Search This Blog

Category

Autoblog

Wednesday, April 17, 2013

Hadith: Allah ki jhooti Qasam khaney waley par Allah ka Ghazab


Bismillah hirrahman nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga. 

Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shkash koi aisee jhooti Qasam khaye jiskey jariye wo kisi ke maal par nahaq Qabza kar le to wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2356

----------------------------
Narrated 'Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever takes a false oath to deprive somebody of his property will meet Allah while He will be angry with him."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 40, No. 546:

Hadith: us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai

Anas bin Malik Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Koi bhi musalman jo ek darkht ka paudha(small tree) lagaye ya khet mein beej boye phir us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2320



Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is none amongst the Muslims who plants a tree or sows seeds, and then a bird, or a person or an animal eats from it, but is regarded as a charitable gift for him."
Sahih Bukhari,  Book 39, Hadith 513


Mafhum-e-Hadith : Tauba Tauba ye to Sood hai, bilkul sood


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith : Tauba Tauba ye to Sood hai,  bilkul sood

Abu Saeed Khudri se rivayat hai ki Bilal Radiallahu anhu Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Barni khajur (achchey kism ki khajur) lekar aaye Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kaha se laye ho ? unhoney kaha hamarey paas kharab khajur thi uski 2 Saa iski (acchhey khajur ki) 1 Saa ke badley mein dekar laye hain taki hum ye Aapko khilaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tauba Tauba ye to Sood hai bilkul sood, aisa na kiya karo haan agar (achchi khajur ) kharidney ka irada ho to (kharab) khajur bech kar (uski qeemat se) achchi khajur kharida kar.
Sahih Bukhari,  Vol 3,2312

 ------------------------------------------------
Narrated Abu Said al-Khudri: Once Bilal brought Barni (i.e. a kind of dates) to the Prophet and the Prophet asked him, "From where have you brought these?" Bilal replied, "I had some inferior type of dates and exchanged two Sas of it for one Sa of Barni dates in order to give it to the Prophet; to eat." Thereupon the Prophet said, "Beware! Beware! This is definitely riba (usury)! This is definitely riba (Usury)! Don't do so, but if you want to buy (a superior kind of dates) sell the inferior dates for money and then buy the superior kind of dates with that money."
Sahih Bukhari,  Book 38, Hadith  506

Hadith: Teen tarah ke Shaksh jis par Allah khud Muddadi (opponent ) banega


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Teen tarah ke Shaksh  jis par Allah khud Muddadi (opponent ) banega

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah taala ka farman hai teen tarah ke log aisey hain jika Qayamat ke din main khud Muddaii banuga
ek to wo shkash jisney mere naam par ahad (vada) kiya aur phir vada khilafi ki,
Dusra wo shaksh jisney kisi Aazad aadmee ko bech kar uski Qeemat khayee,
Teesra wo shaksh jisney kisi ko majdur kiya phir kaam to us sey pura kiya lekin uski majduri na di
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2270

----------------------------------------
( Hadith: Allah will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection )

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu , The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Allah said, 'I will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection:
1. One who makes a covenant in My Name, but proves treacherous;
2. One who sells a free person and eats his price; and
3. One who employs a laborer and takes full work from him but does not pay him for his labour.  Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 36, No. 470: 

Mafhum-e-Hadith: Mere Do Padosi hain unmein se kiskey paas mein Hadiya (Gift) bheju


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Mere Do Padosi hain unmein se kiskey paas mein Hadiya (Gift) bheju

Aayesha Radiallahu anha se rivayat hai ki mainey pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere Do Padosi hain unmein se kiskey paas mein Hadiya (Gift) bheju, To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiska darwaza tujhse jiyada kareeb hai.
Sahih Bukhari, Vol 3,2259


Narrated Aisha Radiallahu anha : I said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! I have two neighbors; which of them should I give a gift to?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "(Give) to the one whose door is nearer to you."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 767:

Hadith: Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht  jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho

Aisa Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht  jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho
Sahih Bukhari, Vol 8, 7188

Narrated 'Aisha Radiallahu anha : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The most hated person in the sight of Allah, is the most quarrelsome person."
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 89, No. 298: 

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?

