Bismillah
hir-Rahman nir-Rahim
Aur khuda ke bandey to wo hain jo zameen par ahistagi se chalet hain aur jab jahil log unsey guftagu kartey hain to salam kahtey hain
Aur wo jo
apney parwardigar ke aagey sazda karkey aur khadey rahkar raatein basar karte
hain
Aur jo dua
maangtey rahtey hain ki Eh parwardigar dojakh ke azab ko humsey door rakhna ki
iska azab badi takleef ki cheej hai Aur dojakh thaharney aur rahney ki bahut buri jagah hai
Aur wo jo kharch kartey hain to na hi fizul udatey hain na tangi ko kaam mein laatey hain balki aitdaal ke saath na jarurat se jiyada na kam
Aur jo khuda ke sath kisi aur ma abud ko nahi pukartey aur jin jandar ko maarna khuda ne haram kiya hai usko Qatl nahi kartey magar jayez tarikey se.(yani shariyat ke mutabiq) aur zina (Badkari) nahi kartey aur jo ye kaam karega sakht gunaah mein mubtala hoga
Qayamat ke din usko duguna azab hoga aur zillat wa khwari se hamesha usmein rahega.
Al Quraan, Surah Al Furqaan (25) , Verse 63-69
And the (faithful) slaves of the Most Gracious (Allah) are those who walk on the earth in humility and sedateness, and when the foolish address them (with bad words) they reply back with mild words of gentleness.
And those who spend the night in worship of their Lord, prostrate and standing.
And those who say: "Our Lord! Avert from us the torment of Hell. Verily its torment is ever an inseparable, permanent punishment.
Evil indeed it (Hell) is as an abode and as a place to rest in.
And those who, when they spend, are neither extravagant nor niggardly, but hold a medium (way) between those (extremes).
And those who invoke not any other ilah (god) along with Allah, nor kill such person as Allah has forbidden, except for just cause, nor commit illegal sexual intercourse - and whoever does this shall receive the punishment.
The torment will be doubled to him on the Day of Resurrection, and he will abide therein in disgrace
Al Quraan, Surah Al Furqaan (25) , Verse 63-69