Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, December 16, 2013

Hadith: Ye wo pahaad hai jis sey hum muhabbat kartey hain aur wo humse muhabbat karta ha

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Ye wo pahaad hai jis sey hum muhabbat kartey hain aur wo humse muhabbat  karta ha

Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki main Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath aapki khidmat ke liye kahi bahar gaya , phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam wapas huye to Uhad pahad ko dekhkar farmaya ki ye wo pahaad hai jis sey hum muhabbat kartey hain aur wo humse muhabbat  karta hai
Sahih Bukhari, Vol 4,2889
--------------------------------------------


Hadith: This is a mountain that loves us and is loved by us

Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu: I went along with the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam to Khaibar so as to serve him. (Later on) when the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam returned, on seeing the Uhud Mountain, said, "This is a mountain that loves us and is loved by us."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 139: 

Hadith: Ek joda ( pair) ALLAH ki Raah mein Kharch karney ka sawab…..

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Ek joda ( pair)  ALLAH ki Raah mein Kharch karney ka sawab…..

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shaksh ne ALLAH ke raastey mein Ek  joda (a pair) kharch kiya to usey jannat ke sarey daroga bulayengey ki eh falah is darwazey se aa is par Abu bakr Radiallahu anhu ne farmaya ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam phir to us shaksh ko koi kauff nahi rahega, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhe ummed hai ki tum bhi usi mein se honegy.
Sahih Bukhari,
Vol 4,2851


Hadith: Whoever spends two things (or a pair) in ALLAH's Cause…..


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever spends two things (or a pair) in ALLAH's Cause, will be called by all the gate-keepers of Paradise who will be saying, 'O so-and-so! Come here.' "Abu Bakr Radiallahu anhu said, "O ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam! Such persons will never be destroyed." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "I hope you will be one of them."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 94: 

Mafhum-e-Hadith: ALLAH ke liye Ek Roza rakhne ka sawab

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: ALLAH ke liye Ek Roza rakhne ka sawab


Abu Said Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney ALLAH ke raastey mein ek din bhi Roza rakha ALLAH taaala usey jahannam se 70 saal ki musfat ki duri tak dur kar dega.
Sahih Bukhari, Vol 4,2840



English Translation:
Narrated Abu Said Radiallahu anhu: I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Indeed, anyone who fasts for one day for ALLAH's sake (or ALLAH’s way), ALLAH will keep his face away from the (Hell) fire for (a distance covered by a journey of) seventy years."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 93: 

Hadith: Shaheed 5 tarah ke hotey hain…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Shaheed 5 tarah ke hotey hain…

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shaheed 5 tarah ke hote  hain
Taauun mein halaq honey wala,
pet (abdominal) ki beemari se marney wala,
Doob kar marney wala,
Dab kar marney wala
aur ALLAH ke raah mein shahadat pane wala.
Sahih Bukhari, Vol 4,2829
 ------------------------------------------

Hadith: Five are regarded as martyrs …

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Five are regarded as martyrs: They are those
who die because of plague, abdominal disease, drowning and  a falling building etc., and the martyrs in ALLAH's Cause."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 82: 

Hadith: Qatil aur maqtul jannat mein dakhil ho gaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Qatil aur maqtul jannat mein dakhil ho gaye


Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala aisey 2 Aadmiyon par hans dega ki unmein se ek ne dusrey ko Qatl kiya tha phir bhi dono jannat mein dakhil ho gaye pahla wo jisney ALLAH ke raastey mein jihad kiya wo shaheed ho gaya usky baad ALLAH taala ne Qatil ko Tauba ki tawfeeq dee aur wo bhi ALLAH ki raah mein shaheed hua is tarah dono Qatil aur maqtul jannat mein dakhil ho gaye.
Sahih Bukhari, Vol 4,2826

Hadith:  Killer and martyr both of them enter Paradise


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "ALLAH welcomes two men with a smile; one of whom kills the other and both of them enter Paradise. One fights in ALLAH's Cause and gets killed. Later on ALLAH forgives the 'killer who also get martyred (In ALLAH's Cause)."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 80: 

Hadith: jab tumhey jihad ke liye bulaya jaye to (usi waqt) nikal jao


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab tumhey jihad ke liye bulaya jaye to (usi waqt) nikal jao

