Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Hadith:
Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne do waqt mein namaz parhney se
mana farmaya haiAbu Sa'id Al-Khudri Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Fajar ki Namaz ke baad suraj nikalney tak koi namaz na parhi jaye aur Asar ki namaz ke baad suraj dubney tak koi namaz na parhi jaye
Sahih Bukhari, Vol 1, 586
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne do waqt mein namaz parhney se mana farmaya hai Fajar ki Namaz ke baad suraj nikalney tak aur Asar ki namaz ke baad suraj dubney tak
Sahih Bukhari, Vol 1, 588
--------------------------------------------------------------
Narrated Abu Sa'id Al-Khudri I heard Allah's Apostle Peace be upon him saying, "There is no prayer after the morning prayer till the sun rises, and there is no prayer after the Asr prayer till the sun sets."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 10, Number 560
Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him Allah's Apostle Peace be upon him forbade the offering of two prayers after the morning (Fajar) prayer till the sunrises and after the 'Asr prayer till the sun sets.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 10, Number 562