Anas bin malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihi wasallam ne farmaya banda jab apni Qabr mein rakha jata hai aur uskey saathi jab peeth mod kar jatey hain to wo unki jutiyon ki aawaz sunta hai phir do farishtey uskey paas aatey hain usko bithatey hain aur us sey kahtey hain tu in shaksh ke baarey mein kya kaha karta tha( yani Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ke baarey mein) momeen kahta hai Main gawahi deta hun ki wo Allah ke bandey hain aur uskey Rasool hain, Allah taala un par apni Rahmat aur salam bhejey, us sey kaha jata hai ki tu apna (pichla) thikana dekh jahannam mein , Allah taala ne iskey badley tujhe jannat mein thikana diya, Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo apney dono thikaney dekhta hai, Qatada ne kaha Anas ne humse zikr kiya ki uski Qabr 70 haath chodi ho jati hai aur sabzey se bhar jati hai (yani bageecha ban jata hai) Qayamat tak. 
Sahih Muslim , Vol6, 7216 
--------------------------------
English Translation:
Anas b. Malik Radi allahu anhu reported Allah's Apostle (may peace be upon him) said: When the servant is placed in his grave and his companions retrace their steps arid he hears the noise of the footsteps, then two angels come to him and make him sit and say to him: What you have to say about this person (Prophet Peace be upon him)? If he is the believer, it would say: I bear testimony to the fact that he is a servant of Allah and His Messenger. Then it would be said to him: Look to your (previous) seat in the Hell- Fire, for Allah has substituted (the seat of yours) with a seat in Paradise. Allah's Messenger (may peace be upon him) said: He would be shown both the seats. Qatada said: It was mentioned to us that his grave (the grave of a believer) expands to seventy cubits and is full with verdure until the Day when they would be resurrected. 
Sahih Muslim, Book 040, Number 6862:

Hadith: logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla) hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla)  hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla)  hai  jiska kuch logon ke samney ek rukh hota hai aur dusrey logon ke samney dusrey rukh se milta  hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 7179

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostles said, "The worst of all mankind is the double-faced one, who comes to some people with one countenance and to others, with another countenance."
Sahih Bukhari,  Vol 9, Book 89, No. 290: 

Hadith: Amaanat mein Khayaant karney wala Hakim


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Amaanat mein Khayaant karney wala Hakim

Maqil Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi shaksh musalmano ka hakim banaya gaya aur usney unkey muaamley mein khayanat ki aur usi haalat mein mar gaya to Allah taala us par jannat haram kar deta hai.
Sahih Bukhari,  Vol 8, 7150
--------------------------------------
Narrated Ma'qil Radiallahu anhu : Allah's Apostle said, "If any ruler having the authority to rule Muslim subjects dies while he is deceiving them, Allah will forbid Paradise for him."
Sahih Bukhari,  Vol 9, Book 89, No. 265: 

Hadith: Agar wo (haakim) imandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Agar wo (haakim) imaandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.

Maqil Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah kisi bandey ko kisi riaayat (yani kisi jagah ke logon ka) ka hakim (ruler)  banata hai aur wo imandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.
Sahih Bukhari,  Vol 8, 7150
-----------------------------------------
Narrated Ma'qil Radiallahu anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Any man whom Allah has given the authority of ruling some people and he does not look after them in an honest manner, will never feel even the smell of Paradise."
Sahih Bukhari,  Vol 9, Book 89, No. 264: 

Hadith: Neik Dost aur Burey Dost ki Misaal


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Neik Dost aur Burey Dost ki Misaal

Abu Musa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya neik  saathi (dost) aur burey saathi (dost) ki misal mushk bechney waley attar aur lohar jaisee hai, mushk bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon mein se ek na ek  Zarur pa logey ya to mushk hi kharid logey ya kam se kam mushk ki khushbu to Zarur pa logey lekin lohar ki bhatti tumharey badan  ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum badbu pa logey.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2101

--------------------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Musa Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The example of a good companion (who sits with you) in comparison with a bad one, is I like that of the musk seller and the blacksmith's bellows (or furnace) from the first you would either buy musk or enjoy its good smell while the bellows would either burn your body or clothes or you get a bad nasty smell thereof."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 314

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Kaddu Se Muhabbat


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Kaddu Se Muhabbat

Ishaq bin  Abdullah bin Abu Talha se rivayat hai ki mainey anas bin malik se suna ki ek tailor ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko khaney par bulaya anas bin malik ne kaha ki main bhi is dawat mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath gaya us tailor ne roti aur shorba jismein Kaddu aur bhuna hua gosht tha Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke samney paish kar diya mainey dekha ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kaddu ke tukdey piyaley mein talassh kar rahey they us din se main bhi barabar kaddu ko pasand karta hun.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2092
------------------------------------------------
Narrated Ishaq bin 'Abdullah bin Abu Talha: I heard Anas bin Malik saying, "A tailor invited Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam to a meal which he had prepared. " Anas bin Malik said, "I accompanied Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam to that meal. He served the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam with bread and soup made with gourd and dried meat. I saw the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam taking the pieces of gourd from the dish." Anas added, "Since that day I have continued to like gourd.
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 305: 

Hadith: Qasam khaney se saman to jaldi bik jata hai lekin wo Qasam barkat ko mita deney wali hoti hai.

