Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, November 27, 2012

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai

Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur noha karney wali agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 ( Hasan)

Jarir ne farmaya ki Muawiyah radi allahu anhu ne apney khutbey mein kaha ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 (Sahih)

Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne humein Noha (matam) karney se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350 ( Sahih)

Abdullah bin masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey ( kapdey phaadey) aur jahiliyat ke zamaney ki tarah baatain karey wo hum mein se nahi hai
Sahih Bukhari, Vol2, 1297
--------------------------------------------------
It was narrated from Abu Malik Ashari that the Messenger of Allah said: Wailing is one of the affairs of the Days of Ignorance, and if the woman who wails dies without having repented, Allah will cut a garment of pitch (tar) for her and a shirt of flaming fire.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 (Hasan)

Jarir the freed slave of Muawiyah radi allahu anhu said: Muawiyah delivered a sermon in his sermon he mentioned that the Messenger of Allah Peace be upon him forbade wailing.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 (Sahih)

Narrated Umm Atiyyah Radi-Allahu-Anha The Messenger of Allah Peace be upon him prohibited us to wail.
Sunan Abu Dawud, Book 20, 3121 ( Sahih)

Narrated Abdullah bin masood may Allah be pleased with him the Prophet Peace be upon him said He who slaps his cheeks, tears his clothes and follows the ways and traditions of the Days of Ignorance is not one of us.
Sahih Bukhari, , Book #23, Hadith #382

Mafhum-e-Hadith: Shaitan Namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Shaitan Namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar

Abu hurairah radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab namaz ke liye azan di jati hai to Shaitan hawa kharij karta hua badi tezi ke saath peeth pher kar bhagta hai taki Azan ki aawaz na sun  sakey aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai lekin jaisey hi  takbeer shuru hoti hai to phir peeth pher kar bhagta hai jab takbeer bhi khatam 
ho jati hai shaitan dobara aa jata hai aur namazi ke dil mein waswasey dalta hai kahta hai ki falah baat yaad kar.falah baat yaad kar.
un baaton ko shaitan yaad dilata hai jiska usey (namazi ko) khayal bhi na tha aur phir us shaksh ko ye bhi yaad nahi rahta ki kitni Rakatein parhi hain -
Sahih Bukhari, Vol 1, 608


---------------------------------------

Narrated Abu Huraira may Allah be pleased with him Allah's Apostle Peace be upon him said, When the Adhan is pronounced Satan takes to his heels and passes wind with noise during his flight in order not to hear the Adhan. When the Adhan is completed he comes back and again takes to his heels when the Iqama is pronounced and after its completion he returns again till he whispers into the heart of the person (to divert his attention from his prayer) and makes him remember things which he does not recall to his mind before the prayer and that causes him to forget how much he has prayed.
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 11, Number 582

Hadith: Agar koi Namaz parhna bhul jaye to jab bhi yaad aaye usko parh le


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Hadith: Agar koi Namaz parhna bhul jaye to jab bhi yaad aaye usko parh le

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya agar koi Namaz parhna bhul jaye to jab bhi yaad aaye usko parh le , is Qadha ke siwa aur koi kaffara uska nahi hai
Sahih Bukhari,  Vol1, 597

Jaber bin Abdullah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Hazrat Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu  gazwa-e-khandaq ke moqey par suraj ghurub honey ke baad aaye aur wo kufaar e quraish ko bura bhala kahney lagey  phir aapney farmaya oh Allah ke Rasool Sallallhu-Alaihi-Wasallam  suraj ghurub ho gaya aur Asar ki Namaz parhna mere liye mumkin na ho saka is par Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya mainey bhi Namaz nahi parhi hai phir hum Wadi-e-bathan mein gaye aur wahan aapney namaz ke liye wudhu kiya humney bhi wudhu banaya us waqy suraj dub chuka tha , pahley Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne Asar ki Namaz parhayee phir maghrib ki namaz parhayee
Sahih Bukhari,  Vol 1, 596

---------------------------------------------------------

Narrated Anas Radi-Allahu-Anhu  The Prophet  Sallallhu-Alaihi-Wasallam said, "If anyone forgets a prayer he should pray that prayer when he remembers it. There is no expiation except to pray the same."
Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 10, No. 571

Narrated Jabir bin 'Abdullah Radi-Allahu-Anhu   On the day of Al-Khandaq (the battle of trench.) 'Umar bin Al-Khattab came cursing the disbelievers of Quraish after the sun had set and said, "O Allah's Apostle I could not offer the 'Asr prayer till the sun had set." The Prophet said, "By Allah! I, too, have not prayed." So we turned towards Buthan, and the Prophet performed ablution and we too performed ablution and offered the 'Asr prayer after the sun had set, and then he offered the Maghrib prayer.
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 10, Number 570


Mafhum-e-Hadith: Asar aur Maghrib ki Namaz Saath mein


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Asar aur Maghrib ki Namaz  Saath mein

Jaber bin Abdullah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Hazrat Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu  gazwa-e-khandaq ke moqey par suraj ghurub honey ke baad aaye aur wo kufaar e quraish ko bura bhala kahney lagey  phir aapney farmaya oh Allah ke Rasool Sallallhu-Alaihi-Wasallam  suraj ghurub ho gaya aur Asar ki Namaz parhna mere liye mumkin na ho saka is par Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya mainey bhi Namaz nahi parhi hai phir hum Wadi-e-bathan mein gaye aur wahan aapney namaz ke liye wudhu kiya humney bhi wudhu banaya us waqy suraj dub chuka tha , pahley Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne Asar ki Namaz parhayee phir maghrib ki namaz parhayee
Sahih Bukhari,  Vol 1, 596
----------------------------------------------------

Narrated Jabir bin 'Abdullah Radi-Allahu-Anhu   On the day of Al-Khandaq (the battle of trench.) 'Umar bin Al-Khattab came cursing the disbelievers of Quraish after the sun had set and said, "O Allah's Apostle I could not offer the 'Asr prayer till the sun had set." The Prophet said, "By Allah! I, too, have not prayed." So we turned towards Buthan, and the Prophet performed ablution and we too performed ablution and offered the 'Asr prayer after the sun had set, and then he offered the Maghrib prayer.
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 10, Number 570

Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne do waqt mein namaz parhney se mana farmaya hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne do waqt mein namaz parhney se mana farmaya hai

Abu Sa'id Al-Khudri Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Fajar ki Namaz ke baad suraj nikalney tak koi namaz na parhi jaye aur Asar ki namaz ke baad suraj dubney tak koi namaz na parhi jaye
Sahih Bukhari,  Vol 1, 586


Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne do waqt mein namaz parhney se mana farmaya hai Fajar ki Namaz ke baad suraj nikalney tak aur Asar ki namaz ke baad suraj dubney tak
Sahih Bukhari,  Vol 1, 588

 --------------------------------------------------------------
Narrated Abu Sa'id Al-Khudri I heard Allah's Apostle Peace be upon him  saying, "There is no prayer after the morning prayer till the sun rises, and there is no prayer after the Asr prayer till the sun sets."
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 10, Number 560

Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him  Allah's Apostle Peace be upon him  forbade the offering of two prayers after the morning (Fajar) prayer till the sunrises and after the 'Asr prayer till the sun sets.
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 10, Number 562

Hadith - jisney ek rakaat Namaaz (ba jamaat) pa li unsye (ba jama at ka) Namaz ka sawab paa liya


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith -- jisney ek rakaat Namaaz (ba jamaat) pa li unsye (ba jama at ka) Namaz ka sawab paa liya

 Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jisney ek rakaat Namaaz (ba jamaa’t) pa li unsye (ba jama’at ka) Namaz ka sawab paa liya
Sahih Bukhari, Vol1 , # 580
------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi-Allahu-Anhu  Allah's Apostle Peace be upon him   said, "Whoever could get one Rak'a of a prayer, he has got the prayer."
Sahih Bukhari,Volume 1, Book 10, Number 554

