Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi
Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009
Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apney gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 784-Sahih
-----------------------------------------
Narrated Abu Masud Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night, that will be sufficient for him.
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530
Narrated Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surah Al-Baqarah is recited.
Jamia Tirmidhi , Vol. 1, Book 42, Hadith 2877-Sahih