Search This Blog

Category

Autoblog

Thursday, October 9, 2014

Mafhum –e-hadith: Witr Namaz ke Qunut mein padhne ki dua

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Witr Namaz ke Qunut mein padhne ki dua 

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ
وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ
وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ
وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ

وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ
إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ

وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ
وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ
تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ
Hasan bin Ali Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne humko kuch kalimat sikhaye jinhe hum Witr ke qunut mein padhte hain

Allahumma ahdini fiman hadait, 
wa Aafini fiman Aafait, 
wa tawallani fiman tawallait, 
wa barikli fima Aatait, 
wa qina sharra ma qadait,
innaka taqdi wa la yuqda alaik. 
wa Innahu la yadhillu man walait wa la ya'izzu man aadait , 
Tabarakta Rabbana wa taalait
Hasan bin Ali Radi Allahu Anhuma ne farmaya ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne humko kuch kalimat sikhaye jinhe hum Witr ke qunut mein padhte hain 

(Dua tarjuma) 


Eh ALLAH mujhe un logo ke saath hidayat de jinhe tune hidayat bakhshi 
Aur meri un logo ke saath nigehbani farma jinko tune nigehbani ata ki 
Aur mujhe un logo ke saath apni dosti ata farma jinko tune apni dosti ata ki
Aur jo kuch tune ata kiya hai usmein barkat ata farma 
Aur us burayee se mujhe mehfooz rakh jiska tune faisla kiya hai
kyunki tu hi faisla karne wala hai aur tere faisle ke upar koi faisla nahi kar sakta 
Aur wo kabhi zaleel nahi ho sakta jiske saath tu dosti kar le
Aur wo kabhi beezzat nahi ho sakta jiski tu himayat kar le
Eh hamare RAB , tu bada barkat wala hai aur azeem hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1412-Sahih 
( Also in : Sunan Nasaii Vol. 1, 1748-Sahih
Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1178-Sahih)
----------------------------------------------------------------
English Translation:

Narrated Al-Hasan ibn Ali Radi Allahu Anhuma The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam taught me some words that I say during the witr. (in the supplication of the witr.) They were:
O Allah, guide me among those whom You have guided,
Grant me security among those you have granted security,
Turn to me in friendship among those on whom You have turned in friendship,
And bless me in what You have bestowed,
And save me from the evil of what You have decreed.
For verily You decree and none can decree over You
And he can never be humiliated whom you have befriended.
And he can never be disgraced whom you have supported
Blessed are You, O Lord, and Exalted.
Sunan Abu Dawud, Book 8, 1420-Sahih
( Also in : Sunan Nasaii Vol. 2, Book 20, 1746-Sahih
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 5, 1178-Sahih)

Hadith: Masjid Quba mein ek namaz (ada karna) umrah ke barabar hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Masjid Quba mein ek namaz (ada karna) umrah ke barabar hai

Usaid bin Zuhair Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Masjid Quba mein ek namaz (ada karna) umrah ke barabar hai
Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1411-Hasan

Sahl bin Hunaif radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo apne ghar mein paak hokar Masjid Quba mein aakar namaz ada kare usko umrah karne ke barabar ajar milega
Sunan ibn Majah, Vol. 1, 1412-Hasan

Abu Umamah bin Sahl bin Hunaif Radi Allahu Anhuma kahte hain ki mere walid ne kaha ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh apne ghar se bahar nikal kar masjid Quba mein aaye aur wahan namaz ada kare to usko ek umrah ka sawab milega
Sunan Nasaii, Vol. 1, 702-Hasan
--------------------------------------------------
English Translation:
Usaid bin Zuhair Ansari said that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said One prayer in the Quba Masjid is like Umrah.
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 5, 1411-Hasan

Sahl bin Hunaif radi allahu anhu said The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Whoever purifies himself in his house, then comes to the Quba Masjid and offers one prayer therein, will have a reward like that for Umrah.
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 5, 1412-Hasan

Abu Umamah bin Sahl bin Hunaif said My father said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 'Whoever goes out to his Masjid - the Masjid of Quba' and prays therein, that will be equivalent to Umrah.
Sunan Nasaii, Vol. 1, Book 8, 700-Hasan

Mafhum e hadith: paanch Namazon ke badley pachas ka sawab milega

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum e hadith:  paanch Namazon ke badley pachas ka sawab milega 


