Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Mafhum-e-Hadith: Fajar aur Asar ke Waqt aaney jaaney waley Farishtey
Mafhum-e-Hadith: Fajar aur Asar ke Waqt aaney jaaney waley Farishtey
Abu Hurirah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki raat aur din mein farishton ki Dutiyan (jobs) badalti rahti hain aur Fajar aur Asar ki namazon mein ijtima hota hai phir tumharey paas rahney waley farishtey jab upar chadtey hain to Allah taala puchta hai haalanki wo unsey bahut jiyada apney bandon ke mutaaliq janta hai , ki mere bando ko tumne kis haal mein chora to wo jawab dete hai ki humney jab unhey chora to wo (fajar ki) namaz Parh rahey they aur jab unkey paas gaye tab bhi wo (Asar ki) namaz Parh rahey they.
Sahih Bukhari, Vol 1, 555
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 10, No. 530: