Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, December 16, 2013

Hadith: Jannat mein 100 darjey hain jo ALLAH ke raastey mein jihad karney walon ke liye hain

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Jannat mein 100 darjey hain…..

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ALLAH aur uskey Rasool par imaan laye aur namaz qayam karey aur ramadhan ke rozey rakhey to ALLAH taala par haq hai ki wo usey jannat mein dakhila karega chahe ALLAH ke raastey mein jihad karey ya usi jagah Parha rahey jahan wo paida hua tha, Sahaba ne arz kiya YA Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya hum logon ko iski basharat (khushkhabri) de de ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jannat mein 100 darjey hain jo ALLAH taala ne apney raastey mein jihad karney walon ke liye tayyar kiye hain unkey do darjon mein itna fasla hai jitna aasman aur zameen mein hai isliye jab ALLAH taaala se mangna ho to firdaus mango kyunki wo jannat ka sabse achcha aur buland darja hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,2790
 ------------------------------------------- 

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever believes in ALLAH and His Apostle, offer prayer perfectly and fasts the month of Ramadan, will rightfully be granted Paradise by ALLAH, no matter whether he fights in ALLAH's Cause or remains in the land where he is born." The people said, "O ALLAH's Apostle! Sallallahu Alaihi Wasallam Shall we acquaint the people with the is good news?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Paradise has one-hundred grades which ALLAH has reserved for the Mujahidin who fight in His Cause, and the distance between each of two grades is like the distance between the Heaven and the Earth. So, when you ask ALLAH (for something), ask for Al-firdaus which is the best and highest part of Paradise."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 48

Total Pageviews