Anas Bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ALLAH  subahanahu ne meri ummaat par 50 namazein farz ki , jab mein (mairaj se) wapas aaya aur  hazrat Musa alaihi salam ke pass se guzra to unhone farmaya ALLAH  subhanahu ne aapki ummat par kya farz kiya hai to maine arz kiya ki 50 namazein farz ki hai to Musa alaihi salam ne kaha ki ALLAH subhanahu ke paas wapas jaaaeye  kyunki tumhari ummat in namazo ko ada nahi kar payegi ,
isliye main phir ALLAH subahanhu ke huzur hazir ho gaya to ALLAH subhanahu ne un namazo ki tadad kam kar di , main phir Musa alaihi slam ki khidmat mein hazir hua to unhone phir farmaya  ki aap  phir se ALLAH  subhanahu ke pass jaaaeye  kyunki tumhari ummat isko bhi ada nahi kar payegi main phir Allah subhanahu ke pass hazir hua to unhoney ( ALLAH subhanahu ne) farmaya ki “ 5 namazien hain magar wo 50 ke barabar hogi mere faisley mein kisi tarah ki tabdeeli nahi hoti”
main phir Musa alaihi salam ki khidmat mein hazir hua to unhoney kaha ki aap phir se ALLAH subhanahu ki khidmat mein hazir ho jaeeye
mainey arz kiya ki ab mujhko ALLAH subhanhau ke paas jaane mein haya mehsus ho rahi hai

Sunan Nasaii Vol 1, 452-Sahih

Anas Bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam par shab-e-mairaj mein pachas (50) namazein farz ki gayee phir kami ki gayee yahan tak ki paanch (5) rah gayee phir aawaz di gayee ki Eh Muhammad ( Sallallahu-Alaihi-Wasallam) hamarey qaul mein tabdili nahi aati , in paanch Namazon ke badley pachas ka sawab milega
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 203-Sahih 


-----------------------------------------------------

Anas bin Malik and Ibn Hazm said The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said: 'Allah, the Mighty and Sublime, enjoined fifty prayers upon my Ummah, and I came back with that until I passed by Musa alaihi salam who said:
'What has your Lord enjoined upon your Ummah?'
I said: 'He has enjoined fifty prayers on them.' Musa alaihi salam  said to me: 'Go back to your Lord, the Mighty and Sublime, for your Ummah will not be able to do that.'
So I went back to my Lord, the Mighty and Sublime, and He reduced a portion of it.

Then I came back to Musa and told him, and he said: 'Go back to you Lord, for your Ummah will not be able to do that.' So I went back to my Lord, the Mighty and Sublime, and

He (Allah) said: 'They are five (prayers) but they are fifty (in reward), and the Word that comes from Me cannot be changed.' I came back to Musa alaihi salam  and he said: 'Go back to your Lord.' I said: 'I feel too shy before my Lord, the Mighty and Sublime.
Sunan Nasaii, Vol.1, Book 5, Hadith 450-Sahih




Anas bin Malik Narrated On the Night of isra, fifty prayers were made obligatory upon the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam . Then it was decreased until it was made five. Then it was called out: 'O Muhammad! Indeed My Word does not change; these five prayers will be recorded for you as fifty.'"
Jamia Tiirmidhi , Book 2, Hadith 65-(Sahih)

Hadith: Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai

Abu Jafar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Suwaid bin Muqarrin Radi Allahu Anhu ke paas baitha tha aur unhoney kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai ki jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai
Sunan Nasaii, Vol 3, 398-Sahih
--------------------------------------------
It was narrated that Abu Jafar Radi Allahu Anhu said: I was sitting with Suwaid bin Muqarrin, and he said: The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Whoever is killed defending himself against injustice, he is a martyr.
Sunan Nasaii , Vol. 5, Book 37, Hadith 4101-Sahih

Hadith: Ek umrah dusre umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  HAJJ mabrur ka jannat ke siwa koi sila nahi hai 

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAJJ mabrur ka jannat ke siwa koi sila nahi hai aur ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai
Sunan Nasaii, Vol 2, 533 – Sahih
 ----------------------------------------
It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: "The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said
Hajj al-Mabrur brings no reward other than Paradise, and from one 'Umrah to another is expiation for what came in between.

