Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, August 29, 2016

✦ Islamic Quiz-40✦

 Islamic Quiz-40

Sawal: jab pahli baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam par wahi nazil huyee us waqt aapki umar kitne saal thi?
A. 33
B. 45
C. 40
D. 30
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
 
 -------------------------------
How old was the Holy Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam when he first received the Revelation from Allah?
A. 33
B. 45
C. 40
D. 30
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab C. 40
------------
Rabia bin Abi `Abdur-Rahman Radi allahu anhu se rivayat hai ki maine Anas bin malik Radi allahu anhu ko Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki seerat bayan karte huye suna ki (pahli)  Nuzul e wahi ke waqt Aap sallallahu alaihi wasallam ke umar 40 saal thi
Sahih Bukhari, Vol 5, 3547
----------Narrated Rabi`a bin Abi `Abdur-Rahman Radi allahu anhu I heard Anas bin Malik describing the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying Divine Inspiration was revealed to him when he was forty years old.

Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 747

✦ Islamic Quiz-39✦


Islamic Quiz-39

Sawal: Ye dua kaunse Nabi ne maangi thi ?
رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ
( Ya Allah) Mujhe takleef ho rahi hai aur tu sabse bada raham karne wala hai
A. Yunus alaihi salam
B. Yusuf alaihi salam
C. Ayyub Alaihi salam
D. Moosa alaihi salam
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai 

------------
Quiz : Which Prophet said this dua ?
رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ
(Oh Allah) Verily, distress has seized me, and You are the Most Merciful of all those who show mercy."
A. Yunus alaihi salam
B. Yusuf alaihi salam
C. Ayyub Alaihi salam
D. Moosa alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know


Correct answer C Ayyub Alaihi salam

وَأَيُّوبَ إِذْ نَادَىٰ رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ
----------------
Aur Ayyub alaihi salam ( ko yaad karo) jab unhone apne RAB ko pukara ki (Ya Allah) Mujhe takleef ho rahi hai aur tu sabse bada raham karne wala hai
Surah Al-Anbiyaa (21), Verse 83
----------------
And (remember) Ayyub alaihi salam, when he cried to his Lord: "Verily, distress has seized me, and You are the Most Merciful of all those who show mercy."
Surah Al-Anbiyaa (21), Verse 83

✦ Islamic Quiz-38✦

 Islamic Quiz-38

Sawal: Kitne saal ki umar mein bachcho ko namaz ka hukm dena chahiye?
A. 10 saal ki umar mein
B. 8 saal ki umar mein
C. 7 saal ki umar mein
D. 5 saal ki umar mein
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai 

------------------
In which age of child we should Command them to pray?

A. 10 year
B. 8 year
C. 7 year
D. 5 year
E. None of the above
F. I want to know

 Sahi jawab C. 7 saal ki umar mein
-----------------Amr ibn Al As Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Apney bachcho ko Namaz ka hukm do jab wo 7 baras ke ho jaye aur jab 10 baras ka ho jaye to Namaz na parhney par unko  maro aur uska bistar alag kar do
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 493-Sahih
-------------
Narrated Abdullah ibn  Amr  ibn al-'As may ALLAH  be pleased with him  The Apostle of Allah  peace_be_upon_him  said: Command your children to pray when they become seven years old, and beat them for it (prayer) when they become ten years old; and arrange their beds (to sleep) separately.

✦ Islamic Quiz-37✦

Islamic Quiz-37

Sawal :   Every Week  jannat ke darwaze khole jate hain  aur un sabki maghfirat ho jati hai jo shirk na karte ho aur apne bhai ke khilaf keena na rakhte ho,   wo din kaunse hain jab jannat ke darwaze khole jate hain ?

