Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, December 25, 2012

Al Quran: Shaitan tumhey tangdasti (gareebi) ka khauff dilata hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran: Shaitan  tumhey tangdasti (gareebi)  ka khauff dilata hai 

Shaitan  tumhey tangdasti  ka khauff dilata hai  aur be hayaaii ke kaam karney ko kahta hai  aur Allah subhanahu tumse apni bakhshish aur rahmat  ka Wada karta hai aur Allah bahut kushaeesh karney wala sab kuch jaanney wal hai
Al Quran, Al-Baqara (2) , Verse  268

---------------------------------------

Shaitan (Satan) threatens you with poverty and orders you to commit Fahsha (evil deeds, illegal sexual intercourse, sins); whereas Allah promises you Forgiveness from Himself and Bounty, and Allah is All-Sufficient for His creatures needs, All-Knower. Al Quran, Al-Baqara (2) , Verse  268

Al Quran : Sab Taarif Allah ke liye hain jisney Aasman aur Zameen banaye


Bismillah irrahman nirrahim

Al Quran : Sab Taarif Allah ke liye hain jisney Aasman aur Zameen banaye , aur andhera aur Ujala banaya phir bhi ye kaafir auro ko Apney Rab ke saath barabar thahratey hain
Surah Al Anaam (6), verse 1

--------------------------------

English Translation:
All praises and thanks be to Allah, Who (Alone) created the heavens and the earth, and originated the darkness and the light; yet those who disbelieve hold others as equal with their Lord.
Surah Al Anaam (6), verse 1

Al Quran: Unke burey kaamon ke sabab un par faqa (bhuk) aur khauff aa gaya.


 Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran: Unke burey kaamon ke sabab un par faqa (bhuk) aur khauff aa gaya.

Aur Allah ek aisee basti ki misaal bayan farmata hai jahan har tarah ka aman tha
uski Rozi ba faragat ( bahut ziyada) har jagah se chali aati thi phir (unhoney) Allah ke
Ehsaano ki nashukri ki phir Allah ne unke burey kaamon ke sabab se jo wo kiya kartey they , ye maza chakhaya ki un par faqa aur khauff aa gaya.
AL Quraan,  Surah An Nahl (16),  Verse : 112
----------------------
And Allah puts forward the example of a township  that dwelt secure and and well-content  its provision coming to it in abundance from every place, but it (its people) denied the Favours of Allah (with ungratefulness). So Allah made it taste extreme of hunger (famine) and fear, because of that (evil ) which they (its people) used to do .
AL Quraan,  Surah An Nahl (16),  Verse : 112
-----------------------------------------
Dua:
رَبَّÙ†َا Ù„َا تُؤَاخِØ°ْÙ†َا Ø¥ِÙ† Ù†َّسِينَا Ø£َÙˆْ Ø£َØ®ْØ·َØ£ْÙ†َا
Our Lord! Punish us not if we forget or fall into error
 Eh hamarey RAb Agar hum bhul jaye ya galti karey to hamari pakad na farma.
Al Quran , Surah Baqra (2), Verse 286

Al Quran : Beshaq Allah aur uskey Farishtey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par Durud bhejtey hain,


Bismillah irrahman Nirrahim

Al Quran : Beshaq Allah aur uskey Farishtey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par Durud bhejtey hain, Eh Momeeno tum bhi un par Durud aur salam bheja karo.
Al Quran,  Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

 -------------------------------

English Translation: 

Allah and His angels send blessings on the Prophet ( Sallallahu Alaihi Wasallam):
O you who believe! Send your  blessings on him, and salute him with all respect.
Al Quran,  Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

--------------------------------

●●۩۞۩●●▬▬▬▬ ▬▬▬▬▬♥ஜ۩۞۩ஜ♥▬▬▬▬▬▬▬●●۩۞۩●●
 Ø§Ù„لهم ØµÙ„Ù‰ Ø¹Ù„Ù‰ Ø³ÙŠØ¯Ù†Ø§ Ù…حمد ÙˆØ§Ù„ Ù…حمد ÙˆØ§ØµØ­Ø§Ø¨ Ù…حمد ÙˆØ§Ø²ÙˆØ§Ø¬ Ù…حمد 
 Allahumma Salli Ala Muhammad Wa Ala Aali Muhammad 
●●۩۞۩●●▬▬▬▬▬▬▬▬▬♥ஜ۩۞۩ஜ♥▬▬▬ ▬▬▬▬●●۩۞۩●●

