Bismillah
hir-Rahman nir-Rahim
Hadith:
Neik Dost aur Burey Dost ki MisaalAbu Musa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya neik saathi (dost) aur burey saathi (dost) ki misal mushk bechney waley attar aur lohar jaisee hai, mushk bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon mein se ek na ek Zarur pa logey ya to mushk hi kharid logey ya kam se kam mushk ki khushbu to Zarur pa logey lekin lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum badbu pa logey.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2101
--------------------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Musa Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The example of a good companion (who sits with you) in comparison with a bad one, is I like that of the musk seller and the blacksmith's bellows (or furnace) from the first you would either buy musk or enjoy its good smell while the bellows would either burn your body or clothes or you get a bad nasty smell thereof."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 34, No. 314