A.  Juma aur Aitwar (Friday  & Sunday)
B.  Peer aur jumerat (Monday & Thursday)
C.  Sirf juma ke din (Only on Friday)
D.  jumairat aur juma (Thursday & Friday)
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai 


-------------------------
Quiz :  The gates of paradise are being opened every week and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother, now the question  is when the gate of paradise are opened ?
A.  Friday  & Sunday
B.  Monday & Thursday
C.  Only on Friday
D.  Thursday & Friday
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab B.  Peer aur jumerat (Monday & Thursday)

Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jannat ke darwaze Peer(Monday) aur jumairat (Thursday )ke din khole jate hain, phir har us bande ki maghfirat hoti hai jo Allah taala ke saath shirk nahi karta aur siwaye us shaksh ke jo keena rakhta hai apne bhai se (uski maghfirat nahi hoti ) aur hukm hota hai in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye, in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye,in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye 
Sahih Muslim, Vol 6, 6544
-------------------------

Answer is
B.  Monday & Thursday

Abu Huraira Radi allahu anhu reported Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam as saying: The gates of Paradise are opened on two days, Monday and Thursday. and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother. And it would be said: Look towards both of them until there is reconciliation; look toward both of them until there is reconciliation; look towards both of them until there is reconciliation.

Sahih Muslim Book 032, 6222

✦ Islamic Quiz-36✦

Islamic Quiz-36

Sawal: Qayamat ke din bande ko sabse pahle kiska hisab dena padhega ?
A. Roza
B. Namaz
C. Hajj
D.  Zakat
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai 

------------------------------

Quiz : What will be the first thing for which a person will be brought to account on the Day of Resurrection ?

A. Fasting 
B. Prayer ( Salah)
C. Hajj
D.  Charity (Zakat)
E. None of the above
F. I want to know



Sahih Jawab B Namaz

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya sabse pahle bande ko Qayamat ke din namaz ka hisab dena padhega agar wo kamil hai to usko kamil likh diya jayega hai warna Allah subhanahu irshad farmayega ki dekho kya mere bande ke pass nawafil hain, agar nawafil namaz hongi to us se farz namaz ki kami mukammal ki jayegi aur baqi aamal ka hisab bhi isee tarh hoga
Sunan Nasaii, Vol 1, 469-Sahih
---------------------

Answer B : Prayer (Salah)

It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said The first thing for which a person will be brought to account on the Day of Resurrection will be his Salah. If it is found to be complete then it will be recorded as complete, and if anything is lacking He will say: 'Look and see if you can find any voluntary prayers with which to complete what he neglected of his obligatory prayers.' Then the rest of his deeds will be reckoned in like manner."
Sunan Nasaii, Vol. 1, Book 5, 467-Sahih

✦ Islamic Quiz-35✦

 Islamic Quiz-35

Sawal : Wo kaunsi Masjid hai jaha namaz ada karne se ek Umarh karne  ka sawab milta hai ?

A.  Masjid e Aisha
B. Masjid e Aqsa
C. Masjid e Nabwi
D. Masjid e Quba
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai 
--------------------

What is the name of that Masjid where  the One prayer (Salah)  is equal to one Umrah ?

A.  Masjid e Aisha
B. Masjid e Aqsa
C. Masjid e Nabwi
D. Masjid e Quba
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab : D. Masjid e Quba

 Sahl bin Hunaif radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo apne ghar mein paak hokar Masjid Quba mein aakar namaz ada kare usko umrah karne ke barabar ajar milega
Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1412-Hasan
----------------------
Answer 
D. Masjid e Quba


Usaid bin Zuhair Ansari said that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said One prayer in the Quba Masjid is like Umrah.
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 5, 1411-Hasan 

✦ Islamic Quiz-33✦


Islamic Quiz-33

Sawal: Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke biwi Umm Aisha Radi allahu anha ke walid ka kya naam hai ?

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
 -------------------------------

Quiz: Who was the father of Aisha Radi allahu anha
(the wife of Prophet sallallahu alaihi wasallam) ?

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know


Answer A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu

✦ Islamic Quiz-32✦

 Islamic Quiz-32

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ki biwi Umm Hafsha Radi allahu anha ke walid ka kya naam hai?

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------------
Quiz: Who was the father of Hafsha Radi allahu anha (the wife of Prophet Sallallahu alaihi wasallam)?

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know

Answer B. Hazrat Umar radi allahu anhu

✦ Islamic Quiz-31✦

 Islamic Quiz-31

Sawal : Quran kareem mein sirf ek hi aisee surah hai jismein do baar  Bismillahirrahmanirrahim aata hai ek to shuru mein aur dusra us surah ki ek aayat mein , us surah ka kya naam hai ?

