah Al-kauther(108) mein Allah subhanahu ne Rasool-Allah  sallallahu alaihi wasallam se farmaya "Inna Aaataynaka Al-Kauther"  (Eh MUhammad sallallahu alaihi wasallam ) Beshak humne aapko kauther ata farmayee , wo kauther kya hai ?

A. Jannat ka ek ghar
B. jannat ki hoor
C. Jannat ki ek nahar ( Hauz )
D. Jannat ki ek machli

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------------------------

Quiz : In Surah AL-Kauther Allah subahanhu said " Inna Aaataynaka Al-Kauther" (Oh Prophet MUhammad sallallahu alaihi wasallam ) Verily, We have granted you AL-Kauther, What is that Kauther ?

A. A house in paradise
B. A Hoor of paradise
C. 
A River of paradise
D. A fish of paradise

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab : C. Jannat ki ek nahar (Hauz )
Al Quran : Beshak humne Aapko (O Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam) Al-kauther Ata farmayee, So Apne RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani kiya karo , Beshak Aapka Dushman hi Be Naam-O-Nishan rahega
Surah Al-Kauther (108)

Hadith: Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya mera hawz ( kauther) ek mahine ki musafat ( yani usko cross karney ke liye ek mahina chalna parhta hai) barabar hoga, iska paani doodh se ziyada safed aur iski khushbu Musk se ziyada achchi hogi aur iske pyale (cups) aasman ke sitaro ki taadad ke barabar honge jo shaksh ismein se ek baar jo peeyega wo kabhi bhi piyasa na hoga.
Sahih Bukhari, vol 8, 6579
---------------
Correct Answer is C
A River of paradise

Al Quran : Verily, We have granted you (O Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam) Al-Kauthar Therefore turn in prayer to your Lord and sacrifice (to Him only). For he who hates you, He will be cut off
Surah Al-Kauther (108)

Hadith: Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "My Lake-Fount is (so large that it takes) a month's journey to cross it. Its water is whiter than milk, and its smell is nicer than musk (a kind of Perfume), and its drinking cups are (as numerous) as the (number of) stars of the sky; and whoever drinks from it, will never be thirsty."

Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 581

✦ Islamic Quiz-14 ✦


 Islamic Quiz-14 

Sawal: Wo kaunse Nabi hain jinki maa ki taraf Allah subhanahu ne wahi nazil farmayee thi ki agar tumhe apne bete ki jaan ka khauff ho to usko dariya mein daal dena aur koi khauff ya gam na karna beshak hum usko tumhare pass wapas pahucha denge, phir us nabee ki maa ne unko dariya mein daal diya aur phir Allah subhanahu ne us Nabi ki parwarish usee zalim baadshah ke ghar par ki jo us Nabee ko qatl karna chahta tha, wo kaunse Nabi hain?

A. Eesa alaihi salam
B. Musa Alaihi salam
C. Yusuf alaihi salam
D. Yunus Alaihi salam

E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz: What is the name of that prophet towards his mother , Allah sent wahi that if you fear for the life of your son , then cast him into the river and fear not, nor grieve. Verily, We shall bring him back to you and after that her mother cast him into the river  and later that prophet got looked after in the home of same ruler who wanted to kill him, what is the name of that prophet

A. Eesa alaihi salam
B. Musa Alaihi salam
C. Yusuf alaihi salam
D. Yunus Alaihi salam

E. None of the above

F. I want to know

Sahi jawab B
B. Musa Alaihi salam
وَأَوْحَيْنَا إِلَىٰ أُمِّ مُوسَىٰ أَنْ أَرْضِعِيهِ ۖ فَإِذَا خِفْتِ عَلَيْهِ فَأَلْقِيهِ فِي الْيَمِّ وَلَا تَخَافِي وَلَا تَحْزَنِي ۖ إِنَّا رَادُّوهُ إِلَيْكِ وَجَاعِلُوهُ مِنَ الْمُرْسَلِينَ

Al Quran : Aur humne Musa alaihi salam  ki maa taraf wahi nazil farmayee thi ki agar tumhe apne bete ki jaan ka khauff ho to usko dariya mein daal dena aur koi khauff ya gam mat  karna beshak hum usko tumhare pass wapas pahucha denge  aur (phir) usko Rasool bana denge
Al Quran , Al-Qasas (28) , Verse 7
--------------------
And We inspired the mother of Musa (Moses): (telling): "Suckle him [Musa (Moses)], but when you fear for him, then cast him into the river and fear not, nor grieve. Verily, We shall bring him back to you, and shall make him one of (Our) Messengers." 