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Qasam khaney se saman to jaldi bik jata hai lekin wo Qasam barkat ko mita deney wali hoti hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (dukandar ke) qasam khaney se saman to jaldi bik jata hai lekin wo qasam barkat ko mita deney wali hoti hai. 
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2087
-----------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : I heard Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, The swearing (by the seller) may persuade the buyer to purchase the goods but that will be deprived of Allah's blessing. 
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 300

Hadith: Jab Juma ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Jab Juma ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aaney wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey(ram) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab Imam (khutba dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 929
-------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When it is a Friday, the angels stand at the gate of the mosque and keep on writing the names of the persons coming to the mosque in succession according to their arrivals. The example of the one who enters the mosque in the earliest hour is that of one offering a camel (in sacrifice). The one coming next is like one offering a cow and then a ram and then a chicken and then an egg respectively. When the Imam comes out (for Juma prayer) they (i.e. angels) fold their papers and listen to the Khutba.
Sahih Bukhari, Vol 2, Book 13, No. 51


Mafhum-e-Hadith: Sood (Riba) Khaney waley ka Dardnaak Anjaam


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Sood (Riba)  Khaney waley ka Dardnaak Anjaam

Samura bin Jundab Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat mein mainey do aadmee dekhey wo dono mere paas aaaye aur mujhe Bait-ul-Muqaddas mein le gaye phir hum sab wahan se chaley yahan tak ke hum ek khoon ki Nahar par aaye wahan ek shkash (nahar ke kinarey par)  khada hua tha aur nahar ke beech mein bhi ek shkash khada hua tha .(nahar ke kinarey) khadey honey waley ke samney paththar Parhey huye they, beech nahar wala aadmee aata aur jaisey hi wo chahta ki wo bahar nikal aaye to  bahar wala shkash uskey munh par paththar kheench kar marta aur wo jaha tha wohi phir laut jata, mainey apney saathiyon(farishton) se pucha ki ye kya hai to unhoney uska jawab ye diya ki nahar mein tumney jis shaksh ko dekha wo sood khaney wala insaan hai. 
Sahih Bukhari, Vol 3, 2085
-------------------------------------------------------
Narrated Samura bin Jundab: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "This night I dreamt that two men came and took me to a Holy land whence we proceeded on till we reached a river of blood, where a man was standing, and on its bank was standing another man with stones in his hands. The man in the middle of the river tried to come out, but the other threw a stone in his mouth and forced him to go back to his original place. So, whenever he tried to come out, the other man would throw a stone in his mouth and force him to go back to his former place. I asked, 'Who is this?' I was told, 'The person in the river was a Riba-eater."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 298: 

Mafhum-e-Hadith: kharid wa farokht ( Business) mein barkat


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: kharid wa farokht ( Business) mein barkat 

Hakim bin Hizam Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kharidney aur bechney walon ko us waqt tak ikhtiyaar hai jab tak dono juda na ho jaye phir agar dono ne sachchaaii se kaam liya aur har baat saaf saaf khol di to unkey kharid wa farokht (Business) mein barkat hoti hai lekin agar koi baat chupa kar rakhi ya jhoot kahi to unki barkat khatam kar di jati hai
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2079

----------------------------------------
Narrated Hakim bin Hizam Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The seller and the buyer have the right to keep or return goods as long as they have not parted or till they part; and if both the parties spoke the truth and described the defects and qualities (of the goods), then they would be blessed in their transaction, and if they told lies or hid something, then the blessings of their transaction would be lost."
 Sahih Bukhari,   Vol 3, Book 34, No. 293: 

Hadith: Farishtey aaaye aur pucha ki tune kuch achchey kaam bhi kiye hain ?


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Farishtey aaaye aur pucha ki tune kuch achchey kaam bhi kiye hain ?