Al Quran : (Allah) us waqt bhi unkey saath hota hai jab Raat ko chup kar uski marzi ke khilaf mashwarey kartey hain


Bismillah-irrahman-Nirrahim

Al Quran : (Allah) us waqt bhi unkey saath hota hai jab Raat ko chup kar uski marzi ke khilaf  mashwarey kartey hain 

Aur un logon ki taraf se mat jhagdo jo apney Dil mein daga rakjhtey hain jo shaksh Dagabaaz gunaahgar ho usey beshaq Allah pasand nahi karta ye log insaano se chuptey hain aur Allah se nahi chuptey,  halanki wo (Allah) us waqt bhi unkey saath hota hai jab Raat ko chup kar uski marzi ke khilaf  mashwarey kartey hain aur unkey sarey aamal par Allah ihata kiye huye hai
AL Quran, Surah An Nisa, verse 107-108

--------------------------------------------------------
And argue not on behalf of those who deceive themselves. Verily, Allah does not like anyone who is a betrayer, sinner.         They may hide (their crimes) from men, but they cannot hide (them) from Allah; for He is with them (by His Knowledge), when they plot by night in words that He does not approve. And Allah ever encompasses what they do.
AL Quran, Surah An Nisa, verse 107-108

Al Quran : (tum) Mujhe yaad karo main tumhey yaad karunga aur mera shukar karo aur nashukri na karo


  
Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

(tum) Mujhe yaad karo main tumhey yaad karunga aur mera shukar karo aur nashukri na karo
Al Quran , Al-Baqara, Chapter #2, Verse #152
----------------------------
Therefore remember me (by praying, glorifying), I will remember you, and be grateful to Me (for My countless Favours on you) and never be ungrateful to Me. 
Al Quran , Al-Baqara, Chapter #2, Verse #152


Al Quran : Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto aur Allah ki us meharbani ko yaad karo jab tum ek dusrey ke dushman they to usney tumharey dilon mein ulfat daal di aur tum uski meharbani se bhai bhai ho gaye aur tum Aag ke ghadhey (brink of a pit) ke kinarey tak pahunch chukey they to Allah subhanahu ne tumko us sey bacha liya aur is tarah Allah apni aaytein khol khol kar sunata hai taki tum hidayat hasil karo
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103

Aur Allah aur uskey Rasool ke hukm par chalo aur aapas mein jhagda na karna ke ( aisa karogey to) tum buzdil ho jaogey aur tumhara Iqbal jata rahega( yani taqat khatam ho jayegai) aur sabr se kaam lo ki Allah sabr karney walo ke saath hai
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46
------------------------------------------------

And hold fast, all of you together, to the rope of Allah (i.e. this Qur an), and be not divided among yourselves , and remember Favour of Allah on you, for you were enemies one to another but He joined your hearts together, so that, by His Grace, you became brethren (in Islamic Faith), and you were on the brink of a pit of Fire, and He saved you from it. Thus Allah makes His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.,) clear to you, that you may be guided. 
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103

And obey Allah and His Messenger, and do not dispute (with one another) lest you lose courage and your strength departs, and be patient. Surely, Allah is with those who are As-Sabirun (the patient).
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46

Al Quran : Jab tumhey salam kiya jaye to tum us sey behtar jawab do ya wohi kah do


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Jab tumhey salam kiya jaye to tum us sey behtar jawab do ya wohi kah do beshaq Allah har cheez  ka hisab lene wala hai
Al Quran: Surah 4, verse 86

English Translation: *
When you are greeted with a greeting, greet in return with what is better than it, or (at least) return it equally. Certainly, Allah is Ever a Careful Account Taker of all things.
Al Quran: Surah 4, verse 86

Al Quran : Unke liye Apney Rab ke yahan sawab hai aur unko na koi Darr hai aur na wo gamgeen hongey.