Sunan Nasaii , Book 24, #2623-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Bachche ka Hajj aur us par sawab

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Bachche ka Hajj aur us par sawab

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne ek bachche ko Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke samne pesh kiya aur arz kiya ki kya isko zimmey bhi hajj karna lazim hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN aur tumko iska sawab milega
Sunan Nasaii, Vol 2, 558 – Sahih
 -------------------------------------------------

It was narrated that Ibn Abbas Radi Allahu Anhu said A woman lifted a child up to the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam and said: 'Is there Hajj for this one?'

He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Yes, and you will be rewarded.
Sunan Nasaii, Vol. 3, Book 24, Hadith 2648-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Marhum ( dead) rishtedaro ki taraf se Hajj

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Marhum  ( dead)  rishtedaro  ki taraf se Hajj 

Ibn Abbbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  se apni walid ke bare mein pucha jiska inteqal bagair hajj kiye ho gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum unki taraf se hajj karo
Sunan Nasaii, Vol 2, #545 -Sahih

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya ki mere walid ki wafat ho gayi aur wo hajj nahi kar sake , kya main unki janib se hajj kar sakta hu, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tumhare walid sahib par karz hota to kya tum unki taraf se wo karz ada kartey ? usney kaha ji haan to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir Allah subhanahu ka karz ada karne ka haq zyada hai
Sunan Nasaii, Vol 2, 550 -Sahih




It was narrated from Ibn Abbas Radi Allahu Anhu that: a woman asked the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam about her father  who had died and he did not perform Hajj.
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: "Perform Hajj on behalf of your father."
Sunan Nasaii, Book 24, Hadith 2635-Sahih

It was narrated that Ibn Abbas Radi Allahu Anhu said A man said:  O Messenger of Allah ! My father has died and he did not perform Hajj; shall I perform Hajj on his behalf?' He said: 'Don't you think that if your father owed a debt you would pay it off?' The man said: 'Yes.' He said: 'The debt owed to Allah is more deserving (of being paid off)."'
Sunan Nasaii,
Book 24, Hadith 2640-Sahih


Hadith: Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain Ghazi , Hajj karne wala aur umrah karne wala


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain Ghazi , Hajj karne wala aur umrah karne wala

 Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain
Ghazi ( Allah ki raah mein ladney wala),  Hajj karne wala aur umrah karne wala
Sunan Nasaii, Vol 2, 536 – Sahih



It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam: The guests of Allah are three:  The ghazi, the Haaj
(The one who go to perform Hajj)  and the Mutamir ( The one who go to perform Umrah )

Sunan Nasaii , Vol. 3, Book 24, #2620-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Agar main HAAN kah deta to (Hajj har saal) wajib ho jata aur jab wajib ho jata to tum kar nahi sakte

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Agar main HAAN kah deta to (Hajj har saal) wajib ho jata aur jab wajib ho jata to tum kar nahi sakte

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne logo se khitab farmaya ki Allah subhanahu ne tum par Hajj farz kiya hai
Ek shakhs ne arz kiya ki kya har saal ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam khamosh rahe
Yahan tak ki 3 baar usney yahi sawal kiya , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ki agar main HAAN kah deta to wajib ho jata aur jab wajib ho jata to tum kar nahi sakte.
Tumse pahle ki ummatein zyada sawalat karney aur apney nabiyon ke baary mein ikhtilafat karne ki wajah se halaq kar di gayee, is wajah se agar main tumko kisi kaam ka hukm du to tum log apni kudrat ke mutabiq us par amal kiya karo aur kisi kaam se mana kar du to tum log us sey bachey raho

Sunan Nasaii, Vol 2, 530 – Sahih

---------------------------------------
It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: "The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam addressed the people and said: Allah, the Mighty and Sublime, has enjoined upon you Hajj.' A man said: 'Every year?' He Sal-Allahu Alaihi Wasallam remained silent until he had repeated it three times. Then he Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: If I said yes, it would be obligatory, and if it were obligatory you would not be able to do it.
           Those who came before you were destroyed because they asked too many questions and differed with their prophets. If I command you to do something then follow it as much as you can, and if I forbid you to do something then avoid it

Sunan Nasaii ,  Book 24, #2620-Sahih

Hadith: Jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey


Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shaksh apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki wo wudhu karey
Sunan Nasaii, Vol 1, 447 ( Sahih)

Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shkash apni sharmgaah ko chu le wo shaksh tab tak namaz na padhe jab tak wudhu na kar le
Sunan Nasaii, Vol 1, 448 ( Sahih)

Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ghusal karney ke baad wudhu nahi farmatey they (kyunki ghusal karna kafi ho jata hai.)
Sunan Nasaii, Vol 1, 432 ( Hasan)

Note: Ghusal karney ke baad wudhu karna lazim nahi magar badan ko saaf karte waqt agar haath sharmgaah ko chu jaye to phir usey wudhu karna padhega


English Translation:
It was narrated from Busrah bint Safwan Radi-Allahu-Anha that the Prophet Peace be upon him  said: If any one of you touches his private part with his hand, let him perform Wudu
Sunan Nasaii, Vol 1, 446 ( Sahih)

It was narrated by Aisha Radi-Allahu-Anha that the Messenger of Allah Peace be upon him would not perform Wudhu ( Ablution) after Ghusl (Bath)
Sunan Nasaii, Vol 1, 430 ( Hasan)

Note: After having bath there is no need to perform Wudhu but while somebody is wiping is body after bath and if he touch his private parts then he have to perform wudhu.

Wednesday, October 1, 2014

Mafhum-e-Hadith: Jhooti baat kahna ya jhooti gawahi dena bhi kabira gunah hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Jhooti baat kahna ya jhooti gawahi dena bhi kabira gunah hai 
-------------------------------------------
Abu Bakr  Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya main tumhe sabse bada gunaah na batauu, humne arz kiya zarur bataeeye , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya
ALLAH ke saath shirk aur waldein ki nafarmani karna,
aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi,
aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade gunaah hain)
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne socha Aap Sallallahu Alaihi wasallam khamosh nahi honge .

Sahih Bukhari, Vol 7, 5976
-------------------------------------------
Narrated Abu Bakr  Radi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Shall I not inform you of the biggest of the great sins?" We said, "Yes, O ALLAH's ApostleSallallahu Alaihi wasallam " He said, "To join partners in worship with ALLAH: to be undutiful to one's parents." The Prophet sat up after he had been reclining and added, "And I warn you against giving forged statement and a false witness; I warn you against giving a forged statement and a false witness." The Prophet kept on saying that warning till we thought that he would not stop. 
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 7: 

Hadith: yakeenan kabeera gunaahon mein ye bhi hai ki koi shaksh apne waldein (parents) par laanat bheje

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: yakeenan kabeera  gunaahon mein  ye bhi hai ki koi shaksh apne waldein (parents) par laanat bheje

Abdullah bin umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya yakeenan kabeera  gunaahon mein  ye bhi hai ki koi shaksh apne waldein (parents) par laanat bheje , pucha gaya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  koi shaksh apne hi waldein par kaise laanat bhejega , Aap Sallallahu Alaihi wasallam farmaya koi shaksh dusro ke walid ko bura kahega to dusra bhi uske walid aur maa ko bura kahega.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5973

-------------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radi Allahu Anhuma:  ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said. "It is one of the greatest sins that a man should curse his parents." It was asked (by the people), "O ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam ! How does a man curse his parents?" The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "'The man abuses the father of another man and the latter abuses the father of the former and abuses his mother."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 4: 

Mafhum-e-Hadith: Maa achche suluq ki sabse zyada haqdar hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Maa achche suluq ki sabse zyada haqdar hai

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek sahabi Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur arz kiya ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  mere achche suluq ka sabse ziyada haqdar kaun hai ? farmaya  ki tumhari Maa,
 puch ki iskey baad kaun hai ? farmaya tumhari Maa, 
unhoney phir pucha iskey baad kaun hai ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne phir farmaya tumhari Maa,
unhoney pucha ki iskey baad kaun hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmay tumharey walid ( father).
Sahih Bukhari, Vol 7, 5971


---------------------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : A man came to ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam  and said, "O ALLAH's Apostle! Who is more entitled to be treated with the best companionship by me?" The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Your mother."
The man said. "Who is next?" The Prophet said, "Your mother."
The man further said, "Who is next?" The Prophet said, "Your mother."
The man asked for the fourth time, "Who is next?" The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  said, "Your father. "
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 2: 

Hadith: Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam Dhil-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte they

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam Dhil-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte they