Huzaifa bin yaman Radi allahu anhu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya gujishta ummaton ke kisi shaksh ki rooh ke paas farishtey aaaye aur pucha ki tune kuch achchey kaam bhi kiye hain ? Rooh ne jawab diya ki main apney naukron se kaha karta tha ki wo maaldaar (Karzdar) logon ko mohlat diya karey  un par sakhti na karein aur mohtaajon ko ( karz) maaf kar diya karein phir farishton ne bhi us se dar guzar ki aur sakhti nahi ki.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2077
----------------------------------
English Translation:
Narrated Hudhaifa Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Before your time the angels received the soul of a man and asked him, 'Did you do any good deeds (in your life)?' He replied, 'I used to order my employees to grant time to the rich person to pay his debts at his convenience.' So Allah said to the angels; "Excuse him." Rabi said that (the dead man said), 'I used to be easy to the rich and grant time to the poor.' Or, in another narration, 'grant time to the well-off and forgive the needy,' or, 'accept from the well-off and forgive the needy.'
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 291


Hadith: kisi insaan ne us shaksh se behtar rozi nahi khayee jo khud apney haathon se kamakar khata hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: kisi insaan ne us shaksh se behtar rozi nahi khayee jo khud apney haathon se kamakar khata hai

Miqdam Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kisi insaan ne us shaksh se behtar rozi nahi khayee jo khud apney haathon se kamakar khata hai ,Allah ke Nabee Dawud Alaihi salam bhi apney haath kaam karke rozi khaya kartey they.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2072
--------------------------------
Narrated Al-Miqdam Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Nobody has ever eaten a better meal than that which one has earned by working with one's own hands. The Prophet of Allah, David used to eat from the earnings of his manual labor. Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 286: 

Tuesday, April 9, 2013

Hadith: jo shaksh apni Rozi mein kushadgi chahta ho ya umar darazi chahta ho to usey chahiye ki Sila rahmi karey


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: jo shaksh apni Rozi mein kushadgi chahta ho ya umar darazi chahta ho to usey chahiye ki Silarahmi karey

Anas bin Malik Radiallahu anhu  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh apni Rozi mein kushadgi chahta ho ya umar darazi chahta ho to usey chahiye ki Sila rahmi (keep good relations with his relatives)  karey
Sahih Bukhari, Vol 3, 2067

Hadith: Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu: I heard Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Whoever desires an expansion in his sustenance and age, should keep good relations with his Kith and kin."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 34, No. 281:

Hadith: Agar aurat apney Shohar ki kamayee uski ejazat ke bagair bhi ( Allah ke raastey mein) kharch karey to usey Aadha sawab milta hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Agar aurat apney Shohar ki kamayee uski ejazat ke bagair bhi ( Allah ke raastey mein) kharch karey to usey Aadha sawab milta hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  agar aurat apney Shohar ki kamayee uski ejazat ke bagair bhi ( Allah ke raastey mein) kharch karey to usey Aadha sawab milta hai
 Sahih Bukhari, Vol 3, 2066

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If a woman gives something (i.e. in charity) from her husband's earnings without his permission, she will get half his reward."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 280: 

Hadith : Tum log Bismillah Parh kar usey kha liya karo


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith : Tum log Bismillah Parh kar usey kha liya karo

Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki Kuch logon ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam bahut se log hamarey yahan Ghosht latey hain humein ye malum nahi ki Allah ka naam unhoney zabah ke waqt liya tha ya nahi? Is par Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum log Bismillah Parh kar usey kha liya karo.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2057

  
Narrated 'Aisha Radiallahu anhu : Some people said, "O Allah's Apostle! Sallallahu Alaihi Wasallam  Meat is brought to us by some people and we are not sure whether the name of Allah has been mentioned on it or not (at the time of slaughtering the animals)." Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said (to them), "Mention the name of Allah and eat it."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 34, No. 273: 

Mafhum-e-Hadith: Ek Jumaa se guzrey jumaa tak ke Gunaah maaf


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Ek Jumaa se guzrey jumaa tak ke Gunaah maaf


Salman farsi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jisney jumaa ke din ghusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa aur jitni uski kismat mein thi namaz Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh diye  jayengey.
Sahih Bukhari,  Vol 2, 910

Narrated Salman Al-Farsi Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Anyone who takes a bath on friday and cleans himself as much as he can and puts oil (on his hair) or scents himself; and then proceeds for the prayer and does not force his way between two persons , and prays as much as is written for him and remains quiet when the Imam delivers the Khutba, all his sins in between the present and the last friday will be forgiven."
Sahih Bukhari, Book
#13, Hadith #33

