Search This Blog

Category

Autoblog

Wednesday, April 17, 2013

Hadith: Jab Juma ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Jab Juma ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aaney wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey(ram) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab Imam (khutba dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 929
-------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When it is a Friday, the angels stand at the gate of the mosque and keep on writing the names of the persons coming to the mosque in succession according to their arrivals. The example of the one who enters the mosque in the earliest hour is that of one offering a camel (in sacrifice). The one coming next is like one offering a cow and then a ram and then a chicken and then an egg respectively. When the Imam comes out (for Juma prayer) they (i.e. angels) fold their papers and listen to the Khutba.
Sahih Bukhari, Vol 2, Book 13, No. 51


Total Pageviews