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne fateh makka ke din farmaya tha ki makka fateh honey ke baad hijrat(makk se se madiney ke liye) baqi nahi hai lekin khulus niyat ke saath Jihad ab bhi baki hai isliye jab tumhey jihad ke liye bulaya jaye to (usi waqt) nikal jao
Sahih Bukhari, Vol 4,2825



Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: On the day of the Conquest (of Mecca) the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is no emigration after the Conquest but Jihad and intentions. When you are called (by the Muslim ruler) for fighting, go forth immediately."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 79: 

Hadith: Namaz ke baad ki Ek Dua…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Namaz ke baad ki Ek Dua…


Amr bin Maimun Al-Audi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam namaz ke baad in Kalimat ke zariye ALLAH ki panaah mangtey they:

اللهم إني أعوذ بك من الجبن وأعوذ بك من أن أرد إلى أرذل العمر وأعوذ بك من فتنة الدنيا وأعوذ بك من عذاب القبر
Eh ALLAH buzdili se main teri panaah mangta hun, aur us sey teri pannah mangta hun ki umar ke sabse zaleel hissey mein pahuncha diya jauu,aur teri panaah mangta hun duniya ke fitno se aur teri panaah mangta hun Qabr ke azab se.
Sahih Bukhari, Vol 4,2822

 ------------------------------------------------
English Translation:
Hadith: A Dua After  Every Prayer

Narrated 'Amr bin Maimun Al-Audi: ALLAH's Apostle used to seek Refuge with ALLAH from them (i.e. the evils) at the end of every prayer. The words are:

اللهم إني أعوذ بك من الجبن وأعوذ بك من أن أرد إلى أرذل العمر وأعوذ بك من فتنة الدنيا وأعوذ بك من عذاب القبر
'O ALLAH! I seek refuge with you from cowardice, and seek refuge with you from being brought back to a bad stage of old life and seek refuge with you from the afflictions of the world, and seek refuge with you from the punishments in the grave.'
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 76: 

Hadith:Jannat Talwaron ke saaye ke neechey hain…..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Jannat Talwaron ke saaye ke neechey hain…..

(Hadith: Paradise is under the shades of swords..)

Abdullah bin Abi Aufa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki suno, jannat talwaron ke saaye ke neechey hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2818

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne fateh makka ke din farmaya tha ki makka fateh honey ke baad hijrat(makka se madiney ke liye) baqi nahi hai lekin khulus niyat ke saath Jihad ab bhi baki hai isliye jab tumhey jihad ke liye bulaya jaye to (usi waqt) nikal jao
Sahih Bukhari,
vol 4, 2825


----------------------------------------------
English translation:

Hadith: Paradise is under the shades of swords..

Narrated 'Abdullah bin Abi Aufa Radiallahu anhu ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Know that Paradise is under the shades of swords."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 73:

Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: On the day of the Conquest (of Mecca) the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is no emigration after the Conquest but Jihad and intentions. When you are called (by the Muslim ruler) for fighting, go forth immediately."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 79: 

Hadith: jannat mein Jaaney ke baad wo phir se duniya ki tamanna karega ..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  jannat mein Jaaney ke baad wo phir se duniya ki tamanna karega ..

Anas bin malik Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi shaksh aisa na hoga jo jannat mein dakhil honey ke baad duniya mein dobara aana pasand karey chahey usey sari duniye mil jaye, siwaye shaheed ke, iski ye tamanna hogi ki duniye mein dobara wapas jakar 10 martaba aur Qatl ho jauu kyunki wo shahadat ki Ezzat wahan dekh chuka hota hai.
Sahih Bukhari, vol 4, 2817
--------------------------------------------------
Hadith: After entering the  Paradise he will wish to go back to the world

Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Nobody who enters Paradise likes to go back to the world even if he got everything on the earth, except a Mujahid who wishes to return to the world so that he may be martyred ten times because of the dignity he receives (from ALLAH).
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 72:

Hadith: ALLAH ke Raastey mein Guzarney wali Ek Subah ya Ek sham….

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: ALLAH ke Raastey mein Guzarney wali Ek Subah ya Ek sham….