Mafhum-e-Hadith: Madiney mein makka se duguni barkat


Bismillah irrahmn irrahim


Mafhum-e-Hadith: Madiney mein makka se duguni barkat

Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne  farmaya Eh Allah jitni makka mein barkat ata farmayee hai madiney mein us sey Duguni barkat ata farma.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 1885


Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "O Allah! Bestow on Medina twice the blessings You bestowed on Mecca.
 Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 109: 

Hadith: Madiney ki misaal bhatti ki si hai mail-kuchail (impurities) ko dur karkey khalis johar ko nikhar deti hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Madiney ki misaal bhatti ki si hai mail-kuchail (impurities) ko dur karkey khalis johar ko nikhar deti hai

Jabir Radiallahu anhu se riyat ghai ki ek aarabi Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hokar islam par bait ki, dusrey din aaya to usey bukhar  tha kahney laga ki meri bait ko tod dijiye 3 baar usney yahi kaha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne inkaar kiya aur farmaya ki madiney ki misaal bhatti ki si hai mail-kuchail (impurities) ko dur karkey khalis johar ko nikhar deti hai.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 1874


Narrated Jabir Radiallahu anhu : A bedouin came to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  and gave a pledge of allegiance for embracing Islam. The next day he came with fever and said "Please cancel my pledge (of embracing Islam and of emigrating to Medina)." Three times he said , The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam refused (that request) and said, "Medina is like a furnace, it expels out the impurities (bad persons) and selects the good ones and makes them perfect
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 107: 

Hadith: Log kaabey ka Hajj aur Umrah Yajuj majuj ke Aaney ke baad bhi kartey rahnegey

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Log kaabey ka Hajj aur Umrah Yajuj majuj ke Aaney ke baad bhi kartey rahnegey

Abu Said Khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Log kabey ka hajj aur umrah Yajuj majuj ke Aaney ke baad bhi kartey rahnegey. Aur Shuba Radiallahu anhu se rivayat hai ki Qayamat tab tak qayam nahi hogi jab tak baitullah (kabey) ke hajj band na ho jaye :
Sahih Bukhari,  Vol 2, 1593

-------------------------------------------
Narrated Abu Said Al-Khudri: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said  The people will continue performing the hajj and  Umra to the Ka'ba even after the appearance of Gog and Magog.(Yajuj and majuj)
 Narrated Shuba Radiallahu anhu : The Hour (Day of Judgment) will not be established till the hajj to the Ka'ba is abandoned.
Sahih Bukhari,  Book 26, No.663

Sunday, April 7, 2013

Mafhum-e-Hadith: Buzurg logon ki taraf se Hajj or Umrah


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith:  Buzurg  logon ki taraf se Hajj or Umrah

AbuRazin Radiallahu anhu se rivayat hai ki Banu amir ke ek shaksh ne Kaha , Ya Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam mere walid bahut umar daraz hain wo apney aap na to hajj kar saktey hain na umrah aur na hi wo jabal (mount) par ja saktey hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya apney Walid ki taraf se Hajj aur umrah karo
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 46   ( Sahih)

Narrated AbuRazin Radiallahu anhu : A man of Banu Amir said: Oh Apostle of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam , my father is very old, he cannot perform hajj and umrah himself nor can be ride on a mount. He Sallallahu Alaihi wasallam said: Perform hajj and umrah on behalf of your father.
Sunan Abu Dawud, Book
#10, Hadith #1806 ( Sahih)

Mafum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Madiney se Muhabbat ki Dua


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Madiney se Muhabbat ki Dua


 Ø§Ù„Ù„َّÙ‡ُÙ…َّ Ø­َبِّبْ Ø¥ِÙ„َÙŠْÙ†َا الْÙ…َدِينَØ©َ، ÙƒَÙ…َا Ø­َبَّبْتَ Ø¥ِÙ„َÙŠْÙ†َا Ù…َÙƒَّØ©َ Ø£َÙˆْ Ø£َØ´َدَّ
 Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Ya Allah hamarey Dilon mein madiney ki Muhabbat is tarah paida kar de jaisey makka ki muhabbat hai bulki is sey bhi ziyada
Sahih Bukhari, Vol 3, 1889

------------------------------------------------------
Narrated Aisha Radi Allahu Anha  Allah's Apostle Peace be upon him  said, "O Allah! Make us love Medina as we love Mecca or even more than that
Sahih Bukhari, Book 
#30, Hadith 113