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Jo log Apney Maal Allah ki Raah mein kharch kartey hain phir kharch karney ke baad na ehsaan rakhtey hain na satatey hain , unke liye Apney Rab ke yahan sawab hai aur unko na koi Darr hai aur na wo gamgeen hongey.
Al Quran, Surah Baqra (2)- 262
------------------------------------------------
English Translation: * 
Those who spend their wealth in the Cause of Allah, and do not follow up their gifts with reminders of their generosity or with injury, their reward is with their Lord. On them shall be no fear, nor shall they grieve.
Al Quran, Surah Baqra (2)- 262


AL Quran : Jo shaksh duniya chahta ho to hum usey jis qadar chahtey hain jitna chahtey hain jaldi de dete hain,



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

AL Quran :  Jo shaksh duniya chahta ho to hum usey jis qadar chahtey hain jitna chahtey hain jaldi de dete hain, phir uskey liye jahannam tayyar kar rakhi hai jismein wo zaleel aur khawar(disgraced and rejected) hokar rahega.
Aur jo shaksh aakhirat chahta ho aur uskey liye munasib koshish bhi karta ho aur wo momeen bhi ho to aisey logon ki koshish maqbool hogi.
Al Quran , Surah Al- Isra (17) ,18-19

-----------------------------------------

English Translation: *
If any do wish for the transitory things (of this life), We readily grant them - such things as We will, to such person as We will: in the end have We provided Hell for them: they will burn therein, disgraced and rejected.
Those who do wish for the (things of) the Hereafter, and strive therefor with all due striving, and have Faith,- they are the ones whose striving is acceptable (to Allah) 
Al Quran , Surah Al- Isra (17) ,18-19
--------------------------------------------------------------
Dua:
Our Lord! Give us in this world that which is good and in the Hereafter that which is good, and save us from the torment of the Fire

Eh hamrey rab humein Duniya mein bhi Bhalaii de aur Aakhirat mein bhi bhalaii de aur humein Dozakh ke azab se bacha.
Al-Qur an, Surah Baqra (2) Aayah 201 

Al Quran : Mera maal mere kuch kaaam na aaya , mujhse meri hukumat bhi jati rahi


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Mera maal mere kuch kaaam na aaya , mujhse meri hukumat bhi jati rahi

Aur Jiska aamal naama uskey Bahiney (left) haath mein diya jayega ,
wo kahega eh kaash mera Aamal naama na milta
aur main na janta ki mera hisaab kya hai , kaash wo (maut) khatma karney wali hoti
mera maal mere kuch kaaam na aaya , mujhse meri hukumat bhi jati rahi
isey pakdo aur isey tauq pahna do , phir usey jahannam mein daal do
Al Quran: Surah: Al Haqqaa (69) verse: (25-31)
 -------------------------------------------------------
But as for him who will be given his Record in his left hand, will say: I wish that I had not been given my Record! 
And that I had never known how my Account is!  Would that it had been my end (death)
My wealth has not availed me My power (and arguments to defend myself) have gone from me
(It will be said): Seize him and fetter him;  Then throw him in the blazing Fire.
Al Quran: Surah: Al Haqqaa (69) verse: (25-31)

Al Quran : Wo dil pasand aish mein hoga, buland jannat mein, jiskey mewey jhukey hongey


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Wo dil pasand aish mein hoga, buland jannat mein, jiskey mewey jhukey hongey

Jisko uska aamal naama uskey Dahiney haath mein diya jayega , wo kahega mera aamal nama pado, Beshaq mujhe pata tha ki main apna hisaab dekhunga, so wo dil pasand aish mein hoga, buland jannat mein, jiskey mewey jhukey hongey, khao aur peeyo un kaamo ke badley mein jo tumney gujishta dino mein aagey bhejey they.
Al Quran: Surah: Al Haqqaa (69) verse: (19-24)
----------------------------------- 
English Translation: *
Then as for him who will be given his Record in his right hand will say: "Here! read my Record!  "Surely, I did believe that I shall meet my Account!"  So he shall be in a life, well-pleasing. In a lofty Paradise, The fruits in bunches whereof will be low and near at hand. Eat and drink at ease for that which you have sent on before you in days past!
Al Quran: Surah: Al Haqqaa (69) verse: (19-24)

