Search This Blog

Category

Autoblog

Sunday, September 30, 2012

Hadith: Sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai

Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu
  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya sabse behtar amr (amal ke liye)  Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa  Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai aur farmaya ki jis  shaksh ne marney ke baad  maal chorha wo uskei  warison ka hai aur jisney karz ya Ayaal  ( children) chorhey  wo mere zimmey hai

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)
-------------------------------------------------------------------------

Narrated Jabir bin Abdullah “Then the Messenger of ALLAH Peace be upon
 said  The best of matters is the Book of ALLAH and the best of guidance is the guidance of Muhammad Peace be upon him The most evil matters are those that are newly-invented, and every innovation (Bid'ah) is a going astray.' And he used to say: 'Whoever dies and leaves behind some wealth, it is for his family, and however leaves behind a debt or dependent children, then they are both my responsibility.'”Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)

Hadith: SubhanAllah , Momeen kabhi Napak nahi ho sakta


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  SubhanAllah , Momeen kabhi Napak nahi ho sakta
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu  se Rivayat hai ki Madiney ki ek Gali (street) meri mulaqat Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se huyee, us waqt mein Janabat ki haalat ( napaki ) mein tha isliye mein peechey rah kar laut gaya , aur Ghusal karkey wapas Aaya, to Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne daryaft farmaya ki Eh Abu Hurairah kaha chaley gaye they unhoney jawab diya ki Main Janabat (Napaki) ki Haalat mein tha isliye Mainey Aapkey saath bagair Ghusal ke baithna Bura jana Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya SubhanAllah Momeen kabhi Napak ( Najis) nahi ho sakta
Sahih Bukhari, Vol 1, 283
----------------------------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu  :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam came across me in one of the streets of Medina and at that time I was Junub ( Impure). So I slipped away from him and went to take a bath. On my return the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "O Abu Huraira Radi Allahu Anhu !  Where have you been?" I replied, "I was Junub, so I disliked to sit in your company." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Subhan Allah! A believer never becomes impure."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 5, Number 281 

Mafhum-e-Hadith : Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ko Halwa aur shahad pasand tha


 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith :  Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ko Halwa aur shahad pasand tha

 Aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ko
Halwa (حلوا ء , sheerni,Meetha) aur shahad pasand tha. -
Sahih Bukhari, vol7, 5614
---------------------------------------------------------------------------------
Narrated 'Aisha Radi allahu anha : The Prophet Sallallaho alaihi wasallam used to
like sweet edible things and honey -
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 69, No. 518

Hadith: Us shaksh ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Us shaksh ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho

Hazrat Abu huraira radi Alllahu anhu se rivayat hai ki RASOOLALLAH sallAlllahu alaihi wasallam ne farmaya ki us shaksh ki namaz nahi jiska wudhu nahi aur us shaksh ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho

Sunan Abu Dawud,
  Vol 1, 101
----------------------------------------------------------------
Narrated AbuHurairah Radi Alllahu Anhu
  The Messenger of ALLAH peace be upon him said: The prayer of a person who does not perform ablution is not valid, and the ablution of a person who does not mention the name of ALLAH (in the beginning) is not valid. 
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 101 

Mafhum-e-Hadith: Peshab ya pakhana rokkar namaz nahi parhni chahiye…


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Peshab ya pakhana rokkar namaz nahi parhni chahiye…

Hazrat Abu Hurairah Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah SallAlllahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh ALLAH aur Qayamat ke deen par yakeen rakhta ho usey liye jayaz nahi ki wo Peshaab pakhana ro kar ke  namaz parhey yahan tak ki wo insey faraghat hasil kar le
Sunan Abu Dawud,  Vol1, 91

---------------------------------------------------------------------
Mafhum-e-Hadith: Don’t pray  while you are  feeling the call of nature ( toilet)  until he becomes light….

Narrated AbuHurayrah Radi Alllahu Anhu  :The Prophet  peace_be_upon_him  said: It is not permissible for a man who believes in ALLAH and in the Last Day that he should say the prayer while he is feeling the call of nature until he becomes light (by relieving himself).
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 91

Saturday, September 29, 2012

Hadith: Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai

 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 


H
adith: Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai


Al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu
  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne wa’az (speech) farmaya jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey,  humney arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ye to rukhsat karney waley ki naseehat hai  Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aapney farmaya main tumko aisee hamwar zameen par chorh ja raha hu jiskey din aur raat barabar hain is sey wo hatega jo Halaq honey wala hoga jo tum mein se zinda rahega wo shadeed ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena aur tum par Ita’at ameer lazim hai chahey wo habshi ghulam ho kyunki momeen nakel daaley huye oont ki tarah hota hai jaisey chalaya jata hai ita’at karta hai-
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 (Sahih)

--------------------------------------------------------------------

Hadith: . I urge you to adhere to what you know of my Sunnah and the path of the Rightly-Guided Caliphs

Narrated Abdur Rahman bin Amr As-Sulami that he heard Al-Irbad bin Sariyah say: “The Messenger of ALLAH Peace be upon him delivered a moving speech to us which made our eyes overflow with tears and made our hearts melt. We said: 'O Messenger of ALLAH, this is a speech of farewell. What do you enjoin upon us?' He said: 'I am leaving you upon a (path of) brightness whose night is like its day. No one will deviate from it after I am gone but one who is doomed. Whoever among you lives will see great conflict. I urge you to adhere to what you know of my Sunnah and the path of the Rightly-Guided Caliphs, and cling stubbornly to it. And you must obey, even if (your leader is) an Abyssinian slave. For the true believer is like a camel with a ring in its nose; wherever it is driven, it complies.”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 (Sahih)

Hadith: Teen baatein aisee hain jinka karna kisi shaksh ke liye durast nahi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  Teen baatein aisee hain jinka karna kisi shaksh ke liye durast nahi
Thawban Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallAlllahu Alaihi wasallam ne mujh se farmaya ki Teen baatein aisee hain jinka karna kisi shaksh ke liye durast nahi Ek ye ki jab wo Imam baney to sirf apney liye dua karey  dusron ke liye na karey agar kisi ne aisa kiya to Goya usney logo ke saath khayanat ki , dusra ye ki bagair Ejazat kisi ke Ghar jhankna agar usney aisa kiya to wo Goya bagair Ejazat Andar ghus gaya Teesra peshab ya pakhana ke aaney waqt Namaz na parhey yahan tak ki wo farig na ho jaye
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 90
----------------------------------------------------------------------- 
Hadith: Three things one is not allowed to do
Narrated Thawban Radi Alllahu Anhu  : The Messenger of ALLAH (peace_be_upon_him) said: Three things one is not allowed to do: supplicating ALLAH specifically for himself and ignoring others while leading people in prayer; if he did so, he deceived them; looking inside a house before taking permission: if he did so, it is as if he entered the house, saying prayer while one is feeling the call of nature until one eases oneself.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0090: 

Hadith: Jo shaksh mooch ke baal na kaaatey wo hum mein se nahi hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  Jo shaksh mooch ke baal na kaaatey wo hum mein se nahi hai

Hazrat Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya paanch baatein fitrah ( yani paidayeeshi sunnat ) hain Khatna karna, naaf ke neechey ke baal hatana, baghal ke baal ukhadna , nakhun tarashna aur moonch ke baal qatarna.
Sunan Nisai, Vol1, #11

Hazrat  Zaid bin Arqam Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shaksh moonch ke baal na kaaatey wo hum mein se nahi hai
Sunan Nisai, Vol1, #13
-------------------------------------------------------

English Translation:
Narrated by Abu hurairah may ALLAH be pleased with him said The Prophet Peace 
be upon him said that Fitrah (Natural sunnah)  are five:  Circumcision, Shaving the pubes, plucking the armpit hairs, clipping the nails and, taking ( trimming)  from
the mustache. - Sunan Nasai, Vol1, #11

Narrated by  Zaid bin Arqam may ALLAH be pleased with him The Prophet Peace
be upon him said: Whoever does not trim his mustache, he is not one of us.
Sunan Nasai, Vol1, #13

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ke jism Mubarak ki khushbu Mushk se bhi behtar thi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ke jism Mubarak ki khushbu Mushk se bhi behtar thi

 Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey dekha Hajjam  Aap sallallahu-alaihi-wasallam ka sir bana raha tha aur ashaab Aapkey  ird gird they wo chahtey they koi baal zameen par na girey , kisi na kisi ke haath mein girey - Sahih Muslim , Vol 6,  #6043