Hadith: mere ghar aur mere Mimbar ke darmiyan (ka hissa) jannat ke baagon mein se ek baaag hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: mere ghar aur mere Mimbar ke darmiyan (ka hissa) jannat ke baagon mein se ek baaag hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya mere ghar aur mere Mimbar ke darmiyan (ka hissa) jannat ke baagon mein se ek baaag hai aur Mera Minbar Qayamat ke din mere Hauz ( Al Qauther) par hoga
Sahih Bukhari, Vol3, 1888



Narrated Abu Huraira: The Prophet said, "There is a garden from the gardens of Paradise between my house and my pulpit, and my pulpit is on my Lake Fount (Al-Kauthar)."
Sahih Bukhari, Book 
#30, Hadith #112

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki madiney se Muhabbat


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ki madiney se Muhabbat

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  jab kabhi safar se wapas aatey aur madiney ki deewaron ko dekhtey to apni sawari tez farma detey aur agar kisi jaanwar ki pusht par hotey to madiney ki muhabbat mein usey edi (heel) lagatey
( yani apney heel se us jaanwar ko haanktey jis se ki wo jaldi bhagta)
Sahih Bukhari,  Vol 3, 1886


Narrated Anas Radi Allahu Anhu : Whenever the Prophet Peace be upon him returned from a journey and observed the walls of Medina, he would make his Mount go fast, and if he was on an animal (i.e. a horse), he would make it gallop  because of his love for Medina.
Sahih Bukhari, Book 
#30, Hadith 110

Hadith: Madiney ke raaston par farishtey hain



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Madiney ke raaston par farishtey hain

Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Madiney ke raaston par farishtey hain na ismein ta’oon( plague ki beemari) aa sakti hai aur na dajjal
Sahih Bukhari, Vol 3, 1880



Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There are angels guarding the entrances (or roads) of Medina, neither plague nor Ad-Dajjal will be able to enter it."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 104: 


Hadith: Madiney ki zameen 3 baar kaanpegi jiski wajah se har ek kafir aur munafiq ko Allah subhanahu us mein sey bahar kar dega

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith:  Madiney ki zameen 3 baar kaanpegi jiski wajah se har ek kafir aur munafiq ko Allah subhanahu us mein sey bahar kar dega

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya koi aisa shahar nahi hoga jisey Dajjjal pamal (tabah) nahi karega siwaye Makka aur Madina ke uskey raaston par farishtey saf baandh kar khadey hongey jo unki hifazat karengey phir madiney ki zameen 3 baar kanpegi jiski wajah se har ek kafir aur munafiq ko Allah subhanahu us mein sey bahar kar dega

Sahih Bukhari, Vol 3, 1881

Note: is hadith se ye pata chalta hai ki Qayamat se Madiney ne andar bhi kafir aur Munafiq aa jayengey-
Allah Ummat-e-Muslimah ki har tarah ke fitney se hifazat farmaye

---------------------------------------

Narrated Anas bin Malik: The Prophet peace be upon him said, "There will be no town which Ad-Dajjal will not enter except Mecca and Medina, and there will be no entrance (road) (of both Mecca and Medina) but the angels will be standing in rows guarding it against him, and then Medina will shake with its inhabitants thrice (i.e. three earth-quakes will take place) and Allah will expel all the nonbelievers and the hypocrites from it." 
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 105

Mafhum-e-hadith : jisney bhi yahan (madiney mein) bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-hadith : jisney bhi yahan (madiney mein) bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai

Anas Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya madina Harem hai falah jagah se falah jagah tak, is hadd mein na koi darakht kaata jaye na jkoi bida’t ki jaye aur jisney bhi yahan bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 1867

Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Medina is a sanctuary from that place to that. Its trees should not be cut and no heresy should be innovated nor any sin should be committed in it, and whoever innovates in it an heresy or commits sins (bad deeds), then he will incur the curse of Allah, the angels, and all the people."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 91:


Hadith: Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ( Qayamat ke kareeb) Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai
Sahih Bukhari,  Vol 3, 1876


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle said, "Verily, Belief returns and goes back to Medina as a snake returns and goes back to its hole (when in danger)."

Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 100

Mafhum-e-Hadith: Madiney walo ki Ahmiyat


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Madiney walo ki Ahmiyat

Sad Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ahley madina ke saath jo fareb karega wo us tarah ghul jayega jaisey namak pani mein ghul jata hai :
Sahih Bukhari, Vol3, 1877

Narrated Sad Radiallahu anhu : I heard the Prophet saying, None plots against the people of Medina but that he will be dissolved (destroyed) like the salt is dissolved in water.

 Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 101: 

Total Pageviews