Anas bin malik Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke raastey mein guzarney wali ek subah ya ek shaam duniye se ya jo kuch duniya mein hai sabse behtar hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2792
-------------------------------------------
Hadith: A single endeavor in ALLAH's Cause in the forenoon or in the afternoon…

Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A single endeavor in ALLAH's Cause in the forenoon or in the afternoon is better than the world and whatever is in it."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 50

Hadith: Shaheedon ka khubsurat aur pakiza makan

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Shaheedon ka khubsurat aur pakiza makan

Samura Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kal raat do shaksh mere paas aaye phir wo mujhe lekar ek darakht par chadey uskey baad mujhe ek aisey makan mein le gaye jo bahut khubsurat aur bada pakiza tha aisa khubsurat makan mein kabhi nahi dekha tha un dono ne kaha ki ye ghar shaheedon ka hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2791



Narrated Samura Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Last night two men came to me (in a dream) and made me ascend a tree and then admitted me into a better and superior house, better of which I have never seen. One of them said, 'This house is the house of martyrs."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 49: 

Hadith: Jannat mein 100 darjey hain jo ALLAH ke raastey mein jihad karney walon ke liye hain

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Jannat mein 100 darjey hain…..

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ALLAH aur uskey Rasool par imaan laye aur namaz qayam karey aur ramadhan ke rozey rakhey to ALLAH taala par haq hai ki wo usey jannat mein dakhila karega chahe ALLAH ke raastey mein jihad karey ya usi jagah Parha rahey jahan wo paida hua tha, Sahaba ne arz kiya YA Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya hum logon ko iski basharat (khushkhabri) de de ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jannat mein 100 darjey hain jo ALLAH taala ne apney raastey mein jihad karney walon ke liye tayyar kiye hain unkey do darjon mein itna fasla hai jitna aasman aur zameen mein hai isliye jab ALLAH taaala se mangna ho to firdaus mango kyunki wo jannat ka sabse achcha aur buland darja hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,2790
 ------------------------------------------- 

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever believes in ALLAH and His Apostle, offer prayer perfectly and fasts the month of Ramadan, will rightfully be granted Paradise by ALLAH, no matter whether he fights in ALLAH's Cause or remains in the land where he is born." The people said, "O ALLAH's Apostle! Sallallahu Alaihi Wasallam Shall we acquaint the people with the is good news?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Paradise has one-hundred grades which ALLAH has reserved for the Mujahidin who fight in His Cause, and the distance between each of two grades is like the distance between the Heaven and the Earth. So, when you ask ALLAH (for something), ask for Al-firdaus which is the best and highest part of Paradise."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 48

Hadith: ALLAH ke Raastey mein Jihad karney waley ki Misaal….

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH ke Raastey mein Jihad karney waley ki Misaal….

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke raastey mein jihad karney wale ki misaal ---aur ALLAH us shaksh ko khub janta hai jo ALLAH ke raaastey mein jihad karta hai -- aisee hai jo raat mein barabar namaz Parhta rahey aur din mein barabar Rozey rakhta ho aur ALLAH taala ne uskey raastey mein jihad karney waley ki zimmeydari le li hai ki agar usey shahadat dega to usey jannat mein dakhil karega ya   usey sawab aur maal-e-ganimat ke saath zinda  wapas ghar bhej dega.
Sahih Bukhari,
Vol 4, 2787


Hadith: The example of a Mujahid in ALLAH's Cause…….

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : I heard ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "The example of a Mujahid in ALLAH's Cause-- and ALLAH knows better who really strives in His Cause----is like a person who fasts and prays continuously. ALLAH guarantees that He will admit the Mujahid in His Cause into Paradise if he is killed, otherwise He will return him to his home safely with rewards and war booty."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 46:


Hadith: Sabse Afazal Shaksh (The best among the people)

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Sabse Afazal Shaksh (The best among the people)


Abu Said Al-Khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki kisi ne puchaYa Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kaunsa shaksh sabse afzal hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo momeen jo ALLAH  ke raastey mein apney maal aur jaan se jihad karey, Sahaba ne pucha uskey baad kaun Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya wo shaksh jo pahaad(mountain) ki kisi ghaanti mein rahta ho aur ALLAH ki Ibadat karta ho aur logon ko apni buraii se mehfooz rakhta ho
Sahih Bukhari, Vol 4, 2786
-----------------------------------------------
English Translation:
Hadith: The best among the people…

Narrated Abu Said Al-Khudri Radiallahu anhu : Somebody asked, "O ALLAH's Apostle! Who is the best among the people?" ALLAH's Apostle replied "A believer who strives his utmost in ALLAH's Cause with his life and property." They asked, "Who is next?" He replied, "A believer who stays in one of the mountain paths worshipping ALLAH and leaving the people secure from his mischief."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 45:

Hadith: Sabse Afzal Aamal…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Sabse Afzal Aamal…

Abdullah bin masood Radiallahu anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki deen ke muaamley mein kaun sa amal afzal hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki waqt par namaz Parhna, mainey pucha uskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Waldein ke saath neik suluq karna, mainey pucha uskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke raastey mein jihad karna.
Sahih Bukhari, Vol 4,2782

------------------------------------

Hadith: The best deed..