A. Surah AL-Fatiha  
B. Surah At-Taubah 
C. Surah Al-Baqara 
D. Surah An-Naml 
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------

Quiz : There is only one surah in Quran which has two time Bismillahirrahmanirrahim
one in beginning and other inside the surah itself , What is the name of that Surah?

A. Surah AL-Fatiha  
B. Surah At-Taubah 
C. Surah Al-Baqara 
D. Surah An-Naml 
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab D
إِنَّهُ مِن سُلَيْمَانَ وَإِنَّهُ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
Ye khat Sulaiman ( Alaihi salam) ki taraf se hai aur wo ye hai ki Allah ke naam se shuru kart ahu jo bada meharbaan aur nihayat raham karne wala hai
 AL Quran , Surah Surah An-Naml (27) , Verse 30
----------------------
Answer : D
إِنَّهُ مِن سُلَيْمَانَ وَإِنَّهُ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
Verily it is from Sulaiman (Solomon), and verily, it (reads): In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful:

AL Quran , Surah Surah An-Naml (27) , Verse 30

✦ Islamic Quiz-30✦


 Islamic Quiz-30

Sawal: Wo kaunse sahabi they jinko Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne apni do betiyan ( ek ki wafat ke baad dusri beti)  nikah mein di aur  isee wajah se unko Zun-nurain yani do noor wala kaha jane laga ?

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------------
Quiz : What is the name of that sahabi who got married with the two daughter of prophet sallallahu alaihi wasallam and because of this  he used to be called Zun Nurain (the man with two lights)?

A. Hazrat Abu Bakr radi allahu anhu
B. Hazrat Umar radi allahu anhu
C. Hazrat Uthman radi allahu anhu
D. Hazrat Ali radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab : C. Hazrat Uthman radi allahu anhu

Unki shadi pahle Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki beti Ruqayya Radi Allahu Anha se huyee aur unki wafat ke baad Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam apni ek aur beti jinka naam Umm Kulsum Radi Allahu Anha tha unse unka nikah karwaya
------------------
Answer C:  Hazrat Uthman radi allahu anhu ,
First he got married with the daughter of Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam, Ruqayya Radi Allahu Anha and after her death he got married with another daughter Umm Kulsum Radi Allahu Anha.

✦ Islamic Quiz-29✦

 Islamic Quiz-29

Sawal: Wo kaunsi Qaum hai jis par Allah ka azab   7 raat aur 8 din tak lagatar  aata raha ?
A. Qaum e Aad
B. Qaum e samud
C. Qaum e loot
D. Qaum e Nooh
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------
Quiz : Whats is the  name of that people on  which Allah sent their torment for 7 night and 8 Days  continuously?

A. The people of Aad
B. The people of Thamud (samud)
C. The people of loot
D. The people of Nooh
E. None of the above
F. I want to know


Sahi Jawab : A
--------------

Al Quran : Aur Aad inko nihayat tez aandhi se tahas nahas kar diya,
ALLAH ne usko 7 raat aur 8 din lagatar un par chalaye rakha, ( agar tum us waqt mojud hote) to us qaum ko aisa gira hua (mara hua) dekhte jaise khajuron ke khokhle taney hain.

Al Quran , Surah Haqqa (69), 6-7
------------------
And as for 'Ad, they were destroyed by a furious violent wind! 

Which ALLAH imposed on them for seven nights and eight days in succession, so that you could see men lying overthrown (destroyed), as if they were hollow trunks of date-palms! 
Al Quran , Surah Haqqa (69), 6-7

✦ Islamic Quiz-28✦

 Islamic Quiz-28

Sawal: Wo kaunsi nafarman qaum thi jisko Allah subahanhu ne shirk karne ki wajah se tez aandhi se halaq kar diya tha ?

A. Qaum e Aad
B. Qaum e samud
C. Qaum e loot
D. Qaum e Nooh
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------

Quiz : What is the name of that people who were destroyed by violent wind because of their shirk?
A. The people of Aad
B. The people of Thamud (samud)
C. The people of loot
D. The people of Nooh
E. None of the above
F. I want to know



Sahi Jawab : A
-----------------

Al Quran : Sach much hone wali ( yani qayamat) , wo sach much hone wali kya hai , aur tumko kya malum ki wo sach much hone wali (Qayamat) kya hai ,
Qaum e Samud aur aad ne us khadkhade wali (Qayamat) ko jhoothlaya tha ,
to samud ko sakht haibatnak cheekh se halaq kar diya gaya
Aur qaum e aad ko sakht aandhi se halaq kar diya gaya
Surah Haqqa (69) Verse 1-6

------------------

1. The Inevitable (the Day of Resurrection)!
2. What is the Inevitable?
3. And what will make you know what the Inevitable is?
4. Thamud and AAd people denied the Qari'ah (the striking Hour of Judgement)!
5. As for Thamud, they were destroyed by the awful cry!
6. And as for AAd, they were destroyed by a furious violent wind!

Surah Haqqa (69) Verse 1-6

✦ Islamic Quiz-27✦

Islamic Quiz-27

Sawa: Insan ke sabse achche suluq ke liye kaun haqdar hai yani insaan ko sabse achca suluq pahle kiske saath karna chahiye ?

A. Aulad
B. Bhai
C. Biwi
D. Maa
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------------

Quiz : Who is more entitled to be treated with the best companionship by a person?
A.  Children
B. Brother
C. Wife
D. Mother
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab D
--------------------
Mafhum-e-Hadith: Maa achche suluq ki sabse zyada haqdar hai
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek sahabi Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huye aur arz kiya ki ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  mere achche suluq ka sabse ziyada haqdar kaun hai ? farmaya  ki tumhari Maa, puch ki iskey baad kaun hai ? farmaya tumhari Maa, 
unhoney phir pucha iskey baad kaun hai ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne phir farmaya tumhari Maa,
unhoney pucha ki iskey baad kaun hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmay tumharey walid ( father).
Sahih Bukhari, Vol 7, 5971




Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : A man came to ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  and said, "O ALLAH's Apostle! Who is more entitled to be treated with the best companionship by me?" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Your mother." The man said. "Who is next?" The Prophet said, "Your mother."
The man further said, "Who is next?" The Prophet said, "Your mother."
The man asked for the fourth time, "Who is next?" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Your father. "
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 2:

✦ Islamic Quiz-26✦

Islamic Quiz-26

Sawal : Allah subhanahu ko sabse zyada kaunsa kaam pasand hai ?

A. Waqt par Namaz padhna
B. Waqt par Zakat ada karna
C. Miskeen ko khilana
D. Umrah karna
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------
Quiz : Which deed is loved most by ALLAH subhanahu?

A. To offer prayers at their early  stated times
B.  To pay zakat (charity) on time
C. To feed the poor
D. To perform Umrah
E. None of the above
F. I want to know


Sahi Jawab A. Waqt par Namaz padhna
---------------

Abdullah bin masood ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  se pucha kaunsa kaam ALLAH ko sabse ziyada pasand hai,
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya waqt par namaz Padhna ,
pucha ki phir kaunsa ? farmaya Waldein ke saath achcha  suluk karna ,  pucha ki phir kaunsa , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ALLAH ke raaste mein Jihad karna .
Sahih Bukhari, Vol 7, 5970




Narrated Al-Walid bin 'Aizar Radhi Allahu Anhu : I heard Abi Amr 'Ash-Shaibani saying, "The owner of this house." he pointed to 'Abdullah bin masood's house, "said, 'I asked the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam 'Which deed is loved most by ALLAH?" He replied, 'To offer prayers at their early (very first) stated times.' " 'Abdullah asked, "What is the next (in goodness)?" The Prophet said, "To be good and dutiful to one's parents," 'Abdullah asked, "What is the next (in goodness)?" The Prophet said, To participate in Jihad for ALLAH's Cause."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 1

✦ Islamic Quiz-25✦


✦ Islamic Quiz-25✦

Sawal: Wo kaunse Nabi hain jinhone Allah subhanahu se ye dua ki thi ki

رَّبِّ لَا تَذَرْ عَلَى الْأَرْضِ مِنَ الْكَافِرِينَ دَيَّارًا
"Ya RAB is zameen par ek bhi kafir ko zinda na rahne de"

Aur uske baad Allah subhanahu ka azab nazil hua aur sare kafir khatam ho gaye
A. Musa Alaihi Salam
B. Yaqub Alaihi Salam
C. Ibrahim Alaihi Salam
D. Nooh Alaihi salamE. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------
What is the name of that prophet who requested to Allah that
رَّبِّ لَا تَذَرْ عَلَى الْأَرْضِ مِنَ الْكَافِرِينَ دَيَّارًا

"My Lord! Leave not one of the disbelievers on the earth"
And after that Allah destroyed all disbelievers on the earth ?