Maghum-e-Hadith: Asar Ki Namaz ki Ahmiyat


BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

<< Asar Ki Namaz ki Ahmiyat >>

Sari namazon ki Hifzat kiya karo aur ( khas karke ) darmiyani  Namaz (Asr) ki aur Allah ke liye Adab se khadey raha karo
AL Quran Surah Baqara , Aayah 238

Abdullah bin Umar Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jiski Namaz e Asar chali gayee (yani Qaza ho gayee) wo aisa hai jaisey uska Ghar aur maal sab lut gaya
Sahih Bukhari, Vol 1, # 556
 ---------------------------------------------
Guard strictly (five obligatory) As-Salawat (the prayers) especially  the middle Salat (Asr) . And stand before Allah with obedience.
Al Quran,  Surah Baqara , verse 238
 
Narrated Ibn  Umar Radi-Allahu-Anhuma Allah's Apostle Sallallhu-Alaihi-Wasallam  said,  Whoever misses the  Asr prayer (intentionally) then it is as if he lost his family and property
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 10, Number 527:

Hadith: Dojakh ne Apney Rab se shikayat ki


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Dojakh ne Apney Rab se shikayat ki

Abu Huraira Radi-Allahu-Anhu   se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Dojakh ne Apney Rab se shikayat ki ke Ek Mere RAB (Aag ki shiddat ki wajah se) mere baaz hissey ne baaz hissey ko kha liya hai us par ALLAH ne usey do saans leney ki Ejazat di, ek saans jaadey (sardi) mein aur ek saans garmee mein  aur ye bahut ziyada sakht garmee aur sakht sardi jo tum log mehsoos kartey ho wo isi se paida hoti hai
Sahih Bukhari , Vol 1, # 537

Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him The Prophet Peace be upon him  said,   The Hell-fire of Hell complained to its Lord saying: O Lord! My parts are eating (destroying) one another. So Allah allowed it to take two breaths, one in the winter and the other in the summer. The breath in the summer is at the time when you feel the severest heat and the breath in the winter is at the time when you feel the severest cold."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 10, Number 512

Hadith: yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya agar kisi shaksh ke darwazey par Nahar jari ho aur wo rozana usmein paanch baar nahaye to tumhara kya ghuman hai kya uskey badan par kuch bhi mail baqi rah sakta hai sahaba radi-Allahu-Anhuma ne farmaya hargiz nahi Aapney farmaya ki yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai
Sahih Bukhari , Vol 1, # 528

Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him  I heard Allah's Apostle Peace be upon him  saying, "If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day would you notice any dirt on him?" They said, "Not a trace of dirt would be left." The Prophet Peace be upon him added, "That is the example of the five prayers with which Allah blots out (annuls) evil deeds.
Sahih Bukhari,  Book 10, Number 506:

Mafhum-e-Hadith: Hazrat Ali, Fatima, Hasan , Hussain Radi-Allahu-Anhuma bhi Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke Ahl-e-Bait hain


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Hazrat Ali, Fatima, Hasan , Hussain Radi-Allahu-Anhuma bhi Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke Ahl-e-Bait hain

Ummul Momineen Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam subah ko nikley aur
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ek chaadar odhey huye they itney mein sayyidna Hasan Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko Chaadar ke andar kar liya, Phir sayyidna Hussain Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar ke andar kar liya, Phir Fatima Radi Allahu Anha aayi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar ke andar kar liya phir Hazrat Ali Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar kar andar le liya isky baad  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala chahta hai ki dur karey tumse napaki ko Eh Ahal-e-bait ( Eh Ghar walo), aur Paak karey tumko 
Sahih Muslim, Vol6, 6261 

---------------------------------------------
Aisha radi allahu anha reported that Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam went out one morning
wearing a striped cloak of the black camel's hair that there came Hasan Radi Allahu Anhu He Sallallahu Alaihi Wasallam wrapped him under it, then came Husain Radi Allahu Anhu and he Sallallahu Alaihi Wasallam wrapped him under it along with the other one (Hasan). Then came fatima Radi Allahu Anha and he Sallallahu Alaihi Wasallam took her under it, then came 'Ali Radi Allahu Anha and he Sallallahu Alaihi Wasallam also took him under it and then said: Allah only desires to take away any uncleanliness from you, O people of the household, and purify you (thorough purifying) 
Sahih Muslim, Book #031, Hadith #5955 

Mafhum-e-Hadith: Umar bin khattab Radi-Allahu-Anhu ka jannat mein mahal


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Umar bin khattab Radi-Allahu-Anhu   ka jannat mein mahal

Jabir Radi-Allahu-Anhu   se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam   ne farmaya mein jannat mein gaya aur wahan ek ghar ya mahal dekha mainey pucha ye kiska hai ?  unhoney ( farishton ne)  ne kaha ye Umar bin khattab Radi-Allahu-Anhu   ka hai mainey andar jana  chaha phir tumhari gairat ka mujhe khayal aaya ye sunkar hazrat umar roye aur arz ki YA Rasoollallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam  kya main aapkey jane se gairat karta ?
Sahih Muslim, Vol 6, 6198 
------------------------------------------------------
Jabir may Allah be pleased with him  reported  Allah's Messenger Peace be upon him  as saying: I entered Paradise and saw in it a house or a palace. I said: For whom is it belong to ? They (the Angels) said: It is for 'Umar b. Khattab may Allah be pleased with him . I intended to get into it but I thought of your feelings. Thereupon 'Umar  may Allah be pleased with him wept and said: O Apostle of Allah Peace be upon him  , could I feel any jealousy in your case?
Sahih Muslim Book 031, Number  5896 

Hadith: Jismein ye sab baatein ( ek saath) jama ho jaye to wo jannati hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Jismein ye sab baatein ( ek saath)  jama ho jaye to wo jannati hai

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Aaj tum mein se kaun rozedar hai Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu  ne kaha Main, phir farmaya Aaj ke din tum mein se kaun Janazey ke saath gaya , Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu  ne kaha Main, Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Aaj ke din tum mein se kisney Miskeen ko khana khilaya to Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu  ne kaha Mainey , Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Aaj ke din kisney beemar ki ayadat ki Abu bakr ne kaha mainey to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jismein ye sab baatein ( ek saath)  jama ho jaye to wo jannati hai
Sahih Muslim, Vol 6, 6182

Abu Huraira reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Who amongst you is observing fastthis day? Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu  said: It is I. He Peace be upon him  said: Who amongst you has followed the bier today? Abu Bakr said: It is I. He Peace be upon him again said: Who amongst you has served food to the needy? Abu Bakr said: It is I. He Peace be upon him  said: Who amongst you has today visited the sick? Abu Bakr said: It is I. Thereupon Allah's Messenger Peace be upon him  said: He must get into Paradise who combines in himself (all these noble qualities and virtues).
Sahih Muslim, Book 031, Number 5880

Hadith: Agar tu mujhe na paye to Abu bakr ke pass jana


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Agar tu mujhe na paye to Abu bakr ke pass jana

Jubair b. Mut'im Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki ek aurat ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se kuch pucha Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya phir Aana (yani baad mein aana) wo boli Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  agar main phir aau aur aapko na pauu to ? to Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya agar tu mujhe na paye to Abu bakr (Radi-Allahu-Anhu)ke pass jana
Sahih Muslim, Vol 6, 6179

Muhammad b. Jubair b. Mut'im Radi-Allahu-Anhu  reported on the authority of his father that a woman asked Allah's Messenger (may peace be upon him) about something but lit, told her to come to him on some other occasion, whereupon she said: What in your opinion (should I do) if I come to you but do not find you, and it seemed as if she meant that he might die. Thereupon he said: If you do not find me, then come to Abu Bakr.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5878

Mafhum-e-Hadith: Aaysha Radi-Allahu-Anha aur Abu bakr , Umar Radi-Allahu-Anhuma ka Muqam