Narrated Abdullah bin Masud Radiallahu anhu I asked Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam! What is the best deed?" He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." I asked, "What is next in goodness?" He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "To be good and dutiful to your parents." I further asked, what is next in goodness?" He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "To participate in Jihad in Allah's Cause."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 41: 

Mafhum-e-Hadith – Marhum ki taraf se baqi nazar

Bismillahirrahmanirrahim

 Mafhum-e-Hadith – Marhum ki taraf se baqi nazar

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Saad bin ubada radi allahu anhu ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se masla pucha aur arz kiya ki Meri maa ka inteqal ho gaya hai aur uskey zimmey ek nazar thi  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya uski nazar puri kar de.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2761



Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: Sad bin Ubada consulted Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "My mother died and she had an unfulfilled vow." The Prophet said, "Fulfill it on her behalf."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 51, No. 23:

Mafhum-e-hadith: Marhum ki taraf se sadqa

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Marhum ki taraf se sadqa

Hadith: Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Ek Sahabi ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ki meri walida ko achanak maut aa gayee mera khayal hai ki agar unhey baat karney ka mauka milta to wo sadqa karti to kya main unki taraf se sadqa kar sakta hun Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki haan unki taraf se sadqa kar.
Sahih Bukhari, Vol 4,2760

Narrated 'Aisha Radiallahu anhu: A man said to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam, "My mother died suddenly, and I think that if she could speak

, she would have given in charity. May I give in charity on her behalf?" He said, "Yes! Give in charity on her behalf."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 51, No. 22: 

Mafhum-e-hadith: Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab

Bismillah hirrahman nirrahim

 Mafhum-e-hadith: Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab 
Sad bin 'Ubada Radiallahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2756
 ----------------------------------------------

Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: The mother of sad bin 'Ubada Radiallahu anhu died in his absence. He said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam! My mother died in my absence; will it be of any benefit for her if I give Sadaqa on her behalf?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Yes," Sad said, "I make you a witness that I gave my garden called Al Makhraf in charity on her behalf."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 51, No. 19: 

Hadith: Insaan ke badan ke har jod (joint)par Roz sadqa wajib hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Insaan ke badan ke har jod (joint)par Roz sadqa wajib hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Insaan ke badan ke har jod par har us din ka sadqa wajib hai jismein suraj Tulu hota hai aur logon ke darmiyan insaaf karna bhi ek sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,2707
 ----------------------------------------

Hadith: There is a Sadaqa to be given Daily  for every joint of the human body

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is a Sadaqa to be given for every joint of the human body for every day on which the sun rises, there is a reward of a Sadaqa for the one who establishes justice among people."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 49, No. 870: 

Hadith: Jisko Qasam Khani hai wo Allah ki Qasam khaye warna Khamosh rahey..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jisko Qasam Khani hai wo Allah ki Qasam khaye warna Khamosh rahey..

Hazrat Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar kisi ko Qasam khani ho to Allah ki hi Qasam khaye warna khamosh rahey.
Sahih Bukhari, Vol 4,2679



Narrated Abdullah Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has to take an oath should swear by Allah or remain silent."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 48, No. 844: 

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har Baaligh par Jumaa ke din gusl wajib hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har Baaligh par Jumaa ke din gusl wajib hai

Abu Saeed khazri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har Baaligh par Jumaa ke din gusl wajib hai
Sahih Bukhari, Vol 4, 2665
--------------------------------------


Narrated Abu Said Al-Khudri Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Bath on Friday is compulsory for those who have attained the age of puberty." 
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 48, No. 833:

Sunday, November 24, 2013

Mafhum-e-Hadith: chaar badey ( kabira) Gunah

Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith:  chaar badey ( kabira) Gunah

Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se badey (kabira ) gunahon ke baarey mein pucha gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
  


1. Allah ke saath kisi ko Sharik karna,
2. Waaldein ki nafarmani karna,
3. Kisi ki (nahaq) jaan lena ,
4. aur Jhooti gawahi dena.
Sahih Bukhari,  Vol 4,2653

------------------------------------------------
Hadith:  Four Great Sin ..

Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was asked about the great sins He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "
1.They areTo join others in worship with Allah,
2.To be undutiful to one's parents.
3.To kill a person
4.and to give a false witness."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 48, No. 821: 

Hadith: Jiske Ghar ka Darwaza ziyada kareeb ho wo hadiye (gift) ka ziyada haqdar hai…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jiske Ghar ka Darwaza ziyada kareeb ho wo hadiye (gift) ka ziyada haqdar hai…

Ummul Momeneen Hazrat aayesha Radiallahu anha ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere 2 Padosi (neighbor) hain to mujhe kiskey ghar hadiya bhejna chahiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiska darwaza tumse kareeb hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2595

Hadith: The one whose door is nearer to you , has more rights..


Narrated Aisha Radiallahu anha :I said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  I have two neighbors; which of them should I give a gift to?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "(Give) to the one whose door is nearer to you."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 767: 

Hadith: kharch kiya kar, gina na kar taki tumhey bhi gin ke na miley

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: kharch kiya kar, gina na kar taki tumhey bhi gin ke na miley

Asma Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kharch kiya kar, gina na kar taki tumhey bhi gin ke na miley aur jod ke(chupa ke) na rakho taki tumse bhi allah taala (Apni naimaton ko) na chupa le.
Sahih Bukhari,  Vol 4, 2591

--------------------------------

Narrated Asma Radiallahu anha : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Give (in charity) and do not give reluctantly lest Allah should give you in a limited amount; and do not withhold your money lest Allah should withhold it from you."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 764: 

Mafhum-e-hadith: Gift (hiba) dekar wapas na lo

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Gift (hiba) dekar wapas na lo

Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apna Hiba (gift) wapas lene wala us Kuttey (dog) ki tarah hai jo Qey (Vomit) karkey chaat jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,  2589


Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 762: 

Hadith: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Sadqa nahi khate

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Sadqa nahi khate

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein jab koi khaney ki cheez layee jati to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam dariyaft farmatey ki ye Thofa hai Ya Sadqa? Agar kaha jata ki Sadqa hai to Aap apney Ashaab se famatey ki kha lo aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud nahi khatey aur agar kaha jata ki Tohfa hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud bhi haath badatey aur Sahaba ke saath usey khatey.
Sahih Bukhari,  Vol 4, 2577
----------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Whenever a meal was brought to Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam , he would ask whether it was a gift or Sadaqa (something given in charity). If he was told that it was Sadaqa, he would tell his companions to eat it, but if it was a gift, he would hurry to eat it with them.
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 750:


Hadith:Ladaii mein bhi Chehrey par maarney se parhez karna chahiye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Ladaii mein bhi  Chehrey par maarney se parhez karna chahiye

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi kisi se ladaii (ya jhagda) karey to chehrey par marney se parhez karey(yani chehrey par na marey)
Sahih Bukhari,
Vol 4,  2559
------------------------------ Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody fights (or beats somebody) then he should avoid the face." Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 46, No. 734:

Mafhum-e-hadith: Ghulamo ke saath bhi sila rahmi

Bismillahirrahmanirrahim

mafhum-e-hadith: Ghulamo ke saath bhi sila rahmi

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab kisi ka ghulam (naukar) khana laye aur wo usey apney saath na bitha sakey to usey ek ya do niwaley Zarur khila de  kyunki usney isko(khaney ko) tayyar karney ki takleef uthayee hai.
Sahih Bukhari,  Vol 4, 2557
------------------------------------


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When your servant brings your meals to you then if he does not let him sit and share the meals, then he should at least give him a mouthful or two mouthfuls of that meal or a meal or two meals, as he has prepared it."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 46, No. 732: 

Thursday, November 7, 2013

Hadith: Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai

Abu Jafar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Suwaid bin Muqarrin Radi Allahu Anhu  ke paas baitha tha aur unhoney kaha ki  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  hai ki jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai
Sunan Nasaii, Vol 3, 398-Sahih
--------------------------------------------
It was narrated that Abu Jafar Radi Allahu Anhu said: I was sitting with Suwaid bin Muqarrin, and he said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: Whoever is killed defending himself against injustice, he is a martyr.
Sunan Nasaii , Vol. 5, Book 37, Hadith 4101-Sahih

Hadith: Mere Ashaab ( Sahabiyon) ko bura mat kaho


Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Mere Ashaab ( Sahabiyon)  ko bura mat kaho