Al Quran , Al-Qasas (28) , Verse 7

✦ Islamic Quiz-13 ✦


Islamic Quiz-13

Sawal: Wo kaunsa azkar ya aayat hai jisko raat ko padhne se Allah subhanahu ki taraf se subah tak ek farishta hifazat ke liye muqarrar kar diya jata hai jiski wajah se sari raat shaitan nazdeek nahi aa sakta?
A. Durud e Ibrahim
B. Surah fatiha
C. Aayat Al-Kursi
D. Sayyadual Astigfar

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------
Islamic Quiz - There is a azkar or verse  ,   if a muslim recite in the night , Allah will appoint a guard (angel) ,  who stay whole night with the reciter, and no satan come near till morning  what is the name of that verse or azkar ?

A. Durud e Ibrahim
B. Surah fatiha
C. Aayat Al-Kursi
D. Sayyadual Astigfar

E. None of the above

F. I want to know


Answer :
C. Aayat Al-Kursi

----------------------------


Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Aayat-Al-Kursi ki Fazilat
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe Ramazan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. (raat mein) ek shakhs achanak mere paas aaya aur galley mein se uthane laga mein ne usko pakad liya aur kaha ke Allah ki kasam main tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein le chaloon ga, is par usne kaha ke Allah ki qasam mein bahu mohtaaj hon. mere bachce hain aur mein sakht zaroorat mand hun.
Hazrat Abu hurairah radi allahu anhu ne kaha maine ( uske izhaar muaazrat par ) usko chorh diya subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujh se pucha, eh Abu Hurairah guzishta raat tumhare qaidi neh kya kya tha? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam is neh sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya, is liye mujhe is par reham aa gaya. aur mein neh usko chorh diya. Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai. aur woh phir aeye ga.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke is farmane ki wajah se mujh ko yaqeen tha ke wo phir zaroor aeyega. is liye mein is ki taak mein laga raha. 
aur jab woh doosri raat aa ke phir galla uthane laga to mein ne usko phir pakda aur kaha ke tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir karoon ga, lekin ab bhi is ki wohi iltija thi ke mujhe chorhe de, main mohtaaj hon. baal bachon ka boojh mere sir par hai. ab mein kabhi nahi aaunga. 
mujhe reham aa gaya aur mein neh usko phir chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya eh Abu Hurairah tumare qaidi ne kya kiya? Maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne phir iski sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya. jis par mujhe reham aa gaya. is liye mein neh usay chorhe diya.

Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi yahi farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai aur woh phir aeye ga. teesri martaba mein phir is ke intzaar mein tha ke isne phir teesri raat aa kar galla uthana shuru kya, to maine usko pakad liya, aur kaha ki tujhe Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pahunchana ab zurori ho gaya hai. ye teesra mauqa hai. har martaba tum yaqeen dilate rahe ke phir nahi aaoge. lekin tum baz nahi aeye. isne kaha ke is martaba mujhe chorhe to main tumhe aise chand kalimaat sikha dunga jis se Allah taala tumhe faida pahuchayega.
Maine poocha woh kalimaat kya hain? usne kaha, jab tum apne bistar par letnay lago to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori parh liya karo. ek nigran farishta Allah taala ki taraf se barabar tumhari hifazat karta rahega. aur subah tak shaitan tumare paas kabhi nahi aa sakega. is martaba bhi phir mein neh usko chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya, guzishta raat tumare qaidi ne tumse kya muaamla kiya? maine arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam usne mujhe chand kalimaat sikhaye aur yaqeen dilaya ki Allah Subhanhu mujhe is se faayda pahunchayega. isliye maine usko chorh diya. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki woh kalimaat kya hain? maine arz kiya ki usne bataya tha ki jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. Sahaba Radi allahu anhu khair ko sab se aage badh kar lene wale they.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ( unki ye baat sun kar ) farmaya ke agarche woh jhoota tha lekin tum se ye baat sach keh gaya hai Eh Abu hurairah tum ko ye bhi maloom hai ke teen raton se tumhara muaamla kis se tha? unhone kaha nahi. Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke woh Shaitan tha .
Sahih Bukhari, Vol 3, 2311

---------------------------------------------


Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam deputed me to keep Sadaqat (al-Fitr) of Ramadan. A comer came and started taking handfuls of the foodstuff (of the Sadaqa) (stealthily). I took hold of him and said, "By Allah, I will take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ." He said, "I am needy and have many dependents, and I am in great need." I released him, and in the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do yesterday?" I said, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam! The person complained of being needy and of having many dependents, so, I pitied him and let him go." 


Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Indeed, he told you a lie and he will be coming again." I believed that he would show up again as Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam had told me that he would return. So, I waited for him watchfully. When he (showed up and) started stealing handfuls of foodstuff, I caught hold of him again and said, "I will definitely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam. He said, "Leave me, for I am very needy and have many dependents. I promise I will not come back again." I pitied him and let him go.


In the morning Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked me, "What did your prisoner do." I replied, "O Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! He complained of his great need and of too many dependents, so I took pity on him and set him free." Allah's Apostle said, "Verily, he told you a lie and he will return."

I waited for him attentively for the third time, and when he (came and) started stealing handfuls of the foodstuff, I caught hold of him and said, "I will surely take you to Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam as it is the third time you promise not to return, yet you break your promise and come." He said, "(Forgive me and) I will teach you some words with which Allah will benefit you." I asked, "What are they?" He replied, "Whenever you go to bed, recite "Ayat-al-Kursi"-- 'Allahu la ilaha illa huwa-l-Haiy-ul Qaiyum' till you finish the whole verse. (If you do so), Allah will appoint a guard (Angel) for you who will stay with you and no satan will come near you till morning. " So, I released him. In the morning, 

Allah's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What did your prisoner do yesterday?" I replied, "He claimed that he would teach me some words by which Allah will benefit me, so I let him go." Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked, "What are they?" I replied, "He said to me, 'Whenever you go to bed, recite Ayat-al-Kursi from the beginning to the end ---- Allahu la ilaha illa huwa-lHaiy-ul-Qaiyum----.' He further said to me, '(If you do so), Allah will appoint a guard for you who will stay with you, and no satan will come near you till morning.'

(Abu Huraira or another sub-narrator) added that they (the companions) were very keen to do good deeds. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "He really spoke the truth, although he is an absolute liar. Do you know whom you were talking to, these three nights, O Abu Huraira?" Abu Huraira said, "No." He said, "It was Satan."


Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 38, 505

✦ Islamic Quiz-12 ✦


 Islamic Quiz-12 

Sawal: Un Nabee ka kya naam hai jinhone machli ke pet mein
"La ilaha illa Anta Subhanaka inni Kuntu Min-Az-Zalimeen"
kahkar Allah ko madad ke liye pukara aur Allah ne unko madad ata farmayee?

A. Adam Alaihi Salam
B. Nooh Alaihi Salam
C. Musa Alaihi Salam
D. Yunus Alaihi Salam

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------------
Quiz:  What is the name of that prophet who asked the help of Allah inside the belly of the fish by saying "La ilaha illa Anta Subhanaka inni Kuntu Min-az-zalimeen" and Allah helped him?
A. Adam Alaihi Salam
B. Nooh Alaihi Salam
C. Musa Alaihi Salam
D. Yunus Alaihi Salam
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab D. Yunus Alaihi Salam
--------------
Al Quran, Surah Al-Anbiya (21), verse 87 
وَذَا النُّونِ إِذ ذَّهَبَ مُغَاضِبًا فَظَنَّ أَن لَّن نَّقْدِرَ عَلَيْهِ فَنَادَىٰ فِي الظُّلُمَاتِ أَن لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

Al Quran : Aur machli wale ko jab gussa hokar chala gaya phir khayal kiya ki hum usey nahi pakdenge , andhero mein pukara ki (Ya Allah) Tere siwa koi ibadat ke layak nahi, tu paak hai (aur) beshaq mein Qusurwar hu.
Surah Al-Anbiya (21), verse 87
-----------------------------

Al Quran: And (remember) Dhun-Nun (Yunus Alaihi Salam), when he went off in anger, and imagined that We shall not punish him (i.e. the calamities which had befallen him)! But he cried through the darkness (saying): La ilaha illa Anta Subhanaka inni Kuntu Min-az-zalimeen (none has the right to be worshipped but You (O, Allah), Glorified (and Exalted) be You Truly, I have been of the wrong-doers.)Surah Al-Anbiya (21), Verse 87