Mafhum-e-Quran : Parhaizgaron par marney se pahley Waseeyat karna lazim hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Quran : Parhaizgaron par marney se pahley Waseeyat karna lazim hai

Tum par farz kiya jata hai ki jab tum mein se kisi ke Maut ka waqt  aa jaye to agar wo kuch Maal chorh janey wala ho to Maa Baap aur Rishteydaron ke liye Dastur ke Mutabiq Wasiyat kar jaye  ye lazim hai parhezgaron par. Phir Jo koi usey sunney ke baad badal daaley uska gunaah usi par hoga jo usey badlega, beshaq Allah bada sunney wala aur janney wala hai.
Al Quran, Surah Al-Baqara (2), Verse: 180-181
-----------------------------

English Translation
It is prescribed for you, when death approaches any of you, if he leaves wealth, that he makes a bequest to parents and next of kin, according to reasonable manners. (This is) a duty upon Al-Muttaqun. Then whoever changes the bequest after hearing it, the sin shall be on those who make the change. Truly, Allah is All-Hearer, All-Knower.
Al Quran, Surah Al-Baqara (2), Verse: 180-181

Al Quran : Eh hamarey Rab tuney ye Be-faayda nahi banaya


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Eh hamarey Rab tuney ye Be-faayda nahi banaya

Wo jo Allah ko khadey aur baithey aur karwat par laitey yaad karte rahtey hain aur aasman aur zameen ki paidayeesh mein fikar kartey rahtey (kahtey hain) Eh hamarey Rab tuney ye Be-faayda nahi banaya tu sab aibon se paak hai so humey dojakh ke azab se bacha.
Al Quran - Surah Aal-e-Imran 3,  verse 191


Those who remember Allah (always, and in prayers) standing, sitting, and lying down on their sides, and think deeply about the creation of the heavens and the earth, (saying): "Our Lord! You have not created (all) this without purpose, glory to You! . Give us salvation from the torment of the Fire.
Al Quran - Surah Aal-e-Imran 3,  verse 191

Al Quran : Har jaandar ko maut ka maza chakhna hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Har jaandar ko maut ka maza chakhna hai aur tumhey qayamat ke din purey purey badley milengey, phir jo koi dojakh se dur rakha gaya aur jannat mein dakhil hua so wo pura kaamyab hua, duniya ki zindagi to dhokey ke maal ke siwa kuch bhi nahi hai
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3),  verse 185
---------------------------------------------
Al-Quran: Everyone shall taste death. And only on the Day of Resurrection shall you be paid your wages in full. And whoever is removed away from the Fire and admitted to Paradise, he indeed is successful. The life of this world is only the enjoyment of deception
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3),  verse 185

Mafhum-e-Quran : Allah ki taraf se Aazmayeesh aayegi aur us waqt sabr karna


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Quran : Allah ki taraf se Aazmayeesh aayegi aur us waqt sabr karna 

Aur hum tumhey kuch khauff aur bhook aur maalon aur jaano aur phalon (fruits) ke nuksan se jarur aazmayengey, aur sabr kaerney walon ko khushkhabri de do.
Wo log ki jab unhey koi museebat aati hai to kahtey hain 

"inna lillahi wa inna ilahi rajeoon"

(Hum to ALLAH ke hain aur hum usi ki taraf laut kar janey waley hain) 
ye log hain jin par unkey Rab ki taraf se meharbaniyan hain aur rahmat hai aur yahi log hidayat paney waley hain
Al Quran, Surah baqra 2 , Verse 155-157
-------------------------------------------
English Translation:
Be sure we shall test you with something of fear and hunger, some loss in goods or lives or the fruits (of your toil), but give glad tidings to those who patiently persevere.
Who say, when afflicted with calamity: 
"inna lillahi wa inna ilahi rajeoon"
(To Allah We belong, and to Him is our return )
They are those on whom (Descend) blessings from Allah, and Mercy, and they are the ones that receive guidance.
Al Quran, Surah baqra 2 , Verse 155-157