Hazrat Anas radi allahu anhu ne kaha ki mainey na Ambar na Mushk na aur koi khushbu aisee soonghi jaisee Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ke jism Mubarak ki khushbu thi aur mainey na Dibaj na hareer aur no koi cheez aisee naram chuyee jaisee Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ke mubarak jism ki thi
Sahih Muslim, Vol6, 6053
----------------------------------------------------------------
Anas Radi-Allahu-Anhu
  reported: I saw when the Messenger of Allah  Peace be upon him got his hair cut by the barber, his Companions came round him and they eagerly wanted that no hair should fall but in the hand of a person.Sahih Muslim, Book 030, Number 5750
Anas Radi-Allahu-Anhu  reported: I never smelt ambergris or musk as fragrant as the fragrance of the body of Allah's Messenger  may peace be upon him  and I never touched brocade or silk and found it as soft as the body of Allah's Messenger  may peace be upon him.
Sahih Muslim, Book 030, Number 5759:

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki baargaah mein Ahsaar ( Naat) parhney waley sahabi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Mafhum-e-Hadith:  Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ki baargaah mein Ahsaar  ( Naat) parhney waley sahabi

Abdul rahman bin Auf se radi allahu anhu rivayat hai ki unhoney Hassan bin  Thabit ansari radi allahu anhu se suna wo Abu hurairah ko Gawaah bana kar kah rahey they ki EH Abu Huraira Main Aapko Allah ki kasam dekar puchta hu kya tumney Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam se suna hai ki   Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmaya Eh Hassan Allah ke Rasool  ki taraf se Mushriko ko Jawab do Eh Allah Rooh al Quddus ke zariye unki madad kar Abu Hurairah Radi Allahu anhu ne farmaya HAAN

Sahih Bukhari, Vol 7, 6152


*Note:  Hassan Radi Allahu Anhu Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ki bargaah mein Ashaar (Naat) parha kartey they aur mushriko ko Ashaar se jawab detey they

Jundub radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi  Wasallam chal rahey they ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam  ko paththar ki thokar lagi is sey Aap allallahu Alaihi Wasallam ki ungli mubarak se khun bahney laga to Aap allallahu Alaihi Wasallam ne ye Sher parha: (jiska tarjuma ye hain)

Tu to ek ungli hai aur kya hai jo zakhmi ho gayee kya hua agar Raah-e-Mola mein tu zakhmi ho gayee  

 Sahih Bukhari, Vol 7, 6146

Note: Agar Aap koi Naat ya Ashaar parhey to is baat ka khyal rakhiyega ki koi bhi Shirk wala ashaar na ho warna Sawab ki jagah Aap gunaah ke haqdaar ho jayengey


---------------------------------------------------------------------

Narrated Abu Salama bin 'Abdur-Rahman bin 'Auf: that he heard hassan bin Thabit Al-Ansari radi allahu anhu asking the witness of Abu Huraira, saying, "O Abu- Huraira! I beseech you by Allah (to tell me).Did you hear Allah's Apostle Peace be upon him saying' 'O hassan ! Reply on behalf of Allah's Apostle. O Allah ! Support him (hassan) with the Holy Spirit (Gabriel).'?" Abu Huraira Radi Allahu Anhu   said, "Yes."  
Sahih Bukhari, Book  73, Hadith 173

Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu  : The Prophet Peace be upon him said to Hassan Radi Allahu Anhu  , "Lampoon ( Reply ) them (the pagans) in verse, and Gabriel is with you." 
Sahih Bukhari , Book 73, Hadith  174
* Note: Hassan Radi Allahu Anhu  used to Read the Poetry ( Nasheed)  for  Prophet Peace be upon him and used to give reply to Mushriks.Narrated Jundub radi allahu anhu:  While the Prophet peace be upon him was walking, a stone hit his foot and stumbled and his toe was injured. He peace be upon him then (quoting a poetic verse) said, "You are not more than a toe which has been bathed in Allah's Cause"
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 73, Number 167:

Hadith: Jis shaksh ne mujh par jhooot baandha ( ya bola) wo apna thikana Dojakh mein bana le

