Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, July 15, 2016

✦ Islamic Quiz-15 ✦

 Islamic Quiz-15 

Sawal: Surah Al-kauther(108) mein Allah subhanahu ne Rasool-Allah  sallallahu alaihi wasallam se farmaya "Inna Aaataynaka Al-Kauther"  (Eh MUhammad sallallahu alaihi wasallam ) Beshak humne aapko kauther ata farmayee , wo kauther kya hai ?

A. Jannat ka ek ghar
B. jannat ki hoor
C. Jannat ki ek nahar ( Hauz )
D. Jannat ki ek machli

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------------------------

Quiz : In Surah AL-Kauther Allah subahanhu said " Inna Aaataynaka Al-Kauther" (Oh Prophet MUhammad sallallahu alaihi wasallam ) Verily, We have granted you AL-Kauther, What is that Kauther ?

A. A house in paradise
B. A Hoor of paradise
C. 
A River of paradise
D. A fish of paradise

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab : C. Jannat ki ek nahar (Hauz )
Al Quran : Beshak humne Aapko (O Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam) Al-kauther Ata farmayee, So Apne RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani kiya karo , Beshak Aapka Dushman hi Be Naam-O-Nishan rahega
Surah Al-Kauther (108)

Hadith: Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya mera hawz ( kauther) ek mahine ki musafat ( yani usko cross karney ke liye ek mahina chalna parhta hai) barabar hoga, iska paani doodh se ziyada safed aur iski khushbu Musk se ziyada achchi hogi aur iske pyale (cups) aasman ke sitaro ki taadad ke barabar honge jo shaksh ismein se ek baar jo peeyega wo kabhi bhi piyasa na hoga.
Sahih Bukhari, vol 8, 6579
---------------
Correct Answer is C
A River of paradise

Al Quran : Verily, We have granted you (O Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam) Al-Kauthar Therefore turn in prayer to your Lord and sacrifice (to Him only). For he who hates you, He will be cut off
Surah Al-Kauther (108)

Hadith: Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "My Lake-Fount is (so large that it takes) a month's journey to cross it. Its water is whiter than milk, and its smell is nicer than musk (a kind of Perfume), and its drinking cups are (as numerous) as the (number of) stars of the sky; and whoever drinks from it, will never be thirsty."

Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 581

Total Pageviews