Al Quran : Jo log sood khatey hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthengey Jinhey shaitan ne lipat kar deewana bana liya ho


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran :  Jo log sood khatey hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthengey Jinhey shaitan  ne lipat kar deewana bana liya ho ye haalat unki is wajah se hogi ki unhoney kaha tha ki kharid wa farokht bhi sood ki tarah hai jabki Allah taala ne kharid aur farokht ko hala qarar diya hai aur sood ko haram phir jisko uskey rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahley le chuka hai wo usi ka hai aur uska muaamla allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hai ye ismein hamesha rahanergey:
Al Quran, Surah Baqra, verse 275

English Translation:
Those who devour usury will not stand except as stand one whom the Evil one by his touch Hath driven to madness. That is because they say: "Trade is like usury," but Allah hath permitted trade and forbidden usury. Those who after receiving direction from their Lord, desist, shall be pardoned for the past; their case is for Allah (to judge); but those who repeat (The offence) are companions of the Fire: They will abide therein (for ever). 
Al Quran, Surah Baqra, verse 275


Al Quran: jab Jumaa ke din namaz ke liye Azan di jaye to Zaikr-e-ilahi ki tarah teji se aa jao

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Eh Imaan walon jab Jumaa ke din namaz ke liye Azan di jaye to Zaikr-e-ilahi ki tarah teji se aa jao aur kharid wa Farokht (karobar) chor do tumharey liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhtey ho. phir jab namaz ada ho jaye to zameen mein muntashir ho jao (yani chalo phiro) aur Allah ka fazal (yani Rizq) talaash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo taki tum falaah pao.
Al Quran, Surah Jumaa (62), Aayah: 9-10
-----------------------------------------------
English Translation:
O you who believe! When the call is proclaimed for the Salat on Friday, come to the remembrance of Allah and leave off business.That is better for you if you did but know! Then when the Salat (prayer) is ended, you may disperse through the land, and seek the Bounty of Allah, and remember Allah much: that you may be successful.
Al Quran, Surah Jumaa (62), Aayah: 9-10

Mafhum-e- Quran : Apney parents ko uff bhi na kaho (say not to parents a word of disrespect)


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Apney Maa baap (parents) ke saath bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey Uff bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo  aur unkey samney shafqat se aajazi ke saath jukey raho  aur kaho ki Eh Mere Rab jaisey unhoney mujhe bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par raham farma
Al Quran Chapter  17 : Verse 23-24
------------------------------------------------------------ 
Be dutiful to your parents. If one of them or both of them attain old age in your life, say not to them a word of disrespect, nor shout at them but address them in terms of honour.  And lower unto them the wing of submission and humility through mercy, and say: "My Lord! Bestow on them Your Mercy as they did bring me up when I was young."
Al Quran Chapter  17 : Verse 23-24


Al Quran : jisney kisi ko zindagi bakshi usney jaisey tamam insaano ko zindagi bakshi.

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Jisney kisi  insaan ko khoon ke badley  ya zameen mein  fasaad failaney ke siwa kisi aur wajah se Qatl kiya to usney Tamam insaano ko Qatl kar diya aur jisney kisi ko zindagi bakshi usney jaisey tamam insaano ko zindagi bakshi.
Al Quran: Surah Al-Maeda (5)  Verse 32
----------------------------------------
if anyone killed a person not in retaliation of murder, or (and) to spread mischief in the land - it would be as if he killed all mankind, and if anyone saved a life, it would be as if he saved the life of all mankind.
Al Quran: Surah Al-Maeda (5)  Verse 32
 

Al Quran : jinhey tum Allah ke siwa pukartey ho wo ek makhkhi bhi nahi bana saktey


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Eh logo ek misal bayan ki jati hai usey kaan laga kar suno jinhey tum Allah ke siwa pukartey ho wo ek makhkhi bhi nahi bana saktey agarchey wo sab iskey liye jamaa ho jaye aur agar unsey makhkhi koi cheej cheen le to usey makhkhi se churha bhi nahi saktey Aabid (ibadat ya pooja karney waley) aur maabud (jiski ibadat ya pooja ki jati hai)  doni hi aajiz ( kamjor) hain
Al Quran , Surah Hajj (22) , Verse #73
------------------------------------------