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Jis shaksh ne mujh par jhooot baandha ( ya bola) wo apna thikana Dojakh mein bana le

Abdur Rahman bin Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu
  bayan kartey hain ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne irshaad farmaya jis shaksh ne mujh par jhooot baandha ( ya bola) wo apna thikana Dojakh mein bana le (Sahih)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 30
-----------------------------------------------------

Narrated Abdur Rahman bin Abdullah bin Masud may ALLAH be pleased with him that his father said: “The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'Whoever tells lies about me deliberately, let him take his place in Hell.'” (Sahih)
 
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 30

Friday, September 28, 2012

Mafhum e-Hadith - Sahaba ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se Muhabbat



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum e-Hadith - Sahaba ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se Muhabbat aur Tazim

Anas Radi Allahu Anhu  ne farmaya
 (Unki walida)  Um Sulaim Radi Allahu Anha Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye chamdey ka farsh bicha deti thi aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam isi par Qailulla kartey  ( yani din ke waqt thoda sa sotey ) they phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam so gaye to Umm sulaim Radi Allahu Anha ne Aapka paseena aur baal le liye aur is ko (paseeney ko) ek sheeshi mein jama kar diya aur phir Suk ko ( ek tarah ki khushbu ko) usmey mila diya phir jab Anas bin malik Radi Allahu Anhu  ki wafat ka waqt kareeb aaya to unhoney waseeyat ki, ki  is suk ( jismein Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ka paseena mila hua tha) ko unkey hanut ( ek tarah ki khhushbu jo Mayyat par lagatey hain) mein mila diya jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6281
---------------------------------------------------------------
Mafhum-e-Hadith: Sahaba's Respect and love for Prophet peace be upon him

Anas Radi Allahu Anhu said,  Um Sulaim Radi Allahu Anha used to spread a leather sheet for the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  and he used to take a midday nap on that leather sheet at her home.  Anas Radi Allahu Anhu added, "When the Prophet  Sallallahu Alaihi Wasallam had slept, she would take some of his sweat and hair and collect it (the sweat) in a bottle and then mix it with Suk (a kind of perfume) while he Sallallahu Alaihi Wasallam was still sleeping. "When the death of Anas bin Malik Radi Allahu Anhu approached, he advised that some of that Suk be mixed with his Hanut (perfume for embalming the dead body), and it was mixed with his Hanut.  
Sahih Bukhari, Book #74, Hadith #298

Hadith: jo shaksh bando par Raham na karega Allah taala us par raham nahi karega


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  jo shaksh bando par Raham na karega Allah taala us par raham nahi karega

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Al Aqra bin habis  Radi-Allahu-Anhu  ne dekha ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  hazrat Hasan Radi-Allahu-Anhu  ko  pyar kar rahey they to wo bola mere 10 bachchey hain aur mainey unmein se kisi ko pyar nahi kiya  to Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo Raham nahi karega (apney bachcho ya logn par) to Allah bhi us par raham nahi karega
Sahi Muslim, Vol 6, 6029

Hazrat Jarer bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah  sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh bando par Raham na karega Allah taala us par raham nahi karega
Sahih Muslim , Vol 6,  #6030
-----------------------------------------------------------------------------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu   reported that al-Aqra' b. Habis saw Allah's Apostle (may peace be upon him) kissing Hasan. He said: I have ten children, but I have never kissed any one of them, whereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: He who does not show mercy (towards his children), no mercy would be shown to him.
Sahi Muslim, Book 030, Number 5736


 Jarer bin  Abdullah may ALLAH be pleased with him said that the Messenger of Allah may peace be upon him  said:  He who does not show mercy  to the people, Allah, the Exalted and Glorious, does not show mercy to him.
Sahi Muslim,  Book 030, Number 5737:


Mafhum-e-Hadith: Khadim (Servent) se achcha Suluq


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Khadim (Servent)  se  achcha Suluq

Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Mainey Rasoollallah sallallahu  alaihi wasallam ki khidmat 10 baras tak ki , Qasam khuda ki kabhi Aapney mujhko Uff na kaha aur na kabhi ye kaha ki tuney ye kaam kyun kiya ? ye kaam kyun na kiya jo Khadim ko karna chahiye tha
Sahih Muslim , Vol 6,  #5976