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Aaysha Radi-Allahu-Anha aur Abu bakr , Umar Radi-Allahu-Anhuma ka Muqam

Amr b. al-'As Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne unhey zaat-As-Salasil ke lashkar ke saath bheja , wo Aapkey pass aaye aur pucha ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam sab logon mein aapko kis sey ziyada muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Aayesha (Radi-Allahu-Anha) se unhoney kaha ki mardo mein kis se ziyada muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya unkey Walid ( Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ) se phir pucha unkey baad kis se muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya Umar (Radi-Allahu-Anhu ) se yahan tak ki Aapney kayee aadmiyon ka zikr farmaya
Sahih Muslim, , Vol6, 6177

Amr b. al-'As reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) sent him in command of the army despatched to Dhat-as-Salasil. When 'Amr b. al-'As came back to the Holy Prophet (may peace be upon him) he said: Who amongst people are dearest to you? He said: A'isha (Radi-Allahu-Anha). He then said: Who amongst men? He said: Her father, ( Abu Bakr Radi-Allahu-Anha)and I said: And who next? He said: Umar (Radi-Allahu-Anha) He then enumerated some other men.
Sahih Muslim, , Book 031, Number 5876

Tuesday, November 20, 2012

Mafhum-e-Hadith > Bachchey ki surat ka walid ya walida ki surat se milna



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith > Bachchey ki surat ka walid ya walida  ki surat se milna

Anas Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya
Mard ki mani gaadi aur safed hoti hai aurat ki mani  zard aur patli hoti hai jo koi ek dusrey se sabqat le jaye  (yani jiski mani pahely nikal jaye) to bachcha usi ki shakal ka paida hota hai
Sunan Nasaii, Vol 1, 202 
(Sahih)

Aisha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya
Jab Aurat ka nutfa mard ke nutfey par ghalib ho to bachcha apne nanihal ki mushabeh hota hai
Aur jab mard ka nutfa aurat ke nutfey par ghalib ho to bachcha dadihaal  par parhta hai
Sahih Muslim, Vol1, 715
----------------------------------------------------------------------
Narrated by  Anas may ALLAH be pleased with him  The Messenger of Allah Peace be upon him  said:  The man’s water is thick and white, and the women’s water is thin and yellow. Whichever of them comes first, the child will resemble (that father or mother).  (Sahih)
Sunan Nasaii, Vol 1, 200

It is reported on the authority of 'A'isha that Messenger of Allah (may peace be upon him) said  when the genes contributed by woman prevail upon those of man, the child resembles the maternal family, and when the genes of man prevail upon those of woman the child resembles the paternal family.  
Sahih Muslim,
Book #003, Hadith #0613

Mafhum-e-Hadith: Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ? - HAAN


BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

<< Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ? - HAAN>>

Umm salma Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki ek aurat ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam Allah subhanahu haq baat kahney se sharam aur haya mahsus nahi karta.Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ?
Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya HAAN jis waqt aurat (napaak)paani (sharmgaah par) dekhey  ye baat sunkar umm salma ko hansee aa gayee aur farmaney lagi kya aurat ko bhi ehatlaam hota hai ? Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-wasallam ne farmaya agar nahi hota to (bachchey ki)shakal aur surat kis tarah se (waldein ki) mushabah hoti
Sunan Nasaii, Vol 1, 199  (Sahih)
------------------------------------------------------
Narrated  Authority of  Umm Salamah may ALLAH be pleased with her that a women said: "Oh messenger of Allah may ALLAH be pleased with him , Allah is not shy to tell the truth. Does a woman have to perform Ghusl if she has a wet dream?" He Peace be upon him  said: "Yes, if she sees water." Umm Salamah  laughed and said: "Do women really have wet dreams?" The Messenger of Allah may ALLAH be pleased with him  said how else would her child resemble her?"
Sunan Nasaii, Vol 1, 197  (Sahih)

Hadith>> Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye jayengey


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith>> Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye jayengey

Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karey aur phir kahey ki
Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu
(Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam)Allah ke bandey aur Rasool hain)
Aisey shaksh ke liye jannat ke 8 darwazey khol diye janyegey aur wo shaksh jannat ke jis darwazey se chahey dakhil ho jaye
Sunan nasaii, Vol1, 150 . ( Sahih)
---------------------------------------------
 It was narrated that 'Umar bin Al-Khattab may ALLAH be pleased with him said: "The Messenger of Allah peace be upon him said: whoever performs Wudhu well, then says:  Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasuluhu (I bear witness that there is no God except Allah, and I bear witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah
Then eight gates of Paradise will be opened for  him, and he may enter through whichever one he wishes
Sunan nasaii, Vol1, 148 ( Sahih)

Hadith: >> Shaitan raat mein naak ki jad ke andar rahta hai


BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

Hadith: >> Shaitan raat mein naak ki jad ke andar rahta hai

Hazrat Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jab koi shaksh so kar uthey phir wo wudhu karey to teen martaba naak saaf karey kyunki Shaitan raat mein naak ki jad ke andar
rahta hai 
Sunan Nasai, Vol 1, #91 ( Sahih)

I t was narrated from Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  that the Messenger of Allah Peace be upon him said:  When any of  you wakes from sleep then let him sniff water in his nose and blow it out three  times, for the Shaitan spends the night on his nose."
( Classified As Sahih )
Sunan Nasaii, Vol1, #90

Hadith>> Mooncho ko kam karo aur Dadhiyon ( beard) ko chorh do ( yani badao)


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith>> Mooncho ko kam karo aur Dadhiyon ( beard) ko chorh do ( yani badao)

Ibn Umar Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya mooncho ko kam karo aur Dadhiyon ( beard) ko chorh do ( yani badao)
Sunan Nasai, Vol 1, #14
Sahih Muslim, , Vol 1, #600
--------------------------------------
Ibn Umar may ALLAH be pleased with him said: The Apostle of Allah may peace be upon him ordered us to trim the moustache closely and spare the BEARD
Sunan Nasai, Vol 1, #14
 Sahih Musim,  Book #002, Hadith #0499

Monday, November 12, 2012

Hadith: Farishton ki Aameen ke saath Aaameen


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Farishton ki Aameen ke saath Aaameen

Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jab Imam Ghair-il-maghdubi 'alaihim wala-ddal-lin; kahey to tum bhi aameen kaho kyunki jiski aameen  farishto ki aameen ke saath mil gayee uskey tamam gunaah maaf kar diye jayengey.
Sahih Bukhari, Vol 1, 782

------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Say Amen' when the Imam says "Ghair-il-maghdubi 'alaihim wala-ddal-lin; all the past sins of the person whose saying (of Amin) coincides with that of the angels, will be forgiven.
Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 12, No. 749

Hadith: Ye to Daka (way of stealing) hai jo shaitan bandey ki namaz par daalta hai.


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Ye to Daka (way of stealing) hai jo shaitan bandey ki namaz par daalta hai.

Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki Mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se namaz mein idhar udhar dekhney ke baarey mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye to Daka (ya chori) hai jo shaitan bandey ki namaz par daalta hai.
Sahih Bukhari,  Vol 1, 751

Narrated 'Aisha Radiallahu anha: I asked Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam about looking hither and thither in prayer. He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "It is a way of stealing by which Satan takes away (a portion) from the prayer of a person."
 Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 12, No. 718:


Hadith: log is harkat se baaz aa jaye warna unki aankhon ki beenaii(eye sight) le li jayegi. Hadith: log is harkat se baaz aa jaye warna unki aankhon ki beenaii(eye sight) le li jayegi.


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: log is harkat se baaz aa jaye warna unki aankhon ki beenaii(eye sight) le li jayegi.