----------------------------------------------

Hunaydah ibn Khalid apni biwi se rivayat karte hain ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki jawza (biwi) ne farmaya ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam Dhil-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte they
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 665-Sahih
Sunan Nasaii, Vol2, 388 -Sahih
----------------------------------------------
Ibn Abbas Radi allahu anhuma se rivayt ahi ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya in dino (Dhil Hijja ke shuru ke 10 din) ke amal se ziyada kisi bhi dino ke amal ki fazilat nahi
Sahih Bukhari, Vol 2, 969
----------------------------------------------
English Translation:

Narrated One of the wives of the Prophet sallallahu alaihi wasallam :
Hunaydah ibn Khalid narrated from his wife on the authority of one of the wives of the Prophet sallallahu alaihi wasallam who said: The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam used to fast the first nine days of Dhul-Hijjah
Sunan Abu Dawud, Book 13, 2431-Sahih
Also in : Sunan Nasaii, Book 22, 2419-Sahih

----------------------------------------------
Narrated Ibn Abbas Radi allahu anhuma : The Prophet sallallahu alaihi wasallam said, No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja).
Sahih Bukhari, Book 15, 86

Hadith: in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo
---------------------------------------------

Ibn Abbas Radi allahu anhuma se rivayt ahi ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya in dino(Dhul Hijja ke shuru ke 10 din) ke amal se ziyada kisi bhi dino ke amal ki fazilat nahi. logon ne pucha aur jihad mein bhi nahi ? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya haan jihad mein bhi nahi siwa us shaksh ke jo apni jaan aur maal khatrey mein daal kar nikla aur wapas aaya to saath kuch bhi na laya. 
Sahih Bukhari, Vol 2, 969
---------------------------------------------
Hazrat Abdullah ibn umar Radi allahu anhuma se rivayat hai Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ke nazdeek koi amal itna mehboob aur ba-azmat nahi jitna wo amal hai jo in das dino ( yani Dhil Hija ke pahle 10 din ) mein kiya jaye , isliye tum in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo
Masnad Ahmad, Vol 7 Hadith: 224
---------------------------------------------
English Translation:
Narrated Ibn Abbas Radi allahu anhuma : The Prophet sallallahu alaihi wasallam said, No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja). Then some companions of the Prophet sallallahu alaihi wasallam said, Not even Jihad? He replied, Not even Jihad, except that of a man who does it by putting himself and his property in danger (for Allah's sake) and does not return with any of those things. 
Sahih Bukhari, Book 15, Hadith 86
---------------------------------------------
Abdullaah ibn Umar (may Allaah be pleased with him) that the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “There are no days that are greater before Allah or in which good deeds are more beloved to Him, than these ten days, so recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) during them.” 
Masnad Ahmad, Vol 7 Hadith: 224

Hadith: Qayamat ke din Labbaik kahta hua utheyga (SubhanAllah)

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Qayamat ke din Labbaik kahta hua utheyga (SubhanAllah)
-----------------------------------------

Ibn Abbas radi allahu anhuma se rivayat hai ki ek shaksh maidan Arafat mein tha ki apni sawari se gir parha aur mar gaya (ya sawari ne unhey kuchal diya ) Nabee sallallahu alaihi wasallam ne farmaya pani aur beri ke patton se usey ghusal do aur Do kapdo mein unhey kafan do aur farmaya ki inhey khushbu na lagao aur na inka sir chupao kyunki ye Qayamat ke din Labbaik kahta hua utheyga.
Sahih Bukhari, Vol 2, 1265
-----------------------------------------
Narrated Ibn `Abbas Radi allahu anhu While a man was riding (his Mount) in Arafat, he fell down from it (his Mount) and and died). The Prophet sallallahu alaihi wasallam said, "Wash him with water and Sidr and shroud him in two pieces of cloth, and neither perfume him, nor cover his head, for he will be resurrected on the Day of Resurrection saying, 'Labbaik,' (i.e. like a pilgrim).
Sahih Bukhari, Book 23, # 355

Mafhum-e-Hadith: Hajj Karne wala aisa ho jata hai jaise uski Maa ne usko abhi paida kiya ho

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Hajj Karne wala aisa ho jata hai jaise uski Maa ne usko abhi paida kiya ho

----------------------------------------
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne Allah subhanahu ke liye is tarah Hajj kiya ki na koi fahash (buri) baat ki aur na koi gunaah to wo is tarah wapas aayega jaise uski Maa ne usko abhi paida kiya ho ( yani gunaaho se bilkul paak)
Sahih Bukhari, Vol 2, 1521 
----------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Whoever performs Hajj for Allah's pleasure and does not do evil or sins then he will return (after Hajj free from all sins) as if he were born a new.
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 596:

Al Quran : To Apne RAB ki hamd ke saath tasbeeh kijiye aur us se maafi maagiye be shak wo bada tauba Qubul karne wala hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : To Apne RAB ki hamd ke saath tasbeeh kijiye aur us se maafi maagiye be shak wo bada tauba Qubul karne wala hai
Al Quran , Surah An-Nasr (110), # 3
---------------------------------------------
Al Quran : ALLAH subhanahu tauba karne walon se Muhabbat karta hai 
Al Quran, Surah Al-Baqara (2), # 222
---------------------------------------------
Hadith: Abu HurairaRadi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya tum mein se jab koi tauba karta hai to Allah Subhanahu us sey itna ziyada khush hota hai jitna koi tum mein se apna ghuma hua janwar (camel) paane se khush hota hai. 
Sahih Muslim ,Vol6, 6953
---------------------------------------------
Hadith: Ibn Umar Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Eh logo Allah subahanhu se tauba karo, main din mein 100 martaba Allah subhanahu se tauba karta hu
Sahih Muslim, Vol 6,6859
-----------------------------------------------------------------
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ
Astaghfirullah Al-ladhi la ilaha illa Huw al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 
---------------------------------------
English Translation:
Al Quran : So glorify the Praises of your Lord, and ask His Forgiveness. Indeed, He is ever Accepting of repentance.
Al Quran , Surah An-Nasr (110), # 3
---------------------------------------------
AL Quran : ALLAH loves those who turn unto Him in repentance and loves those who purify themselves
Surah Al-Baqara (2), # 222
---------------------------------------------
Hadith: Narrated by Ibn Umar stated Radi allahu anhuma that Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam said O people, seek repentance from Allah. Verily, I seek repentance from Him a hundred times a day.
Sahih Muslim, Book 35, 6523
---------------------------------------------
Hadith: Abu Huraira Radi allahu anhu reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: Allah is more pleased with the repentance of His servant when he turns penitently towards Him than one of you would be on finding the lost camel.
Sahih Muslim Book 037, Number 6611

Al Quran : Beshak Allah ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Beshak Allah ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai
Surah Ar-Rad (13) , Verse 28
----------------------------
Aur Allah ko bahut yaad karne waley mardo aur mahut yaad karne wali aurton ke liye (Allah ne) bakhshis aur bada Ajar tayyar kar rakha hai hai 
Al Quran : Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
----------------------------
Hadith: Hazrat Abdullah ibn umar Radi allahu anhuma se rivayat hai Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ke nazdeek koi amal itna mehboob aur ba-azmat nahi jitna wo amal hai jo in das dino ( yani Dhil Hija ke pahle 10 din ) mein kiya jaye , isliye tum in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo
Masnad Ahmad, Vol 7 Hadith: 224
-----------------------------------------------------------
Let's recite some azkar

سبحان الله الحمد لله الله اكبر 
Allahu Akbar... .Alhamdulillah.....SubhanAllah

سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem

لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
La illaha ilAllahu, waHdahu la shareeka lahu, lahul Mulku, wa lahul Hamdu, wa Huwa ala kulli shaiy'in Qadeer ....

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبَّاً وَبِالْإِسْلَامِ دِينَاً وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيَّاً 
Radaitu billahi Rabba , wa bilislami deena , wa bi muhammadin (Sallallahu Alaihi Wasallam) Nabiyya 
(Main Allah ko apna RAB hone aur Islam ko apna Deen hone aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko apna Nabee hone par razi hu)

اللَّهُـمّ صَــــــلٌ علَےَ مُحمَّــــــــدْ و علَےَ آل مُحمَّــــــــدْ
Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammed
-----------------------------------------------------------
English Translation:
And the men and the women who remember Allah much with their hearts and tongues Allah has prepared for them forgiveness and a great reward 
Al Quran : Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
verily, in the remembrance of Allah do hearts find rest .
Al Quran , Surah Ar-Rad (13) , Verse 28
----------------------------
Hadith: Abdullaah ibn Umar (may Allaah be pleased with him) that the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “There are no days that are greater before Allah or in which good deeds are more beloved to Him, than these ten days, so recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) during them.” 
Masnad Ahmad, Vol 7 Hadith: 224

Total Pageviews