--------------------------------------------------------------------------
Anas b. Malik reported: I served the Messenger of Allah (may peace be upon him) for ten years, and, by Allah, he never said to me any harsh word, and he never said to me about a thing as to why I had done that and as to why I had not done that.
Sahi Muslim, Book 030, Number 5720

Hadith : Mujhko zameen ke khazano ki kunjiya ata ki gayee hain


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

HADITH : Mujhko zameen ke khazano ki kunjiya ata ki gayee hain

Uqba bin Aamir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek roz Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam nikle aur uhad ke shaheedon par namaz parhi jaisey janazey ki namaz parhtey hain phir minbar ki taraf aaye aur farmaya main tumhara paish khaima hunga aur gawah hunga aur Qasam Allah ki main Hauz ko is waqt dekh raha hu aur mujhko zameen ke khazano ki kunjiya ata ki gayee hain ya zameen ki kunjiyan aur Qasam Allah ki mujhe ye darr nahi ki tum mere baad Shirk karogey bulki ye darr hai ki tum Duniya ke lalach mein aakar ek dusrey se hasad karney lagogey
Sahih Muslim , Vol 6,  5976
--------------------------------------------------------------------- 
HADITH: I have been given the keys of the treasures of the earth
 Uqba b. 'Amir may ALLAH be pleased with him reported that Allah's Messenger  may peace be upon him one day went out and he offered prayer over the martyrs of Uhud just as prayer is offered over the dead. He then came back and sat on pulpit and said: I shall be present there (at the Cistern) before you. I shall be your witness and, by Allah, I perceive as if I am seeing with my own eyes my Cistern at this very state and I have been given the keys of the treasures of the earth or the keys of the earth and, by Allah, I am not afraid concerning you that you would associate anything (with Allah after me), but I am afraid that you would be vying with one another (for the possession of) the treasures of the earth.

Mafhum-e-Hadith: Unhoney Nayee nayee batein nikalee tumharey baad


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Unhoney Nayee nayee batein nikalee  tumharey baad

Hazrat Ummul Momineen Salma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki  Rasoollallah Alaihi Wasallam ne farmaya main tumhara pesh khaima hunga Hauz 
par to tum Hoshiyar rahokoi tum mein se Aisa na ho mere pass aaye phir hataya jaye jaisey bhatka hua oont hataya jata hai main kahunga ye kyun hataye jatey hain jawab milega tumhey malum nahi unhoney Nayee nayee batein nikalee  tumharey baad ( tarah tarah ki Bidatein Aaitqad  aur amal mein)  Main kahunga to dur ho
Sahih Muslim , Vol 6,  5974
-----------------------------------------------------------------
Umm Salma Radi Allahu Anha, the wife of Allah's Apostle may peace be upon him  said Allah's Messenger  may peace be upon him  said: I shall be your harbinger on the Cistern; therefore, be cautious lest one of you should come (to me) and may be driven away like a stray camel. I would ask the reasons, and it would be said to me: You don't know what innovations they made after you. And I would then also say: Be away.
Sahi Muslim, Book 030, Number 5686:

Wednesday, September 26, 2012

Hadith: jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 nekiyan likh di jayegi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 nekiyan likh di jayegi


Abdullah bin umar Radi Alllahu Anhuma se rivayat hai AbuGhutayf al-Hudhali 
ne kaha ki Main Abdullah bin umar radi ALLAHhu anhu ke pass tha jab Duhar ki adhan huyee to unhoney Wudhu kiya aur namaz parhaayee iskey baad Asar ki Adhan huyee to unhoney Dobara Wudhu kiya mainey unsey pucha to unhoney kaha ki  RASOOLLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya  ki jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 nekiyan likh di jayegi
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 62
----------------------------------------------------------------------
Hadith: Ten virtuous deeds will be recorded on performing  ablution again

Narrated Abdullah ibn Umar Radi Alllahu Anhu  :AbuGhutayf al-Hudhali reported: I was in the company of Ibn Umar . When the call was made for the noon (zuhr) prayer, he performed ablution and said the prayer. When the call for the afternoon ('asr) prayer was made, he again performed ablution. Thus I asked him (about the reason of performing ablution). He replied: The Apostle of ALLAH peace be upon him  said: For a man who performs ablution in a state of purity, ten virtuous deeds will be recorded (in his favour).
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0062: 