O mankind! A similitude has been coined, so listen to it (carefully): Verily those on whom you call besides Allah, cannot create (even) a fly, even though they combine together for the purpose. And if the fly snatches away a thing from them, they will have no power to release it from the fly. So weak are (both) the seeker and the sought.
Al Quran  , Surah Hajj (22) , Verse #73

Al Quran : Beshaq jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Beshaq Jo log kaafir hain , Ahla-e-kitaab (mein se)  aur  mushrik wo dojakh ki Aag mein parey rahngey (aur) hamesha usmein rahngey , Ye log sab makhluq se badtar hain

Beshaq  jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain
Al  Quran , Surah bayyina(98), verse 6-7
--------------------------------------------
Verily, those who disbelieve (in the religion of Islam, the Qur an and Prophet Muhammad  Sallallahu Alaihi Wasallam ) from among the people of the Scripture (Jews and Christians) and Al-Mushrikun will abide in the Fire of Hell. They are the worst of creatures
Verily, those who believe  and do righteous good deeds, they are the best of creatures.
Al  Quran , Surah bayyina(98), verse 6-7

Al Quran : Allah ki Rahmat se na ummed na ho


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Eh mere bando jinho ne Apni jaano par ziyadati ki hai , Allah ki Rahmat se na ummed na ho, beshaq Allah sab gunaahon ko baksh deta hai, wo bakshney wala aur meharbaan hai
Al Quran , Az-Zumar (39) , 53

Say: "O  Ibadi (My slaves) who have transgressed against themselves (by committing evil deeds and sins)! Despair not of the Mercy of Allah: verily, Allah forgives all sins. Truly He is Oft-Forgiving, Most Merciful.
Al Quran , Az-Zumar (39) , 53


Al Quran : Eh Imaan walo musalmano ko chor kar kaafiron ko Apna Dost na banao,


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Eh Imaan walo musalmano ko chor kar kaafiron ko Apna Dost na banao, kya tum ye chahtey ho ki Apney upar Allah ka sareeh ilzaam lo.
Al Quran, An-Nisa, Chapter #4, Verse #144

Eh Imaan walo Yahud aur nasaara (christian) ko apna dost na banao wo aapas mein ek dusrey ke dost hain aur jo koi tummein se unkey saath dosti karega to wo unmein se hai , beshaq Allah Zalimo ko hidayat nahi karta
Al Quran, Al-Maeda, Chapter #5, Verse #51

------------------------------------
O you who believe! take not for Auliya  (protectors or helpers or friends) disbelievers instead of believers. Do you wish to offer Allah a manifest proof against yourselves?
Al Quran, An-Nisa, Chapter #4, Verse #144

O you who believe! take not the Jews and the Christians as Auliya  (friends, 
protectors, helpers), they are but Auliya  of each other. And if any amongst you takes them (as Auliya ), then surely he is one of them. Verily, Allah guides not those people who are the Zalimun.
Al Quran, Al-Maeda, Chapter #5, Verse #51


Mafhum-e-Quran : Allah kaafiron ko dheel deta hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Aur kaafir log ye khayaal mein na rahey ki hum jo unko mohlat (dheel) diye jatey hain ue unkey haq mein achcha hai, ( nahi bulki) hum unko is liye mohlat dete hain ki wo aur gunaah kar le , aakhir mein unko zaleel karney wala Azab hoga
Al Quran , Sura, Aale-Imran (3) , 178

----------------------------------
Engllish Translation:
And let not the disbelievers think that Our postponing of their punishment is good for them. We postpone the punishment only so that they may increase in sinfulness. And for them is a disgracing torment.
Al Quran , Sura, Aale-Imran (3) , 178

Al Quran: Aur Rishteydaron aur Mohtajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo…