Anas Bin Malik Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  logo ko kya hua hai jo namaz main apni nazrein aasman ki taraf  uthatey hain, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is baat se nihayat sakhti se roka, yahan tak ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki log is harkat se baaz aa jaye warna unki aankhon ki beenaii(eye sight) le li jayegi.
Sahih Bukhari,  Vol 1, 750
------------------------------------------------- 
Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "What is wrong with those people who look towards the sky during the prayer?" His (Sallallahu Alaihi Wasallam) talk grew stern while delivering this speech and he said, "They should stop (looking towards the sky during the prayer); otherwise their eye-sight would be taken away.
Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 12, No. 717

Hadith: imam agar baith kar namaz Parhey to tum bhi baith kar namaz Parho


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: imam agar baith kar namaz Parhey to tum bhi baith kar namaz Parho

Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne beemari ki halat mein apney hi ghar mein namaz Parhi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam baith kar namaz Parh rahey they aur log aapkey peechey khadey hokar namaz Parh rahey they Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko baithney ka ishaara kiya aur namaz se faarig hone ke baad farmaya ki Imam isliye hota hai ki uski pairwi (follow) ki jaye isliye jab wo ruku mein jaye to tum bhi ruku mein jao aur jab wo sir uthaye to tum bhi sir uthao aur jab wo Sami a-l-lahu liman-hamida ( Allah unki suntan hai jo uski Hamd bayan kartey hain) kahey to tum Rabbana wa laka-l-hamd ( Eh hamare RAb sab tariff tere hi liye hai) kaho aur jab wo baith kar namaz Parhey to tum bhi baith kar namaz Parho
Sahih Bukhari,  V ol 1, 688
--------------------------------------------
Narrated Aisha Radiallahu anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam during his illness prayed at his house while sitting whereas some people prayed behind him standing. The Prophet beckoned them to sit down. On completion of the prayer, he Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'The Imam is to be followed: bow when he bows, raise up your heads (stand erect) when he raises his head and when he says, 'Sami a-l-lahu liman-hamida ' (Allah heard those who sent praises to Him) say then 'Rabbana wa laka-l-hamd' (O our Lord! All the praises are for You), and if he prays sitting then pray sitting."

Hadith: Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga
  
Abu Hurirah Radiallahu anhu  se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  ki Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga
1. Insaaf karney wala baadshah,
2. Wo Nojawan jo apney Rab ki ibadat mein jawani mein bhi masruf raha,
3. Aisa shaksh jiska dil hamesha masjid mein laga rahta hai
4. Do aisey shaksh jo Allah ke liye aapas mein mohabbat rakhtey hain aur sirf allah ke liye miltey aur juda hote hain.
5. wo Nojawan jisey ki baizzat aur haseen aurat ne (burey iradey se) bulaya lekin usney kah diya main Allah se darta hun
6. Aisa shaksh jisney aisa chupa ke sadqa diya ki bahiney haath ko bhi khabar nahi huyee ki dahiney haath ne kya kharch kiya …….
7.wo shaksh jisney tanhaii mein Allah ko yaad kiya aur aankhon se aansoo jaari ho gaye.
Sahih Bukhari, Vol 1 , 660
---------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Allah will give shade, to seven, on the Day when there will be no shade but His. 
1.A just ruler,
2.A youth who has been brought up in the worship of Allah,
3.A man whose heart is attached to the mosques,
4.Two persons who love each other only for Allah's sake and they meet and part in Allah's cause only,
5.a man who refuses the call of a charming woman of noble birth for illicit intercourse with her and says: I am afraid of Allah,
6.a man who gives charitable gifts so secretly that his left hand does not know what his right hand has given ,
7.and a person who remembers Allah in seclusion and his eyes are then flooded with tears."
Sahih Bukhari, Vol1, Book 11, No.629

Mafhum-e-Hadith: Farishtey us Namazi ke liye Maghfirat ki Dua kartey hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith:  Farishtey us Namazi ke liye Maghfirat ki Dua kartey hain

Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  farishtey tum mein se us namazi ke liye us waqt tak yu hi Dua kartey rahtey hain jab tak (namaz Parhney ke baad) wo apney musalley par baitha rahey aur hadas ( hawa kharij)  na karey ki Eh Allah iski maghfirat farma , Eh Allah is par raham farma. Tum main se wo shkash jo sirf namaz ki wajah se ruka hua hai ghar janey se siwa namaz ke aur koj cheez uskey liye aham nahi , to uska (ye sara waqt) namaz hi mein shumar hoga.
Sahih Bukhari,  Vol1, 659

-------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The angels keep on asking for Allah's Blessing and Forgiveness for anyone of you as long as he is at his Musalla (praying place) and does not do Hadath (passes wind). The angels say, 'O Allah! Forgive him and be Merciful to him.' Each one of you is in the prayer as long as he is waiting for the prayer and nothing but the prayer detains him from going to his family."

Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 11, No. 628: 

Hadith : Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne do waqton mein namaz Parhney se mana farmaya hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith : Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne do waqton mein namaz Parhney se mana farmaya hai

Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne do waqton mein namaz Parhney se mana farmaya hai ,Namaz fajar ke baad suraj nikalney tak aur Namaz asar ke baad suraj gurub hone tak.
Sahih Bukhari,  Vol1, 588
-----------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam forbade the offering of two prayers:  1. after the morning prayer till the sunrises. 2. after the 'Asr prayer till the sun sets.
Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 10, No. 562: 

Mafhum-e-Hadith: Fajar aur Asar ke Waqt aaney jaaney waley Farishtey


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Fajar aur Asar ke Waqt aaney jaaney waley Farishtey

 Abu Hurirah Radi allahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  ki raat aur din mein farishton ki Dutiyan (jobs) badalti rahti hain aur Fajar aur Asar ki namazon mein ijtima hota hai phir tumharey paas rahney waley farishtey jab upar chadtey hain to Allah taala puchta hai haalanki wo unsey bahut jiyada apney bandon ke mutaaliq janta hai , ki mere bando ko tumne kis haal mein chora to wo jawab dete hai ki humney jab unhey chora to wo (fajar ki) namaz Parh rahey they aur jab unkey paas gaye tab bhi wo (Asar ki) namaz Parh rahey they.
 Sahih Bukhari,  Vol 1, 555
 -------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Angels come to you in succession by night and day and all of them get together at the time of the Fajr and 'Asr prayers. Those who have passed the night with you (or stayed with you) ascend (to the Heaven) and Allah asks them, though He knows everything about you, well, "In what state did you leave my slaves?" The angels reply: "When we left them they were praying and when we reached them, they were praying."
Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 10, No. 530:

Mafhum-e-Hadith: Asar ki namaz ki Ahmiyat


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Asar ki namaz ki Ahmiyat

Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiski Asar ki namaz qaza ho gayee (yani nahi Parhi to wo aisa hai jaisey) uska ghar aur maal sab lut gaya.
Sahih Bukhari,  Vol 1, 553

-------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Umar Radiallahu anhu :  Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever misses the 'Asr prayer (intentionally) then it is as if he lost his family and property."
Sahih Bukhari,  Vol 1, Book 10, No. 527: 

Mafhum-e-Hadith: Allah taala ki baargah mein jiyada mehboob Amal


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Allah taala ki baargah mein  jiyada mehboob Amal

Abdullah  Radiallahu anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki Allah taala ki baargah mein kaunsa amal jiyada mehboob hai ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki apney waqt par namaz Parhna phir pucha uskey baad ,farmaya waldain (parents) ke saath achcha aur neik suluk karna, pucha iskey baad, farmaya Allah ki raah main jihad karna Abdullah Radiallahu anhu  ne kaha ki mainey itna hi pucha agar main aur sawalat karta to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe aur jawabat farmate.
Sahih Bukhari,  Vol 1, 537

-------------------------------------------
Narrated 'Abdullah Radiallahu anhu :I asked the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam "Which deed is the dearest to Allah?" He replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." I asked, "What is the next (in goodness)?" replied, "To be good and dutiful to your parents" I again asked, "What is the next (in goodness)?" replied, 'To participate in Jihad (religious fighting) in Allah's cause." 'Abdullah added, "I asked only that much and if I had asked more, the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam would have told me more."
Sahih Muslim,  Vol 1, Book 10, No. 505: 

Total Pageviews