Hadith: Allah Subhanahu haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  Allah Subhanahu haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey

AbulMalih  Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya Allah Ta’ala haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey aur na hi bina paki ke Namaz (Qubul farmatey hain).
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 59 
( Sahih)
---------------------------------------------------------------------------
 Narrated AbulMalih  Radi Alllahu Anhu  : The Prophet peace_be_upon_him  said: ALLAH does not accept charity from goods acquired by embezzlement as He does not accept prayer without purification.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0059 
( Sahih)

Mafhum-e-Hadith: Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey

Aayesha Radi Alllahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ke liye Wudhu ka pani aur Miswak rakh di jati thi, jab Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam raat mein baidar hotey they to pahley istinja ke liye tashreef  le jatey iskey baad wapas aakar miswak kartey they. 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam jab bhi so kar uthtey chahey raat mein ya chahey din mein to Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 55,56 
( Sahih)


Narrated  Ummul Mu'minin Aisha Radi Alllahu Anha  : Ablution water and tooth-stick were placed by the side of the Prophet (peace_be_upon_him). When he got up during the night (for prayer), he relieved himself, then he used the tooth-stick. The Prophet  peace_be_upon_him  did not get up after sleeping by night or by day without using the tooth-stick before performing ablution.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0055,56 
( Sahih)

Hadith: Mujhe apni ummat ke Dushwari mein parh janey ka khauff na hota to main unko har Namaz ke liye Miswak karney ka hukm deta.....


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Mujhe apni ummat ke Dushwari mein parh janey ka khauff na hota to main unko har Namaz ke liye Miswak karney ka hukm deta.....

Zayd ibn Khalid al-Juhani Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya agar mujhe apni ummat ke Dushwari mein parh janey ka khauff na hota to main unko har Namaz ke liye Miswak karney ka hukm deta Abu Salmah Radi Alllahu Anhu kahtey hain ki Mainey Zayd bin Khalid ko dekha ki wo Namaz ke intezar mein baithey rahtey they aur miswak unkey kaan par us jagah rakhi rahti thi jahan katib ke kaan par Qalam rakha rahta hai wo jab bhi namaz ke liye khadey hotey to Miswak kartey
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 47 ( Sahih)

Aaysha Radi Alllahu Anha se rivayat hai ki 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam  ke liye Wudhu ka pani aur Miswak rakh di jati thi, jab Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam raat mein baidar hotey they to pahley istinja ke liye tashreef  le jatey iskey baad wapas aakar miswak kartey they. RASOOLLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam jab bhi so kar uthtey chahey raat mein ya chahey din mein to Aap SallAlllahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 55,56 ( Sahih)

--------------------------------------------------------------------------
Hadith: RASOOLLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam’s  Love with tooth Stick (Siwak)

Narrated Zayd ibn Khalid al-Juhani Radi Alllahu Anhu  : I heard the Apostle of ALLAH peace_be_upon_him say: Were it not hard on my ummah, I would order them to use the tooth-stick at the time of every prayer. AbuSalamah said: Zayd ibn Khalid used to attend the prayers in the mosque with his tooth-stick on his ear where a clerk carries a pen, and whenever he got up for prayer he used it.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0047 
( Sahih)

Narrated  Ummul Mu'minin Aisha Radi Alllahu Anhu  : Ablution water and tooth-stick were placed by the side of the Prophet (peace_be_upon_him). When he got up during the night (for prayer), he relieved himself, then he used the tooth-stick. The Prophet  peace_be_upon_him  did not get up after sleeping by night or by day without using the tooth-stick before performing ablution.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0055,56 
( Sahih)

Mafhum-e-Hadith: Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley Mein Jinno ki rozi hoti hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley Mein Jinno ki rozi hoti hai

Abdullah ibn Mas'ud Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki Jinno ki ek jamaat 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam ke khidmat mein hazir huyee unhoney arz kiya ki Eh Muhammad SallAlllahu Alaihi Wasallam Aap apni ummat ko mana farma dijiye Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley se istinja karney se kyuki ALLAH Subhanahu ne ismein hamari Rozi rakhi hai, iskey baad  Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam ne aisa karney se mana farma diya
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 39 (Sahih)
----------------------------------------------------------------
Narrated Abdullah ibn Mas'ud Radi Alllahu Anhu  A deputation of the jinn came to the Prophet peace_be_upon_him and said: O Muhammad SallAlllahu Alaihi Wasallam , forbid your community to cleans themselves with a bone or dung or charcoal, for in them ALLAH has provided sustenance for us. So the Prophet peace be upon him forbade them to do so.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0039 (Sahih)

Hadith: Do Lannat waley kaamo se bacho..