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya   mere ashaab (sahabiyo) ko buran a kaho, mere ashab ko buran a kaho , kasam uski jiskey haath mein meri jaan hai agar koi tum mein se Uhad Pahad ke barabar sona kharch karey to unkey ek mudd  (sair bhar) ya  Aadhey mudd (kharch) ke barabar bhi nahi ho sakta.   
Sahih Muslim , Vol 6, 6487 
--------------------------------------------

Abu Huraira Radi Allahu Anhu  reported The prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said : Do not revile (Don’t Abuse) my Companions, Do not revile (Don’t Abuse) my Companions. By Him in Whose Hand is my life,  if one amongst you would have spent as much gold as Uhud  it would not amount to as much as  one mudd  of one of them or half of it.-  
Sahih Muslim Book 031, Number 6167

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain


Bismillah irrahman irrahim

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain

Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudaybiyyah waley saal mein humney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke saath milkar 7 aadmiyon ki taraf se ek oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki tataf se ek gaay (cow) ki Qurabani kiSahih Muslim, Vol 3,  3185

Jabir bin Abdullah (Allah be pleased with him) reported:
In the year of Hudaibiya (6 H ), we, along with Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam
sacrificed a camel for seven persons and a cow for seven persons.

Sahih Muslim , book 7, Hadith 3024

Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai 

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai 
Sahih Muslim , Vol 3, 2755 

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek sahib Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki khidmat mein hazir hokar arz karney lagey ki Ramadhan ke baad sabse ziyada fazilat kaunsey rozo ki hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah ka mahina jisey tum Muharram kahtey ho. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 ( Sahih) 
----------------------------------------------
English Translation:
Abu Hurairah Allah be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying: The most excellent fast after Ramadan is God's month. Al-muharram, and the most excellent prayer after what is prescribed is prayer during the night. 
Sahih Muslim, Book #006, Hadith #2611 

It was narrated that Abu Hurairah may Allah be pleased with him said: A man came to the Prophe Peace be upon him and said: Which fasting is best after the month of Ramadan? He Peace be upon him said: The month of Allah which is called Muharram. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 (Sahih)

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega
Sahih Muslim, Vol 1, 1883
-----------------------------------------
Abu Darda Radi Allahu Anhu reported The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam Said
If anyone learns by heart the first ten verses of the Surah al-Kahf, he will be protected from the Dajjal.
Sahih Muslim, Book 6, Hadith 311

Hadith: jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi

Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye) 
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009

Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apney gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota 
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 784-Sahih 
-----------------------------------------
Narrated Abu Masud Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night, that will be sufficient for him.
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530

Narrated Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surah Al-Baqarah is recited. 
Jamia Tirmidhi , Vol. 1, Book 42, Hadith 2877-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Fatima (Radi allahu anha) ka darja

Bismillah-irahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Fatima (Radi allahu  anha) ka darja

Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Fatima mere Jism ka ek tukda hai jisney usey naraz kiya usney mujhe naraz kiya.
Sahih Bukhari, Vol 5, 3767
------------------------------------------------

Narrated Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fatima is a part of me, and whoever makes her angry, makes me angry."
Sahih Bukhari,  Book 57, # 111

Hadith: Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Hasan  aur Hussain  Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain

Ibn Abi Nu'm se rivayat hai ki ek shaksh ne Abdullah bin umar radi allahu Anhuma se pucha ki agar koi shaksh (ehraam ki halat mein) makhkhi maar de to uska kaffara kya hoga is par Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya Iraq ke log makhkhi ke baarey mein sawal kartey hain jabki yahi log Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke nawasey ko Qatl kar chukey hain jinkey baarey mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi  ne farmaya tha ki ye dono (Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma) Duniya mein mere Do khshubudar phool hain
Sahih Bukhari,  Vol 5, 3753
---------------------------------------------
Narrated Ibn Abi Nu'm radi allahu anhu : A person asked 'Abdullah bin 'Umar radi allahu anhu whether a Muslim could kill flies. I heard him saying (in reply). "The people of Iraq are asking about the killing of flies while they themselves murdered the son of the daughter of Allah's Apostle  Peace be upon him. About whome  the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, They ( Hasan and Husain Radi Allahu Anhuma) are my two sweet basils (smelling flowers)  in this world." 
Sahih Bukhari, Book #57, Hadith #96

Total Pageviews