A.  Musa Alaihi salam
B. Yaqub Alaihi salam
C. Ibrahim Alaihi salam
D. Nooh Alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know


Sahih jawab D
------
Aur Nooh Alaihi Salam ne kaha eh mere RAB zameen par kafiro mein se koi rahne wala no chorhna, aur tune chorh diya to tere bando ko gumrah kar denge aur unki jo aulad hogi wo fajir aur kafir hogi
Surah Nooh (71) , Aayat 26
------
And Nuh (Noah) said: "My Lord! Leave not one of the disbelievers on the earth!
"If You leave them, they will mislead Your slaves, and they will beget none but wicked disbelievers.
Surah Nooh (71) , Aayat 26

✦ Islamic Quiz-24✦


Islamic Quiz-24

Sawal : Allah subhanahu ne Farishte ko kis se banaya ?
A. Aag se
B. Noor se
C. Mitti se
D. Hawa se
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

---------------------------------------------
Quiz : From which thing Allah created the Angels ?
A. Fire
B. Light
C. Dust
D. Wind
E. I want to know

Sahi Jawab B
-------------
Ummul Momeneen Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi  wasallam ne farmaya farishtey Noor se banaye gaye aur Jinn aag ki Lo se aur Hazrat Aadam Alaihi  salam us se jo Quran mein bayan hua hai (yani Mitti se)
Sahih Muslim, Jild 6, 7495



A'isha Radi Allahu Anha reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: The Angels were born out of light and the Jinns were born out of the spark of fire and Adam was born as he has been defined (in the Qur'an) for you (i. e. he is fashioned out of clay).
Sahih Muslim, Book 042, Number 7134

✦ Islamic Quiz-23✦

Islamic Quiz-23

Sawal: Insano mein se sabse pahla Qatil kaun hai, jisne insano mein Qatl ki shuruwat ki ?
Aur Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne uske liye ye bhi farmaya ki jab bhi duniya kahi nahaq Qatl hota hai to uske gunah ka ek hissa us par bhi hota hai Wo kaun hai ?

A. Adam alaihi salam ka beta Qabil 
B.  Bani israeel ka dushman Firaun 
C.  Adam alaihi salam ka beta Habil 
D.  Nooh alaihi salam ka beta Yafid
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------------------------------------------
Quiz: who invented the tradition of killing (murdering) on the earth in human being? And about him the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "No human being is killed unjustly, but a part of responsibility for the crime is laid on him.

A. Qabil - The son of Adam alaihi Salam
B. Firaun - the enemy of bani israeel
C. Habil - The son of Adam alaihi Salam
D. Yafid- The son of Nooh alaihi Salam
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab A. Adam alaihi salam ka beta Qabil 
---------------
Narrated `Abdullah Radi allahu anhu :
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "No human being is killed unjustly, but a part of responsibility for the crime is laid on the first son of Adam who invented the tradition of killing (murdering) on the earth. (It is said that he was Qabil).
Sahih Bukhari, Vol. 9, Book 83, Hadith 6

Al Quran: And (O Muhammad صلى الله عليه وسلم) recite to them (the Jews) the story of the two sons of Adam (Habil and Qabil) in truth; when each offered a sacrifice (to Allah), it was accepted from the one but not from the other. The latter said to the former: "I will surely kill you.” The former said: "Verily, Allah accepts only from those who are Al-Muttaqun."      
 
 "If you do stretch your hand against me to kill me, I shall never stretch my hand against you to kill you: for I fear Allah, the Lord of the 'Alamin (mankind, jinn, and all that exists)."     
 "Verily, I intend to let you draw my sin on yourself as well as yours, then you will be one of the dwellers of the Fire; and that is the recompense of the Zalimun (polytheists and wrong-doers)."        
 So the Nafs (self) of the other (latter one) encouraged him and made fair-seeming to him the murder of his brother; he murdered him and became one of the losers.

Surah Al Maida , Verse 27-30

Total Pageviews