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Do Lannat waley kaamo se bacho..

Hazrat Abu Hurairah Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Do Laanat waley kaamo se bacho Sahaba Radi Alllahu anhuma ne pucha wo Do kaam kaun se hain Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Kisi Raahguzar mein Pakhana karna , 
ya Sayaadar jagah mein pakana karna 
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 25 ( Sahih)
------------------------------------------------------------------
Narrated Mu'adh ibn Jabal Radi Alllahu Anhu  : The Apostle of ALLAH peace be upon him  said: Be on your guard against two things which provoke cursing: easing on the thoroughfares (roads) , and in the shade (of the tree).
Sunan Abu Dawud, Book 1,Number 0026 ( Sahih)

Hadith: Main tumhari kamar pakad pakad kar jahannam se rokta hu


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Hadith:
Main tumhari kamar pakad pakad kar jahannam se rokta hu

Hazrat Abu huraiah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki meri misaal  aur meri ummat ki misaal aisee hai jaisey kisi ne  Aag jalayee phir usmein keedey aur patangey girney lagey aur main pakdey huye hu tumhari kamar ko aur tum usi mein girtey jatey ho
Sahih Muslim, Vol 6,  5955

Hazrat Abu huraiah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki meri misaal us shaksh ki tarah hai  jisney Aag jalayee jab uskey ird gird ( charo aur) roshni huyee to usmein keedey aur ye janwar jo Aag mein hain girney lagey aur wo shaksh usko rokney laga lekin wo na rukey aur usmein girney lagey ye missal hai meri aur tumhari , Main tumhari kamar pakad pakad kar jahannam se rokta hu aur kahta hu jahannam ke pas se chaley jao aur tum nahi mantey usi mein ghus jatey ho
Sahih Muslim,  Vol 6,  5957
----------------------------------------------------------------------------

Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him  reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: The similitude of mine and that of my Umma is that of a person who lit fire and there began to fall into it insects and moths. And I am there to hold you back, but you plunge into it.
Sahi Muslim,  Book 030, Number 5670
Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him said: A person lit fire and when the atmosphere was aglow, moths and insects began to fall into the fire, but I am there to hold them back, but they are plunging into it despite my efforts, and he further added: That is your example and mine. I am there to hold you back from fire and to save you from it, but you are plunging into it despite my efforts.
Sahih Musim, Book 030, Number 5671


Hadith: Allah Subhanahu us par aakhirat ki sakhtiyon mein se ek sakhti dur karega


Bismillah-Irrahman-Nirrahim

Al Quran : Beshaq Musalman Aapas mein bhai bhai hain isliye apney bhaiyon mein  sulah kara diya karo aur Allah se daro taki tum par Raham kiya jaye
AL Quran: Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #10

Hadith: Abu hurairah Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo shaksh kisi momeen par se duniya ki sakhtiyon mein se ek sakhti dur karega to Allah Subhanahu us par aakhirat ki sakhtiyon mein se ek sakhti dur karega Aur jo shaksh muflis ko mohlat de ( yani us par apney karz ke liye sakhti na karey) to Allah subhanahu us par aasani karega  aakhirat mein , Aur jo shaksh kisi Musalman ko AIb chupayega duniya mein to Allah subhanahu uska Aib chupayega duniya mein aur aakhirat mein, Allah subhanahu apney bandey ki madad mein rahta hai jab tak banda apney (musalman) bhai ki madad mein rahta hai……
Sahih Muslim, Volume 6, 6853  ( Part 1 )


--------------------------------------------------------

Al Quran: The believers are nothing else than brothers (in Islam). So make reconciliation between your brothers, and fear Allah, that you may receive mercy.
AL Quran: Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #10