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran: Aur Rishteydaron aur Mohtajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo…
Aur Rishteydaron aur Mohtajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo aur Fizul kharchi se Maal na udao. ki Fizul kharchi karney waley to Shaitan ke bhaii hain aur shaitan apney parwardigaar (ki naimaton) ka kufran karney wala (nashukra) hai
Al Quran, Surah isra (17) , verse 26-27
----------------------------------------------
English Translation:
And give to the kinsman his due and to the Miskin (poor) and to the wayfarer. But spend not wastefully (your wealth) in the manner of a spendthrift. Verily, the spendthrifts are brothers of the Shayatin (devils), and the Shaitan (Devil-Satan) is ever ungrateful to his Lord.
Al Quran, Surah isra (17) , verse 26-27 

Al Quran - Aur khuda ke bandey to wo hain jo zameen par ahistagi se chalet hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Aur khuda ke bandey to wo hain jo zameen par ahistagi se chalet hain aur jab jahil log unsey guftagu kartey hain to salam kahtey hain
Aur wo jo apney parwardigar ke aagey sazda karkey aur khadey rahkar raatein basar karte hain

Aur jo dua maangtey rahtey hain ki Eh parwardigar dojakh ke azab ko humsey door rakhna ki iska azab badi takleef ki cheej hai Aur dojakh thaharney aur rahney ki bahut buri jagah hai

Aur wo jo kharch kartey hain to na hi fizul udatey hain na tangi ko kaam mein laatey hain balki aitdaal ke saath na jarurat se jiyada na kam

Aur jo khuda ke sath kisi aur ma abud ko nahi pukartey aur jin jandar ko maarna khuda ne haram kiya hai usko Qatl nahi kartey magar jayez tarikey se.(yani shariyat ke mutabiq) aur zina (Badkari) nahi kartey aur jo ye kaam karega sakht gunaah mein mubtala hoga

Qayamat ke din usko duguna azab hoga aur zillat wa khwari se hamesha usmein rahega.
Al Quraan, Surah Al Furqaan (25) , Verse 63-69
-----------------------------------------------------------
 And the (faithful) slaves of the Most Gracious (Allah) are those who walk on the earth in humility and sedateness, and when the foolish address them (with bad words) they reply back with mild words of gentleness.


And those who spend the night in worship of their Lord, prostrate and standing.


 And those who say: "Our Lord! Avert from us the torment of Hell. Verily its torment is ever an inseparable, permanent punishment.
Evil indeed it (Hell) is as an abode and as a place to rest in.


And those who, when they spend, are neither extravagant nor niggardly, but hold a medium (way) between those (extremes).
And those who invoke not any other ilah (god) along with Allah, nor kill such person as Allah has forbidden, except for just cause, nor commit illegal sexual intercourse - and whoever does this shall receive the punishment.
The torment will be doubled to him on the Day of Resurrection, and he will abide therein in disgrace
Al Quraan, Surah Al Furqaan (25) , Verse 63-69

Al Quran : Aur wohi to hai jo baarish se pahley khushkhabri dene wali hawayein chalata hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran :  Aur wohi to hai jo baarish se pahley  khushkhabri dene wali hawayein chalata hai yahan tak ki jab hawayein bhari badlon ko utha leti  hain to hum us badal ko murda shahar ki taraf hank dete hain phir hum us badal se pani utaartey hain phir us sey sab tarah ke (phal) fruits nikaltey hain isi tarah hum murdon ko nikalangey taki tum naseehat haasil karo
Al Quran, Surah Al Araf (7) , 57

Humne  badal  uthaney wali hawayein bheji phir humney aasman se paani nazil kiya phir wo tumhey pilaya aur tumharey paas iska (pani ka)  khazana nahi hai  Al Quran , Surah Al Hijr (15),  22
 ----------------------------------------------
And it is He Who sends the winds as heralds of glad tidings, going before His Mercy (rain). Till when they have carried a heavy-laden cloud, We drive it to a land that is dead, then We cause water (rain) to descend thereon. Then We produce every kind of fruit therewith. Similarly, We shall raise up the dead, so that you may remember or take heed.
Al Quran, Surah Al Araf (7) , 57

And We send the winds fertilizing (to fill heavily the clouds with water), then cause the water (rain) to descend from the sky, and We give it to you to drink, and it is not you who are the owners of its stores [i.e. to give water to whom you like or to withhold it from whom you like].
AL QURAN , Surah Al Hijr (15),  22

Total Pageviews