✦ Islamic Quiz-11 ✦


 Islamic Quiz-11 

Sawal: Quran kareem mein wo kaunsi Surah hai jismein Meem ek bhi baar nahi hai
(Excluding Bismillah)

A. AL-Fatiha (1)
B. Al-Kafiroon (109)
C. Al-Kauther (108)
D. An-Nas (114)
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz: What is the name of that Surah in Quran, in which there is no Meem at all
(Excluding Bismillah)
A. AL-Fatiha (1)
B. Al-Kafiroon (109)
C. Al-Kauther (108)
D. An-Nas (114)
E. None of the above
F. I want to know



Sahi Jawab C. Al-Kauther (108)

✦ Islamic Quiz-10 ✦


 Islamic Quiz-10 

Sawal:  inmein se kaunse Sahaba Radi allahu anhu ka naam Quran ki aayat mein aaya hai ?
A. Hazrat Umar Radi allahu anhu
B. Hazrat Ali Radi allahu anhu
C. Hazrat Abu bakr  Radi allahu anhu
D. Hazrat 
Zaid (Bin Harith) Radi allahu anhu

E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
------------------------
In the Qur’an the name of which companion of Prophet Muhammed (Sallallahu Alaihi Wasallam) is mentioned?
A. Hazrat Umar Radi allahu anhu
B. Hazrat Ali Radi allahu anhu
C. Hazrat Abu bakr  Radi allahu anhu
D. Hazrat 
Zaid (Bin Harith) Radi allahu anhu

E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab: D: 
Hazrat Zaid (Bin Harith) Radi allahu anhu

أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
فَلَمَّا قَضَىٰ زَيْدٌ مِّنْهَا وَطَرًا زَوَّجْنَاكَهَا لِكَيْ لَا يَكُونَ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ حَرَجٌ فِي أَزْوَاجِ أَدْعِيَائِهِمْ إِذَا قَضَوْا مِنْهُنَّ وَطَرًا ۚ وَكَانَ أَمْرُ اللَّهِ مَفْعُولًا
Al Quran: Jab Zaid (Radi Allahu Anhu) is se hajat puri kar chuke to humne Aapse uska nikah kar diya taaki musalmano par unke munh bole beton ki biwiyon ke bare mein koi gunah na ho

Surah Al-Ahzab (33), Verse 37
-------------------
Al Quran: So when Zaid had accomplished his desire from her (i.e. divorced her), We gave her to you in marriage, so that (in future) there may be no difficulty to the believers in respect of (the marriage of) the wives of their adopted sons when the latter have no desire to keep them (they have divorced them). And Allah's Command must be fulfilled.
Surah Al-Ahzab (33), Verse 37

✦ Islamic Quiz-9 ✦


 Islamic Quiz-9 

Sawal: Wo Kaunse Nabi ki qaum thi jiske liye aasaman se khana (Mann-Salwa) nazil hota tha?
A. Isa alaihi Salam ki Qaum
B. Nooh Alaihi Salam ki Qaum
C. Musa alaihi Salam ki Qaum
D. Ibrahim Alaihi Salam ki Qaum

E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------
Quiz: For whose nation (Ummah),   the food (Mann-Salwa) used to descend from the sky ?

A. For the nation of Isa Alaihi Salam
B. For the nation of Nooh Alaihi Salam
C. For the nation of Musa Alaihi Salam
D. For the nation of Ibrahim Alaihi Salam

E. None of the above

F. I want to know

Answer: C
-------------------

أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ قَدْ أَنجَيْنَاكُم مِّنْ عَدُوِّكُمْ وَوَاعَدْنَاكُمْ جَانِبَ الطُّورِ الْأَيْمَنَ وَنَزَّلْنَا عَلَيْكُمُ الْمَنَّ وَالسَّلْوَىٰ
---------------
Al Quran: Eh bani isareel humne tumhe tumhare dushman se nijat di aur tumse tur ke dahini taraf ka wada kiya aur tumhare liye (aasman se) Mann aur salwa nazil kiya
Surah Taa-Haa, (20) , Verse 80
 ---------------
Al Quran : O Children of Israel! We delivered you from your enemy, and We made a covenant with you on the right side of the Mount, and We sent down to you Al-manna and Salwa (quails)

Surah Taa-Haa, (20) , Verse 80

Total Pageviews