Hadith: Abu Huraira reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: He who alleviates the suffering of a brother out of the sufferings of the world, Allah would alleviate his suffering from the sufferings of the Day of Resurrection, and he who finds relief for one who is hard pressed, Allah would make things easy for him in the Hereafter, and he who conceals (the faults) of a Muslim, Allah would conceal his faults in the world and in the Hereafter. Allah is at the back of a servant so long as the servant is at the back of his brother
Sahih Muslim, Vol , # Book 035, Number 6518 ( part 1)

Mafhum-e-Hadith: ALLAH hi Sabko bachaney wala hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: ALLAH hi Sabko bachaney wala hai

Hazrat Jaber radi allahu anhu se rivayat hai ki 
Rasoollallah  sallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya Ek shaksh mere pass aaya Main so raha tha usney Talwar Utaar li Main jaga wo mere sir par khada tha mujhe us waqt khabar huyee jab uskey haath mein
khuli Talwaar aa gayee wo bola ab tumhey Kaun bacha sakta hai mujhse ? Main kaha ALLAH , phir dusri baar usney yahi kaha maine kaha ALLAH ye sun kar usney talwaar mayan (shelth) mein kar li,  (Aap sallallahu alaihi wasallam ne sahaba se farmaya) wo shaksh ye baitha hai phir Aap Sallallhu alaihi ne usey kuch nahi kaha.
Sahih Muslim, Vol6, 5950 (Part)

---------------------------------------------------------------------

Jabir b. Abdullah may ALLAH be pleased with him  reported: Allah's Messenger may peace be upon him said: A person came to me while I was asleep and he took hold of the sword. I woke up and found him standing upon my head and I had hardly become alert (and saw) that the sword was in his hand. And he said: Who can protect you from me? I said: ALLAH . He again said: Who can protect you from me? I said: ALLAH. He put his sword in the sheath (and you can see) this man sitting here. Allah's Messenger (may peace be upon him) did not in any way touch him.
Sahih Muslim,  Book 030, Number 5665

Hadith: Allah ki bandiyon (female slaves) ko masjid mein Namaz parhney se na roko

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  Allah ki bandiyon (female slaves) ko masjid mein Namaz parhney se na roko

Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki Allah ki bandiyon ko masjid mein Namaz parhney se na roko unkey betey ne kaha ki hum to jarur mana karengey is par hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu  gussa ho gaye aur farmaya ki main tujhse Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ka farman bayan karta hu aur tu kahta hai ki hum jarur mana karengey 
Sunan Ibn Majah, Vol , # 16

 -----------------------------------------------------------------

Hadith: Do not prevent the female slaves of ALLAH from praying in the mosque

Narrated Ibn Umar may ALLAH be pleased with him that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: “Do not prevent the female slaves of ALLAH from praying in the mosque.” A son of his (that is, of Ibn 'Umar) said: “We will indeed prevent them!” He got very angry and said: “I tell you a Hadith from the Messenger of ALLAH Peace be upon him and you say, we will indeed prevent them?!” (Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 16

Hadith: jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai

Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi  hai(Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #14 
--------------------------------------------------------------

 Hadith: Whoever innovates something in this matter of ours (i.e., Islam) that is not part of it, will have it rejected

Narrated Aisha  may ALLAH be pleased with her that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: “Whoever innovates something in this matter of ours (i.e., Islam) that is not part of it, will have it rejected.” (Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 14

Hadith: Qayamat Qayam honey tak ek jamaat meri ummat mein Ghalib rahegi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Qayamat Qayam honey tak ek jamaat meri ummat mein Ghalib rahegi

Abdullah ibn umar Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Muaawiyah Radi Allahu Anhu  ne kaha ki mainey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ko farmatey huye suna hai ki Qayamat Qayam honey tak ek jamaat meri ummat mein Ghalib rahegi aur parwah nahi karegi uski jo usko Ruswa karey  ya unki madad karey
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 9 

---------------------------------------------------------

Narrated Amr bin Shuaib may ALLAH be pleased with him
that his father said: Mu'awiyah stood up to deliver a sermon and said: 'Where are your scholars? Where are your scholars? For I heard the Messenger of ALLAH Peace be upon him say: The Hour will not begin until a group of my Ummah will prevail over the people, and they will not care who lets them down and who supports them'.” (Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 9

Total Pageviews